Shaban Ki Fazeelat Aur Shab E Barat Ki Haqeeqat

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 28

[1]

FAZEELAT-E-SHABAN AUR SHAB-E-


BARA'AT
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala
Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen,
Amma Ba'ad:

Shaban Islami saal ka aathwa mahina hai, jo jw


rajab ke bad aur Ramazan-ul-Mubark se pahle aata hai.

IS MAHINE KO SHABAN KION KAHA JATA HAI?


ْ َ ْ َ ْ ُّ َ َ ْ َ ْ َ َ ْ ُّ َ َ َ ٰ ّ ُ
)‫ِّفِّ َطي ِبِّاى ٍِ َیا ِِّه))ِّ(اىٍنجد‬ ً‫س َيِّ ِبذىِکِّىِتشع ِبِّاىعر ِبِّ ِف ِّی ِِّو ِّٲيِّثفر ِِّك ِِّي‬
ِِّ ((
Is ka madah "Sha'ab" hai his ke mane juda juda hone ke
hain, Arab is mahine me paani ki talaash me alag alag taur
par paani ki talaash mian phail jate the, is liye is mahine ke
naam "SHABAN" padgaya.

MAAH-E-SHABAN KI FAZILAT:
Shaban wo mubarak mahinah hai jis me NABIYE KAREEM
sallallahu alaihi wasallam Ramzan ke ilawah taqriban pore
mahine ke roze rakhte the, sirf aakhir me do ek roze tark
farmaya karte the, is silsile me kai Ahadis aati hain jin me
Shaban ke Roze ki fazeelat aur NABIYE KAREEM sallallahu
alaihi wasallam ka is mahine me khusosan roze rakhne ka
zikar aata hai.

Umm-ul-Momineen Syidah Ayishah raziallahu-


anha farmati hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi
wasallam is mahi ne me bahut ziyadah roze rakhte the
yahatak ke hum kahte ke AAP sallallahu alaihi wasallam
roze nahi chodte, phir AAP sallallahu alaihi wasallam roze
[2]

chod dete yahantak ke hum ye kahte ke AAP sallallahu


alaihi wasallam roze nahi rakhte, aur maine RASOOLULLAH
sallallahu alaihi wasallam ko kabhi kisi mahine ke
mukammil roze rakhte howe nahi dikha siwaye Ramazan-ul-
Mubarark ke aur maine RASOOLULLAH sallallahu alaihi
wasallam ko Shaban se ziyadah kisi mahine me roze rakhte
howe nahi dikha.(Sahih al-Bukhari:1969. Sahih
Muslim:1156)

Umm-ul-Momineen Syidah Ayishah raziallahu-


anha mazeed farmati hain:
َ َ َ َ ُ ُ َ َ ّ ُ ُ َ ْ َ ُ َ ُ َ ْ َٔ َ َ ّ َ َ ِ ْ َ َ ُ َ ّ َ ِ َ ّ ُ ّ َ ّ َ َٔ َ َ
ُ ‫ِّاىش ُير ِرِّ ٕا ََ َِّر‬
))‫ً َنِّيصرٌوِّشعبانِّجًِّي ِصيو ِِِّبٌضان‬ ِّ ‫رلِّللِّصّلِّللِّعيیوِّوشي‬ ِ ‫ش‬ ِ ‫کنَِّخب‬ ِّ ((
"RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ko (nafli) rozon
keliye sab se mahboob mahinah Shaban tha, phir AAP
sallallahu alaihi wasallam ise goya Ramazan hi se miladiya
karte the." (Sunan Abu Dawod:2431, Muhaddis Hafiz Zubair
Ali Zayi rahimahullah ne is Hadis ko "ISNADOHO SAHIH"
kaha hai)

َ َ َ َ َ َ َ ْ َ َ ّ ْ َ َ َ ُ ْ َ ْ َ ُ ُ َ َ َ ّ َ َ ِ ْ َ َ ُ َ ّ َ َ ّ َ ّ ُ ْ َٔ َ َ
))‫ْيِّ ِٕالِّشعبانِّورٌضان‬
ِ ‫ْيٌِّتتا ِبع‬
ِ ‫صّلِّللِّعيیوِّوشيًِّيصرمِّشير‬ ِّ ِّ‫((ٌاِّرَيتِّاىن ِب‬
Syidina Umme Salamah raziallahu-anha ka bayaan hai:
"Maine NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ko do
mahine musasil roze rakhte howe nahi dekha siwaye
Shaban aur Ramazan ke."(Sunan al-Timizi:736, Muhaddis
Hafiz Zubair Ali Zayi rahimahullah ne is Hadis ko SAHIH
kaha hai)

Umm-ul-Momineen Syidah Ayishah raziallahu-


anha farmati hain:
ْ َ ً َ َ ّ ُ ُ ُ َ َ َ َ َ ْ َ ُ ْ ً َ َ َ ْ َٔ ْ َ َ َ ّ َ َ ْ َ َ ُ َ ّ َ َ ّ َ ّ ُ ْ َٔ َ َ
ِّ ‫((ٌاِّرَيتِّاىن ِبِّصّلِّللِّعيی ِوِّوشيًِّ ِِّفِّشي ٍرَِّنَثِّ ِصیاٌاِّ ٌِنو ِِّفِّشعبانِّکنِّيصرٌوِّ ِٕالِّك ِيیالِّب‬
‫و‬
[3]

َّ ُ ُ ُ َ َ َ
))‫رٌ ُوِّك ُو‬‫کنِّيص‬
"maine NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ko
Shaban se ziyadah kisi mahine me roze rakhte howe nahi
dekha, balke AAP sallallahu alaihi wasallam sare Shaban ke
roze rakhte the."(Sunan al-Timizi:736, Muhaddis Hafiz
Zubair Ali Zayi rahimahullah ne is Hadis ko SAHIH kaha hai)

