Hazri e Madina Aur Buzurgu K Andaz

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 23

Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

 ۡ
  ٰ 
 ۡ  ۡ     ٰ    ۡ  ٰ ۡ  ٰ  ۡ  ۡ 
  

  
  
 !  "

ٰ
 !  
# ٰ ۡ   ٰ  ۡ     ۡ   
%& 'ۡ 0 

 )ٰ 0ۡ 


ۡ ۡ  )*
$ %& '( 
+
), !  - $ .-/ $ -,

Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz

ّٰ َ ۡ َ َ َ ٰ ۡ َ َ َ ٰ ٰ َ َ ّٰ َ َ َ َ َ َّ َ ُ ٰ َّ َ
‫ـب ا‬ ‫و ال ِك واصحبِك يـا حبِي‬ ‫الس ُم عل ۡيك يَا َر ُس ۡول ا‬‫الصلوة و‬
ّٰ ۡ ُ َ َ ٰ ۡ َ َ َ ٰ ٰ َ َ ّٰ َّ َ َ َ ۡ َ َ ُ َ َّ َ ُ ٰ َّ َ
‫ـو َر ا‬
‫و ال ِــك واصــحبِك يــا نـ‬ ‫ـب ا‬ ِ ‫الصلوة والسم عليك يـا ن‬

Durood Shareef ki fazeelat


Sarkar-e-Madinah     ٖ            
   ka farman-e-A’alishan hay:

‫س    ﻳ ﻮ م  ﻟﻘ ﻴ ﻣ ﺔ   ﻛ ﻫ ﻢ ﻋ   ﺻ ﻼ ة‬


 ‫ و!  ﻟ ﻨ‬
Ya’ni qiyamat kay din logon mayn sab say Ziyada mayray qareeb woh shakhs
hoga jo sab say Ziyada mujh par Durood Shareef perhta hoga.
(Tirmizi Shareef, jild. 2, pp. 26))

Mufassir e shaheer hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yar khan               is
hadees pak kay tahat Irshad fermatay hayn: qiyamat mayn sab say aaram
mayn woh hoga jo Huzoor     ٖ            
   kay sath rahay aur Huzoor  
    
  

     ٖ        ki hamrahi naseeb honay ka zaria’h Durood Shareef ki kasrat hay. Is
say ma’loom huwa kay Durood Shareef bahtareen nayki hay kay tamam
naykiyon say Jannat milti hay aur is say bazm-e-Jannat kay dulha  ٖ            
  
   miltay hayn. (Mirat ul Manajeeh, jild. 2, pp. 100)

  


َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

1
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Meethi meethi Islami behno! Husool-e-Sawab ki khaatir bayan sunnay say


pehlay achhi achhi niyyatayn kerlay. Farman-e-Mustafa      ٖ              
   :
Musalman ki niyyat is kay amal say behtar hay.

Do Madani phool
 Baghayer achhi niyyat kay kisi bhi amal khayr ka sawab nahi milta.
 Jitni achhi niyyatayn Ziyada, utna sawab bhi Ziyada.

Bayan sunnay ki niyyatayn


 Nigahayn neechi kiye khoob kan laga ker bayan suno gi.  Tayk laga ker
bethnay kay bajay ilm e din ki ta’zeem ki khaatir jahan tak ho saka do zaanon
bethoon gi.  Dhakka waghayrah laga to sabr karoon gi.  Jhiraknay aur
ulajhnay say bachon gi.  Zaroratan simat kar dosri islami bahnon kay liye
‫  ذ‬Waghayrah sun kar
jaga kushadah kroon gi.  #$ ‫  ﻴ‬%‫ﻠ* ) ﺻ 'ﻠ ﻮ ﻋ   ﻟ ﺤ‬+ ‫ ﻮ !  ﻟ‬,‫ ﻮ‬- #) *‫ﻠ‬+ ‫وﻟ‬.
sawab Kamanay or sada laganay walay ki dil joy kay liye past awaaz say jawab
don gi.  Ijtima’ kay bad khud aagay barh kar salaam o musafahah or Infiradi
Koshish karoon gi.  Doran e bayan mobile kay ghayr zarori isti’mal say
bachon gi,  Na bayan Record karo gi aur na hi kisi aur qism ki aawaz (kay
iski ijazat nahi) Jo kuch sunogi usay sun kay samajh kay uspar ‘amal kernay
kay ba’d Mein dusron tak pohancha kay nayki ki da’wat ‘aam kernay ki
Sa’adat hasil karogi
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

A’la Hazrat ka haziri-e-Madina ka zaoq-o-shaoq


A`ala Hazrat, Imaam-e-Ahl-e-Sunaat, Mujaddid-e-Deen-o-Millat, Maulana
    
Shah Imam Ahmad Raza Khan           apnay dosray safar-e-Hajj mayn
arkan-e-Hajj ada kernay kay b`ad sakht beemar (Sick) ho gaey magar us kay
bawajood haazri-e-Madina kay zauq-o-shauq mayn koi kami na aaye. Bukhar
ki shiddat ki waja say `ulama-e-Kiraam ap ko roknay lagay to us mauq`a par
yeh irshad farmaaya. ‘Agar such puchayn to haazri ka asal maqsood ziyarat-e-
taybah hay, dono bar isi niyyat say ghar say chala, (‫) ﻋﺰ و ﺟ ﻞ‬ 1 ‫ ﻣ ﻌ ذ‬magar ye na ho
to hajj ka kuch lutf (maza)(Enjoyment) nahin”. Jab aap ki tabeyat ki na saazi ki
2
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

waja say `ulama-e-Kiraam ka israar berhnay laga to aap           


     nay ye


Hadees parhi: “  8‫   ﻓ ﻘ ﺪ ﺟ ﻔ‬8‫ﻦ ﺣ ﺞ وﻟ ﻢ ﻳﺰ ر‬


‫” ﻣ‬: Ya’ni jis nay hajj kiya aur mayri (qabar
ki) ziyarat na ki us nay mujh say jafa ki phir farmaya: mayray nazdeek Hadees
ka yeh matlab nahin kay `umar mayn kitnay hajj karay ziyarat aik bar kafi hay
balky har hajj kay sath ziyarat zaruri (Compulsory) hay, ab ap Du`a farmaeye
kay Mein Sarkar      ٖ              
   ki bargah mayn hazir ho jaon. Rauzah-e-
Aqdas par aik nigah par jaye agarchay usi waqt dam nikal jaye.
. 9
2
,)- / 0  1  345 6 7 8 :
%  ) ( *
!  " # $% & " '(  +
   
.
,F G  & HI  J KL
% M? N  ;  %
!  <=  )>? @ABCDE(

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Meethi meethi Islami behnon! Daykha aap nay kay aashiqo kay imam, A’la
Hazrat Maulana Shah Imam Ahmad Raza Khan             
  Madinay ki haaziri
kay liye kis qadar bay qarar raha kertay aap chahtay to kuch muddat kay ba’d
is sa’adat say Musharraf ho jatay magar ishq-e-Rasool chunkay aap ka
sarmayah aur haziri-e-Madina aap ki manzil maqsood thi, lihaza sakht
beemari bhi aap          
  ko dar-e-Rasool ki haziri say na rook saki, algharz

