Sunni Kaun Wahabi Kaun (Roman)

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 26

SUNNI KAUN?

WAHABI KAUN?
(ROMAN URDU)

SUNNI
WAHABI

WRITTEN BY:

ABDE
MUSTAFA
BOOK’S / PAMPHLET’S NAME

SUNNI KAUN?
WAHABI KAUN?
(ROMAN URDU)

AUTHOR : ABDE MUSTAFA SABIR ISMAYEELI

LANGUAGE : ROMAN URDU

TOPIC : AQAID

DESIGNING : PURE SUNNI GRAPHICS

PUBLISHING TIME : SEPTEMBER 2022

PUBLISHER : SABIYA VIRTUAL PUBLICATION

PAGES : 12

All Rights Reserved.


SABIYA VIRTUAL PUBLICATION
POWERED BY AMO
Allah
beginning with the name of
the Most Gracious, the Most Merciful

All Praise to Allah, the Lord Of The Creation,


and countless blessings and peace
upon our Master Muhammad ‫ ﷺ‬he leader of the Prophets.

SUNNI KAUN?
WAHABI KAUN?
(ROMAN URDU)
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?

Contents
(Click on Headings to direct jump on corresponding pages)

Important Note .......................................................................... 2


Wahabiyo Ke Aqaid .................................................................. 4
Badmazhabo Se Doori .............................................................. 7
Asal Chhod Kar Furu Mein Jhagda .......................................... 8
Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta'ala Likhte
Hain Ke : ................................................................................... 8
Iska Hal Kya Hai? ..................................................................... 9
Khulasa ................................................................................... 10
Our Books In Roman Urdu : ................................................... 13

1
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?

Important Note
Sabiya Virtual Publication Mukhtalaf Zaraaye Se
Mausool Shuda Mawaad Ki Isha'at Kar Rahi Hai, Kai Likhne
Waale Apna Sarmaya Humein Shaaya (Publish) Karne Ke Liye
Irsaal Kar Rahe Hain, Hum Ek Aham Wazahat Bayaan Karna
Zaroori Samajhte Hain Ke Humari Shaya Karda Kitabo Aur
Risalo Ke Mundarijaat (Contents) Ki Zimmedari Hum Is Hadd
Tak Lete Hain Ke Ye Sab Ahle Sunnat Wa Jama'at Se Hai Aur
Ye Bilkul Zaahir Bhi Hai Ke Har Likhari Ka Talluq Ahle Sunnat
Se Hai Aur Phir Ulama -e- Ahle Sunnat Ki Kitabo Ka Mukhtalaf
Zubaano Mein Tarjuma Kiya Ja Raha Hai Jinke Baare Mein Kisi
Ko Koi Shak Nahin Hona Chahiye Aur Phir Baat Aati Hai Lafzi
Aur Imlayi Waghaira Ghalatiyo Ki To Jo Isha'at Khaas Humari
Janib Se Hoti Hai Yaani Wo Kitabein Aur Risale Jo Team Abde
Mustafa Official Ki Peshkash Hoti Hain Unki Zimmedari Hum
Lete Hain Aur Jo Humein Dusre Zariyo Se Mausool Hota Hai
Un Mein Is Tarah Ki Ghalatiyo Ke Hawale Se Hum Bari Hain
Ke Wahan Hum Har Har Lafz Ki Chhaan Phatak Nahin Karte

Team Abde Mustafa Official Ki Ilmi, Tehqeeqi Aur


Islahi Kitabein Aur Risale Kai Marahil Se Guzarne Ke Baad
Shaya Hote Hain Lekin Iske Bawajood In Mein Bhi Aisi
Ghalatiyo Ka Paaya Jaana Mumkin Hai Lihaza Agar Aap
Unhein Paayein To Humein Ittela Farmayein

Sabiya Virtual Publication


Powered by Abde Mustafa Official

2
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?

Afsos Ke Saath Hi Kaha Ja Sakta Hai Ke Awaam Mein


Ek Badi Tadaad Aise Logon Ki Bhi Hai Jinhein Aaj Tak Ye
Nahin Pata Ke Sunni Aur Wahabi Ke Darmiyan Asal Kin Baato
Ka Ikhtelaf Hai, Unhein Lagta Hai Ke Ye Salam Padhne Na
Padhne, Fatiha Karne, Gyarahwi Barahwi Manane Aur Mazaar
Par Jaane Ka Jhagda Hai Lekin Aisa Hargiz Nahin Hai, Ye
Baatein Bhi Hain Lekin Asal Aur Bunyadi Ikhtelaf In Baato Ka
Nahin Hai
Hum Ise Bilkul Aasan Se Aasan Andaaz Mein Yahan Bayaan
Karne Ki Koshish Karenge

Sab Se Pehle Jaan Lijiye Ke Yahan Ikhtelaf "Aqaid" Ka


Hai, Aqaid Ek Jama (Plural) Lafz Hai Jiska Wahid (Singular)
"Aqeeda" Hai Aur Ye Lafz Bana Hai "Aqad" Se Jiska Matlab
Hota Hai Gaanth Lagana, Gutthi, Kisi Ko Bandhna Waghaira,
Isiliye Nikah Ko Bhi "Aqad" Kaha Jaata Hai Ke Is Mein Do Log
Ek Rishte Mein Bandh Jaate Hain
"Aqeede" Ka Aasan Sa Matlab Hai Ke Kisi Baat Ko
Manna, Kisi Baat Ko Dil Ke Saath Gaanth Laga Lena Ya Kisi
Baat Par Yaqeen Kar Ke Use Qabool Kar Lena, Misaal Ke Taur
Par Hum Maante Hain Ke Allah Ek Hai, Humara Ye Manna Ek
"Aqeeda" Hua, Isi Tarah Hum Maante Hain Ke Uska Koi
Shareek (Partner) Nahin Hai To Ye Manna Ek Aqeeda Hua

Ab Aap Aqeede Ki Ahmiyat Ka Andaz Is Baat Se


Lagayein Ke Agar Koi In Dono Aqeedo Mein Kisi Ek Ka Inkar
Kare To Kya Wo Musalman Rahega? Abhi Humne Misaal Ke
Taur Par Sirf Do Aqeede Bayaan Kiye Hain Jinhein "Manna"
Itna Zaroori Hai Ke Iske Bina Koi Musalman Nahin Ho Sakta,
Agar Kisi Ne In Dono Nahin Balki Sirf Ek Aqeede Ka Inkar Kar
Diya To Wo Islam Se Kharij Ho Jayega, Maslan Koi Allah Ko
Ek Nahin Maanta To Ab Ye Kaha Jayega Ke Uska Aqeeda Sahih
Nahin Hai Aur Isi Wajah Se Wo Islam Se Kharij Hai, Theek Isi
Tarah Sunni Wahabi Ke Darmiyan "Aqeede" Ka Hi Bunyadi
3
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Ikhtelaf Hai Aur "Wahabiyo Ke Aqeede Sahih Nahin Hain"

Ab Jab Aap Jaan Chuke Ke Ikhtelaf Aqaid Ka Hai To


Aaiye Ab Jaante Hain Ke Wo Kaun Se Aqaid Hain Ke Jin Ki
Wajah Se Wahabi, Ahle Sunnat Se Nikal Kar Gumrah Hue,
Yahan Is Baat Ka Khayaal Rahe Hai Ke Wahabiyo Mein Bhi
Aapasi Ikhtelafaat Hain Yaani Unhone Apne Andar Bhi Giroh
Bana Rakhe Hain, Humne Kulli Taur Par Wahabi Ka Lafz
Istemal Kiya Hai, Iske Andar Deobandi, Ghair Muqallid Ahle
Hadees Waghaira Sab Shamil Hain, Agar Zyada Tafseel Se In
Mein Se Har Ek Ke Radd Par Padhna Ho To Ulama -e- Ahle
Sunnat Ki Kitabein Dekhi Jaayein