SHABAN MAIN ME ZIYADAH ROZE RAKHNE KI


WAJAH/HIKMAT:
Syidina Usamah Bin Zaid raziallahu-anhu bayan karte hain:
maine ek roz sawal kiya: aye ALLAH ke RASOOL sallallahu
alaihi wasallam! AAP maahe Shaban mian jis qadar (nafli)
roze rakhte hain, kisi aur mahine main itne roze nahi
rakhte? (is ki kiya wajah hai?) APP sallallahu alaihi wasallam
ne farmaaya:
َ ٍِ َ‫ْع ُال ِّ ِٕا ََ َِّر ِّب ِّْاى َع ِّاى‬ َٔ
َ ْ ‫ِّال‬ َ ْ ُ ٌ ْ َ َ ُ َ َ َ َ َ َ َ َ َ ْ َ ُ ْ َ ُ َّ ُ ُ ْ َ ٌ ْ َ َ َ
ِّ‫ْي‬ ‫ُِّتف ُع ِّ ِفی ِو‬ ‫(( ِّذىِم ِّشير ِّيغفو ِّاىناس ِّعنو ِّبْي ِّرج ٍب ِّورٌضان ِّوىر ِّشير‬
ٌ َ َ َٔ َ َ َ َ َ ْ ُ ْ َٔ ُ ّ ُٔ َ
))ًِ‫فأ ِخبَِّنُِّيفعِّْع ِِلِّوََنِّصائ‬
"Yeh Mahinah Rajab aru Shaban ke darmiyan hai, log is se
ghaflat barat-te hain, is mahine me (logon ke) amal
Rabbulaalameen ke hozoor pesh kiye jate hain, aur main ye
pasand karta hon ke mere amal jab ALLAH ki baargaah me
pesh hon to is waqt main roze se hon(is liye main Shaban
me roze kasrat se rakhta hon)."(Sunan al-Nasayi:2359 –
Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zayi rahimahullah ne is Hadis ko
HASAN kaha hai. Musnad Ahmed:5/201)

Is hadis se Shaban me NABIYE KAREEM sallallahu


alaihi wasallam ke ziyadah roze rakhne ki wajah ye malom
howi ke is mahi me khusosiyat ke saath bandon ke amaal
ALLAH TA'ALA ki baargaah me pesh kiye jate hain, aur digar
[4]

ahadise-e-mubarekah se ye bhi pata chalta hai ke amaal ki


ek peshi to rozana subah aur shaam (namaaze Asar aru
namaaze Fajar ke waqt) hoti hai, ALLAH TABARAKA WA
TA'ALA farishton se jo Fajar o Asar ki namaaz me hazir rahte
hain, jab aasmaan
ُ ّ ُ ُ parُ jate hain to poochta hai:
َ ُ ّ ُ ُْ َْ ََ َ ُ ََُ ْ ََ ََْ
َ ‫ُهِّي َصي‬
))‫رن‬ ْ ‫رنو َِّؤَ َث ْن َن‬
ْ ‫اُه َِّو‬ َ ‫ُهِّيُ َصي‬
ِّ ْ ‫اُه َِّو‬‫ُِّتن ُت ًِّْ ِع َبا ِديِّفیلرىرنُِّتنن‬ ‫((نیف‬
"Tum mere bandon ko kis haalat me chod kar aaye ho?
farishte kahte hain: aye ALLAH! jab hum tere bandon ko
chad kar aarahe the, tab bhi wo namaaz me mash'ghol the
aur jab hum un ke paas pahunche tab bhi wo namaaz padh
rahe the." (Sahih al-Bukhari:555. Sahih Muslim:1432. Sunan
al-Nasayi:484)

Amaal ki dosri peshi hafte me do din ki hai, yani


har peer aur jumerat ko ALLAH ki baargaah me amaal pesh
kiye jate hain, RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne
farmaya:
ٌ َ َ َٔ َ َ َ َ َ ْ ُ ْ َٔ ُ ّ ُٔ َ َ ْ َ ْ َ ْ َ ْ َ ُ َ ْ َٔ ُ َ ْ ُ
))ًِ‫نسِّفأ ِخبَِّنِّيعرضِّْع ِِلِّوََنِّصائ‬ِ ٍِ ‫ْيِّواْل‬
ِ ‫((ثعرضِّالْعالَِّيمِّا ِلجن‬
"Amaal peer aur jumerat ko ALLAH ki baargaah me pesh
kiye jate hain meri khawahish hai ke mera amal as haal me
pesh kiya jai aur us waqt mai roze se raho."(Suana al-
Timizi:747, Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zayi rahimahullah ne
is Hadis ko HASAN kaha hai, aur kaha ke is hadis ki asal
Sahih Muslim Hadis No.2565 me hai)

Aur amaal ki tisree peshi jo goya ke salanah peshi


hai, maahe Shaban me hoti hia, jaisa ke oper bayaan ki gayi
ahadis se malom howa, aur jis ki wajah hi se NABIYE
KAREEM sallallahu alaihi wasallam maah-e-shaban me
ziayada se ziyadah roze rakha karte the.
[5]

ZIYADAH ROZE RAKHNE ME EHTIYAAT KI


ZARORAT:
Oper jo tafseel guzari hai us se ye waazeh hai ke Shaban me
ziyadah se ziyadah nafli roze NABIYE KAREEM sallallahu
alaihi wasallam rakha karte the likin AAP sallallahu alaihi
wasallam ne apni ummat ke logo ko 14 aur 15 Shaban ke
ba'ad roze rakhne se mana farma diya hai:
ُ ‫ان َِّفالَ َِّث ُص‬
))‫رٌرا‬ ُ ‫((ا َذا ِّْاُ َت َص َفِّ َش ْع َب‬
ِٕ
"Jab Shaban aadha guzar jai to roze mat rakho."(Sunan Abu
Dawod:2337, Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zayi rahimahullah
ne is Hadis ko SAHIH kaha hai. Sunan al-Timizi:738)

14 AUR 15 SHABAN KE BA'AD ROZE NA RAKHNE


KE HOKUM KI WAJAH:
14 aur 15 Shaban ke ba'ad roza rakhne se is liye mana kiya
gaya hai taake ek musalmaan Ramazan ke farz rozon ke liye
apni energy aur taqat ko bacha ke rakhe taake us ko
Ramzan ke Farz roze rakhne me koi mushkil pesh naa aye,
basa auqaat aisa hota hai ke log Shaban ke nafli roze rakhne
se kamzor hojate hain aur Ramazan ke Farz roze un se chot
jate hain, isee liye NABIYE KAREEM sallallahu alaihi
wasallam ne 14/15 Shaban ke ba'ad roze rakhne se mana
farmaya hai, lihaza hame ihtiyaat karna chahiye, aur ita'at-
e-Rasool ka taqaza bhi yahi hai ke hum NABIYE KAREEM
sallallahu alaihi wasallam ke hukom ki paabandi karen.