Aap        
  par aik hi dhun suwar thi kay bas kisi tarah rauzah e Rasool ki
aik jhalak daykh ker apni ankhayn thandi ker loon, phir bhalay mayri jaan
chalay jaye to bhi mujhay koi parwah nahin hogi nayz aap ka yeh jumla bhi
sunahri Huroof say likhnay kay qabil hay kay “ agar such puchayn to asal
maqsood Ziyarat-e-Taybah hay, dono baar isi niyyat say ghar say chala    
agar yeh na ho to hajj ka kuch lutf nahin”

OPQRST
U7J$VWX%Y

Meethi meethi islami behnon! Yaqeenan Nabi-e-Kareem      ٖ               
   kay
rozay ki hazri bahut bari sa`adat ki baat hay jis ki tamanna (Desire) har
`Aashiq-e-Rasool kay dil mayn machalti rehti hay aur woh usi umeed par
apnay shab-o-rooz guzar raha hota hay kay kbhi to sabz-e-gumbad ka ujala
3
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

hum bhi daykhayn gay aur jis `Aashiq-e-Rasool ka darbar-e-Nabi say bulawa
aa jata hay to phir woh apnay us mubarak safar ki tayariyan shur`oo ker dayta
hay aur woh goya zuban-e-haal say keh raha hota hay kay
. 2 .
U7@Z $([ @  \]^`
_ ( %a
.b . 9.
U7c   ?f % gih %
@   de

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

‘Azmat-e-Madinah kay baray mayn Ahadees-e-Mubarika


Meethi meethi Islami Behnon! Madinah-e-Munawarrah woh Mubarak shahar
hay Jisay hamaray Piyaray Aaqa Madinay walay Mustafa      ٖ              
   nay
Sharaf-e-qiyaam bakhsha, Sar-e-Zameen-e-Madinah ko apnay qadmon kay
bosay laynay ki sa’adat ‘ata farmaie in sa’adaton say fayzyab ho ker Shahr-e-
Madinah kay ‘azmat-o-rif’at pa’ie, isay rahmat-o-barakat muyassar aaie jis ki
ba-dolat ye Mubarak shahar munawwar-o-mu’attar huwa aur Madinay mayn
rahna ‘aafiyat ki ‘alamat aur Madinay mayn marna shafa’at ki zamanat qaraar
paya. Aaiye! Haziri-e-Madinah ka shoq aur tarap barhanay aur dil mayn
Mahabbat-e-Madinah mayn izafay ki niyyat say ‘azmat-e-Madinah say muta’lliq
3 farameen-e-Mustafa     ٖ            
   suntay hayn:

1. Irshad Farmaya: Madinay mayn dakhil honay kay tamaam raston per
firishtay hayn, is mayn Ta’oon aur Dajjal dakhil na hon gay. (Bukhari, pp.
619, Hadees 1880)

2. Irshad farmaya: Us zaat ki qasam jis kay dast-e-qudrat mayn mayri jaan
hay! Madinay mayn koi ghaati hay na koi rasta magar us per do firishtay
hayn jo is ki hifazat ker rahay hayn. (Muslim, pp. 547, Hadees 1374) Imam
    
Nawawi            farmatay hayn: Is riwayat mayn Madinah-e-
Munawarrah ki fazilat ka bayan hay aur Tajdar-e-Risalat      ٖ               
Kay zamanay mayn is ki hifazat ki jati thi, kasrat say firishtay hifazat
kartay aur unhon nay tamam ghatiyon ko Sarkar-e-Madinah  ٖ            
  
   ki izzat afza’ie kay liye ghayra huwa hay. (Sharah Sahih Muslim lil-Nawawi,
vol. 5, pp. 148)

4
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)


    

  
          
  
      

3. Irshad farmaya: Jo Madinay mayn mar sakay woh wahin maray kiyun kay
mayn Madinay mayn marnay walon ki shafa’at karon ga. (Tirmizi, vol. 5, pp.
483, Hadees 3943)

.    4
+  ,  -  /0 1  2
 3  5  6 7
 !"#$%&'(  )  
 *

Madinah-e-Munawarrah ki khususiyat
Meethi meethi Islami behnon! Jis tarah Madinah-e-Munawarrah kay fazail
bay-shumar hayn aysay hi is Mubarak shahar ko Allah  !  " # nay bay-shumar
khususiyat say nawazah hay, Maslan  Ro’ey-e-Zameen mayn Madinah-e-
Munawarrah kay ilawah kisi shahar kay itnay kaseer naam nahin, Ba’az Ulama
nay 100 tak naam tahreer farmaey hayn.  Madinah-e-Munawarrah ki
mahabbat aur hijr-o-furqat mayn dunya ki sab say ziyadah zabonon mayn la-
ta’daad (Uncountable) qaseeday likhay gaey, likhay ja rahay hayn aur likhay
jatay rahay gay.  !  " # )* )'(&$   %   Allah  !  " # kay piyaray Habeeb, Tabibon kay
tabeeb     ٖ            
   nay is ki taraf hijrat ki aur yehin qiyaam pazeer rahay.
 Allah  !  " # nay is ka naam Tabah rakha.  Sarkar-e-‘Aali waqaar, Madinay
kay Tajdar      ٖ              
   Jab safar say wapas tashreef latay tu Madinah-e-
Munawarrah kay qareeb puhnch ker ziyadati-e-shoq say apni suwari tayz ker
datay.  Madinah-e-Munawarrah mayn Aap      ٖ               
   Ka qalb-e-
Mubarak sukoon pata.  Hazrat Sayyiduna Sa’ad Bin Abi Waqaas  ,)#       
 +
 
say riwayat hay kay Jab Ghazwa-e-Tabook say wapas tashreef la rahay thay tu
Tabook mayn shamil honay say rah janay walay kuch Sahaba-e-Kiraam   -  )#
. / 0   Milay unhon nay gird ura’ie, Ayk shakhs nay apni naak dhaanp li Aap
%
nay un ki naak say kapra hataya aur irshad farmaya: Is zaat ki qasam jis kay
qabza-e-qudrat mayn mayri jaan hay! Madinay kay khaak mayn her bemaari
say shifa hay. (Jami’-ul-Usool, vol. 9, pp. 297, Hadees 6962)  Jab koi musalman
ziyarat ki niyyat say Madinah-e-Munawarrah aata hay tu firishtay rahmat kay
tuhfon say us ka istiqbal kartay hayn. (Jazb-ul-Quloob, pp. 211)
5
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

.  
> ?@ 89  :; <=

 C  B  A
  <=
 Yahan marnay walay ki Sarkar-e-Madinah      ٖ             
  
 shafa’at
farmayn gay.  Hujra-e-Mubarika aur Mimber-e-Munawwar kay darmiyan ki
jagah jannat kay baghon mayn say ayk bagh (Jannat ki kiyari) hay.  Masjid-
e-Nabavi Shareef mayn ayk namaz parhna pachaas hazaar namazon kay
baraber hay. (Ibn Majah, vol. 2, pp. 176, Hadees 1413)  Madinah-e-Munawarrah ki
sar zameen per mazaar-e-Mustafa hay jahan Subuh-o-Shaam sattr sattr
hazaar firishtay hazir hotay hayn.
  