Wahabiyo Ke Aqaid
Note : Ye Aqaid Kitabo Mein Darj Hain Lihaza Ise Jhutlaya
Nahin Ja Sakta, Iski Ek Daleel Ye Hai Ke Ulama -e- Ahle Sunnat
Ne Apni Apni Kitabo Mein Ise Naqal Kiya Hai Aur Is Par
Wahabiyo Mein Se Kisi Ne Bhi Inkar Nahin Kiya, Aur Karte
Bhi Kaise Ke Ye Sab Chhap Kar Bilkul Aam Ho Chuka Hai,
Hum Poori Zimmedari Ke Saath Yahan Unki Ibaratein Naqal
Kar Rahe Hain

(1) Allah Ta'ala Jhoot Bol Sakta Hai


(Fatawa Rasheediya, Kitabul Aqaid)
(2) Khatamun Nabiyyeen Ka Maana Aakhiri Nabi Nahin Hai
(Mulakkhasan, Tehzeerun Naas Az Qasim Nanotwi)
(3) Unmati, Ambiya Se Amal Mein Badh Jaate Hain
(Tehzeerun Naas, Qasim Nanotwi)
(4) Nabi Ke Ilm Ke Baare Mein Likha Hai Ke Aisa Ilm To
Pagalo Aur Janwaro Ko Bhi Hai
(Dekhiye Hifzul Iman, Ashraf Ali Thanvi)
(5) Likha Hai Ke Nabi Ko Deewar Pichhe Ka Bhi Ilm Nahin Hai
(Baraheene Qatia)
(6) Nabi Ki Tazeem Bade Bhai Jitni Karni Chahiye
(Taqwiyatul Iman, Maulvi Ismayeel Dehelvi)
4
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
(7) Nabi Mar Kar Mitti Mein Mil Gaye (Taqwiyatul Iman)
(8) Namaz Mein Nabi Ka Khayal Gaaye, Bail Aur Gadhe Ke
Khayal Se Badtar Hai (Sirate Mustaqeem, Ismayeel Dehelvi)
(9) Jo Allah Ke Wali Ke Mazaar Se Madad Chahe Wo Kafir Hai
(Taqwiyatul Iman)َّ ‫َ َّ ُ َ َ ی َ ی‬
(10) Nabi ‫م‬ ‫اٰلی َعل ْی ِہی َوالِہٖ ی َو َس یل َ ی‬ ‫صلی ہللای تع‬, Allah Ke Nazdeek Zarra -e-
Nacheez Se Bhi Kamtar Hain (Taqwiyatul Iman)
(11) Ambiya Aur Auliya Ko Apna Shafee Samajhna Shirk Hai
(Taqwiyatul Iman)
(12) Nabi Alaihissalam Ka Ilm Shaitan Aur Malakul Maut Se
Kam Hai (Baraheene Qatia)
(13) Tamam Makhlooq Allah Ki Shaan Ke Aage Chamar Se Bhi
Zyada Zaleel Hai (Taqwiyatul Iman)
(14) Jis Ka Naam Muhammad Ya Ali Hai Wo Kisi Cheez Ke
Mukhtar Nahin, Nabi Aur Wali Kuchh Nahin Kar Sakte
(Taqwiyatul Iman)
(15) Allah Ke Waliyo Ko Allah Ki Makhlooq Samajh Kar
Pukarna Bhi Shirk Hai
(16) Nabi Ke Chahne َّ Se Kuchh Nahin Hota (Taqwiyatul Iman)
‫َ َّ ُ َ َ ی َ ی‬
(17) Huzoor ‫م‬ ‫اٰل َیعل ْی ِہ َیوالِہٖ َیو َس یل َ ی‬‫لیہللایتع‬
‫ ص ی‬Ke Rauze Ke Samne Tazeeman
Khade Hona Shirk Hai (Taqwiyatul Iman)
(18) Taqleed, Milad Ka Qiyam, Chaliswa, Peer Ki Gyarahwi
Waghaira Tamam Shirko Kufr Aur Bidaat Hain
(Baraheene Qatia)
(19) Ambiya, Awliya Kuchh Taqat Nahin Rakhte Aur Na Sunte
Hain (Taqwiyatul Iman)
(20) Huzoor Alaihissalam Ke Misl Kisi Dusre Nabi Ka Paida
Hona Bhi Mumkin Hai (Taqwiyatul Iman)
(21) Ambiya Aur Awliya Allah Ki Ata Se Tasarruf Farmate
Hain Aur Allah Ta'ala Ki Bargah Mein Humare Liye Sifarshi
Aur Wakeel Hain Ye Sab Kuchh Shirk Aur Khurafat Hain
(Taqwiyatul Iman)
(22) Allah Ki Shaan Ye Hai Ke Ek Aan Mein Ek Hukme Kun
Se Karodo Nabi Aur Wali Aur Jinn Wa Firishte Jibreel Aur
5
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
َّ َ ‫ی‬ َ ‫یہللا َیت َع ی‬ ّ
Muhammad ‫م‬ ‫اٰل َیعل ْی ِہ َیوالِہٖ َیو َس یل َ ی‬ ُ ‫ل‬ ‫ َص ی‬Paida Kar Daale
(Taqwiyatul Iman)
(23) Mahafile Milad Mein Shareek Hona Najaiz Hain (Fatawa
Rasheediya)
(24) Nabi Ki Tareef Bashar Ki Si Karni Chahiye Aur Is Mein
Bhi Kami Karni Chahiye (Taqwiyatul Iman)

Chunki "Hisabul Jummal" Ke Mutabiq Lafze Wahabi


Ka Adad "24" Hota Hai Isliye Yahan Humne Inke Sirf 24 Aqaid
Bayaan Kiye Hain
(Note : Kitab Ka Naam Likhne Par Hi Iktefa Kiya Gaya Hai Kyunki Ye
Kitabein Kai Jagaho Se Kai Martaba Chhapi Hain Aur Sab Mein Mazkoora
Ibaratein Alag Alag Maqaam Par Hain Yaani Kisi Kitab Mein Koi Ibarat Safa
Number 20 Par Hai To Zaroori Nahin Ke Wo Har Kisi Ke Paas Maujood
Kitab Mein Safa Number 20 Par Hi Ho Balki 30 Ya 35 Ya 15 Par Bhi Ho
Sakti Hai, Ye Aisi Baat Hai Ke Ahle Ilm Behtar Samajhte Hain, Unhein
Batane Ki Zaroorat Nahin Lekin Chunki Ye Hum Awaam Ke Liye Likh Rahe
Hain Taaki Har Koi Ise Padh Kar Samajh Sake To Ye Bayaan Karna Zaroori
Mahsoos Hua)
Ek Musalman Jo Allah Aur Uske Rasool Se Muhabbat Karta Ho
Wo Khud Andaza Laga Sakta Hai Ke Aise Aqaid Kis Qadar
Gustakhi Bhare Hain

Wahabiyo Ke In Aqaid Ki Wajah Se Ulama -e-


Haramain Shareefain Ne Muttafiqa Taur Par Ye Fatwa Tehreer
Farmaya Ke Aise Aqaid Rakhne Waale Islam Se Kharij Hain,
Aaj Bhi Ye Fatwe "Hussamul Haramain" Naami Kitab Mein
Dekhe Ja Sakte Hain, Phir Hindustan Ke Ulama Ne Bhi Is Par
Ittefaq Kiya Jiski Tafseel Kitab "Assawarimul Hindiya" Mein
Dekhi Ja Sakti Hai

