Shayari
Shayari
Shayari
तेरी याद….
कैसे कहूं
इजहार ए इशक
Many people comeMany people go,
But ur place in my heart is,
Once came and can never go.
I am every thing with u ,
I am nothing without u,
Love in life ,its only with u,
And its true ‘ I Love You’
Chahat diya hai tumko chaho to jaan bhi deenge,
Zindagi bhar sanam bas pyaar hi deenge.
Gham ke mahool mein jiya karte the hum,
Jab sanam tumse mohabbat nahi kiya karte the hum.
Dil se roote, na roote aankhoon se hum,
Jab hote judaa tere saath se hum.
Mohabbat agar dard hai toh bhi seh leenge hum,
Tere liye sanam dardE mohabbat se jee leenge hum.
Chaahat dil mein hai pyaar aankhoon mein ,
Mohabbat hum mein hai aur tum hamare dhadkan mein.
Jab tu saath na hoti tab yaaddein hoti hai tere saath mere,
Mera harpal tere ek lamhe ke saath judaa hai,
Dhadkan thi meri par dhadakta ussmein naam tha tera.
Judaai ke dard mein kabhi hum jiya nahi karte,
Mohabbat jo tujhse itna karte hain,
Tu nahi toh tere mohabbat ke ehsaas se jiya karte hai.
Aashiq hum hai toh aashiqui tujhse hai,
Mohabbat hum hai toh chahat tujhse hai,
Gism agar hum hai toh issmein dhadkane jaan tujhse hai.
Tanhaayi mein na kabhi jiya hai maine,
Jab tanhaayi hote hai hum mein ,
tere saaye se jiya hai maine.
Tere yaadoon mein guzaare hue paloon ka agar koi hisaab hota,
Khuda ki kasam tab ye saara jahaan unn paloon se bhara pada hota.
Tere judaai ka dard kya hota hai,
agar jaante hum,Tujhse judaa hone se pehle,
apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
Tere aankhoon mein aansoo aaye toh roone lagta hai mera dil,
Dardedariya tujhe choone se pehle,
meri dhadkano ko unnpe vaarne lagta hai mera dil.
Tere mohabbat mein meri aakhri saans tak mitadoon,
Bas ek pal uss aakri saans se pehle ,
mere dil ki baat tujhse ikraar kar jaoon.
Aaj tak main ne kisi ko is tarah chaha nahi tha ,
Jaise aaj tumhe chaha hai,
Chaand bhi pad gaya hai peekha aage tere,
Is tarah doobh gaya hu main pyar mein tere,
Keh nahi sakta isko main deewanapan,
Sirf ke sakta hoon pyar ka anjaanapan .
Tere khyaal mein dooba rehta hoon,
Raat din teri hi sooch mein rehta hoon,
Khuda ka bheja hua noor hai tu,
Ya, to is dil ka takdiir hai tu,
Bas ek bar tere noor ka jhalak deekh loon,
Khuda ki kasam ,ye zindagi bhi tujhpe waar doon.
Main ne to tujhe dekha nahi, Bas dil se mehsoos kiya,
Pyaar bhare paygaam se aaghaaz kiya,
Tu mere zindagi mein ek pari si aayi hai,
Jise mein chhah kar bhi bhoola nahi sakta,
Agar bhoola bhi doon to jee nahi sakta,
aisa hai aalam mere zindagi main tera,
jise ek bar paa kar main khaawb mein bhi kho nahi sakta.
anjaane mein ho gaye tujhse ek mulakaat,
sama liya hai tasweer tera mera dil mein,
shayad pyaar tha tujh mein bhi,
jo bata na saki,par dikha tu chali,
shayad chahat tha tujhme ,
jo dikha na saki,par de tu chali,
teri tasweer ko yaad mein main badal saka,
par faryaad main na badal saka,
aisa hai tujhse ,mera ye chota sa mulakaat,
jo mujhe chugaya par pehchaan na ban saki.
Tere khyaal mein dooba rehta hoon,
Raat din teri hi sooch mein rehta hoon,
Khuda ka bheja hua noor hai tu,Ya, to is dil ka takdiir hai tu,
Bas ek bar tere noor ka jhalak deekh loon,
Khuda ki kasam ,ye zindagi bhi tujhpe waar doon..