80D FE G  H FE G
+ , L M" N  I J  K

 Yahan ki zameen ka woh Mubarak hissa jis per Rasool-e-Anwar, Madinay


kay Tajwar     ٖ            
   ka jism-e-munawwar tashreef farma hay woh her
maqaam hatta kay Khana-e-Ka’aba, Bayt-ul-Ma’moor, ‘arsh-o-Kursi aur jannat
say bhi afzal hay.  Dajjal Madinah-e-Munawarrah mayn dakhil nahin ho
sakay ga.  Ahl-e-Madinah say buraie ka iradah karnay wala ‘azaab mayn
giriftar hoga.  Yahan ka qabristan (Graveyard) Jannat-ul-Baqi’ dunya kay
tamaam qabristanon say afzal hay, Yahan taqreban 10 hazaar Sahaba-e-
Kiraam-w-Ajalla Ahl-e-Bayt-e-Athaar aur bay-shumar Tab’een-e-Kiraam-o-
Auliya-e-‘Uzaam aur degar khush naseeb musalman madfoon hayn. (‘Aashiqan-
e-Rasool ki 130 hikayaat, pp. 261-262)

Mahboob ki bargah mayn haziri kay niralay andaaz


Meethi meethi Islami Behnon! Hamaray buzurgon ka bargah-e-Risalat mayn
haziri ka ye andaaz bhi tha kay koi kitna hi ameer-o-kabeer honay kay
bawujood khud ko dar-e-mustafa ka faqeer samajhnay mayn khushi mahsoos
karta aur milnay wali tamaam na’maton ko isi dar ka sadqah tasawwur karta
    
jaysa kay kisi nay sultan Mahmood Ghaznavi           ko haziri-e-Madinah
kay duran masjid-e-Nabavi Shareef mayn faqeerana libaas pehnay, kandhay
6
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

per mashkizah uthaey za’ireen-e-haram ko pani pilatay daykh ker kaha: Aap
ghazni kay shahinshah nahin? Ye kiya haal bana rakha hay! Jawab diya: Mayn
shahinshah hon magar ghaznavi mayn, is darbar mayn tu shahinshah bhi
faqeer-o-gada hotay hayn. Pochhnay walay ko ye dewangi bhara jawab buhut
hi piyara laga. Kuch dayr ba’ad us nay daykha kay Misr ka Shahinshah shahi
karr-o-far aur ru’abdaab kay sath chala aa raha hay. Us shakhs nay barh ker
kaha: Aap nay itni bari jasarat ki! Madinah Munawarrah ki haziri aur ye shahi
dabdaba! Jo Jawab (Answer) misri Shahinshah nay diya woh bhi sunahri
huroof say likhnay kay qabil hay. Shah-e-Misir bola: Ay suwal karnay walay!
Ye batao ye badshahi kis hasti nay ‘ata ki? Yaqeenan Madinay walay Aaqa nay
hi ‘inayat farmaie hay. Lihazah shahi taaj-o-libaas kay sath hazir huwa hon ta
kay daynay wala apni Mubarak aankhon say daykh lay.
(‘Aashiqan-e-Rasool ki 130 hikayaat, pp. 51)

Haazri-e-Madina kay dus (10) fawaaid


Muballigh-e-Islam Shaykh Shu’ayb Hareefeesh             
  Irshad fermatay
hayn: Sarkar-e-Madinah      ٖ             

 
  ki qabr e aqdas ki Ziyarat kernay
walay kay liye dus (10) karamaat ya’ni izzatayn hayn.
 Woh buland martabah hoga
 Husool e Maqsad mayn kamyab hoga
 Uski haajat poori hogi
 Usay Atiyyat Kharch kernay ki taufeeq milay gi
 Woh halakat o barbadi say aman mayn rahay ga
 U’yoob o naqaais say pak hoga
 Us ki mushkilaat aasan hogi
 Haadisaat say uski hifazat hogi
 Usay aakhirat mayn achha badlah milay ga
 Mashriq o maghrib kay Rab  ! " # ki rahmat milay gi


7
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Meethi meethi Islami behno! Buzurgan e deen Bargah-e-Risalat mayn hazir


ho ker faryad kertay aur munh maangi muradayn patay, chunanchay Imam-
ul-A’arifeen Hazrat Sayyid Ahmad Kabeer Rifa’ee             
  par yaad e
taybah aur ishq-e-Rasool ka ghalabah raha kerta tha balky Aap              

taskeen-e-ishq ki khaatir jismani taur par na sahi par ruhaani taur par piyaray
Aqa      ٖ              
   kay dar e aqdas ki chaukhat ko choom aaya kertay thay,
magar is kay ba Wujood Aap          
  jism o rooh kay sath diyar e mahboob
say bulaway kay muntazir raha kertay thay. Phir jab un ki qismat chamki,
intizaar ki ghariyan khatam huyi aur Bargah-e-Risalat say unhayn bulawa aaya
to jism o rooh kay sath janib e Madinah rawanah huway aur aastanah
A’aliyah mayn pohanch ker a’qeedat say bharpoor asha’ar Bargah e aqdas
mayn paysh kiye jinka tarjumah kuch yun hay
1. Doori ki haalat mayn, Mein apni rooh ko khidmat-e-Aqdas mayn
bheja kerta tha to woh mayri nayeb ban ker Aastanah-e-Mubarakah
ko chooma kerti thi.
2. Aur ab badan kay sath hazir ho ker milnay ki bari aaye hay to apna
Dast-e-mubarak daraz farmaiye takay mere hont dast boosi ka
sharaf haasil ker sakay.
Karam baalaye karam huwa kay Bargah-e-Risalat      ٖ              
   mayn
Aashiq zaar kay asha’ar darja e qaboliyyat haasil ker gaye rahmat e Mustafa
ko josh aaya aur Aap      ٖ              
   nay qabr e anwar say apna dast-e-
Mubarak bahar nikal ker apnay sachhay aashiq ki dast bosi ki dirinah (purani)
khuwahish ko hathaun haath poora ferma diya
\X   ]^_ ^
Z
O"PY0 5 9[  `T a^ O"PQ R9S  U T  &VWS X 0 Y
 
O"Pj "Qk 0 ^ ,m
 l    TiE ^ &bS  cde  f  gWh9&
  . .  .
   r
O"P q   s^ t"u   O"PQ 0n9 o X Qp0 Y
^ ^
O"P~  3  W h9g  B a  ^ vx wyz{   +Y0 }9 Bm
  |
Meethi meethi Islami behnon! Buzurgaan-e-Deen jab Ziyarat e Madinah ki
sa’adat paatay aur kisi Aazmaish mayn mubtala ho jatay to zaban say
shikayat kernay ya kisi aur kay dar per janay kay bajaye Bargah e Risalat

8
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

mayn apni faryad paysh ferma daytay chunanchay


 Hazrat Sayyiduna Ibn-ul-Jala`a               farmatay hayn kay Mein

Madina Munawwarah 54 ۡ 7    
 4 80 $    
 1 23 mayn hazir huwa to mujh per aik do
faqay guzray, Mein Sarkar-e-Naamdar      ٖ              
   kay Mazar-e-Pur
َۡ ُ َ َ َ ُۡ َ ََ
Anwar per hazir ho ker ‘arz guzar huwa:     ٖ      ۡ     9    ّٰ
 *   ‫! ا ن اض ي ف ك ي ارس و ل ا‬
Ya’ni ‘Ya Rasoolallah      ٖ              
   ! Mein Aap ka mahmaan hoon.”
Phir mujh per nend ka ghalabah huwa. Wali-e-Do Jahan, Rahmat-e-
A’alimiyan      ٖ                nay khuwab mayn tashreef la ker mujhay aik
roti ‘inayat farmaye, Mein khuwab hi khuwab mayn khanay laga, abhi
aadhi kha’ie thi kay aankh khul gaye, mazeed aadhi abhi mayray hath
mayn maujood thi.
  