Aur isee tarah NABIYE KAREEM sallallahu alaihi


wasallam ne Ramazan se ek ya do din pahle roza rakhne se
bhi mana farmaaya hai taake "istaqbaal-e-ramazan" ke
naam par log jashan manaane na lag jain, NABIYE KAREEM
sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:
[6]

َ ْ َ ّ َ َ ْ ُ َ ْ َ ٌ ُ َ ُ ُ ُ َ ً ْ َ َ ُ َ ْ َٔ َ ّ ْ َ ْ َ َ َ ْ َ َ َ َ َ َ ْ َ ُ َ ّ َ َ َ
))‫ْيِّ ِٕالَِّنِّيهرنِّصرٌاِّيصرٌوِّرجوِّفيیصًِّذىِمِّاىصرم‬ ِ ٌ‫((لِّثلدٌراِّصرمِّرٌضانِّ ِبیر ٍمِّولَِّي‬
"Ramzan se ek do din pahle roze mat rakho magar jo koi
shakhs kisi din ka roza rakhta raha ho to wo rakhle."(Sunan
Abu Dawod:2335, Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zayi
rahimahullah ne is Hadis ko SAHIH kaha hai. Sahih al-
Bukhari:1914. Sahih Muslim:1082)

Yani kisi ka mamol hai ke wo har peer aur jumerat


ko roza rakhta hai ya "Saume Dawodi" rakhta hai to ye roze
agar Ramzan se do teen din qabl arahe hain to wo ye roze
rakh sakta hai kion ke is tarah aadatan roze rakhne ka
maqsad "Isataqbal-e-Ramazan" nahi hai balke wo mamool
ke taur par roze rakh raha hota hai to aise shakhs ke liye
mumaniat ka hokum nahi hai.

Is se ye bhi natija nikalta hia ke Shariat ne nafli


ibaadaat aru wajib/farz wali ibaadaat me wazeh farq
malhooz rakha hai.

SARAR-E-SHABAN KA ROZA AUR IS KA MATLAB:


Yahi matlab is hadis ka hai jis me aataa hai ke NABIYE
KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne ek shakhs se pocha:
َ ّ َ َ ّ ُ ْ َ ْ ُ َٔ ُ َ ُ َ َ َ َْ َ َ َ ْ ِ َ ُْ َْ
))‫َِّس ِة َِّىذاِّاىش ْي ِر‬‫ ((َيِّفالنَُِّصت ِِِّم‬/ ))‫انِّش ْن ًئا‬‫((ِّىوُِّصتِِّمَِّس ِرِّشعب‬
"kiya tum ne Shaban ke akhir me koi roza rakha hai? unho
ne kaha nahi, to AAP sallallahu alaihi wasallam ne
faramaaya: Ramzan ke ba'ad is ke badle me ek ya do roze
rakh lena."(Sunan Abu Dawod:2328. Sahih Bukhari:1983.
Sahih Muslim:1161)

Ye shakhs bhi mahine ke aakhri me roze rakhne ka


[7]

aadi tha ya us ne nazar ke roze rakhne the likin is ne is


wajah se roze nahi rakhe ke kahin mera ye amal "isteqbal-e-
ramazan" ke jaisa na ban jaye jis se rooka gaya, likin NABIYE
KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne wazahat farmadi ke
ye mumaniat un logon ke liye ha jo aadi na hon ya jin ki
taqat aur tawanai me kami aane ka khatra ho ya shak ki
wajah se roza rakhte hon ke kahin ramazan to shoro nahi
hogay ho, aise tamam logon ke liye shaban ke aakhir me
roze rakhne se mana kiagaya take ramazan ke roze pori
taqat ke saath rakhe jasake, in ke ilawah dosre logon ke liye
in rozon ke rakhne se mana nahi kiya gaya.

NOTE: - Sarar ka lafz mahine ke aakhri dino keliye istemal


hota hai, ye "ISTISRAAR" (chup jana) ke mane se hai,
mahine ke aakhri dino me chonke chaand chup jata hai is
liye mahine ke aakhri dino ke "SARAR" ka naam diya gaya
hai.

ROZA RAKHNE/AUR NA RAKHNE KI DONO


HADISON KA KHULASA:
Ye hadis zaahir me guzishta hadis se takra rahi hai jis me hai
ke "Ramazan shoro hone se pahle ek do din ke roze mat
rakho" magar in do hadison me ek jaisi sorat ye hai ke ye
rukhsat aur taakeed us shakhs ke liye hai jis ne kisi roze ki
nazar maani ho aur niyat karchuka ho aru pahle hi se har
mahine ke aakhri dino ke roze rakhna us ka mamol raha ho
to usey chahiye ke hamesha ki tarah jis tarah ke wo har
mahine ke aakhri roze rakha karta tha to aise shakhs ke liye
ijazat hai likin agar wo apni aadat se hat kar ya nazar ke
baghair khosusan Ramazan ke isteqbal ke liye roza rakh
raha ho to aise shakhs keliye ijazat nahi hai. NABIYE
[8]

KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne jis shakhs ko ramazan


ke ba'ad ek ya do roze rakhne ki takid farmayi wo shakhs
mahine ke akhir me rozy rakha karta tha likin us ne Shaban
ke akhir me is liye roze chod diye the ke ye kahin "Istaqbal-
e-Ramazan" ke jaisa koi amal na hojaye jis ko mana kardiya
gaya hai.