Main ne to tujhe dekha nahi,
Bas dil se mehsoos kiya ,
Pyaar bhare paygaam se agaaz kiya,
Tu mere zindagi mein ek pari si aayi hai,
Jise mein chhah kar bhi bhoola nahi sakta,
Agar bhoola bhi doon to jee nahi sakta,
aisa hai aalam mere zindagi main tera,
jise ek bar paa kar main khaawb mein bhi kho nahi sakta
Kabhi na kabhi to mulakat hogi ,
Sanam tu uss din mere saath hogi ,
Mohabbat ka guldasta liye hua haath ,
Chahat ke phool ussmein sajaayein hua saath ,
Karoonga mein intajaar uss din ka ,
Sunehra woh din najaane aaye kab ,
Jab mile mujhe pyaar se pyaar ka saath.
Na main jaanta hoon tujhe,Na main pehchaanta hoon tujhe ,
Bas jaanta hoon toh tere pyar bhari baatein ,
Mehsoos karta hoon toh teri chahat bhare pal,
Pehle to na tha mujhme ye sab ,
Na jaane kyun hua aur kaise ye ab,
Lagti hai tu pari bheji huve mere liye khuda se,
Sukhr guzaar karta hoon is baat ka mein khuda se,
Aa gayi ab tu mere nasseb mein,Aur cha gayi tu mere zindagi mein..
Asmaan sa mera dil ,
Ussmein chand si ho tum,
Dil mein liye hue armaan,
Karta hoon aaj pyar ka tujhse ekraar.
Mere zindagi mein aap ki ehmiyat hai aisi,
Jaise aasmaan mein chaand ki,
Agar khuda chaand ko mujhpe waar de,
Toh tukhradoon chaand ko bhi aap ke khatir.
Teri yaad na aaye aisa koi pal nahin,
Na Milne ki guraaish ho aise koi din nahin,
Bas har waqt tera khayaal hai ,
Jahan bhi jayoon tera sawaal hai,
Bas gayi hai tu mujh mein itna ,
Chahh kar bhi na bhula payoon tujhe,
Kaun hai tu dil ye jaanta nain,
Kaisi hai tu dil ye pehchaanta nahin,
Phir bhi ye dil bas maanta tujhe hai.
Meri zindagani hai tujhse,
Chahat ki nishani hai tujhse,
Yaadoon ki kahani hai tujhse,
Maine dekha hai tujhe mehsoos karke,
Tere khayaaloon ki duniya basake,
Tujhe na ye dil bhool paye,
Meri betaabi to badhti hi jaye,
Meri tanhaayi na koi methaye,
Mere dil ki baat aaj tujhe main bataoon,
Meri har dadhkan sirf tujhe he chahe,
Deewana hai dil manaoon ise kaise,
Teri sooch aur khayaloon mein ye dhadakta he jaaye.
Pehle na hua aise kabhi,
Dil mein rehne lagi ab koi,
Mazaa hai pyar hai ab zindagi mein,
Khushi hai hasee hai kya nahi zindagi mein,
Dekha tujhe to aisa laga,
Aur khubsoorat nazaara dekhne ko bacha hai kya,
Kiya hai diya hai liya hai pyaar jo tera,
Ab aur paane ke liye rakha hai kya is jahan mein,
Ab jo hai rangeen tere pyaar mein.
Dil ke is mehfil mein,
Naam hai sirf tera,
Chahne ke is chahat mein ,
Pyaar hai sirf tera,
Kahoon mein kaise is chahat ko,
Tere naam karta hoon main kurbaan is mohabbat ko.
Tu saamne aati hai to jhoomne lagta hai dil,
Tujhse mulakaat karne ke liye tarasta hai dil,
Tu mere dil mein bas gayi hai itni,
Kya kahoon tujhse main,
Chahat kya hoti hai ,
tujhe chhah kar jaana hai,
Bin tere chahat ka wo har pal mere liye anjaana hai.
Kisi na kisi roz mulakaat hogi tujhse,
Pyaar bhari chahat ki baatein hogi tujhse,
Tere tasweer ko dekhkar gujaara kar lete he hum,
Parr na jaane kab mulaakat hogi tujhse,
Intazaar mujhe uss din ka hai,Jab tu mere saath hogi.
Tanha na jeena tere bina,
Mehsoos karte huea pyaar ka har samaa,
Pyaar ke woh har pal adhoore hai tere bina,
Jisee jeena toh door,mehsoos karte hue bhi ho jaayoon main fanaa,
Bas ek baar miljaye jo pyaar tera ,
Jeeloon ussise saara zindagi mera.
Zindagi mein pyaar hai tujhse,
Jeene ka har woh iraada hai tujhse,
Chahat ke har woh lamhe ,
Pyaar ke har woh pal,
Bas guzaaroon main tujhse ,
Yehi hai ab tamanna meri,
Jeeloon tere saath, main mere aakhri saans takh.