, Ž 
^  ‰BŠ ‹ Œ   ) … ^ † ‡@ ˆ € Q ‚ƒ „

 Hazrat Sayyiduna Sheikh Abul Abbas Ahmed Bin Nafees ;. : ۡ         ۡ  
farmatay hayn: Mein aik bar Madina Munawwarah 54 ۡ 7     480 $     1 23  mayn
  
sakht bhook o piyaas kay ‘aalam mayn Sarkar-e-‘Aali Waqar, Makkay
Madinay kay Tajdar, Bi-Izn-e-Parwardigar, ghaybon per Khabardar    
  
     ٖ         
  kay Mazar-e-Pur Anwar per hazir ho ker ‘arz guzar huwa, Ya
Rasoolallah      ٖ               
   ! Mein bhooka hoon yaka yak mayri aankh
lag gaye, isi dawran kisi nay mujhay jaga diya aur sath chalnay ki dawat
di, chunanchay Mein un kay sath un kay ghar aaya, mezban nay
khajorayn, ghee aur gandum ki roti paysh ker kay kaha: Pait bhar ker kha
lijiye kiyun kay mujhay meray Jadd-e-Amjad, Makki Madani Muhammad
     ٖ         
      
 nay Aap ki mezbani ka hukum diya hay. Aayinda bhi jab
kabhi bhook mahsoos ho hamaray pas tashreef laya karayn.

. 
+ , B 0YZ  &› œ , &  
 ’“” !"‘ 
.
+ , ž ™š Ÿ   ¡  ¢ ‚B^ • –B  , YB
0 — ˜ ™š 9 ~

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

9
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Haazri-e-Madinah kay dawran sabr kernay ka in’aam


Meethi meethi Islami behno! Hamaray buzurgan e deen raah e Madinah
mayn aanay wali takleef ko apnay lie bai’s sa’adat Tasawwur kiya kertay
chunanchay mashhoor Mufassir-e-Quran, Hakeem-ul-Ummat Hazrat Mufti
    
Ahmad Yar Khan Na’eemi           apnay Safar-e-Madinah ka aik Iman
afroz waqi’aah bayan kertay huway fermatay hayn: Mein Madinah
Munawwarah mayn phisal ker gir gaya, daahnay haath ki kalaye ki haddi toot
gaye, dard ziyadah huwa to Mein nay usay bousa day ker kaha: Aye Madinay
kay dard! Tayri jagah mayray dil mayn hay tu to mujhay yar kay darwazay say
mila hay.

. . .
+ ‚  ›
 Z  Q  ‚› ¦ §B B) B  ¨ + £c ‚ ¤ › ¥B  b B) B  ›

(Mufti sahib mazeed fermatay hayn kay) dard to usi waqt say ghayb ho gaya
magar haath kaam nahin kerta tha satrah (17) din kay ba’d hospital mayn X-
Ray liya to haddi kay do tukray aaye jin mayn qadray fasilah hay magar hum
nay ‘ilaj nahin keraya phir aahistah aahistah haath kaam bhi kernay laga,
Madinah Munawwarah kay us hospital kay Dr. Muhammad Ismail nay kaha
kay yeh khaas karishmah huwa hay kay yeh haath tibbi lihaz say harakat bhi
nahin ker sakta woh X-Ray mayray paas hayn, haddi ab tak tooti huyi hay, is
tootay haath say tafseer likh raha hoon, Mein nay apnay is tootay haath ka
ilaj sirf yeh kiya kay aastanah e ‘aaliyah (Rauzah-e-Aqdas) par kharay ho ker
‘arz kiya kay Huzoor! Mayra haath toot gaya hayn, aye Abdullah bin Ateek
 ,)#   
 
    
 +   ki tooti pindli jornay walay! Aye Mua’az bin ‘Afraa  ,)#   
    
 +   ka
toota baazo joor daynay walay! Mayra toota haath Joor do.

Meethi meethi Islami behno! Bayan kardah waqia’ay say saaf zaahir hay kay
mufti sahib ki kalaye ki haddi toot gaye magar aap kay sabr o istiqamat aur
sa’adat Mandi ka yeh haal tha kay aah o buka aur cheekh o pukar kernay kay
bajaye is dard ko apnay liye ina’am samajh ker Qabool ker liya kay yeh to
mayray liye diyaar e nabi ki aik umdah saughat hay. Bahar haal yeh unhi
mubarak hastiyoon ka khassah tha kay unhayn raah e Madinah ka kanta bhi
phool mahsoos hota tha aye kash hamayn bhi in buzrogoon ka sadaqah
naseeb ho jaye aur aye kash! Hum bhi jab a’azim-e-Madinah hoon to Safar-e-
Madinah ki khoob khoob barakatayn paye aur is dawran Madinah
10
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Munawwarah aur Makeen-e-Gumbad-e-Khazra      ٖ               


   ki mahabbat
mayn is qadar fana ho jaye kay agar is rah mayn aanay walay mushkilat aur
parayshaniyan aaye to woh hamaray liye na sirf rahat o itminan ka zari’ah
hoon balky ghum e dunya o ghum maal say nijat aur hamaray gunahoon ki
bakhshish ka sabab ban jaye.
َّ ٰ َ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ
‫ َو َسلم‬ ‫ عل ۡيهِ َوا ِل‬+‫ا ت َعا‬ ‫م ۡي صل‬
َۡ ّ َّ َ ۡ ٰ
ِ 6‫ا‬ ِ ِ ‫ا ِمي ِباه ِ ال‬
‫ب‬
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Ahl-e-Madinah ko takleef daynay walay kay liye wae’ed


Meethi meethi Islami behno! Hamaray buzurgan e deen jab haazri Madinah
Munawwarah ka sharaf patay to un ka aik andaz yeh bhi hota woh Madinay ki
har shay hatta kay janwaroon say bhi kis qdar mahabbat fermatay, unhayn
har ghiz yeh manzoor na tha kay koi diyar e mahboob kay kutton kay sath bhi
na munasib sulook karay aur unhayn aziyyat pohanchaye chunanchay Punjab
(Pakistan) kay mashhor aashiq Rasool buzurg ameer e millat hazrat Maulana
peer Sayyid Jama’at Ali Shah Muhaddis Ali poori             
  aik martabah
Madina Munawwarah gaye to un kay kisi Mureed nay is muqaddas sahahar
kay aik kuttay ko ittifaqan dhayla maar diya jis ki chot say kutta chhekha,
    
jaisay hi Aap           ko yeh ma’loom huwa kay mayray Mureed nay is
muqaddas shahar kay aik kuttay ko dhayla mara hay to Aap               ka

chain o qarar jata raha bay qarari kay aalam mayn Aap             nay fauran

hokum jari farmaya kay kisi bhi surat mayn us kuttay ko dhoond ker mayray
pas laao chunanchay jab us kuttay ko laya gaya to daykhnay walon nay
daykha kay mashhoor e zamanah aashiq e Rasool, lakhaun murideen kay
payshwa aur aik wali e kamil giryah o zaari kertay huway us kuttay say
mukhatab ho ker yun kah rahay hayn: aye diyar e habib kay rehnay walay
lillah (ya’ni Allah kay wasitay) mayray Mureed ki is laghzish (ghalati) ko mu’af
kerday phir bhuna huwa gosht aur doodh mangwaya aur usay khilaye pilaya
phir us say kaha: jam’at ali shah tujh say muafi chahta hay, khudara isay
mu’af ker dayna
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬
11
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Madinah Munawwarah mayn khoob Kharch kijiye