SHAB-E-BARA'AT, YANI SHABAN KI PANDRAHWIN


RAAT:
Shaban ki pandrahwin raat ke bare me kai riwaayaat milti
hain, jin me is raat ki fazilaton ka zikar hai likn ye riwaayaat
ek aadh riwaayat ke ilawa, sab zayeef hain, aur ye
riwaayaat chonke bahut ziyadah raawion se marwi hain, is
liye ba'az Ulama is ke qaayil hain ke is raat ki kuch na kuch
asal hai, isee wajah se in Ulama ki raye hai ke is raat ki kuch
na kuch fazilat zoror hai, aur dosre Ulama ki raye me ZAYEEF
riwaayaat qabile amal nahi chahe wo tadaad me kitni hi
ziyada kion na hon lihaza in Ulama ke nazdik is raat ki koi
asal ya koi fazilat nahi.

chunancheh Allahama Albahi rahmahullah aur


Shoyeb Arnouot ne kasrate turq yani pandrahwin Shaban ki
riwaayaat jo ziyadah raawion ne is ko riwaayat kiya hai, in
tamaam riwaayaton me se ek riwaayat ko SAHIH kaha hai
jab ke baqi sab riwayaton ko ye bhi ZAYEEF hi maante hain
balke in riwayat me bahut ziyadah MAUZO yani ghadi howi
riwayaten bhi hain, wo zayeef aur mauzo riwaayaat niche
bayaan ki jarahi hain:
ْ ُ َّ َْ ْ َْ ُ ََْ َ َْ َ ْ ْ ّ َ َ ْ َ ْ َ ٰ ٰ َ َ َ َ َ َ َ ُ ُ َّ َ
ِّ‫ْشک‬ ِ
ِ ٍِ‫ف ِِّم ِّشعبانو ِّفیغ ِفرىِیج ٍِیعِ ِّري ِِّلوِّ و ِّ ِِّٳل ِّى‬
ِ ‫اىنص‬
ِ ِّ ‫ل ِّري ِِّلوِّ ِّىی ِّي ِّة‬
ِّ ‫ال ِّ ِِّٳ‬
ِّ ‫ِّلل ِّثبارک ِّوثع‬
ِّ ‫((يطيِع‬
َ َ
))َ ِّ ٍ ‫ِّٲ ْو ٌُشا ِخ‬
"ALLAH TA'ALA Shaban ki pandrahwin raat ko apni pori
[9]

makhloq ki tarf (nazr-e-rahamt se) dekhta hai, phir mushrik


aur kina parwar ke siwa baqi sari makhloq ki bakhishish
kardeta hai." (Sahih Ibn Hibban:1980. / Sho'ab-ul-Imaan lil-
Baihaqi:2/288. / al-Silsilat-us-Sahihah lil-Albani:11144)

Jab ke Abu Sa'alabh al-Khushni raziallahu-anhu ka


naam lekar jo riwaayat bayaan ki jati hai wo is tarah hai:
َ َ ُ َ َ َْ َ َْ ُْ َ َ ْ َ ُْ ْ ُ ْ َ َ َ َ ْ َ ْ َ َ ٰ َ ‫ِّلل ِّيَ َّط ِي ُع‬ َ
ِّ‫وِّويَ َدع ِِّّ ِّٲ ِّْىو‬ ِّ ِّ ‫ف ِّى ْی ِّي ِِّة‬
ِ ‫اىن ْص‬
ِّ ِ ‫ف ِِِّم ِّشعبانوفیغ ِفرلِيٍؤ ٌِنْي ِّوُی‬
‫ِل ليَک ِفرْي‬ ِّ ِ ِّ ِّ‫ِّلَع ِّ ِع َبا ِِّده‬ َِّ ‫(( ِِّٳ ّن‬
ّٰ ْ َ ْ ْ
)) ‫ُهِّ َتَحِّيَ َد ُع ْ ِّر ُِّه‬ ‫اْلِل ِِّد‬
"Be shak ALLAH TA'ALA Shaban ki pandrahwin raat ko apne
bandon par rahmat ki nazar daalta hai, phir momino ko
muaf kardeta hai aur kafiron ko dheel deta hai, aur kinah
parwar logo ko chod deta hai, yahan tak ke wo apne dilon
ko kinah se paak karlen." (Al-Mujam al-Kabeer lil-
Tabrani:20/108-109, Riwayat No.215)

Yahi wo riwayat hai jo Shaban ki pandrahwin raat


ki fazilat me bayaan ki jati hain jaisa ke Shaikh Albani
rahmahullah ne kaha ke ye kasrat-e-turq ki bina par Sahih
hai, likin is ke ilawa jitni bhi riwaayaat aam taur par bayaan
ki jati hain jinhen mahfilon ki zinat banaya jata hai wo sab ki
sab SANAD ke hisaab se bahut ziayadah kamzor balke
manghadat riwaayaat hain.

Sahih al jami al-Sagheer(4268) lil-Albani ki


riwaayat:
َ َٔ ْ ُ َ ّ ِ ْ َٔ ْ ْ َٔ ُ ُ ْ َ َ ْ َ ْ ِ ْ ّ َ ْ َ
))َ ِّ ٌُِّ ِّ‫ْش ٍكِّ َِّ ْو‬
ِّ ٍ ‫شا ِِّخ‬ ِّ ِ ٍِّ ِِّ‫لى‬
ِّ ‫ض ِِّٕا‬
ِّ ‫ال ِّر‬
ِّ ِّ‫ل ِّى ِو‬
ِّ ِ ‫لل‬
ِّ ِّ‫ش ِّع ِّبانِّ ِّي ِّغ ِِّفر‬
ِّ ِّ‫فِِّم‬
ِ ‫ص‬ ِِّ ِّ‫((ف ِِّّى ِّی ِّي ِة‬
ِّ ‫اىن‬ ِّ ِ
Sahih al-jami al-Sagheer ki is riwayat se bhi sirf is raat ki
fazilat saabit hoti hai likin is me bhi is raat ko ibaadat karne
ki koi targheeb ya fazilat nahi hai aur kisi bhi riwaayat se is
[10]

raat ka khusosi ibaadat wali raat hona saabit nahi hota, is


keliye alag se quran o hadis ki dalil ki zororat hai jo maujod
nahi hai, yani ke Sahih al-jami al-Sagheer ki ye riwaayat
dosre Muhaqiqeen ke nazdeek ZAYEEF hai, chunancheh
khud Shaikh Albani rahmahullah ne "Zayeef al-jami al-
Sagheer"(No.652) main ye farmadiya ke:
َ َ ْ َ ْ ُ ْ ُ َ َ َ َ َْ ُْ َُْ
))‫َي ٌِّ ِّيا‬
ِّ ‫ص ِّر ٌِّ ِّرا‬ِّ ‫تا ِّو‬
ِّ ‫((ف ِّل ِّر ٌِّ ِّرا ِّى ِّی ِّي‬
"Ke is raat me jaagna aur is ke din me rozah rakhna" dono hi
mauzo aur manghadat hain.