Inke Radd Par Saikdo Balki Hazaaro Ki Tadaad Mein


Kitabein Likhi Ja Chuki Hain Jiske Jawab Mein Wahabiyo Ne
Bas Batil Taweelaat Pesh Ki Aur Tauba Karne Ke Bajaye Apni
Kitabo Mein Maujood In Gustakhi Bhari Ibarato Ka Difa Kiya
Jisse Saabit Ho Gaya Ke Ye Log Yahi Aqaid Rakhte Hain
6
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Wahabi Chunki Apne Aqaid Ki Wajah Se Islam Se
Kharij Ho Chuke Hain Lihaza Sunni Musalmano Par Farz Hai
Ke Wo Inse Khud Ko Bachayein, Inke Saath Rishtedari, Inke
Yahan Dawato Mein Jaana Ya Inko Apne Yahan Dawat Dena,
Inse Salam Dua, Inki Tazeem, Inse Dosti, Inke Pichhe Namaz
Padhna, Inke Janazo Mein Jaana, Inki Masjido Mein Chanda
Dena, Inke Madraso Mein Bachho Ko Padhana, Inke Ulama Ke
Bayanaat Sunna, Inke Muftiyo Se Masail Puchhna Aur Is Tarah
Ke Dusri Saari Baato Se Bachna Ashad Zaroori Hai

Badmazhabo Se Doori
Kisi Maulvi Ki Baat Nahin Hai Balki Ye Allah Aur Uske
Rasool Ka Hukm Hai Ke Badmazhabo Se Doori Ikhteyar Ki
Jaaye Aur Unse Apne Iman Ko Bachaya Jaaye, Unki Sohbat
Zehre Qatil Hai Jo Aapke Iman Ko Tabah Kar Sakti Hai
Iski Tafseel Padhne Ke Liye "Arbayeene Shiddat" Naami
Kitab Dekhi Jaaye Jis Mein Kai Aayaat Aur Ahadees Is Baab
Mein Pesh Ki Gai Hain Ke Badmazhabo Par Shiddat Ki Jaaye
Aur Yahi To Imame Ahle Sunnat Farmate Hain Ke :
Dushmane Ahmad Pe Shiddat Kijiye

Ye Koi Na Samjhe Ke Hum Fitna Phaila Rahe Hain


Balki Haqeeqat Ye Hai Ke Jinhone Islam Mein Islami Aqaid Ka
Chehra Bigaad Kar Fitna Phailane Ki Koshish Ki Hai, Un Se
Bachne Ki Guzarish Kar Rahe Hain Aur Is Mein Aapka Hi Faida
Hai, Agar Aap Aaj Humari In Baato Ko Nazar Andaaz Kar Ke
Wahabiyo Se Mel Jol Rakhte Hain To Iska Wabaal Aapke Sar
Hoga Aur Mar Kar Uthne Ke Baad Iska Khamiyaza Aapko
Bhugatna Padega Lihaza Abhi Waqt Hai, Baato Ko Samjhein
Aur Hidayat Pe Chalein
Jaagna Hai Jaag Le Aflaak Ke Saaye Tale
Hashr Tak Sota Rahega Khaak Ke Saaye Tale

7
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?

Asal Chhod Kar Furu Mein Jhagda


Ek Bahut Badi Ghalati Jo Ki Jaati Hai Wo Ye Hai Ke
Asal Baato Ko Chhod Kar Furu Mein Hadd Se Zyada Tawajjo
Di Jaati Hai, Hum Ye Kehna Chahte Hain Ke Asal Jhagda Hai
"Aqaid" Ka Aur Behas Mubahasa Aksar "Furui Masail" Mein
Ki Jaati Hai, Aapne Bhi Is Baat Ka Mushahada Kiya Hoga Ke
Jahan Kahin Is Ikhtelaf Par Baat Hoti Hai To Bunyadi Masail
Ko Chhod Kar Aise Masail Par Bahas Ki Jaati Hai Ke Jis Par
Bahas Karna Awwalan Zaroori Nahin Aur Hai Bhi To Ye Baad
Ki Baat Hai

Is Mein Ek Baat Ye Bhi Qabile Ghaur Hai Ke Aakhir


Aisa Kyun Hota Hai? Iski Ek Wajah To Ye Hai Ke Awaame
Ahle Sunnat Mein Jo Tabqa Inhi Furui Masail Ko Bunyadi
Ikhtelaf Ki Wajah Samajhta Hai To Wo Inhi Mein Lag Jaata Hai
Aur Phir Wo Tabqa Jo Samajhta Hai Ke Ye Furui Masail Hain,
Asal Ikhtelaf To Bunyadi Aqaid Ka Hai, Unhein Bhi Wahabi
Bahas Ke Dauraan Furu Ki Taraf Le Jaate Hain Aur Sunniyo Ko
Apni Is Harkat Se Gumraah Karte Hain, Hum Apni Is Baat Ke
Suboot Mein Imame Ahle Sunnat Ki Ek Ibarat Yahan Naqal Kar
Rahe Hain Jise Padh Kar Har Sunni Ko Ghaur Aur Khoob Ghaur
Karne Ki Zaroorat Hai, Ye Ek Badi Baat Aa Rahi Hai

Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta'ala


Likhte Hain Ke :
Bedeeno Ki Badi Raahe Faraar Ye Hai Ke Inkar Karein
Zarooriyaate Deen Ka, Aur Bahas Chahein Kisi Halke Mas'ale
Mein Jis Mein Kuchh Gunjaish Dasto Paa Zadan Ho
(Fatawa Razviyya, Jild15, Safha603)

Imame Ahle Sunnat Ne Jo Nass Pakdi Hai Wo Bedeeno


Ki Ek Badi Chaal Hai, Wo Inkar Karte Hain Zarooriyaate Deen
Ka Yaani Bunyadi Aqaid Ya Aise Mas'ale Ka Ke Jiske Inkar Se
Banda Deen Se Kharij Ho Jaata Hai Aur Phir Behas Chahte Hain
8
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Ek Aise Mas'ale Par Ke Jo Halka Ho, Ye Ek Badi Baat Hai Jis
Par Ghaur Karne Ki Zaroorat Hai

Iska Hal Kya Hai?


Iska Hal Ye Hai Ke Awwalan To Awaame Ahle Sunnat
Wahabiyo Se Bahas Na Kare, Ye Awaam Ka Kaam Nahin Hai
Ke Wo Aise Masail Mein Bahas Karein, Darmi Shareef Mein
Waqiya Hai Ke Imam Muhammad Bin Sireen Ke Paas Jab
Badmazhab Aaye To Aapne Kaano Mein Ungli Daal Li Aur
Unse Bahas Karne Ya Unki Baat Sunne Se Inkar Kar Diya Aur
Iski Wajah Ye Bayaan Ki Ke Kahin Aisa Na Ho Un
Badmazhabo Ki Baatein Mere Dil Mein Ghar Kar Jaaye

Agar Awaam Wahabiyo Se Bahas Karegi To Daurane


Bahas Wo Aisi Kai Baatein Keh Denge Ke Jin Se Ek Bhole
Bhaale Sunni Ke Dil Mein Shukooko Shubhaat Paida Hone
Lagenge Aur Aage Chal Kar Ye Uske Gumrah Hone Ka Sabab
Bhi Ban Sakte Hain, Aur Aisa Hua Bhi Hai Ke Kai Log Jo Sunni
The Wo Jab Inse Bahas Karne Gaye To Inke Jaal Mein Phans
Gaye Lihaza Awaam Ko Hargiz Iski Ijazat Nahin Ke Wo In Ke
Saath Bahas Kare

Dusri Baat Ye Hai Ke Jo Ahle Ilm Hazraat Inke Saath


Bahas Karte Hain Wo Asal Aur Bunyadi Masail Ko Chhod Kar
Furu Ki Taraf Na Jaayein Aur Na Saamne Waale Ko Bhagne Ka
Mauqa Dein Warna Humne Aisi Kai Bahasein Aur Munazre
Dekhe Hain Ke Jinhein Waqt Ko Barbad Karna Kaha Ja Sakta
Hai
Ahle Ilm Hazraat Se Guzarish Hai Ke Is Janib Khaas Tawajjo
Farmayein

9
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?