Hamaray Buzurgan-e-deen ka Madinah Munawwarah ki haazri kay waqt aik
andaz yeh bhi tha kay ahl e Madinah kay sath nihayat shafqat o mahabbat say
paysh aatay aur un par khoob Kharch fermatay chunanchay jab Madinah
Tayyibah qareeb aata to Ameer e millat peer jama’at shah Naqshbandi       
 
      
   ka chehrah hashshash basshash nazar aanay lagta aur yeh Irshad
fermatay: ab waqt aagaya hay, khoob taqseem karo! Bahut ajar milay ga. Yeh
log Rasool Allah      ٖ                kay hamsaye hayn, yeh bahut mustahiq
hayn, hum un ki khidmat kernay kay liye to yahan aatay hayn, har roz yeh
mauq’ah kahan nsaseeb hota hay. Khud bhi itna daytay kay log laytay laytay
thak jatay hazrat ameer e Millat             
  ki ittiba’a mayn hamrahi bhi
khulay dil say Kharch kertay to Aap bahut khush hotay. Jo koi jitna ziyadah
Kharch kerta usay utna hi ziyadah shabashi daytay aur fermatay daro mat,
khulay dil say Kharch karo mujhay yahan say qarz mil jata hay Mein yahan say
lay ker doonga.
Aye zaair e Madinah! Aap bhi Madinah Munawwarah kay hajat mandon ki
daad rasi aur Musalmano ki dil joye kay liye Kharch kernay ki niyyat ker lijye
Musalmano ki hajatayn poori kerna dunya o aakhirat mayn aasani ka sabab
hay jaysa kay hazrat Sayyiduna Abu Hurayrah  ,)#     + 
  say riwayat hay Nabi-
e-Kareem     ٖ            
   nay Irshad fermaya jo tangdast par aasani karay ga
Allah  !  " # dunya o aakhirat mayn us par aasani karay ga. Zaahir hay kay jo
shakhs tangdasti ka shikar aur ranj o ghum mayn ghriftar ho aur is mushkil
waqt mayn Aap nay us ki madad ker di to who zaroor aap kay liye du’a karay
ga aur dukhyaroon ki du’a Qabool hoti hay jaysa kay walid e a’ala hazrat
raees ul Mutakallimeen hazrat Allamah Maulana Naqi Ali Khan          
  nay

apni Kitab bay misal (‫ﻟﺪﻋ‬  ٰ ‫ﺣﺴ ﻦ ﻟ ﻮ  ﻋ ء ﻻ‬


' =‫د‬  ) safha 111 par jin logon ki dua’e Qabool
hoti hay un mayn sab say pehlay number likha hay
 Muztar (Ya’ni dukhyara) us kay hashya mayn Sarkar e A’la hazrat, imam
    
e ahl e sunnat Maulana shah imam Ahmad Raza Khan          
fermatay hayn “ is ki taraf ya’ni dukhyaray aur laachaar o naashaad ki
du’a ki qaboliyyat ki taraf to khud Quran e Kareem mayn Irshad maujood
hay:

12
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

ٓ   ۡ         ۡ  ۡ  ۡ  ۡ  
4 ۡ 
6+ 78  9-:;
.
*<
12 3 ),

Tarjumah: ya woh jo laachaar ki sunta hay jab usay pukaray aur door ker dayta
hayn buraie.

Lihaza Haazri-e-Madinah ya jab kabhi mauqa milay tangdast o majboor ki


madad kijiye aur du’ae lijiye dunya mayn bhi bay shumar bhalaiyaan naseeb
hogi aur Allah  !  " # ki rahmat say ummed hay kay mazloom ki daad rasi
maghfirat ki khushkhabri ka sabab banay gi jaysa kay aik shakhs (zamana e
guzishtah mayn) logon ko udhar diya kerta tha woh apnay ghulam say kaha
kerta jab kisi tangdast maqrooz kay pas jana us ko muaf ker dayna is ummed
par kay khuda hum ko muaf kerday” jab us ka intiqal huwa to Allah  !  " # nay
mua’f ferma diya.

Madani Kaamon mayn hissa lijiye


Meethi meethi Islami Behnon! Mushkilat-o-Masa’ib mayn logon ki madad
(Help) karnay, tangdast-o-muhtaaj afraad kay sath daynay ka jazbah panay,
achi achi ‘aadatayn apnanay aur buri ‘aadaton say nijaat panay kay liye
Dawat-e- Islami kay Madani mahool say wabasta ho ker nayki ki Dawat ‘aam
kijiye aur zayli halqay kay Madani kaamon mayn ‘amali tor per hissa lijiye.
Zayli halqay kay Madani kaamon mayn say ayk Madani kaam namaz-e- Fajr
kay ba’ad Madani halqah bhi hay. Jis mayn rozanah, teen aayaat-e- Qurani ki
Tilawat ma’ Tarjuma Kanz-ul-Iman-o-Tafseer Khazain-ul-‘Irfan/ Tafseer Noor-
ul-Irfan/ Tafseer Siraat-ul-Jinaan, Dars-e-Faizan-e-Sunnat (4 safhaat) aur
Shajrah-e-Qaadiriyyah, Razawiyyah, Ziyaiyyah, Attariyyah parha jata hay.
Quran-e-Majeed parhnay parhanay aur samajhnay aur samjhanay ki to kiya
baat hay. Chuna-chay Nabi-e- Mukarram, Noor-e-Mujassam      ٖ              
  

Ka Farman-e-Mu’azzam hay: ‘C ‫ن و ﻋ ﻠ ﻤ‬F ’


 G* ‫ ﻌ ﻠ ﻢ ﻟ‬H ‫ ﺧ ﻴ*ﺮ ﻛ ﻢ ﻣ ﻦ‬ya’ni tum mayn say
behtireen shakhs woh hay jis nay quran seekha aur dosron ko sikhaya.
(Bukhari, vol. 3, pp. 410, Hadees 5027)

13
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Madani Channel say mutasir ho ker 12 afraad ka Qabool-e-Islam


 ! " # )* )  =
 )5 < ) !
Tableegh-e- Quran-o-Sunnat ki ‘Aalamgeer Ghayr Siyasi tahreek