Subah ki pehli kiran mein,
Shaam ki dhalti sooraj mein,
Raat ki kaali ghaata mein,
Subah se leekar shaam tak,
Bas ek khayaal aata hai dil mein,
Chehra tera chaya rehta hai dil mein,
Dil ke is haal ko mei kaise zahirr karoon,
Kya hai tu mere zindagi mein kaise kahoon,
Har tamanna , har khaawish, har khawaab tujhse hai judaa,
Har sooch , har iraada ,har who dil ki baat tujhse hai kahaa,
Bas kehdoon agar ek pal mein toh,o sanam tere bina main nahin. ( I Really Miss U).
Dil mein jo armaan rakhe tere liye ,aaj unhe karat hoon main bayaan,
mann mein jo tamanna rakhe tere liye ,aaj unhe karta hoon main aaghaaz,
kehdoon aaj tujhe main, kya hai tu mere zindagi mein,
tere bina din mera adhoora , raat hai soona soona ,
bas khayaaloon mein kat jaate hain tere, mere ye saare din,
tere liye bekaraar hoon main ,
pal pal lamha lamha tere intzaar mein bitata hoon,
mere dil ka haal sunle tu zaraa,pyaar bhare paigaam ko kubool karle tuzaraa.,
adhoora hoon tere bina main,kasam se I cant live without u.
Tere bina ek pal bhi mujhe nahi jeena ,
Yaad aati hai tu kitna kahoon tujhe kaise,
Mera har who saaya tera lage,
Mera apna parchayi mujhe anjaana lage,
Dil ke har gali mein bas hai tera naam,
Pyar bhare har pal mein bas ho tera saath,
Kaise kahoon kitna chahta hoon tujhe ,
Kehne ko jab padhjaate hain kam ye saare pal,
Kaise kahoon kitna adhoora hoon tere nina,
Kehne ko kathte nahi ye hain ye saare pal,
Aisa hai haal mera tere bina ,
Ek pal mein kehdoon toh main hoon adhoora tere bina.
Dil mein bas gayi hai tu ,
Har taraf tera chehra nazar aaye,
Agar mere saaye se poochoon toh bhi ,
Tere taraf ye mujhe ishaara dikhye,
Bas tere raah mein kathte hai mere saare pal,
Aisa koi pal nahin jo tujhe saath na chaahe ,
Aisa koi lamha nahin jo tera yaad na aaye.
Mere dil mein har taraf bas tasweer hai tera ,
Jise main chahkar bhi na mitaoon aisa takdeer hai mera,
Main bhoola nahi sakta tujhe ,
Yadoon se mitha nahi sakta tujhe ,
Pyar bhare har who lamhoon se,Chahat bhare har who pal se,
Dil ko thame hue haat ,Karta hoon pyaar ka tujhse izhaar,
Meri zindagi bas tujh se hai ,
Zindagi mein aashiqui tujh se hai,
Kitna chahta hoon tujhe main ye kaise kahoon,
Jabki mera dil bhi dhadakta hai sirf tere naam pe hai.
Mere manzil ko maine nahin dekaha,
Mere tamanna ko manie nahin dekha ,
Mere chahat ko maine nahin dekha ,
Mere pyaar ko maine nahin dekha,
Jab bhi deekhnee ki aarzoo rakhta hoon,
Bas aajata hai saamne mere,
Pyaar bhare unn aankhho ke saath,
Chahat bhaare uss pyaare muskuraahat ke saath,
Chehra hai who tera jise main kabhi bhula nahin sakta,
Ikraar se bhoola bhi doon toh dil se mitaa nahi sakta.
Chahkar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Dil se tera khayaal mitha nahi sakta,
Teri yadoon ko main kho nahi sakta,
Har pal har lamha tanha jee nahi sakta,
Bas ek he baat aaj dil mein hai,
Tere bina main jee nahi sakta.
Ye raat itni tanha kyun hoti hai ,
Jab tu mere saath na hoti hai,
Ye dil itna akela kyun hota hai,
Jab tu mere paas na hoti hai,
Tere hi khayaal mein mere din kyun khote hai,
Jab tu mujhse kabhi door hoti hai,
Tujhse ek mulakaat ka hota hai mujhe intzaar,
Keh sakoon uss ek mulakaat mein mere dil ki yeh baat.
