This document contains a collection of poems and lyrics in Hindi/Urdu. The poems discuss themes of love, friendship, longing, and separation. They use vivid imagery and metaphors to express emotions like missing a loved one from afar or feeling comforted by their memories. Rhyme and rhythm are important poetic devices used throughout.
This document contains a collection of poems and lyrics in Hindi/Urdu. The poems discuss themes of love, friendship, longing, and separation. They use vivid imagery and metaphors to express emotions like missing a loved one from afar or feeling comforted by their memories. Rhyme and rhythm are important poetic devices used throughout.
This document contains a collection of poems and lyrics in Hindi/Urdu. The poems discuss themes of love, friendship, longing, and separation. They use vivid imagery and metaphors to express emotions like missing a loved one from afar or feeling comforted by their memories. Rhyme and rhythm are important poetic devices used throughout.
This document contains a collection of poems and lyrics in Hindi/Urdu. The poems discuss themes of love, friendship, longing, and separation. They use vivid imagery and metaphors to express emotions like missing a loved one from afar or feeling comforted by their memories. Rhyme and rhythm are important poetic devices used throughout.
Kaise kahun aapse mere dil mein jo baat hai, Lafzon mein bayan karun ya aankhon se, Darta hun kabhi kabhi apne iradon se, Kaise kahun aapse mere dil mein jo baat hai, Ho jati hai dhadkane meri tez, Jab lete ho mera haath apne haton mein, Kaise kahun aapse mere dil mein jo baat hai. " Hamme maga tha sath unka,
vo judai ka gum de gaye,
Hum unki yado ke sahare ji lete,
per vo hame bhul jane ki kasam da gaye"
Sukhe Patton Se Pyar Kar Lenge,
Hum Tumpar Aitbaar Kar Lenge... Tum Sifr Ek Bar Kah Do, Ke Tum Hamare Ho... Ham Umar Bhar Intajar Kar Lenge...
Mana Ye Waqt Hame Yaad Karne Wala Nahi,
Par Bewaqt Hame Yaad Kar Liya Karo... Mana Aapke Aas Pass Sari Duniya Hai, Kabhi Hamari Kami Ka Ehsas Bhi Kar Liya Karo...
Kabhi Pass To Kabhi Dur,
Kabhi Husna To Kabhi Noor... Badi Fursat Se Banaya Hai Khuda Ne Tumhe, Ke Dekhte Hi Ho Gaye Ham Chur Chur...
Khuda kare humaari dosti aisi ho
> Ki Chot tumhe lage aur dard mujhe ho > Dil tumhaara dhadke aur dhadkan meri ho > Naukri tum karo aur salary meri ho > > wawawawawawawawawawawawawawawawawa !!!! > > Har samundar mein saahil nahin hota > Har jahaaz mein missile nahin hota > Agar Dhirubhai ka sapna nahin hota > To har %$$$ ke paas mobile nahin hota > > > wawawawawawawawawawawawawawawawaw !!!! > > Khud ko kar buland itnaa.. > Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche.. > aur khuda tumse puche.. > 'Abe gadhe... ab utrega kaise ' > > wawawawawawawawawawawawawawawawaw !!! > > jise dil diya woh dilli chali gayi > jise pyar kiya woh italy chali gayi > dil ne kaha khud kushi(sucide) kar le jalim > bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi > > wawawawawawawawawwawawawawawawawa !!! > > Ghar ghar main diya jale > To diwali mat samjho > Agar main tera peeche paroon > To mawali mat samjho > > wawawawawawawawawawawawaawawaawa !!! > > Unki zulfoon pe pyaar aaya > Paas ja kar dekha tu sardar paya > > wawawawawawawawawawawawawawawawa !!! > > Patharr kyun marte ho, pura pahaad maar do > Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do > > wawawawawawawawawawawawwaawwaaw !!! > > Tere ishq main janam kya se kya haal ho gaya > Badan se badboo aa rahee hai, nahaaye jamana ho gaya > > wawawawawawawawawawawawwaawwaaw !!! > > Yeh tera chehra hai yaa kele ka chhilka > Jo dekha to dil phisal gaya > wawawawawawawawawawawawawawawawa Mere Dukde ko aap Shayri samaj baite. Mere Dukde ko aap Shayri samaj baite. Arey takleef to tab hoti hai Jab log waah waah kehte hai ...
Zindagi Me Na Kabhi Roye Tu,
Tere Aansu Hame Mil Jaye…. Mangte He Yahi Dua Us Khuda Se, Sare Janan Ki Shusiya Tumhe Mil Jaye….