“Dawat-e-Islami” Isi tarah degar Madani kaamon kay zariye na sirf musalmanon
mayn nayki ki Dawat phaylanay mayn masroof-e-‘amal hay balkay Madani
kaamon aur Madani channel ki barkat say kaie Ghayr muslim musalman ho
gaey hayn. Chuna-chay Bab-ul-Madinah (Karachi) kay ayk mubaligh-e-Dawat-
e-Islami kay bayan ka khulasa hay kay ayk martaba Madinah-e- Munawarrah
mayn ba-roz Juma’a-tul- Mubarak (2 Jumad-al-Ukhra 1432 hijri ba-mutabiq 6
May 2011) kam-o- baysh 4 bajay din sabz imamay walay ayk nujawan say
mulaqaat hui duraan-e-guftugu unhon nay inkshaf kiya: Mayn Mombay (hind)
ka rahnay wala hon mujh samayt hamaray ghar kay tamaam ya’ni 12 afraad
nay Islam qabool kiya. Qabool-e-Islam ki wujuhaat batatay huway unhon nay
kuch yun kaha: Hamaray ghar walay kuch ‘arsay say Dawat-e-Islami ka
Madani Channel daykhnay lagay thay. Is kay silsilon mayn musalmanon ka
Islami hulya, un kay muskuratay Chehray aur bayan ki sadagi hamayn buhut
achhi lagti thi. Halan kay is say pehlay hum log bay ‘amal musalmanon ki
harkatay daykh ker intahie bad-zan thay magar Ab “Madani Channel” per
Islam ki haqeeqi tasweer daykh ker hum Islam say mutasir honay lagay. Bil-
Khusus Dawat-e- Islami kay mubaligheen ka bar bar nagahayn jhukanay ki
targheeb dayna hamayn buhut bhata aur aankhon kay qufl-e- Madinah kay
fawaid ka tazkirah sun ker hum buhut khush hotay, Mayri walidah (Mother)
sab kay kahtayn: Is gaey guzray zamanay mayn bhi ye log nagahayn neechi
rakhnay ka dars daytay hayn, waqi’e nigahayn jhuka ker hi rakhni chahiye.
Madani Channel kay silsilay daykhtay daykhtay hamaray dil mayn
Islam ki mahabbat itni barh gaie kay ghar mayn Islam qabool karnay ki
baatayn honay lagen magar hum khufzadah thay log kiya kahayn gay? Is
suwal ka jawab bhi hamayn Madani Channel say hi mila, huwa yun kay
Nigran-e-Shura-o-Mubaligh-e-Dawat-e-Islami Haji Abu Hamid Muhammad
Imran Attari ;  >  5
  nay jab “Log kiya kahayn gayn?” kay muzu’ per sunnaton
bhara bayan farmaya tu sab ghar walon ka zehin ban gaya kay ab hamayn
logon ki parwah nahin karni chahiye aur  !  " # )* )  = )5 < )  Hum Kalimah parh ker
Islam kay daman mayn aa gaey. Unhon nay Gumbad-e- Khazra kay saey mayn
apnay ‘azam ka izhaar kiya kay  !  " # )* )'(&$   %  Ab mayn degar Ghayr muslimon
ko bhi daman-e- Islam say wabasta karnay ki bharpor koshish karon ga.
14
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Madinay may suwari say perhayz


Meethi meethi Islami Behnon! Madinah-e-Munawarrah ki haziri kay waqt
hamaray Buzrugan-e-Deen ka ayk andaaz ye bhi tha kay is duran is Mubarak
shahr ka khub adab farmatay chuna-chay Hazrat Sayyiduna Imam Shafa’ie     
       Farmatay hayn: Mayn nay Madinah-e-Munawarrah mayn Hazrat
   
Sayyiduna Imam Malik                kay darwazay per khurasan ya Misr kay
Ghoray bandhay daykhay jo Aap             
  ko ba-tor-e-Hadiyah (Gift) paysh
kiye gaey thay, Is qadr A’la Ghoray mayn nay kabhi na daykhay thay. Mayn
nay arz ki: Ye ghoray kitnay Umdah hayn: Farmaya: Mayn ye sab Aap ko
tuhfay mayn dayta hon, mayn arz ki: Ayk ghora apnay liye to rakh lijiye.
Farmaya: Mujhay Allah  !  " # Say haya aati hay kay us Mubarak zameen ko
apnay ghoray kay qadmon talay rundon jis mayn Bibi Aminah kay dilber,
Madinay kay Tajwar      ٖ                Mujood hayn ya’ni Aap      ٖ               
ka roza-e- Anwar hay.

©$ª «¬­+®
 ¯Qšš
+,²
  °$3  ±0ZY 
 ¦

Bargah-e-Risalat mayn haziri kay adaab


Meethi meethi Islami Behnon! Is baat mayn koi shak nahin kay Madinah-e-
Munawarrah mayn Roza-e-Rasool kay robaro salaam paysh karna buhut bari
sa’adat hay. Ay Kash! Hamaray zindagi mayn bhi woh Mubarak lamhaat aayn
magar ye bhi yad rakhiye kay jisay is dar ki haziri naseeb ho us kay liye zaruri
hay kay is bargah-e- ‘aali kay adaab ka khaas khayal rakhay, kiyun kay zara si
bay-ihtiyati sakht mahroomi ka sabab ban sakti hay. Aaiye! Chand adaab
suntay hayn:
1. Haaziri mayn khalis Ziyarat e aqdas ki niyyat kijiye
2. Hajj agar farz hay to hajj ker kay Madinah Tayyibah haazir ho
3. Raastay bhar Durood o zikr Shareef mayn mashgool rahye
4. Jab haram-e-Madinah aaye behtar yeh kay rotay, sir jhukaye, ankhayn
neechi kiye, Durood Shareef ki kasrat kertay aur ho sakay to nangay
paaon chaliye
15
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

5. Masjid Nabawi par haazir ho ker pehlay salat o salam ‘arz ki jiye phir
thora tehro jesay Sarkar say haazri ki ijazat maangtay hoon.
6. Nihayat khushoo o khuzoo say rauzah e aqdas par haaziri di jiye, rona na
aaye to ronay jaysi surat bana li jiye
7. Qiblah ko peeth kiye kama z kam chaar (4) haath (ya’ni do ghaz) door
haath bandh ker Sarkar      ٖ              
   kay chehrah anwar ki taraf rukh
ker kay kharay hoon
8. Is dawran dil Sarkar      ٖ         
     
   hi ki taraf mutawajjah rakhnay ki
Koshish ki jiye
9. Jab tak Madinah tayyebah ki haaziri naseeb ho, aik saans bhi baykar na
janay dijiye
10. Zaroriyat kay siwa aksar waqt ba Taharat rahye, namaaz o tilawat o
Durood mayn waqt guzariye, dunya ki baat kisi bhi masjid mayn na
chahiye na kay sirf yahan
11. Madinah tayyebah mayn rozah naseeb ho, khusosan gharmi mayn to kiya
kahna kay is par wa’dah shafat hay
12. Yahan har nayki aik ki pachaas hazaar (50000) likhi jati hay, lihaza ibadat
mayn ziyadah Koshish ki jiye, khanay peenay ki kami zaroor kijiye aur
jahan tak ho sakay sadaqah kijiye
13. Shahar mayn khuwah shahar say bahar jahan kahin Gumbad e Khazra par
nazar paray, fauran dast Bastah (haath bandh ker) udhar munh ker kay
salat o salam arz ki jiye is kay baghayr har ghiz na guzarye kau khilaf e
adab hay
14. Qabr e kareem ko har ghiz peeth na ki jaye aur hattal imkan namaz mayn
bhi aysi jagah na kharay hoon kay peeth kerni paray
.
B³$a›  ´d6µ!" B ³$ ad < SB a0ZY ›
 z‡