Khulasa
Ab Aate Hain Khulase Ki Taraf, In Baato Ko Zehan
Nasheen Kar Lijiye Ke :
(1) Ahle Sunnat Wa Jama'at (Sunni) Ka Wahabiyo Se Ikhtelaf
Aqaid Ka Hai

(2) Aslan Fatiha, Duroodo Salam, Mazaraat Ki Ziyarat,


Gyarahwi Aur Barahwi Manane Ya Khichda Sharbat Aur Murgh
Musallam Ka Ikhtelaf Nahin Hai, Ye Bhi Apni Jagah Hain Lekin
Bunyadi Ikhtelaf Inka Nahin Hai

(3) Wahabi Deobandi Apne Aqaid Ki Wajah Se Islam Se Kharij


Hain Aur Ulama -e- Haramain Shareefain Phir Hindo Paak Ke
Ulama -e- Ahle Sunnat Ne Inke Kufr Par Ittefaq Kiya Hai Aur
Inki Gustakhiyo Ka Khula Radd Farmaya Hai

(4) Awaam Par Laazim Hai Ke Wahabiyo Se Door Rahein Aur


Inse Talluq Na Rakhein

(5) Wahabiyo Se Bahas Karna Awaam Ka Kaam Nahin Hai, Ye


Khatre Se Khaali Nahin Hai Ke Koi Aam Sunni Inse Ja Kar
Ikhtelafi Masail Mein Bahas Kare
(6) Jo Ilm Waale Inse Bahas Karte Hain Wo Bunyadi Ikhtelafaat
Par Hi Bahas Karein, Inki Aadat Hai Aur Ye Chaal Hai Ke Asal
Mas'ale Se Hat Kar Furooyi Masail Par Bahas Karte Hain Lihaza
Inhein Raahe Faraar Na Dein Aur Inke Pichhe Apna Waqt Zaaya
Na Karein
(7) Ek Aham Baat Ye Ke Jahan Awaame Ahle Sunnat Ko
Wahabiyo Se Bahas Karne Ki Ijazat Nahin Hai Wahin Iski Bhi
Ijazat Nahin Ke Awaam Har Ek Par Kufr Ka Fatwa Lagaye,
Bahut Se Log Aise Hain Ke Abhi Wahabi Nahin Hue, Unhein
Aqaid Ka Sahih Se Ilm Hi Nahin Bas Unka Uthna Baithna
Wahabiyo Ke Saath Hai Ya Kuchh Aise Hain Ke Bas Naam Ke
10
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Wahabi Hain, Asal Mein Kuchh Nahin Jaante To Aise Logon
Ko Kafir Kehna Sahih Nahin Hai, Ulama -e- Ahle Sunnat Ne
Isse Mana Farmaya Hai, Ye Jo Hukme Kufr Hai Wo Un Ibarato
Aur Uske Likhne Waalo Par Hai Jinhone Use Apni Kitabo Mein
Na Sirf Likha Balki Uska Difa Bhi Kiya Aur Unke Baad Un
Logon Par Bhi Hai Ke Jo Unki Pairwi Karte Hain, Unki
Gustakhiyo Ko Tasleem Na Kar Ke Unka Difa Karte Hain
Lihaza Aisa Hargiz Nahin Hai Ke "Har Shakhs Jo Wahabi
Kehlata Hai Wo Kafir Ho" Ye Bahut Hi Aham Mas'ala Hai Jise
Jaan Lena Chahiye Warna Aisa Na Ho Ke Aap Kisi Aise Shakhs
Ko Kafir Keh Daalein Ke Jisne Koi Kufr Nahin Kiya
Ye Bhi Jaan Lein Ke Aise Log Jo Bas Wahabi Kehlate Hain,
Unke Aqaid Kufr Ke Darje Tak Nahin Pahunche Hain To Unke
Saath Bhi Mel Jol Jaaiz Nahin Kyunki Unka Wahabi Kehlana,
Wahabiyo Mein Uthna Baithna Aur Unki Masjido Mein Namaz
Padhna Aur Dusri Baatein Ye Saabit Karne Ke Liye Kaafi Hain
Ke Wo Gumrah Hain, Ahle Sunnat Se Nahin Lihaza Unki
Sohbat Se Bhi Bacha Jayega

(8) Wahabi Ko Sunni Banane Ki Fikr Awaam Ko Nahin Karni


Chahiye, Aisi Fikr Rakhne Waale Kai Log Wahabi Ho Gaye!
Ye Awaam Par Lazim Nahin Hai Ke Wo Har Ek Wahabi Ko Ja
Kar Sunni Hone Par Aamada Kare Aur Phir Unke Saath Bahas
Kar Ke Khatre Mein Pade, Awaam Ko Unse Bachne Ka Hukm
Hai To Bachna Chahiye, Aisa Nahin Ke Unse Munazra Karne
Lag Jaayein

(9) Nikah Ke Muamlaat Mein Khaas Tawajjoh Ki Zaroorat Hai,


Chahe Rishta Der Se Ho Lekin Sunniyo Mein Hi Rishta Karein,
Nihayat Zaroori Hai Ke Thok Baja Kar Rishte Qaaim Kiye
Jaayein Warna Ek Poori Nasl Gumraah Ho Sakti Hai, Jinki
Ladkiya Hain Wo Sunni Gharano Mein Hi Apni Ladkiya Dein
Aur Ladke Waalo Ko Chahiye Ke Jahez Aur Paiso Ka Mutalba
Na Karein Ke Iski Wajah Se Kai Ladkiya Ghairo Balki Ghair
Muslimo Ke Paas Chali Gai! Ladkiyo Ko Bhi Chahiye Ke Apni
11
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Aakhirat Ki Fikr Karein, Agarche Shauhar Gunahgaar Ho Lekin
Sunni Ho Taaki Aakhirat Mein Gunjaish Baaqi Rahe, Agar Iman
Hi Ganwa Baithe To Aamaal Kis Kaam Ke?

(10) Walidain Se Guzarish Hai Ke Jahan Aap Apne Bachho Ko


10-20 Saal Tak Musalsal Schools Aur Colleges Ke Chakkar
Lagwa Kar Aur Ek Badi Raqam Is Mein Kharch Kar Ke Unhein
Dunya Mein Jeene Ke Qabil Banate Hain To Wahin Unki
Aakhirat Ki Bhi Fikr Karein Ke Maut Ke Baad Sab Ke Liye Ek
Hi Aakhirat Hai Jahan Jaane Ke Baad Aana Mumkin Nahin,
Walidain Ko Chahiye Ke Bachpan Se Hi Unhein Deeni Taleem
Ki Ahmiyat Batayein Aur Dusre Uloom Ko Baad Mein Unke
Saamne Rakhein Taaki Wo Samajh Jaayein Ke Asal Kya Hai
Aur Izaafi Kya Hai, Ek Achhi Zindagi Ke Saath Ek Achhi
Aakhirat Ka Bhi Intezam Farmayein, Allah Ta'ala Hum Sab Ko
Iski Taufiq Ata Farmaye

Inhi Baato Ke Saath Hum Apne Is Bayaan Ko Yahan


Rokte Hain, Khayal Rahe Ke Ye Baatein Is Mauzu Par Bahut
Kam Hain, Is Mein Kaafi Tafseel Bayaan Ki Ja Sakti Thi Lekin
Jis Zawiye Se Hum Dekh Rahe Hain, Ye Waqt Ke Taqaze Ke
Mutabiq Kaafi Hai Aur Insha Allah Faidemand Saabit Hoga

Awaam Moti Moti Kitabein Aur Bhaari Bhaari Alfaaz


Par Mushtamil Jumle Samajhne Se Qasir Hai To Unke Liye
Yahi Tarz Mufeed Maloom Hoti Hai
Aap Padhne Waalo Se Guzarish Hai Ke Ise Khud Padhne
Ke Baad Munasib Maloom Ho To Dusro Tak Bhi Pahunchayein,
Allah Aapko Jaza -e- Khair De, Hum Bhi Uski Zaat Se Khair Ke
Talib Hain

Abde Mustafa Official

12
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?

