Bilal Kaz Mi

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 5
At a glance
Powered by AI
The poem expresses deep grief and longing for loved ones who were martyred.

The poem mourns the martyrdom of Husain ibn Ali and his family and companions at the Battle of Karbala.

The poem expresses emotions of sadness, pain, longing and loss.

Aata jo saamne koi paani ka sard jaam

Yeh kehke khoon rote the Sajjad nek naam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

1.Dastoor hai ke jab bhi zabeeha banaate hain


Qassaab jaanwar ko bhi paani pilaate hain
Baba mera shaheed huwa haye tashna kaam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

2.Jis Fatema ka koi na saani tha dahr me


Jis Fatema ke saare samandar the mehr me
Uska pisar shaheed huwa ran me tashna kaam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

3.Us bekasi me ashk fishaani Husain ki


Aati thi yaad tashna dahaani Husain ki
Leta tha jab bhi chullo me paani mera Imam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

4.Aate the jab bhi chaaahne waale basad buka


Barsaake ashk aankhon se bimaare karbala
Hote the apne shiyyon se yeh kehke ham kalaam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

5.Ammo soe furaat hazeena ke waaste


Mashkeeza legaye jo Sakina ke waaste
Baazo chacha ke kat gaye paani baha tamaam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

6.Seene pe haath rakh ke waheen baith jaate the


Tashna labi pa Shaah ke aanso bahaate the
Leta tha saamne jo koi karbala ka naam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

7.Nehre furaat teri rawaani ko dekh kar


Sadiyon ke baad aaj bhi paani ko dekh kar
Kaano me goonjti hai yeh awaaz sobh o shaam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

8.Kaano me goonjta hai yehi gham ka marsiya


Aati hai saaf Aabide Bimaar ki sada
Karta hon jab bhi majlis e Sarwar ka ehtemaam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x

9.Meesum ka dil bhi farqe alam se huwa nidhaal


Sarwar ki tishnagi ko likhon kis tarhan Bilal
Chalees saal kehke yeh roya mera Imam

Wallahe qad qotela abi atashaana 2x


Jis gharli halq pe chala khanjar
Dee sada Husain ne amma , mujhko seene se lagaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

1.Dekh kar mujh ko madine me jiya karti thi


Mere chehre ko basad yaas taka karti thi
Apne pehlo se na ek pal bhi juda karti thi 2x
Ab mai tanha hon kaleje se lagaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

2.Roothta tha to barle pyaar se samjhaati thi


Mai jo rota tha to pehro mujhe behlaati thi
Mujh ko lagti thi jo thokar to tarlap jaati thi 2x
Aaj ghorle se mai girta hon sambhaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

3.Zakhm itne hain ke utha bhi nahi jaata hai


Jism se teer to neza kabhi takraata hai
Qatl karne ko mujhe shimre laeen aata hai 2x
Apne bete ko tumhi aake bachaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

4.Kab se deta hon sada mai tumhe amma aao


Paas bete ke na aane ka sabab batlaao
Kuch to is gaud ke paale pa taras kha jaao 2x
Tum na aao to mujhe paas bulaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

5.Meri chaahat me kabhi neend na dekhi tum ne


Apne haathon se khilaayi mujhe roti tum ne
Parwarish ki hai meri pees ke chakki tum ne 2x
Ab meri laash pe aansoo bhi bahaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

6.Gham me doobe huwe armaano ke har manzar tak


Naujawaani me tarlapte huwe ek muztar tak
Der hoti hai pohonchna hai mujhe Akbar tak 2x
Larlkharlaata hai pisar aake sambhaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

7.Zindagi bhar ke liye aap se jab choorte the


Gham ke chashme dar o diwaar se jab toote the
Isi bete ke liyen bande kafan toote the 2x
Aaj phir aake kaleje se lagaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x

8.So raha hai mera Abbas use sone do


Khoon rote hain mere zakhme jigar rone do
Mai jo hota hon to pamaal mujhe hone do 2x
Tum Sakina ko tamaachon se bachaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x