Chahe Dukh Ho Ya Such,
Rahenge Sada Tere Pass… Hanth Thama He Tera, Na Chorenge Ye Rakhna Vishwas…
Pyar Karte He Tujhse Itna Ki,
Ek Pal Bhi Na Tere Bin Rah Paye… Bebas Kar Diya Tere Pya Ne, Ke Bas Har Chij Me Tera Hi Chahra Nazar Aaye….
Meri jindagi ko aise viran banake na ja
Tujhe kasam hein meri, mere pyar ko thukarake na ja Jinda houn tere ek zalak ke sahare Aise mujhe mitake na ja
Deewana hun tere nam ka is baat se inkar nahi Kaise
kahe ki hame aapse pyar nahi... Kuch to kasoor hai aapki baaton ka aankhon ka Hum akele to gunhegar nahi...
Samja na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bina soche hi de diya... Seh gaye jo humdard ko chupke se, To humko he patthar dil keh diya... Itna kuch khoya ki hume pana nahi aaya, Pyar kiya to phir jatana nahi aaya... Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein woh, Kasoor unka nahi humara tha jo unke dil me samana nahi aaya. AADAT SI HO GAYEE HAI
JAB SE DIL LAGYA HAI TUM SE HUMNE
SAB KUCH SEHNE KI AADAT SI HO GAYI HAI
INTAZAAR KERTE HAI HUM AAP KA DER TAK
AAP KO NA ANEY KI AADAT SI HO GAYEE HAI
BAAT BAAT PE MUSKARATE THE HUM
AB TO RONE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
KABHI TALAB KARTE THE TUMAIN HUM
AB TO BERUKHI SEHNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
KABHI EK HUMDARD CHAHTEY THEY HUM BHI
PER AB TO TANHA GAM SEHNE KI ADAT SI HO GAYEE HAI
JAB SE SOCHNA SHURU KIYA HAI TUM KO
SARI SARI RAAT JAGNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
AB TO CHAHEY CHHOR BHI DO HUMAIN
TUM BIN REHNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI JISEY BHI CHAHA HUM NE WO CHHOR KER CHALA GAYA AB TO KHONE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
JAB SE TUM GAYE HO HUMAIN CHHOR KER
TAB SE CHUP REHNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
TUM SE NA KOI SHIKWA NA KOI SHIKAYAT HAI HUMAIN
BAS KHUD SE SHIKAYAT KERNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
MALOOM HAI KE HUMARI KISMAT MAI AAP NAHI
BAS KISMAT SE LARNE KI AADAT SI HO GAYEE HAI
TUM JAHAN BHI RAHO BAS KHUSH RAHO
YE DUWA MANGNE KI AADAT SI HO GAYEE Hai
Meri jindagi ki har sans mein ho tum,
Meri khwab nahi meri haqiqat ho tum Khodiya tujhko to jivunga kaise Kabar mein bhi chain nahi milega mujhe
chale aao ki ab saans thumne ko hai
chale aao ki ab saanjh dhalne ko hai
chhup gaya chand to aas murjha na jaaye
dhal gai raat to dil bhuj na jaaye
thandi aahein hain sard yaadein bhee
thukarai hui mohabaat ke bachi hai raakh bhee
chale aao ki khwaab palkon per thaharte nahi
yaadon kei saaye bhee ab dil mei ubharte nahi
kasmei mohabaat ki wafa kyon karti nahi
kyon siskati raat chupchaap gujarti nahi
Ek hansi jo hansa de,
Ek aansu jo rula de, Ek aarzu jo jaga de, Ek chahat jo samajh le, Har aahat jo jaan le, Usi rishtey ka nam dosti hain.
2. Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko, Na rahi tammana kisi jannat ki, Ae dost teri dosti se vo pyar mila humko.
3.Tera khayal dil se na jaye to kya karu,
Reh reh kar teri yaad aye to kya karu, Kehte hai khwaabon mein hogi mulakat, Raat bhar neend hi na aye to kya kaaru.
4. Dil mein tumhare apni kami chod jayenge,
Aankho mein aansuon ki nami chod jayenge, Yaad rakhna mujhe dhoondhte firoge ek din, Jab hum ye zindagi chod jayenge.
5. Aapko lagta hai ki humne apko bhula rakha hai,
Aap nahi jaante dil mein kahi chupa rakha hai, Dekh na le in aankho mein apko koi, Isliye palko ko bhi chupa rakha hai.