SHAB-E-BARA'AT KI ZAYEEF AUR MAUZO


RIWAAYAAT:
Shab-e-Bara'at ki nisbat se jo kamzor aur man ghadat aur
mauzo riwaayaat aam taur par bayaan ki jati hain in me se
kuch riwaayaat niche bayaan ki jarahi hain:


Ummul Mominin Syidah Ayishah raziallahu-anha ki taraf
mansob hai ke aap farmati hain ke NABIYE KAREEM
sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:
َ ُ َ َََ ْ ْ َ ُ َْ َ
ِّ ‫ِّش ِّْي ُر‬
))ِ‫لل‬ ِّ ‫ان‬ ‫يوورٌض‬ِّ ‫ش ِّي ِِّر‬
ِّ ِّ‫ش ِّع ِّبان‬
ِّ ((
"Shaban mera mahina hai aur ramazan ALLAH ka mahina
hai."
Ye riwaayat mauzo hai yani ke ye riwaayat
manghadat hai. (Hafiz Sakhawi waghairah ne is riwaayat ko
"Musnad al-Firdos" ki taraf mansob kiya hai. Dekhiye: "Al-
Maqasid-ul-Hasanah:595, Muhaddis Albani rahmahullah ne
is ka hawalah yon zikar kiya [:2/233-234], magar talash ke
ba'ad "Musnad al-Firdos" me ye riwaayat nahi mil saki.
WALLAHO ALAM. is ki sanad "Hasan Bin Yahya al-Khusni" ki
[11]

wajah se sakht ZAYEEF hai, Muhaddis Albani rahmahullah


ka bhi yahi faislah hai, tafseel keliye Dekhiye: "al-Silsilat-uz-
Zayeefah:8/222, Riwayat No.3746)


Ummul Mominin Syidah Ayishah raziallahu-anha farmati
hain ke ek raat RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ko
bistar par maujood na paakar baahar nikle to achanak
dekha ke AAP sallallahu alaihi wasallam Baqee Qabrestan
me the, AAP sallallahu alaihi wasallam ne mujhe dekh kar
farmaya: kiya tumhe is baat ka andesha tha ke ALLAH aur us
ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam tum par zulm
karenge? maine kaha: aye ALLAH ke RASOOL sallallahu
alaihi wasallam! mujhe shak howa tha ke shayed AAP kisi
aur biwi ke paas chale gaye hai, to APP sallallahu alaihi
wasallam ne farmaya:
َ َ ْ َ َ َ ْ ِ َ َ ْ َٔ ُ ْ َ َ َ ْ ُ ّ َ َ ّ َ َ َ ْ َ ْ ِ ْ ّ َ َ ْ َ ُ ْ َ َ ّ َ َ َ ّ َ َ َ ّ َ ّ
ًِِّ ‫ِِّم ِّعد ِد ِّشع ِر َِِّّن‬
ِّ ‫ف ِِّم ِّشعبان ِّ ِٕاَ ِّاىصٍا ِء ِّاىدُیا ِّفیغ ِفر ِّلنَث‬
ِ ‫ِّاىنص‬
ِ ‫ْنل ِّىیية‬
ِ ‫(( ِٕان ِّلل ِّعز ِّوجو ِّي‬
َْ
))ِّ‫ك ٍب‬
"Beshak ALLAH TA'ALA Shaban ki pandrahwin raat ko
aasmane dunya par aataa hai, phir itne logon ki maghfirat
karta hai jitne Banu Kalb ke baal hain." (Jami al-Tirmizi:739.
Sunan Ibn Majah:1389, Shaikh Albani rahmahullah ne in
riwayaton ko ZAYEEF kaha hai)

Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zayi rahmahuallah ne


bhi ZAYEEF kahai hai aur farmaya ke "Hajjah Bin Artaat"
Zayeef aur Mudallis rawi hai aur is riwayat ke tamam
shawahed ZAYEEF hain aur is baab main me Abu Bakar
raziallahu-anhu ki taraf mansob bhi riwayat hai: ([Al-Kamil
li-Ibn Adi :5/1946]. aur Imam Ibn al-Jauzi rahmahullah ne is
[12]

ko "Al-Waahiyaat":2/66-67 me zikar kiya hai. aur Ibn Abi


Asim rahmahullah ne "As-Sunnah" page:222 me is ko zikar
kiya hai)

Digar ayimah ke ilawa khud Imam Tirmizi


rahmahullah ne bhi isey ZAYEEF qarar diya hai aur is
riwaayat ke Zayeef hone me Imam Bukhari se bhi qaul naqal
farmaya hai, ye riwaayat naqal karne ke ba'ad Imam Tirmizi
rahmahullah likhte hain ke maine apne ustaad mohtaram
Muhammed Bin Ismayil al-Bukari rahmahullah sy suan wo
farmate the: ye riwaayat Zayeef hai, is riwaayat ko "Hajjaj
Bin Artaat" ne "Yahya Bin Abi Kaseer" se riwaayat kiya,
halanke "Hajjah Bin Artaat" ka "Yahya Bin Abi Kaseer" se
Hadis son'na saabit nahi hai balke "Hajjaj Bin Artaat" ki
"Yahya Bin Abi Kaseer" se mulaaqaat bhi saabit nahi hai,
phir "Yahya Bin Abi Kaseer" is riwaayat ko "Urwah" se naqal
kar'rahe hain, jabke "Yahya Bin Abi Kaseer" ka "Urwah" se
Hadis son'na saabit nahi hai, is tarah ye riwaayat do jagah
se munqate hai, do jagah se munqate riwaayat
Muhaddiseen ki istilaah me shadeed darje ki Zayeef
riwaayat kahlati hai. (is se bhi badi baat ye hai ke "Hajjaj"
aur "Yahya" dono Mudallis rawi hain. Imam Hakim
rahmahullah ne Ayishah raziallahu-anha ki marfo riwaayat
ko Yahya Bin Abi Kaseer ki Mursal riwaayat ki bina par
MUNKAR aur ghair mahfoz qarar diay hai)