Our Books In Roman Urdu :


(1) Bahaar -e- Tehreer - By Abde Mustafa Official
Ilmi, Tehqeeqi Aur Islahi Tehreero Par Mushtamil Ek Guldasta Jiske Ab Tak
14 Parts Release Ho Chuke Hain, Har Hisse Mein 25 Tehreerein Hain Jo
Mukhtalaf Mauzuaat (Topics) Par Hain
(2) Allah Ta'ala Ko Uparwala Ya Allah Miyan Kehna Kaisa? - By Abde
Mustafa Official
Is Risale Mein Kai Hawalo Se Saabit Kiya Gaya Hai Ke Allah Ta'ala Ko
Uparwala Ya Allah Miyan Kehna Jaaiz Nahin Hai
(3) Azaan -e- Bilal Aur Suraj Ka Nikalna - By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Ek Waqiye Ki Tehqeeq Pesh Ki Gai Hai Jis Mein Hazrate
Bilal Ke Azaan Na Dene Par Suraj Na Nikalne Ka Zikr Hai
(4) Ishqe Majazi (Muntakhab Mazameen Ka Majmua) - By Abde
Mustafa Official
Is Risale Mein Kai Ahbaab Ke Mazameen Shamil Kiye Gaye Hain Jo Ishqe
Majazi Ke Talluq Se Hain, Ishqe Majazi Ke Mukhtalaf Pahluo Par Ye Ek
Haseen Sangam Hai
(5) Gaana Bajana Band Karo, Tum Musalman Ho! - By Abde Mustafa
Official
Is Mukhtasar Se Risale Mein Gaane Bajane Ki Mazammat Par Kalaam Kiya
Gaya Hai Aur Gaano Ke Kufriya Ash'aar Bayaan Kiye Gaye Hain Jise Padh
Kar Kai Logon Ne Gaane Bajane Se Tauba Ki Hai
(6) Shabe Meraj Ghause Paak - By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Ek Mash'hoor Waqiye Ki Tehqeeq Bayaan Ki Gai Hai Jis
Mein Hazrate Ghause Aazam Ka Shabe Meraj Humare Nabi Alaihissalam Se
Milne Ka Zikr Hai
(7) Shabe Meraj Nalain Arsh Par - By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Ek Waqiye Ki Tehqeeq Pesh Ki Gai Hai Jis Mein Meraj Ki
Shab Huzoor Nabiye Kareem Alaihissalam Ka Nalain Pehen Kar Arsh Par
Jaane Ka Zikr Hai
(8) Hazrate Owais Qarni Ka Ek Waqiya - By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Hazrate Owais Qarni Ke Apne Dandaan Shaheed Kar Dene
Waale Waqiye Ki Tehqeeq Bayaan Ki Gai Hai Aur Saath Ye Bhi Ke Allah
Ke Aakhiri Rasool Alaihissalam Ke Dandaan Shaheed Hue The Ya Nahin
Aur Hue To Uski Kaifyat Kya Thi Aur Kai Tehqeeqi Nikaat Shamile Bayaan
Hain
(9) Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat - By Abde Mustafa Official
Ye Risala Majmua Hai Un Fatawa Ka Jo Hazrate Allama Mufti Waqaruddin
Qadri Alaihir Rahma Ne Dr. Tahirul Qadri Ke Liye Likhe Hain, Ye Fatawa
Dr. Tahirul Qadri Ki Gumrahi Ko Bayaan Karte Hain
(10) Taqreer Karne Waala Kaisa Ho? - By Abde Mustafa Official
13
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Is Risale Mein Aap Padhenge Ke Taqreer Karne Ka Ahal Kaun Hai, Ye Kiske
Liye Jaaiz Hai Aur Ek Muqarrir Ke Andar Kaun Kaun Si Baatein Honi
Chahiyein
(11) Ghaire Sahaba Mein Radiallaho Ta'ala Anho Ka Istemal - By Abde
Mustafa Official
Is Risale Mein Kai Dalail Se Saabit Kiya Gaya Hai Ke Sahaba Ke Ilawa Bhi
Taraddi (Yaani Radiallaho Ta'ala Anho) Ka Istemal Kiya Ja Sakta Hai
(12) Ikhtelaf Ikhtelaf Ikhtelaf - By Abde Mustafa Official
Ye Risala Ahle Sunnat Mein Maujood Furooi Ikhtelafaat Ke Hawale Se Hai,
Is Mein Is Baat Ka Bayaan Hai Ke Jab Kabhi Ulama -e- Ahle Sunnat Ke
Mabain Koi Mas'ala Ikhtelafi Ho Jaaye To Us Mein Kaisi Rawish Ikhteyar
Ki Jaani Chahiye
(13) Chand Waqiyaat -e- Karbala Ka Tehqeeqi Jaayeza - By Abde
Mustafa Official
Waqiyaat -e- Karbala Ke Hawale Se Ahle Sunnat Mein Beshumar Waqiyaat
Aise Aa Gaye Hain Jo Shio Ki Paidawaar Hain, Is Risale Mein Humne Chand
Waqiyaat Ki Tehqeeq Pesh Ki Hai Jo Ke Apni Noiyat Ka Munfarid Kaam
Hai, Is Tehqeeqi Risale Mein Kai Ilmi Nikaat Marqoom Hain
(14) Binte Hawwa (Ek Sanjida Tehreer) - By Kanize Akhtar
Aurato Ki Zindagi Mein Paidaish Se Le Kar Nikah Aur Phir Baadahu Ke
Mamlaat Ki Islah Ke Liye Is Risale Ko Ek Alag Andaz Mein Likha Gaya Hai
(15) Sex Knowledge (Islam Mein Sohbat Ke Aadab) - By Abde Mustafa
Official
Islam Mein Jinsi Talluqaat Aur Is Hawale Se Jadeed Masail Par Ye Risala
Bade Hi Aam Faham Andaaz Mein Likha Gaya Hai Aur Aasan Hone Ke
Saath Saath Ye Risala Dalail Se Bhi Muzayyan Hai
(16) Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Waqiye Par Tehqeeq - By Abde
Mustafa Official
Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Mutalliq Mash'hoor Waqiyaat Ki Tehqeeq
Par Ye Risala Likha Gaya Hai, Kai Hawalo Se Asal Riwayaat Aur Unki
Kaifyat Ko Ambiya Ki Azmat Ko Madde Nazar Rakhte Hue Bayaan Kiya
Gaya Hai
(17) Aurat Ka Janaza - By Janabe Ghazal Sahiba
Aurat Ke Janaze Ko Kaun Kaun Dekh Sakta Hai?, Kaun Kaun Kandha De
Sakta Hai?, Kya Shauhar Kandha Nahin De Sakta? Aur Aise Kai Sawalaat
Ke Jawab Aapko Is Risale Mein Milenge
(18) Ek Aashiq Ki Kahani Allama Ibne Jauzi Ki Zubaani - By Abde
Mustafa Official
Ek Aashiq Ki Badi Dilchasp Kahani Hai Jis Mein Mazaah Hai, Tafreeh Hai,
Sabaq Hai Aur Ibrat Hai
Is Waqiye Ko Allama Ibne Jauzi Ki Kitab "Zammul Hawaa" Se Liya Gaya
Hai
14
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
(19) Huzoor Ki Shaan In The Quraan - By Mufti Ahmad Yaar Khan
Nayeemi
Is Kitab Mein Allah Ke Habeeb Alaihissalam Ki Shaan Mein Naazil Hone
Waali Kai Aayaat Ko Yakja Kiya Gaya Hai
(20) Husne Mustafa Aur Kalame Raza - By Maulana Sajjad Ali Faizi
Is Kitab Mein Aala Hazrat Ke Naatiya Ash'aar Mein Se Un Ash'aar Ko Naqal
Kiya Gaya Hai Jo Mustafa Kareem Alaihissalam Ke Husn Par Hain
Iske Aur Bhi Hisse Hain Jinka Naam "Qasida -e- Meraj Ki Sharah Aur
Sharahe Kalaame Raza" Hai
(21) Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooqe Aazam
By Tajushshariah, Mufti Akhtar Raza Khan
Ye Kitab Hazrate Abu Bakr Siddique Aur Hazrate Umar Faruque Radiallaho
Ta'ala Anhuma Ki Afzaliyat Par Likhi Gai Hai
(22) Kya Hazrate Bilal Radiallaho Ta'ala Anho Ka Rang Kaala Tha? -
By Abde Mustafa Official
Hazrate Bilal Ke Rang Ke Mutalliq Tehqeeqi Bahas Ke Aapka Rang Kaisa
Tha, Is Mein Saabit Kiya Gaya Hai Ke Aap Kaale Nahin The Jaisa Ke
Mash'hoor Hai
(23) Hazrate Bilal Ke Islam Laane Ka Waqiya Kya Tha? - By Abde
Mustafa Official
Hazrate Bilal Ke Islam Qabool Karne Ke Talluq Se Kai Waqiyaat Mash'hoor
Hain Jinki Koi Asal Nahin Hai, Is Risale Mein Asal Waqiye Ko Bayaan Kiya
Gaya Hai
(24) Sharah Mishkaat (Kitabul Iman) - By Mufti Ahmad Yaar Khan
Nayeemi
Ye Kitab Mishkaat Shareef Ke Kitabul Iman Ki Sharah Hai
(25) Chand Ghair Motabar Kitabein - By Maulana Hasan Noori
Is Risale Mein Ghair Motabar Kitabo Maslan Noornama, Dus Biwiyo Ki
Kahani Waghaira Ki Nishandehi Ki Gai Hai
(26) Tirmizi (Part 1) - By Muhammad Bin Eisa Tirmizi
Ye Sihah Sitta Mein Dakhil Mash'hoor Hadees Ki Kitab Tirmizi Shareef Ka
Ek Hissa Roman Urdu Mein Hai
(27) Aaiye Namaz Seekhein (Part 1) - By Abde Mustafa Official