Bhuji Hui Shama Phir Se Jal Sakti Hem,
Tufano Me Ghiri Kashti Kinare Lag Sakti he.... Mayus na Hona Zindagi Me Meire Dost,, Ye Kismat He... Kabhi Bhi Badal Sakti He....
neend mujhey raat bhar aati hai kam
shayad macharon ko bi mil gaya hai sanam har pal mein sochta hon tum ko kia karon koi aur kaam jo nehi hum ko
mein chahta hon tum koiss qadar
koi aur mil jaey tu dekhon naa mur kar
tujh bin zindagi ka tasawar hi nehi hai
tere sang ho zindagi aisa bi koi scene nehi hai
mohabbat hai mujh ko sirf tum sey sanam
sach keh raha hon mein tumhari qasam
jhot mein agar kahon tu, tu mar jaey
a kash mujh ko aishwarya mil jaey
iss dunya mein, tum he sab sey haseen ho
mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho
bas tere he sang jo meri zindagi
acha nehi ke mein kar lo khudhkoshi
rooz khawab mein nazar aatey ho tum
kio mujhey neend mein bi daratay ho tum
ab tu tere bin jeena ho gaya hai mushkil
haan ghar ke liye chahiye nokrani mustakil
dekho mujhey hai kitna pyar tum sey, ab tu haan
karo agar ab bi hai inkaar tu yeh letter agay pass karo
YEH BAAT BATA "
Phir kabhi saamne aa zara yeh baat bata
Ab kahan hogi mere Mehboob mulaqat bata
Tu to Alim hai samjhta hai Kitabon ki zaban
Mera chehra bhi parh mere halaat bata
Bas hojaye mujhe meri Mohabbat Hasil
Tu koi aisi DUA aisi Manajaat bata
Aankhon mein aansu aa jaate hain Phir bhi labo pe muskaan rakhni padti hai Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron Jisse karte hai useese chupani padti hai
Do kadam to sab chal lete hain
Par zindagi bhar ka saath koi nahi nibhata Agar ro kar bhulaai jaati yaadein To hans kar koi gum na chupata.
Main sochu bhi kaise, ki tum mere ho na sakoge,
Duur ho itna, ab aur paas ho na sakoge Yaad rakhna hamesha tum ek baat Mere jaane ke baad tum saanse le na sakoge
Khushboo ki tarah aapke paas bikhar jaayenge,
Sukoon bankar dil mein utar jaayenge Mehsoos karne ki koshish to kijiye, Duur hote hue bhi paas nazar aayenge..
Jo hudd se na guzar jaaye wo pyaar hi kya
Jo pyaar karne pe majboor na kar de, wo ikraaar hi kya Intezaar to sab karte hai, Jo saanse tootne tak saath na de wo yaar hi kya Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi
Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi
Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi
Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi
Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi
Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi
Mushkilon se Aapki Mulakat Na Ho,
Udas Baitho Esi koi Baat Na ho.... Dua Hai Ki Mehfilon Se Saje Zindagi Aapki, Bas Mumein Pukar Lena Agar koi Saath Na Ho.... Mari zindagi ka karar bhee tu Mari her khushi ka izhar bhee tu
Mara bey-tehasha piyar bhee tu
Mari khuwaishoon ka dedar bhee tu
Mari ankhoon ka hai noor bhe tu
Mari zindagi ka saroor bhee tu
Maray ghum mein hai dhaal bhee tu
Maray her per waqt zehan-o-guman mein tu
Mari zindagi ka aarough bhee tu
Mari zindagi ka zawal bhee tu
Mari ashiqi ki sachi misal bhee tu
Mari zindagi ka husn-o-jamal bhee tu
Maray dil ka her aik khayal bhee tu
Mara wajood ka ____ hai ahsas bhee tu
Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa Koii aavaaz aatii rahii raat bhar Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aye
To Darna Mat
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana
Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
"Meri Paas Laut Aana"
Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
"Mere Paas Laut Aana"
Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
"Mere Paas Laut Aana "
Koun jane kal tujhe dekhne hum rahe ya na rahe teri khushi to humesha mangenge Mana galti mujse hui Aisi bhi galti na thi ke tum kabhi mujhe maaf hi na kar sakog Kabhi aana mere samne dekhne meri halat Door se to tum beraham banake rahogi Tere yaad mein jo bahaye aansu unko to dekh ke ja Dar lagta hein rone se ki ye sochke aansu logonko nazar aayenge Kaisi ye jindagi hein Tanaha rahakar bhi tanahai ke liye tarsata hein
Aaj Phir Teri Yaad Aai Barish Ko Dekh Kar, Dil Pe Zor Na Raha Apni Bebasi Ko Dekh Kar, Roye Is Qadar Mai Ae Dost K Barish Bhe Tham Gaye Meri Barish Ko Dekh Kar .. Ê