Laboon pe muskaan ,Chehre pe ek halki si hasi,
Who hai ek kali khilti hue,Who hai ek shama dhalti hue,
Kya hai who na pata hai mujhe ,
Parr lagti hai kahi milti hue,
Mujhse hue toh bana loon ek pehchaan,
Nahi toh ek yaad hi sahi ,Jo bas aayi thi milne ek pal bhar ke liye .
Ek tasweer si basi hai dil mein,
Jise deekhte hi jhoom utthta hai dil,
Kabhi who aati yaadoon mein ,
Parr na aati who saamne kabhi,
Meri amaanat hai woh ,
jisse kabhi bhool na paaoon,
usska saaya bhi mujhe mera apna lage,
aur who mujhe meri tammanna lage,
najaane kahan hai yeh tasweer,
saamne aaye toh kehdoon usse,
mere dil ka saara haal,
jo hai tadapta deekhne usse.
Saath mile mujhe tera,
Yehi hai rab se dua mera,
dil mein samaya hai tujhe,
mann mein basaya hai tujhe,
tere saath har pal mujhe mera lagta hai,
bin tere har lamha ek sadma lagta hai,
tu hai toh khushi hai,bin tere kuch nahi hai,
Shabnam ki thandi aah mein,
Dhoop ki teej kiran mein,
Shaam ki thandi aah mein,
Raat ki kali ghata mein,
Nazar mein rehta hai chehra tera,
Tujhe sapna kahoon ya ,
Sapne se juda mera apna,
Dil mei hai tu, dhadkan mein naam tera,
Karta hoon aaj pyaar ka tujhse ekraar,Sanam “I really love u forever”
chahkar hum kisi ko bhulaya nahi karte ,
dil mein basakar hum kisi ko mitaya nahi karte ,
pyaar ke mehfil mein rehkar hum kisi ko rulaya nahi karte,
mohabbat mein hum kisiko paraya nahi karte.
Zindagi milti khuda se ek baar hai,
Zindagi mein mohabbat hota kisi se ek baar hai,
Ab dil ke isshaal ko najaane kaise bayaan karoon,
Dil dhadakta mera hai aur dhadkan mein aap hai.
Dilwaloon se kabhi dil milaya karo ,
Dil ka haal kisi se bataya karo,
Dil mein jo hai wahi sunaya karo,
Apne aap ke ilava kabhi humse bhi bataya karo.
Kabhi yaadoon mein toh kabhi khawaaboon mein,
Kabhi chahat mein toh kabhi mohabbat mein,
Harpal zindagi mein hasrat thi aapki,
Labb ne na saath diye ezhaar ke liye,
Aankhoon ne bhi saath bewafai diye,
Dua tha rab se mera harpal tere saath ho,
Tanhaayi ke aalam mein bhi tere faryaad ho,
Aisi sazaa mili mujhe apne aashiqui ki ,
Dedaar mein mila janaaza mere mashooka ki,
Tham gaye the labb aur roone lagi aankhen,
Jab guzar raha tha janaaza saamne se mere,
aisi manzar na kisi aashiq ki ho,
jis ki zindagi aashiqui mein mauth ka mohtaj ho.
MY FAV BY MY FRIENDS :
Na guzrna EID k din kisi MASJID k pass se,
kahin log CHAND samjhker apna ROJA na tood de,
aur hoke kaffa KHUDA aapse kahin,khoobsurat LOG banane na chood de.
Nabaz meri dekhker mujko ishq ka bimar likh diya ,
main kyun na jaau qurban us hakim pe,
jise ne ilaaz me USKA deedar likh diya.
*TU HAI DOOR MUJHSE AUR PAAS BHI,
TERE NAAM KA KAHIN EHSAAS BHI,
DOST TO LAKHOON JAHAN MEIN MERE,
PAR TU PYARA BHI AUR KHAAS BHI.
Tugh ko bhoola ker bhi na bhool paayeinge hum,
Aainai mai apni aks tughhi ko paayeinge hum.
Jab zindagi ki naaoo doobne lagegi ,waaqt ki samander mein,
Har taraf tere hi haaton ka sahara paayeinge hum.
Deewana samagh kar jab har koi hum pe sung uthaye ga,
Apne aap ko tere hi aagosh mai paayein ge hum.
Dil mein teri yaad aankhoon mein teri tasweer hai,
Ab to shaayad yahi meri taqdeer hai.
Kabhi khayaloon mein kabhi khwaaboon mein kabhi dil mein,
Na jaane kyun har waqt teri he yaad safar mein rehti hai.
Hum dosti mein hadd se guzar jayenge,
Yeh zindagi apke naam kar jayenge,
Aap roya karenge hume yaad karke,
Apke daman me itna pyaar chod jayenge