Methi methi islami behnon! Aashiqan e Rasool kay safar-e-Madina-e-


hazri-e-Madina say mu’alliq mazeed dilchasp hikayaat aur Makkah-o-

16
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Madina kay baray mayn hayrat angayz waqi’aat ki malolaat hasil karnay
aur apnay dil mayn Hazri-e-Madinah ki sachchi tarap payda karnay kay
liye Shaykh-e-Tareeqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Bani-e-Dawat-e-Islami
Hazrat Allamah Maulana Abu Bilal Muhammad Ilyas Attar Qadri Razawi
Ziyaie  ) ) ) )  )- ))A 0 )? @ ) 2 ki marattab kardah kitab banaam “Aashiqan-e-Rasool
ki 130 hikayaat m’a Makkay Madinay ki ziayaratayn” ka mutaal’ah nihayat
mufeed hay. Aap          
      Nay is kitab mayn Zaireen-e-Madina ki
51, mashoor Aashiq e Rasool Hazrat Sayyiduna Imam Malik ki 12,
hajiyon ki 42, Salihaat ki 6, Ulama e ahl Sunnat ki 17, jinnat ki 7 aur
haiwanaat ki 9 hikmat say bharpoor hikayaat tahreer farmai hayn neez
is kay ilawa bhi bohat si maloomat fraham ki gai hay.ap tamam islami
behnon say madani iltija hay kay is kitab ko Maktabat ul madina say
hadyatan talab farma kar na sirf khud is ka mutaal’ah kijiye balkay
hasbay istita’at ziyadah ta’dad mayn hasil farma kar safar e Madinah ki
sa’aadat panay walay khush naseebon mayn sawab ki niyyat say muft
taqseem bhi farmye.Dawat e Islami ki website say is kitab ko parha
jasakta hay, download kia ja sakta hay aur print out bhi kia ja sakta hay.
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Shaykh-e-Tareeqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Bani-e-Dawat-e-Islami Hazrat


Allamah Maulana Abu bilal Muhammad Ilyas Attar Qadri Razawi Ziyai
 ) ) ) )   )? )
 )- ) )A 0    @  2 ki Mubarak hayat buzurgan e din ki seerat ki aainah dar
hay, hazri e Madina say muta’alliq ap ka shoq, tarap lagan aur adab kay
niralay andaz hamayn buzurgaan e din ki yaad dilatay hayn. bila shubha
Aap  ) ) ) )  )- ) )A 0 )? @ ) 2 bhi ishq e Rasool kay asay darjay par faiz hayn kay jis
ki wajah say ap ka shumar bhi dowr e hazir kay ‘Aashiqaan-e-Rasool ki
saff e awwal mayn hota hay. Dard Madina to koi Aashiq-e-Madina,
Ameer-e-Ahl-e-Sunnat say sekhay kay jab Aap  ) ) ) )   )- ) )A 0 )?  @ ) 2 Madina
shareef say dor hotay hayn, us waqt bhi ap kay labon par har dam zikr
17
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

e-Madina-o-Zikr-e-Shah-e-Madina jari rehta hay, magar bay chen dilon


kay Chen, Rehmat e darain      ٖ              
   ki bargah say Aap  
)? )
 )- ) )A 0    @  2
 ) ) ) ) ko safar e Madina ka muzdah(happy news) milta hay to Aap  @ )
 2
 ) ) ) )   )?
 )- ))A 0  ki dil ki dunya zer o zabar ho jati hay, ashkon ka thama
huwa tofaan aknkhon kay zare’ay umand ata hay aur goya ap in
ash’aar ki amali tasweer ban jatay hayn.
     
 » ‡¼ QB½^  QB½^  ¾¿À Á
 » Q¶
Q¶ Q¶ ·¸  Q¶ ·¸¹   + º
 ¹     9 §¯
 
Ameer-e-Ahl-e-Sunnat kay ahwaal sun kar yaqeenan hamen bohat kuch
seekhnay ko milay ga. Aaye! Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat
 ) ) ) )  )? )
 )- ) )A 0   @  2 kay purkayf-o-niralay andaaz kay baray mayn suntay hayn: Aap
 ) ) ) )   )? )
 )- ) )A 0    @  2 ko kai bar safar e Hajj o safar Madina ki sa’aadat hasil hui hay,
jin mayn majmoo’ei tor par jo kayfiyat rahi usay ٗ : )C  5 D to bayan nahyn kia ja
sakta albatta Aap  ) ) ) )   )- ) )A 0 ) ?  @ ) 2 kay ayk Safar-e-Madina kay mukhtasar
ahwaal suntay hayn chunachay jab Madinay pak 4 5 7   4 80 $ *  E23 ki taraf Aap
 ) ) ) )   )? )
 )- ))A0    @  2 ki rawangi ki ghari aai Aashiq-e-Madinah, Ameer-e-Ahl-e-
Sunnat  ) ) ) )   )- ) )A 0 )?  @ ) 2 ki kayfiyyat bari ‘ajeeb thi. Aap  ) ) ) )   )- ) )A 0 )?  @ ) 2 ki
aankhon say aansuon ki jhari lagi hui thi aur ap apnay in ash’aar kay misdaaq
nazar aa rahay thay.
. 4 Z¹ 4
Ä d Å0 À¿Æ  † d"  d — Â ‚» , #Ã"

 
Z u
Ç È OTÉ^ Ê ®¯ ®¯ d ‘   B 
Ishq o ulfat ka ye nirala andaz har ayk ki samajh mayn to aa nahyn sakta kion
hazri e Madina janay walay to umaman hastay huye, mubarak badiyan
wusool kartay huye jatay. Aysay zaireen ka Aap  ) ) ) )   )- ) )A 0 )?  @ ) 2nay apnay ayk
kalam mayn is tarah say madani zehan bananay ki koshish ki hay.
. .
Ìd ‰0Y  Í ª Y00 ZY Î QBÏ B
 ^
W+ š Ë † £c `T W®¯ ›
 &

18
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Bilaakhir isi kayfiyyat mayn safar madina ka aaghaz huwa, jon jon manzil
qareeb aati rahi, Aap  ) ) ) )   )- ) )A 0 ) ?  @ ) 2 kay ishq ki shiddat bhi barhti gai. us pak
sarzameen par pohanchtay hi Aap  ) ) ) )   )- ) )A 0 )?  @ ) 2 nay jotay utar liye. ‫!ا!ا‬
mizaj e ishqe Rasool is qadar aashna (jaan pahchan rakhnay walay) kay khud
hi kalam mayn farmtay hayn:
 . .
  hTiE  `T ^  hTiE 
Ô" ®   W¬­ Ó 3 + ÐÑT ^ 9 SUT  &0YTÒ ^  #0ZY

Ameer-e-Ahl-e-Sunnat  ) ) ) )   )- ))A 0 )?  @ ) 2 us pak sarzameen ka is qadar khayal
rakhtay kay 1406 hijri kay Hajj mayn Aap ki tabee’at nasaz thi. Sakht nazla ho
gaya, nak say shiddat kay sath pani beh raha tha. Is kay bawjood Aap  @ ) 2
 ) ) ) )   )?
 )- ))A 0  nay kabhi bhi Madina-e-Pak ki sarzameen par nak nahyn sinki
balkay ap  ) ) ) )   )- ) )A 0 )?  @ )2 ki har ada say adab ka zuhoor hota. Jab tak Madina
Munawwarah mayn rahay hatta al imkaan gumbad e khazra ko peeth nahyn
honi di.

