Presentation, Why Do We Need Bhakti
Presentation, Why Do We Need Bhakti
Presentation, Why Do We Need Bhakti
hai,
maine isko 2 parts mein divide kiya hai,
Why is there a need for bhakti : bhakti ki avashyakta kyu hai
What are the needs of Bhakti: bhakti ki avashyakta kya hai
WHO ke data ke anusar hr saal sansar mein 8 lakh log suicide se marte hai, Jab
se maine ye presentation start kari hai, tabse abhi tak iss world mein data ke
anusar at least 2 log to suicide kar chuke honge, and it is expected that this
number will grow even more in future
one of the biggest reasons for suicide is depression, and depression kuu hota
hai kuki hmari expectations bhot high hai and unko fulfil krna bahut ji mushkil
hai, jo hum kaam krte hai unka result hmare according nahi aata
Yadi hum bahut door na jaye khud apne bare mein soche, to hum realize
krenge hum khud bhi happy aur satisfied nahi hai. Koi na koi, kahi na kahi aisi
problem zaroor hogi jisse hum dukhi honge.
Kuki jis sansar mei hum reh rhe hai uska naam hai ‘dukhalayam ashashvatam’
Arthat, material nature is temporary, aur temporary cheeze dukh ka karan hoti
hai,
in sab cheezo ke beech mein bhi hum constantly sukhi hone ke tareeke sochte
hai,
To yahi se sabse bada reason aa jata hai ki hume bhakti ki zaroorat kyu hai,
Koi bhi aisa vyakti nahi hoga jo hmesha dukh mein rehna chahe yaha hum
Kunti maharani ka example nahi le skte kuki vo ek exceptional case hai,
pr iss bhautik jagat mein koi bhi dukh nahi mangna chaega aur yadi usko sukhi
honi ki koi davai di jaye to vo use avashya hi try krega
lakh dukho ki ek hi dava hai kyu na azmaye, kaahe ghabrae: Aur veh davai hai
bhakti
Iska process simple hai humein khud ko bas God conscious banana hai, log
usually darte hai ki hum bhakti karenge to party kaise karenge, kya khayenge
piyenge, ghoomne kaha jayenge, pandit ban jayenge aur bhi kafi cheeze hoti
hai,
To bhakti ko chorr ke hum baki sab cheeze krte , un log se discuss krna jo khud
hi in problems mein fasse hai, jhaad fook krvake apni paristhiti ko badalne ki
koshish krnte hai parunti apni stithi ko thoda day baay krne pr bhi hum dukhi
to fir bhi rehte hi hai,
kuch log apne dukh bhulane ke liye nashe ka sahara lete hai,
but actually to, nasha hi iska solution hai,
bas samjhna ye hoga ki humein nasha krna kiska hai, sharab, drugs iss tarah ki
cheeze leke hum bas thodi der ke liye apne problems ko bhool skte hai aur
baad mein vo problems aur badh jati hai
We cannot have a temporary solution for permanent problems
We need a permant solution for a permanent problem. Which is bhakti
Lekin in sab se ye clear nahi hota ki jo log bhakti krte hai veh log dukhi nahi
hote, ofcourse veh bhi dukhi hote hai, yaha hum Haridas Thakur ka example le
sakte hai
Pr unke paas dukh door krne ke liye correct source hai: Guru, sadhu aur shastra
Abhakto ke pas apni problems ka sahi solution nahi hai, bhakt komal hraday
hote hai veh doosro ke dukh se dukhi ho jate hai isliye
Prabhupad ne prachar ke madhyam se pure vishv mein dukh door krne ka ek
permamnnt solution diya hai: Chanting, dancing, and feasting.
Shrimadbhagvatam (7.5.23) mein bhakti ki 9 vidhiya batayi hai
Shravanam, kirtanam, Vishnu smaranam, padsevanam, archanam, vandanam,
dasyam, sakhyam, atma nivedanam
Abhi humne bhot briefly ye discuss kiya hai ki bhakti kyu krni chahiye, kuki hum
aur kisi bhi material cheez se khud satisfy nahi kr skte, jaise kisi machli ko paani
se nikal diya jaye
Aur usko agr sone ke pinjre mein bhi daal de to bhi vo kbhi satisfied nahi reh
skti, ussi tarah hum bhi bhotik jagat mein satisfied nahi reh skte, isse bahar
aane ke liye humein bhakti ki avashyakta hai.
Fir humne discuss kiya ki bhakti ka kya process hai, prabhupad ne hmare liye
iss process ko bhot easy kr diya hai, and ab bhakto ki responsibility hai vo iss
process ko adopt kare aur uska aage prachar kare.
hum prakriti ko smjh pate hai,. Prakriti ke 3 guno ko smjh pate hai,
hum devotees ke association mein rehte hai to hmare ander bhakti ke liye
utsaah aur badhta rehta hai
Jab hari naam lete hai, jo svayam bhagvan hai, to hmara bhagvan ke sath
sambandh punah stapith hota hai,
Jis intensity mein hum bhagvan ko surrender krenge ussi intensity mein
bhagvan humein khud ko reveal krenge, ye ek bhot hi achi stithi hai
Ek higher taste hai, isko paane ke liye hume bhakti krne ki avashyakta hai, aur
bhakti k paane ke loiye bhi humein bhakti krne ki avashyakta hai. Jaise jaise
hum iss process mein aage badhte rhenge vaise vaise hum aura age badh
payenge.
Humein ye smjhna hoga ki Jinko yeh bhakti ka ye higher taste mila hai vo kitne
bhagyashaali hai