Yaad rahe ke qissaye Ayishah raziallahu-anha jo


RASOOLULLAH sallallahua alaihi wasallam ke baqi me jane
aur ahle baqi ke liye dua karne ke mutaleq hai wo sahih aur
Sahih Muslim waghairah main tafsilan maujod hai likin is
me shaban ki pandrahwin raat ka koi zikar nahi, mukammal
[13]

waqiye ke liye Dekhiye: Sahih Muslim, Kitab-ul-Janayez,


Bab: qabrestan me dakhil hote waqt kya kaha jaye aur ahle
qabrestan keliye dua, Hadis No.974(Darussalam No.2255)


Syidina Ali raziallahu-anhu farmate hain, RASOOLULLAH
sallallahua alaihi wasallam ne farmayaa:
ْ َّ ُ ُ َ ُ ْ َ َ َّ َّ َ َ َ ْ َ ُ ُ َ َ َ ْ َ ُ ُ َ َ َ ْ َ ْ ِ ْ ّ ُ َ ْ َ ْ َ َ َ
ِّ‫وبِّاىشٍ ِس‬ ِ ‫ْنلِّ ِفهياِّىِغر‬ ِ ‫ ف ِٕانِّللِّي‬.ِّ‫فِِّمِّشعبانِّفلرٌراِّىیيياِّوصرٌراَِّيٌيا‬ ِ ‫(( ِٕاذاِّکُتِّىیية‬
ِ ‫ِّاىنص‬
َ َٔ َ َ َ َٔ ُ
َٔ َ َ
َ َٔ َ ُ ٔ َ ٌ ْ َ ْ ُ َ َٔ ُ َ َ ْ ٔ َ ْ َ ْ ُ ْ ِ َ َٔ ُ ُ َ َ َ ْ ُ ّ َ َ َ
ِّ‫َت ِزق ِّفأ ْرزك ُو َِّل ٌُِّ ْب َت ًّل ِِّّفأ َعا ِف َی ُو َِّل ِّنذا َِّل‬‫ِٕاَ ِّسا ِء ِّاىدُیا ِّفیلرل َِّل ِِّم ٌِّصتغ ِف ٍر ِّفأَ ِفر ِّىو َِّل ٌِّص‬
َ ْ ُ َّ َ َ
))‫نذا َِّتَحِّيَ ْطي َعِّاىف ْج ُر‬
"Jab Shaban ki pandrahwin raat aaye to is me qiyam kya
karo aur is ke din ka roza rakha karo kionke is raat ki shaam
sy hi ALLAH TA'ALA aasmane dunya par aakar farmata hai:
kya koi maghfirat talab karne wala hai ke mai usko mauaf
kardon? kya koi rizq talab karne wala hai ke mai usko rizq
doo? kya koi bimar hai ke main usey aafiyat doo? kya koi
sawal karne wala hai ke mai usey doo? kya koi ….. kya
koi…… yaha tak ke fajar tulo hojati hai." (Sunan Ibn
Majah:1388. / Zayeef al-Jami al-Sagheer lil-Albani:652,
Aallahmah Albani rahmahuallah ne is riwayat ko Muazo
qarar diya hai Dekhiye:al-Silsilat-uz-Zayifah:5/154,No.2132)
[ Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zayi rahmahuallah ne bhi is
riwayat ko Mauzo qarardiay hai aur farmaya ke is ko Imam
Mizzi ne "Tahzib-ul-Kamal:23/107- Ibn Abi Sabrah ke
tarjumah me zikar kya hai, aur imam Bosiri rahmahullah
"Ibn Abu Sabrah Abu Bakr Bin Abdullah Bin Muhammed Abi
Sabrah" ki wajah se "Isnaduho Zayeef" kaha. aur Ahmed
Bin Hanbal aur Ibn Mayeen ne kaha ke ye hadise ghada
karta tha]
[14]

Ye Hadis bhi mauzo aur man ghadat hai. is ke


bajaye Bukhari aur Muslim ki Hadis me hai:
ُ ْ َ ْ َ ُ ُ َ ُ ٓ ْ َّ ُ ُ ُ َ ْ َ َ َ ْ ُّ َ َّ َ َ ْ َ َّ ُ َ َ َ َ َ َ َ َ َ ُّ َ ُ ْ َ
ِّ‫رِن‬
ِ ‫ْنل ِّربنا ِّثبارك ِّوثعاَ ِّك ِّىیيةٍِّ ِٕاَ ِّاىصٍا ِء ِّاىدُیا ِّ ِخْي ِّيبَق ِّجيث ِّاليی ِو ِّال ِرر ِِّّيلرل ِِّم ِّيدع‬ ِ ‫((ي‬
َّ َ َ َ َ ُ َ َ َ َ ْ ُ َ ّ َ َ َ ُ َ َ ْ ٔ َ ُ ْ َ ْ َ ْ َ ُ َ ْ ٔ َ ُ ٔ ْ َ ْ َ ُ َ َ َ ْ َٔ َ
َ ُ َ
ِّ‫ ((ِّفالَِّيالِّنذىِمِّتَح‬-ً ِّ ٍ ‫ِّو ِفِّ ِروي ٍِّةىٍص ِي‬-))‫فأشت ِجیبِّىوِِّمِّيصأى ِِنِّفأع ِطیوِِّمِّيصتغ ِفر ِِنِّفأَ ِفرِّىو‬
َْ
))‫يُ ِِض َءِّاىف ْج ُِّر‬
"Hamara baabarkat aur buland wa bala RABB har raat ka
jab akhri hissah baqi hota hai to wo asmaan-e-dunya ki
taraf nuzol farmata hai, phir kahta hai: kon hai jo mujh se
dua mange to main us ki dua qubol karo? kon hai jo mujh se
sawal kare to mai usey ata karon? kon hai jo mujh se muafi
talab kare to main usey muaf karo?. - Muslim ki riwayat
main in alfaaz ka izafah hai - "Phir wo badastor usi tarah
rahta hai yahan tak ke fajar roshan hojati hai."(Sahih
Bukhari:1145. / Sahih Muslim:758)

Is sahih hadis ke mutabiq ye fazilat har raat


naseeb hosakti hai, lihaza usey Shaban ki pandrahwin raat
ke saath khas karna yaqinan ghalat hai.