 §¯ÙB & j"


 & 
  ÚÛ Õ+†B‡$Ö ×
0 X Øa®¯
Kabhi kabhi maythay Madinay ki galyon say guzartay huye wahan kay jarob
kashon kay hath say jharu lay kar ap nay Madinay ki galyon mayn jarob kasha
ki sa’aadat bhi hasil ki hay. Is ki tamanna kartay huye Wali e kamil, Aashiq e
    
sadiq huzoor mufti e a’azam hind Mustafa Raza Khan            farmatay
hayn:

  Þ ß , §¯ ւÜ e ‡B Q O= †Ý@
Allah  ! " #
hamayn bhi Aashiq-e-Madina, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat   )- ) )A 0 )?  @ ) 2

 ) ) ) )
kay sadqay gham e Madina ki la zawaal dowlat say sarfraz farmaye aur
bar bar safar e Madina ki sa’aadat aur Madina Munawwarah ki ba adab hazri
naseeb farmaye.
َّ ٰ َ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ
‫ َو َسلم‬ ‫ عل ۡيهِ َوا ِل‬+‫ا ت َعا‬ ‫م ۡي صل‬
َۡ ّ َّ‫ا ٰ ِم ۡي ِبَاه ِ ال‬
ِ 6‫ا‬ ‫ب‬
ِِ
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬
19
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Hamara Andaz!
Meethi meethi islami behnon! Buzurgaan-e-Din ki in hikayaat ko sun kar ye
andaaza hota hay kay in ka safar e Madina naykiyon ka khazeena aur adab o
ihtiram ka ganjeena huwa karta hay, ye hazaraat

Hazirie e Madina kay lamahaat ko qeemati (precious) aur in Mubarak fazoun


mayn guzarnay wali saa’aton ko rehmat bhari bananay kay liye khob koshish
farmatay! Hamayn in Mubarak hastiyon kay sadqay Madina Munawwarah ki
ba adab hazri naseeb ho jaye, Madinay ki pur bahar aur mu’attar mu’attar
fazaon kay sadqay hamaray sanay say keena dor ho jaye, aankhon mayn haya
payda ho aur dil hasad, takabbur aur riyakari jasay batini amraaz say shifa
paye. Allah  !  " # hamayn muqaddas maqamaat ka adab o ihtiram karnay ki
tofeeq ata farmaye.
َّ ٰ َ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ
‫ َو َسلم‬ ‫ عل ۡيهِ َوا ِل‬+‫ا ت َعا‬ ‫م ۡي صل‬
َۡ ّ َّ َ ۡ ٰ
ِ 6‫ا‬ ِ ِ ‫ا ِمي ِباه ِ ال‬
‫ب‬
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Bayan ka khulasah
Meethi meethi Islami behnon! Aaj ham nay Haazri-e-Madina aur buzurgon
kay andaz say muta’alliq dil kusha o dilruba waqi’aat suny, hazri e Madina ki
sa’aadat panay walay aashiqaan e Rasool yaqeenan khush naseeb hayn.
 Hazri e Madina kay liye kia janay wala safar koi ‘aam safar nahyn balkay
ye bohat mubarak safar hay.
 Hamaray akaabir o buzurgaan e din ko jab bhi Madinay shareef ki hazri
naseeb hoti to wo hazarat bargah e ‘aali ka khoob adab o ihtiram baja
latay.
 Agar is Mubarak safar mayn koi takleef paysh ati to usay apnay liye baa’s
e sa’aadat samajh kar bardaasht kar jatay.

 Us dar say milnay walay dard ki dawa karnay kay bajaye usay mahboob ki
taraf say milnay wala ‘azeem tohfa samajhtay.

20
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

 Mahboob ki bargah balkay gali kochon say nisbat rakhnay wali chezon ki
bhi ta’zeem o takreem kartay.
 Us pak sarzameen par pohanch kar adab ki wajah say suwari par suwar
honay balkay chappal ya jotay pehannay say bhi gurayz kartay.

Aye Allah  !  " # hamayn bhi Madinay pak ka khob adab karnay ki tofeeq ata
farma aur hum sab ko Murshid kareem kay sath bar bar Madinay shareef ki
ba adab hazri naseeb farma.
َّ ٰ َ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ
‫ َو َسلم‬ ‫ عل ۡيهِ َوا ِل‬+‫ا ت َعا‬ ‫م ۡي صل‬
َۡ ّ َّ َ ۡ ٰ
ِ 6‫ا‬ ِ ِ ‫ا ِمي ِباه ِ ال‬
‫ب‬
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Tayl dalnay aur kanghi karnay kay Madni phool


Aye! Sar mayn tayl dalnay aur kanghi karnay kay hawalay say chand madani
phool suntay hayn.

Hazarat Sayyiuna Anas farmatay hayn kay Allah  !  " # kay mahboob, danai e
ghuyob,      ٖ              
   sar e aqdas mayn aksar tayl lagatay aur darhi
Mubarak mayn kanghi kartay thay aur aksar sar e mubarak par kapra (yani sar
band shareef) rakhtay thay yahan tak kay wo kapra tayl say tar ho jata tha.
(Shama’il-e-Tirmizi, pg.40, Hadees.32)

 Sar kay baal saabun say dhonay ka jin ka ma’mool nahyn hota un kay
baalon mayn aksar badbu (smell) ho jati hay khud ko agarchay badbu na ati
ho magar dosron ko ati hay.  Mun, badan, aur libas waghayrah sa badbu
aati ho is haal mayn masjid ka daakhila haram hay kay is say logon aur
frishton ko ezaa hoti hay.  Haan badbu ho magar chupi hui ho jasay baghal
ki badbu to is mayn haraj nahyn,  Hazrat Sayyiduna Naafi’  ,)#       
 +
  say
riwayat hay, Hazrat Sayyiduna Ibn e Umar 5 - ,)#       + 
  din mayn do martaba
tayl lagatay. (Musannaf Ibn-e-Shayba, vol. 6, pp .117)  Balon mayn tayl ka ba
kasrat ist’emaal khusoosan ahl ‘ilm hazaraat kay liye mufeed hay kay is say
sar mayn khushki nahyn hoti, dimagh tar aur haafiza qawi hota hay, farmanay
Mustafa      ٖ              
   jab tum mayn say koi tayl lagaye to bhanwon say

21
Haziri-e-Madinah aur Buzurgon ka Andaaz Translated into Roman by Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

shuro karay, is say sar ka dard dor hota hay (Al-Jami’-us-Sagheer, pp. 28, Hadees.269)
 Kanz ul ummal mayn hay: Piyaray Piyaray Aaqa, Makki Madani Mustafa
    ٖ        
    
   jab tayl ist’imaal farmatay to pahlay apni ulti hathayli par tayl
dal laytay thay, par pahlay donon abruon par phir donon aankhon par phir sar
Mubarak par lagatay thay. (Kanz-ul-Ummal, vol. 4, pp. 46, Hadees.18295)  Baghayr
‫ ِ ِ
ا‬parhay tayl lagana aur balon ko khushk aur paragandah (yani bikhray
huye) rakhna khilaf e sunnat hay, Hadees pak mayn hay: Jo baghayr ‫ ِ ِ
ا‬
parhay tyl lagaye to 70 shayateen is kay sath shareek ho jatay hayn (Amal-ul-
Yaum wa Al-Lailah Ibn Al-Sani, pp. 78, Hadees. 175)

Tarah tarah ki hazaron sunnatayn sekhnay kay liye Maktabat ul Madinaki


matboo’ah do kutub ‘Bahar-e-Shari’at’ hissah 16 (312 safahat) neez 120
safahaat ki kitab “Sunnatayn aur Aadab” hadyatan hasil kijiye aur parhye.
َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 
َ َ ۡ ُّ َ
‫  م َّمد‬+‫ا ت َعا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

22

You might also like