Is Kitab Mein Namaz Padhne Aur Isse Mutalliq Zyada Se Zyada Masail Ko
Jama Karne Ki Koshish Ki Gai Hai, Istelahaat Ko Aasan Andaaz Mein
Bayaan Kiya Gaya Hai, Iske Agle Hisso Par Bhi Kaam Jaari Hai
(28) Sharah Mishkaat (Kitabul Ilm) - By Mufti Ahmad Yaar Khan
Nayeemi
Ye Mishkaat Shareef Ke Kitabul Ilm Ki Sharah Hai
(29) Sahih Bukhari Aur Ilme Ghaib - By Allama Muhammad Abdul
Qadir
Is Kitab Mein Sahih Bukhari Se Un Hadeeso Ko Liya Gaya Hai Jin Mein
15
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Ilme Ghaibe Mustafa Ki Daleel Hai,
Bukhari Bukhari Ki Ratt Lagane Waalo Ko Is Mas'ale Par Jawab Dene Ke
Liye Ye Ek Achhi Kitab Hai
(30) Difa -e- Kanzul Iman - By Tajushshariah, Mufti Akhtar Raza Khan
Ye Kitab Aala Hazrat Ke Tarjuma -e- Quran, Kanzul Iman Ke Difa Mein Hai
(31) Pehle Farz Nafl Baad Mein - By Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza
Khan Barelvi
Ye Risala Farz Aur Nawafil Ki Adayegi Ki Tehqeeq Par Hai Ke Jiske Zimme
Faraiz Baaqi Ho'n Uska Nawafil Mein Mashghool Hona Durust Nahin
(32) Qiyamat Ke Din Logon Ko Kis Ke Naam Ke Saath Pukara Jayega -
By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Is Baat Ki Tafseel Bayaan Ki Gai Hai Ke Qiyamat Ke Din
Logon Ko Maa Ke Naam Ke Saath Pukara Jayega Ya Baap Ke Naam Se
(33) Yaare Ghaar - By Dr. Asif Ashraf Jalali
Ye Kitab Hazrate Abu Bakr Siddique Radiallaho Ta'ala Anho Ki Fazeelat Par
Hai
(34) Tie Ka Mas'ala - By Huzoor Tajushshariah
Ye Risala Tie Ke Mas'ale Par Hai Ke Is Ka Pehenna Jaaiz Nahin Hai
(35) Sawaneh Tajushshariah - By Mufti Dr. Yunus Raza
Ye Risala Huzoor Tajushshariah, Allama Mufti Akhtar Raza Khan Barelvi
Ki Sawaneh Hayaat Hai
(36) Huzoor Tajushshariah Aur Bukhari Shareef Ki Pehli Hadees Ka
Dars - By Maulana Muhammad Raza Markazi
Ye Risala Bukhari Shareef Ki Pehli Hadees Ki Sharah Aur Kai Ilmi Nikaat
Par Mushtamil Hai
(37) Huzoor Tajushshariah Ke Kalaam Mein Muhawraat Ka Istemal -
By Muhammad Kashif Raza Shaad Misbahi
Is Risale Mein Huzoor Tajushshariah Ke Likhe Kalaam Mein Muhawraat Ke
Istemal Ka Zikr Hai
(38) Hussamul Haramain - By Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan
Barelvi
Ye Kitab Deobandiyo Ke Akabireen Pe Ulama -e- Haramain Ke Fatawa Ka
Majmua Hai Jis Mein Unhein Kafir Qaraar Diya Gaya Hai
(39) Haque Par Kaun? - By Allama Muhammad Zafar Attari
Is Kitab Mein Daure Haazir Ke Firqo Ke Batil Aqaid Ka Radd Kiya Gaya
Hai Aur Ahle Sunnat Ki Haqqaniyat Bayaan Ki Gai Hai
(40) Shirk Kya Hai? By Allama Muhammad Ahmad Misbahi
Shirk Ke Mauzu Pe Ek Behtareen Kitab Hai Jis Mein Shirk Ka Asal
Mafhoom Bayaan Kiya Gaya Hai
(41) Qurbani Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat - By Allama Mufti
Amjad Ali Aazmi
Ye Risala Qurbani Ke Bayaan Par Hai Jo Ke Bahaar -e- Shariat Se Makhooz
16
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Hai
(42) Zibah Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat - By Allama Mufti
Amjad Ali Aazmi
Ye Risala Zibah Ke Bayaan Par Hai Jo Ke Bahaar -e- Shariat Se Makhooz
Hai
(43) Eisaiyat Se Islam Tak - By Allama Ghulam Rasool Qasmi
Eisaiyat Aur Islam Ke Taqabul Par Ye Ek Achhi Kitab Hai, Taqabule Adyaan
Par Mutala Karne Waalo Ke Liye Ye Ek Mufeed Kitab Hai
(44) Zambik Ka Maana Aur Masla -e- Durood - By Allama Syed Ahmad
Sayeed Kaazmi
Is Risale Mein Huzoor Alaihissalam Ke Liye Warid Lafz "Zambik" Ka
Mafhoom Bayaan Kiya Gaya Hai
(45) Islami Taleem (Part 1) - By Allama Mufti Jalaluddin Ahmad
Amjadi
Ye Kitab Islam Ki Bunyadi Malumaat Par Mushtamil Hai, Bachho Ko
Padhane Ke Liye Ye Ek Achhi Kitab Hai
(46) Muharram Mein Kya Jaiz Aur Kya Najaiz? - By Allama Tatheer
Ahmad Razvi
Ye Kitab Muharram Mein Hone Waale Khurafaat Ke Radd Mein Hai Aur
Saath Hi Karne Waale Achhe Kaamo Ka Bhi Bayaan Hai
(47) Muharram Mein Nikah - By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Maahe Muharram Mein Bhi Nikah
Jaaiz Hai Aur Ise Najaiz Kehna Bilkul Ghalat Hai, Muharram Mein Gham
Manana Ye Koi Islami Rasm Nahin Aur Chahe Ghar Banana Ho Ya Machhli,
Anda Aur Gosht Waghaira Khana Sab Muharram Mein Jaaiz Hain
(48) Islami Zindagi - By Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
Is Kitab Mein Aap Padhenge Ke Islami Tariqe Se Zindagi Kis Tarah Guzari
Jaaye Saath Hi Musalmano Ki Zindagi Ke Kai Shobajaat Mein Raaij Rasmo
Riwaj Ke Bayaan Par Ye Ek Achhi Kitab Hai
(49) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 1) - By Abde Mustafa Official
Ye Risala Ahle Sunnat Mein Mash'hoor Riwayato Ki Tehqeeq Par Mushtamil
Hai, Is Mein Riwayato Ki Tehqeeq Bayaan Ki Gai Hai, Sahih Riwayato Ki
Sihhat Par Aur Batil Riwayato Ke Mauzu Wa Be Asal Hone Par Dalail Pesh
Kiye Gaye Hain, Iske Aur Bhi Hisso Par Kaam Jaari Hai
(50) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 2) - By Abde Mustafa Official
Ye Riwayato Ki Tehqeeq Ka Dusra Hissa Hai, Iske Aur Bhi Hisso Par Kaam
Jaari Hai
(51) Sharahe Kalaame Raza - By Al Hafiz Al Qaari Maulana Ghulam
Hasan Qadri
Is Kitab Mein Aala Hazrat Ke Kalaam Mein Se Baaz Ki Sharah Hai, Iske Aur
Bhi Hisse Hain Jinka Naam "Husne Mustafa Aur Kalaame Raza Aur Qasida
-e- Meraj Ki Sharah" Hai
17
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
(52) Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique - By Allama Ghulam Rasool
Qasmi
Ye Kitab Hazrate Abu Bakr Siddique Ki Fazeelat Par Hai Aur Saahibe Kitab
Ko Janne Waale Inka Andaaze Tehreer Zaroor Jaante Honge
(53) Aulia -e- Rijalul Hadees - By Allama Abdul Mustafa Aazmi
Ye Kitab Muhaddiseen Ki Seerat Ke Mukhtasar Ahwaal Par Mushtamil Hai,
Taqreeban 200 Muhaddiseen Wa Fuqaha Ke Ahwaal Darj Kiye Gaye Hain
(54) Tamheede Imaan - By Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan
Barelvi
Is Kitab Mein Batil Firqo Ke Aqaid Ka Radd Aur Ahle Sunnat Ke Aqaid Ka
Bayaan Hai
(55) Sharah Qasida -e- Meraj - By Al Hafiz Al Qaari Maulana Ghulam
Hasan Qadri
Ye Sharahe Kalaame Raza Ka Teesra Hissa Hai, Iske Do Hisso Banaam
"Sharahe Kalaame Raza" Aur "Husne Mustafa Aur Kalaame Raza" Ka Zikr
Hum Kar Aaye Hain
(56) Imam Mahdi (Zamana -e- Zuhoor Aur Alamaat) - By Imam Ibne
Hajar Haytmi Shafayi
Is Kitab Mein Hazrate Imam Mahdi Ke Nuzool Ke Mutalliq Tafseel Bayaan
Ki Gai Hai
(57) Break Up Ke Baad Kya Karein? - By Abde Mustafa Official
Ye Risala Un Naujawano Ke Liye Likha Gaya Hai Jo Ishqe Majazi Mein
Dhoka Kha Kar Apni Zindagi Ke Safar Ko Jaari Rakhne Ke Liye Raah Talash
Kar Rahe Hain
(58) Ek Nikah Aisa Bhi - By Abde Mustafa Official
Ye Ek Sachhi Kahani Hai, Ek Nikah Ki Kahani, Is Mein Jahan Islami Tariqe