َِّ‫اغ َِّف َل َرََِّٔب ُٔأ ّ ِم ِّ ْاى ُل ْرَٓن ََِّٔ ْر َبع‬
ِ َ َ ْ َ ْ َ َ َ َ َ ّ ُ ً َ ْ َ َ َ ْ َ َ َ ْ َٔ َ ّ َ َ َ َ َ َ ْ َ ْ ِ ْ ّ َ َ ْ َ
‫ِّاىنصف ِِّم ِّشعبان ِّكام ِّفصّل َِّربع ِّعْشة ِّرنعة ِّجً ِّجيس ِّبعد ِّاىفر‬
ِ ِ ِ ‫((ىیية‬
ُ ُ َٔ َ ّ َ َ ْ َ َ َ ْ َٔ َ َ ْ ّ َ ُ ُ َٔ َ ّ َ َ ْ َ َ َ ْ َٔ ٌ َ َٔ ُ َ ّ َ ُ َ ّ َ
ِّ‫ِِّب ِّب‬َ ِ ‫رذ‬ ‫عْشةٌِّرةِّوكوِّىر ِّلل َِّخد َِّربع ِّعْشة ٌِّرةِّوكوَِّعرذ ِِِّب ِب ِّاىفي ِق َِّربع ِّعْشة ٌِّرةِّوكوَِّع‬
َ ّ َ ُ ْ َٔ َ َ ْ َ َ َ َّ َ َ َ َ ٓ ُ َ ُ َ َ َ َ َ ّ ّ ْ ُ ْ َ ٓ َ ّ َ َ ْ َ َ َ ْ َٔ َ ّ
ِ
ِّ‫اس َِّربع ِّعْشة ٌِّرة ِّوَية ِّاىهر ِِس ٌِّرة ِّوىلد ِّجاءُك ِّرشرل ِّاليةو ِّفيٍا ِّفرغ ِِّم ِّصال ِثوِِّشأ ِّىت ِّْعا‬ ِ ‫اىن‬
َ ََ
))‫ِِّم َِّص ِنی ِع ِوِّفلال‬
ْ ِ‫ت‬ُ ‫َرََٔ ْي‬
Syidina Ali raziallahu-anhu farmate hain ke maine
RASOOLUALLAH sallallahu alaihi wasallam ko Shaban ki
pandrahwin raat ko dekha AAP sallallahu alaihi wasallam
khade howe aur chaudah rak'aat namaz ada ki, namaz se
farigh hone ke ba'ad AAP sallallahu alaihi wasallam ne
[15]

Surah Fatiha, Surah al-Ikhlas, Surah Falaq aur Surah al-Naas


chaudah chaudah martaba pdhi aur Ayat-ul-Kursi ek
martaba padhi, jab AAP sallallahu alaihi wasallam farigh
howe to main ne AAP sallallahu alaihi wasallam se is namaz
ke bare me pocha to AAP sallallahu alaihi wasallam ne
farmaaya:
َ َ ْ َ ْ َ ًَُْ َْ ًَ َ َ ْ ْ َ َ َ ً َ ْ ُ ْ َّ ً َّ َ َ ْ ْ َ ُ َ َ َ َ ْ َ َ َّ َ ْ َ َ َ ْ َ
ِّ‫ص ِّبحِّ ِف‬
ِّ ‫ْشْيِّشنةِّ ٌِّ ِّل ِّب ِّر ِّىةِّ ِّف ِِّٳ ِّن ِّٲ‬
ِ ‫امِّ ِع‬ِ ‫ْشْيِّحةٌِّْبورةِّوک ِصی‬ ِ ‫ِمِّصنعِّ ٌِلوِّاى ِذي ِِّّر ِّٲيتِّکنِِّّىوِّک ِع‬ ِّ ((
ًَ َْ ًَ ً َ ًَ َ َ ّْ َ َ ْ ٰ
))‫اض َیة َِّو َشنة ٌُِّ ْصتل َبي ِّة‬
ِ ٌِّ‫ام ِِّش ِتْيِّشنة‬ِ ‫ذى َِکِّاى َی ْر ِم َِّص ِاِئًاِّک َنِّک ِص َی‬
"Jis ne aise kya jaise tone mujhe karte howe dekha hai to
usey 20 maqbol hajj ka sawab aur 20 saal ke maqbol rozon
ka sawab mile ga aur agar usne is din ka rozah rakha to 60
saalah guzishta rozon aur ek saal ayindah rozon ka sawab
milega." (al-Mauzuaat li-Ibn al-Jauzi:2/52. / dosra nuskha:
2/127-130, Published: Muhammed Abdul Muhsin Sahib-ul-
Maktabah al-Salafiyyah Bil-Madinat-ul-Munawwarah)

Imam Ibn al-Jauzi rahmahullah ne is riwaayat ko


"al-Mauzuaat" main riwaayat karne ke ba'ad likha hai: ye
riwayat bhi man ghadat hai aur is ki sanad nihayat hi
taareek hai hai.

ُ ْ َ َٔ َ ََ ّ ّ ََْْ ٔ َ ّ ِ ُ ُّ َ َ
))‫((كالِّاىصنرِطِّوَررجوِّاىبهي َِق ِِّفِّاىشعبوِّوكالِّيشبوَِّنِّيهرنٌِّرضرعا‬
Imam Siyoti rahmahuallah kahte hain ke is hadis ne "Shab-
ul-Iman" mein riwayat kya hai aur in ka kahna hai ke ain
mumkin hai ke ye mauzo aur man-ghadat hai. (Tanziha al-
Sharia an al-Ahadis al-Mauzua li-Ibn Iraq:2/92)


[16]

