SAWAAL
SAWAAL
SAWAAL
Aae wo yaad mujhe, KI aaj aankhein unke deedar ko taras gai. Unka pyaar se kehna, Jai Shri Krishna Beta, Ya mujhe chidana ki , Ghar nahi aati. Wo pal mujhe koi lauta de, Ki ab jeene ki adat nahi unke bina, Wo chit nidra se kabhi nahi uthenge Rishta to sirf Padosi Uncle ka tha, Par jaise kai arson se ek pita ki chhavi, Dundhti thi aur mil gae. Jo mila unse, Ek pita aur ek achche dost, Aur isse zyada umeed hi nahi thi, Jaise ek aur pita mil gae, Jo dil k itne kareeb aur Aaj nazaron se ojhal ho gae Hey Bhagwan tu kya chaahta hai, Dost mile par jaise peeth mein chura bhokkar chale gae, Pyaar ki sirf kamana ki, Kaash koi mile jiske saath zindagi beta sakun, Par wo bhi kamaal nikle Badon se pyaar manga, Ek Papa aur Mummy se, Wo jee bhar kar diya, Ek Mama se aur ek Uncle se, Unko bhi paas bula liya. Ab mein kya karun, Angaaro mein kab tak jalun mein, Bagwan mujhse pyaar nahi karte, T kam se kam ek Uncle ko, Mere vaste chod dete.
Na maine kisi ka bura chaha na kiya, To phir kyun Bhagwan mujhe rulate ho? Pyaar karne ke saath saath nafrat bhi karun mein, Meri Galati kya hai? 1
Ye kab khatam hoga, Ki ab to angaare bhi jalakar thak gae, Aur aansun bhi behne se mana karte hain, Kyat ere man mein meri koi ehmiyat nahi, Bhagwan, mujhe jawab do no please. Kya pyaar karna guna hai ya, Saamnewala insaan, Ya humare upar beithkar, Hume chot pohonchaakar, Khush hain aap?