Se Nikah Ko Bayaan Kiya Gaya Hai Wahin Is Par Amal Ki Koshish Bhi Ki
Gai Hai
Hai To Ye Ek Kahani Par Is Mein Aap Tehqeeqi Nikaat Bhi Mulahiza
Farmayenge
(59) Ali Wa Muawiya - By Allama Ghulam Rasool Qasmi
Ye Risala Hazrate Ali Wa Hazrate Ameere Muawiya Ke Darmiyan Hue
Ikhtelaf Aur Ahle Sunnat Ke Is Par Nazariye Ke Bayaan Mein Hai
(60) Kafir Se Sood - By Abde Mustafa Official
Is Risale Mein Aap Padhenge Ke Ek Kafir Aur Musalman Ke Darmiyan Sood
Ki Kya Sooratein Hain? Aur Saath Hi Loan, Bank & Post Interest Par Ulama
-e- Ahle Sunnat Ki Tehqeeq Bhi Shamile Risala Hai
(61) Main Khan Tu Ansari - By Abde Mustafa Official
Islam Mein Qaum, Zaat Aur Biradri Waghaira Ki Asal Par Ye Ek Tehqeeqi
Kitab Hai, Is Mein Masawaat Ko Qaaim Karne Ki Targheeb Dilai Gai Hai,
Kufu Ke Mas'ale Par Tehqeeqi Mawaad Bhi Shamile Kitab Hai
(62) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 3) - By Abde Mustafa Official
18
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Ye Riwayato Ki Tehqeeq Ka Teesra Hissa Hai, Iske Do Hisso Ka Zikr Hum
Kar Aaye Hain, Iske Chauthe Hisse Par Kaam Jaari Hai
(63) Jurmana - By Abde Mustafa Official
Ye Risala Maali Jurmane Ke Mutalliq Likha Gaya Hai, Maali Jurmana Fiqhe
Hanafi Mein Jaaiz Nahin Hai Aur Ise Dalail Se Saabit Kiya Gaya Hai
(64) La Ilaha Illallah, Chishti Rasoolullah? - By Abde Mustafa Official
Ye Risala Auliya Ki Ek Khaas Haalat Ke Bayaan Mein Hai Jise "Sukar" Aur
"Shathiyaat" Waghaira Se Tabeer Kiya Jaata Hai
Is Talluq Se Ahle Sunnat Ke Motadil Mauqif Ko Dalail Ke Saath Bayaan
Kiya Gaya Hai
Ye Risala Unke Liye Dawate Fikr Hai Jo Ifraato Tafreet Ke Shikaar Hain
(65) Hazrate Ali Ki Wiladat Kahan Hui? - By Allama Qari Luqman
Shahid
Is Risale Mein Is Baat Ka Bayaan Hai Ke Hazrate Ali Radiallaho Ta'ala Anho
Ki Wiladat Khana -e- Kaaba Mein Nahin Hui, Ye Risala Urdu Mein
"Mawloode Kabah Kaun?" Ke Naam Se Maujood Hai Aur Roman Urdu Mein
Ye Talkhees Hai
(66) Sarkar Ka Hulya Mubarak Ba Riwayate Umme Mabad - By Abde
Mustafa Official
Is Risale Mein Husne Mustafa Par Ek Riwayat Jise Riwayate Umme Maabad
Ke Naam Se Jaana Jaata Hai, Ko Naqal Kiya Gaya Hai Aur Chand Baato Ko
Shamil Kar Ke Ek Mukhtasar Sa Bayaan Tarteeb Diya Gaya Hai
(67) Qanoon -e- Shariat - By Allama Qazi Shamsuddin Ahmad
Mukhtasar Aqaid Aur Namaz, Roza Aur Taharat Waghaira Ke Masail Par Ye
Bahut Hi Mash'hoor Kitab Hai, Ilme Fiqh Haasil Karne Ka Aaghaz Karne Ke
Liye Behtareen Kitab Hai
(68) Saniha -e- Karbala - By Allama Ghulam Rasool Qasmi
Aap Is Risale Ko Waqiyaat -e- Karbala Par Sabse Mukhtasar Aur Motabar
Keh Sakte Hain
Is Mein Tehqeeqi Andaaz Apnaya Gaya Hai Aur Be Saro Paa Ki Riwayato
Ko Naqal Nahin Kiya Gaya Hai Jaisa Ke Is Mauzu Par Likhi Gai Aksar
Kutub Mein Dekhne Ko Milta Hai
(69) Shirk Ki Haqeeqat - By Allama Asif Abdullah Qadri
Is Kitab Mein Aayaat -e- Quraniya Aur Ahadees Se Shirk Ki Haqeeqat Ko
Bayaan Kiya Gaya Hai Aur Har Baat Par Shirk Ka Fatwa Lagane Waalo Ko
Jawab Diya Hai
(70) Be Peer Ka Peer Shaitan Hai - By Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza
Khan Barelvi
Is Risale Mein Mash'hoor Qaul "Jiska Koi Peer Nahin Uska Peer Shaitan Hai"
Ki Tehqeeq Aur Mafhoom Bayaan Kiya Gaya Hai
(71) Islami Aqaid - By Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi
Ye Kitab Ahle Sunnat Ke Bunyadi Aqaid Par Likhi Gai Hai, Aam Faham
19
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Andaz Hai, Aqaid Ko Mudallal Bayaan Kiya Gaya Hai Aur Batil Aqaid Ka
Radd Bhi Kiya Gaya Hai
(72) Zarbe Haidari - By Allama Ghulam Rasool Qasmi
Ye Kitab Rafizyo Aur Tafzeeliyo Neez Wo Sunni Hazraat Jo Hazrate Ali
Radiallaho Ta'ala Anho Ki Shaan Mein Ghulu Se Kaam Lete Hain, In Sab
Ke Radd Mein Likhi Gai Zabardast Kitab Hai Jis Pe Kasrat Se Akabir Ulama
Ki Taqareez Maujood Hain
(73) Saltanat -e- Mustafa - By Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
Ye Kitab Humare Nabi Alaihissalam Ke Ikhteyaraat Par Likhi Gai Hai Ke
Allah Ta'ala Ne Aapko Kitna Mukhtar Banaya Hai
(74) Badmazhabo Se Rishte - By Allama Mufti Jalaluddin Ahmad
Amjadi
Is Risale Mein Badmazhabo Se Mel Jol Ki Sharai Haisiyat Bayaan Ki Gai
Hai, Unse Talluq Aur Rishtedari Ki Mazammat Bayaan Ki Gai Hai
(75) Main Nahin Jaanta - Maulana Hasan Noori Gondavi
Ye Mukhtasar Sa Risala Ek Aham Paigham Par Mushtamil Hai Ke Ulama
Wa Awaam Sabko Chahiye Ke La Ilmi Ka Etiraf Karne Ki Aadat Daalein
Aur Jahan Ilm Na Ho Wahan Takalluf Kar Ke Jawab Na Dete Hue Keh Diya
Jaaye Ke Main Nahin Jaanta
(76) Safarnaama Bilaade Khamsa - Abde Mustafa Official
Ye Ek Safarnama Hai, Hindustan Ke 5 Bilaad Ke Safar Ke Ahwaal Par
Mushtamil Hai, Is Ke Mutale Se Jahan Aap 5 Bilaad Ke Mutalliq Malumaat
Haasil Karenge Wahin Kai Ilmi Nikaat Bhi Aap Mulahiza Farmayenge
(77) Mansoor Hallaj - Abde Mustafa Official
Ye Mukhtasar Sa Risala Hazrate Mansoor Hallaj Rahimahullahu Ta'ala Ke
Halaat Par Hai Jis Mein Ulama -e- Ahle Sunnat Ki Tehqeeq Ko Bayaan Kiya
Gaya Hai Aur Hazrate Mansoor Hallaj Ke Baare Mein Rakhe Jaane Waale
Nazariyo Ko Pesh Kar Ke Jaaiza Liya Gaya Hai
(78) Tehqeeqe Imamat - Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat
Rahimahullahu Ta'ala
Ye Risala Hazrate Abu Bakr Siddique Aur Hazrate Ali Radiallaho Ta'ala
Anhuma Ki Khilafat Ki Tehqeeq Par Aala Hazrat Ki Tasneef Hai Jis Mein
Kai Dalail Se Ahle Sunnat Ke Mauqif Ko Saabit Kiya Gaya Hai
(79) Gustakhe Nabi Kafir Hai - Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat
Ye Risala Aala Hazrat Ka Ek Fatwa Hai Jo Aapne Ek Angrezi Parche Ke
Radd Mein Saadir Farmaya Tha
(80) Gustakhe Nabi Ke Qatl Ki Hadees Par Tehqeeq - Zubair Jamalvi
Ye Risala Mashhoor Riwayat "Man Sabba Nabiyyan Faqtuluh" Ki Tehqeeq
Par Likha Gaya Hai Jis Mein Is Riwayat Ki Sanad Par Tehqeeqi Kalaam Kiya
Gaya Hai
(81) Seerate Mustafa - Allama Abdul Mustafa Aazmi Rahimahumullahu
Ta'ala
20
Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
Ye Kitab Humare Nabi Alaihissalam Ki Seerat Par Likhi Gai Nihayat Hi
Khubsoorat Kitab Hai, Is Mein Seerat Ke Kai Gosho Par Tafseeli Bayaan
Maujood Hai, Aam Faham Hai Aur Dilkash Andaaz Mein Likhi Gai Hai
(82) Tablighi Jama'at Ka Fareb - Allama Sayyid Shah Turabul Haque
Qadri
Is Mein Tablighi Jama'at Ke Kufriya Aqaid Aur Unke Awaame Ahle Sunnat
Ko Dhoka Dene Ke Tariqo Ko Bayaan Kiya Gaya Hai Jise Padh Kar Unse
Bacha Ja Sakta Hai
(83) Sunni Kaun? Wahabi Kaun? - Abde Mustafa Official (This Book)
Ye Risala Bahut Aam Faham Zubaan Mein Likha Gaya Hai Taaki Sunni Aur
Wahabi Ke Darmiyan Asal Ikhtelaf Ki Noiyyat Har Koi Samajh Sake