9.Pairawe Saaqiye Kausar hain Bilal o Meesum
Aashiqe dilbare Haidar hain Bilal o Meesum
Teri dahleez ke naukar hain Bilal o Meesum 2x
Tum inhen sakhtiye mahshar se bachaalo amma

Mujhko seene se lagaalo amma , mujhko aanchal me chupaalo amma 2x


Qateele nainawa Husain , alwida
Zabeehe karbala Husain , alwida

1.Ham ahle gham ko saal bhar tumhara intezaar tha


Yeh aankh saugwaar thi ke dil bhi beqaraar tha
Hame bilakta chaurl kar 2x na jaao shaahe karbala

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

2.Tarlap rahe hain mard o zan fazaaen mahwe yaas hai


Simart raha hai farshe gham to baam o dar udaas hai
Jo ghar basa tha kal talak 2x who aaj phir ujarl gaya

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

3.Safar taweel hai mere Imam lete jaayye


Lagegi pyaas aansoon ke jaam lete jaayye
Zameene hind se bahut 2x hai door arze karbala

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

4.Ghamon se chaak hai jigar laho laho hai chashme tar


Tumhaare jism par hazaaron zakhm dekh dekh kar
Tarlap rahe hain Mustufa 2x bilak rahi hain Fatema

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

5.Naseeb jo huyi thi aaj se woh turbate gayeen


Jo tum gaye to saath me gharon ki raunaqen gayeen
Udasiyon me din mere 2x katenge kis tarhan bhala

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

6.Jo zindagi ne ki wafa to agle saal roenge


Tumhare gham me apne aansoon se moh ko dhoenge
Jo mar gaye to phir yeh hai 2x salaam aakhri mera

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

7.Bahaake ashk daamane aza ko ham na bhar sake


Qalaq yeh hai tumhaare gham ka haq ada na kar sake
Kareem do jahaan ke ho 2x khataaen meri bakhshna

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida
8.Khuda ki tarhan shaih rage hayaat se qareeb hain
Khabar hai khoob aap ko ke ham bahut ghareeb hain
Dila rahe hain is liyen 2x ham aansoon pe fateha

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwida

9.Kahan yeh rifate aza kahan Bilal-e-Kazmi


Kahan tumhaara marsiya kahan Bilal-e-Kazmi
Kahan yeh Meesume hazeen 2x kahan woh lahjae buka

Qateele nainawa Husain , alwida


Zabeehe karbala Husain , alwidaMere raaj dulaare Qasim 4x
Farwa ke labon par maqtal me the dard ke naale Qasim
Mere raaj dulaare Qasim 2x

1.Hai chashme falak pur nam pur nam


Hai arsh pe bhi tera maatam 2x
Rote hain teri pamaali par yeh chaand sitaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

2.Pardes me phirte hain dar dar


Ghurbat ki ghataaen hain sar par 2x
Ab kaun hame pohnchaaye watan jab tum hi sidhaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

3.Tum mujh se juda yun hote ho


Kyun khaak pa bikhre sote ho 2x
Maqtal se palatke aajaao maa zulfen sanwaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

4.Wali bhi huwa nazron se niha


Aur tum bhi sidhaare soe jinaa 2x
Yeh umr meri guzregi bhala ab kiske sahaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

5.To teen dino ka pyasa hai


Kausar me talaatum barpa hai 2x
Teri pyaas pe hain giryaan giryaan tasneem ke dhaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

6.Ki fauje jafa ne kaisi jafa


Jeete jee tumhe pamaal kiya 2x
Yun dasht me tum bikhre jaise Quraan ke paare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

7.Is soone soone jangal se


Tum karbobala ke maqtal se 2x
Aye laal palat kar aajaao maa tum ko pukaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

8.Rote the haram phartte the jigar


Hota tha bapa us dam mahshar 2x
Jab kehti thi who dukhya rokar meri aankh ke taare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

9.De inko jaza chashme nam ki


Rakh laaj Bilal o Meesum ki 2x
Mahshar me kharle hain yeh dono bas tere sahaare Qasim

Mere raaj dulaare Qasim 2x

You might also like