21
DONATE
ABDE MUSTAFA OFFICIAL

TO DONATE : SCAN HERE


Account Details :
Airtel Payments Bank
Account No.: 9102520764
(Sabir Ansari)
IFSC Code : AIRP0000001

9102520764

OUR DEPARTMENTS:

eniKah
E NIKAH MATRIMONIAL SERVICE

SABIYA VIRTUAL PUBLICATION


BOOKS

graphics

ROMAN BOOKS
PURE SUNNI GRAPHICS
GRAPHIC DESIGNING DEPARTMENT E NIKAH

ACAG MOVEMENT
SABIYA
TO CONNECT AHLE SUNNAT

ROMAN BOOKS

/abdemustafaofficial
for more details WhatsApp on +919102520764
Abde Mustafa Official is a team from Ahle Sunnat Wa Jama'at
working since 2014 on the Aim to propagate Quraan and
Sunnah through electronic and print media.

blogging, publishing books and pamphlets in multiple


languages on various topics, running a special matrimonial
service for Sunni Muslims.
Visit our official website :
www.abdemustafa.in
about thousands of articles & 235+ pamphlets and books are
available in multiple languages.

if you are searching a Sunni life partner then E Nikah is a


right platform for you.
Visit www.enikah.in
Or join our Telegram Channel
t.me/enikah (search "E Nikah Service" in Telegram)
Follow us on Social Media Networks :

For more details WhatsApp +91 91025 20764

NIKAH AGAIN SERVICE

POWERED BY:

ABDE MUSTAFA OFFICIAL

You might also like