ً َ ّ َ َ َ ٌ َ َٔ ُ َ ّ َ ُ ْ ُ َ ْ َ ّ ُ ُٔ َ ْ َ ً َ ْ َ َ َ ْ َ ْ َ َ ْ َ َ ْ َ ْ ْ ّ َ َ ْ َ َّ َ ْ َ
ٍ
ِّ‫ِّكِّرنعةِّ{كوِّىرِّللَِِّّخد ِّجال ِجْيٌِّرة‬
ِ ‫فِِّمِّشعبانِّاجنَتِّعْشةِّرنعةوِّيلرَ ِِّف‬ ِ ِ ‫ِّاىنص‬
ِ ‫((ِمِّصّلِّىیية‬
ُ
َ ّ ُ َ ْ َ َ ْ ُ ّ ُ ْ َ ْ َٔ ْ ِ َ َ َ َ َ ْ َ َ َ ّ َ ْ َ ِ ُ َ َ ْ َ َ َ َ ّ َ ْ ُ ْ َ ْ َ
ُِّ ‫ِّاىن‬
))‫ار‬ ‫َلَِّيرجِّتَحُِّيىٌِّلعدهِِّمِّاْلن ِةِّويشفع ِِّفِّعْش ٍةِِّمَِّى ِوِّبن ِت ِوِّكيًِّوجبتِّىو‬
Syidina Abu Hurairah raziallahu-anhu ki raraf ye riwayat
mansob ki jati hai: "Jis ne Shaban ki pandarahwin raat me
12 rak'aat ada ki aur har rak'at me 30 martabah Surah Ikhlas
padhi to wo jannat me apni jagah dekh leta hai aur apne ahl
me se 10 jahannamio ke bare me is ki sifarish qubol ki jati
hai." (Al-Mauzuaat li-Ibn al-Jauzi:2/51-52. / dosra nuskha:
2/127-130, Published: Muhammed Abdul Muhsin Sahib-ul-
Maktabah al-Salafiyyah Bil-Madinat-ul-Munawwarah)

Imam Ibn al-Jauzi rahmahullah ne is riwayat ko


"Al-Mauzuaat" main zikar karne ke ba'ad likha hai ke ye
riwaayat MAUZO yani man-ghadat hai.


ٌِّ ‫ِّللََِّٔ َخد‬ ُ َ َ ْ َ َ َ ْ َ ّ ُ ُٔ َ ْ َ َ َ ْ َ ْ
ُ َّ ‫ِّ{ك ْوِّ ُى َر‬ ‫ابِّو‬ ‫ِت‬
‫ه‬ ‫ِّاى‬ ‫ة‬ ِ
‫اِت‬‫ف‬ ‫ب‬ ِّ ‫ة‬ ‫ع‬‫ن‬ ‫ِّر‬ ‫ِّك‬ ‫ِّف‬ َ‫ر‬ ‫ل‬ ‫ِّي‬ ‫ان‬ ‫ب‬ ‫ع‬‫ِّش‬ ‫ِِّم‬ ِ ‫ف‬ ‫ص‬ْ ّ ‫ائ َة َِّر ْن َع ٍة ِِّفِّىَ ْیيَ ِة‬
‫ِّاىن‬
َ َّ َ ْ َ
ٌِ ِّ‫((ِمِّصّل‬
ِ ِ ِ ِ ِ ِ
َ ‫ِّك َِّخ‬ َّ ُ ُ َ َّ َ َ َّ َ ُ َّ َ َ َ َ َّ َ ّ ‫ِِّم َِّع ْبد ِّيُ َص‬
ْ َ ُ ّ َ َ ُ َ ّ َ َ َ ّ َ َ ْ َ ٌ َ َٔ
ِّ‫اج ٍة‬ ‫ِّلل ِّعز ِّوجو ِّىو‬
ِّ ‫ات ِّ ِٕال ِّكَض‬ ِ ‫ر‬ ‫ي‬‫ِّاىص‬ ‫ه‬ ‫ذ‬
ِِ ِ ٍ‫ِّى‬ ‫ِل‬ ِ ‫ا‬ ٌِّ ‫ِّلَع‬
ِ ‫َِّي‬ ‫ب‬ ّ ِ ‫ات ِّكال‬
‫ِّاىن‬ ٍ ‫َخ ِّد ِّعْش ٌِّر‬
ُِّ‫ِّللِو َِّو َ َْي َعيُو‬
َ ّ ُ ُ ْ َ ًّ َ َ ُ ُ َ ْ َ ُ َ ّ َٔ ِ ْ َ ّ ٌ ُ ْ َ ُ َّ َ ْ َّ َ ْ َ َ َ َ
‫الن ِّر ِيق ِّش ِلیاو ُِّیدره‬ٍ ‫ (( ِٕاُو ٌِّهترب ِِّف ِّاليرح َِّن ِّفالن ِّْب ِّف‬- ))‫طيَبا ِّ ِثيم ِّاليیي ِِّة‬
ً ‫َشع‬
))‫یدا‬ ِ
Salat-ul-Al'fiyyah – Ye riwaayat bhi Syidina Ali aziallahu-
anhu ki taraf mansoob hai :"Jo shakhs nisf shaban ki raat
me 100 rak'aat namaaz is tarah se ada kare ke har rak'at me
Surah Fatiha ke ba'ad Surah al-Ikhlas 11 martabah padhe to
ALLAH is ki har haajat pori kardeta hai, agar wo loh-e-
mahfoz me bad'bakht likha gaya ho to ALLAH usey mitakar
usey nek logon me likh deta hai ….. aur us ke ayindah ek
saal ke gunah nahi likhe jate".(al-Mauzuaat li-Ibn al-
Jauzi:2/50-51 / dosra nuskha: 2/127-130, Published:
[17]

Muhammed Abdul Muhsin Sahib-ul-Maktabah al-Salafiyyah


Bil-Madinat-ul-Munawwarah)

"Al-Mauzuaat" main Imam Ibn al-Jauzi


rahmahuallah in riwaayaat ke mukhtalif turq zikar karne ke
ba'ad likhte hai: in riwaayaat ke mauzo hone me koi shak
nahi.

Ye aur is qisam ke digar riwaayaat jin me Shaban


ki pandrahwin raat ki ibaadat ki fazilat bayan ki gaiyi hai bil-
ittifaq ZAYEEF aur MAN-GHADAT hain ayimah kiraam,
masalan: Imam Shokani, Imam Ibn al-Jauzi, Imam Ibn
Hibban, Imam Qurtobi aur Allamah Siyoti waghairhum ne in
riwaayaat ko naaqabile etebaar qaraar diya hai, tafseel ke
liye Dekhiye: Al-Fawayed al-Majmoua / Al-Mauzuaat al-
Kubra/ Tafseer-e-Qurtobi/ Allayil Masnuaa fi Ahadis al-
Mauzuaa, waghairah.

SHAB-E-BARA'AT ME KYA KARNA CHAHIYE?


Ab sawal ye hai ke Shaban ki pandrahwin raat ki fazilat ke
mutaleq jis Hadis ko ba'az Muhaqqiqeen ne Sahih qarar diya
hai ke (ALLAH TA'ALA Shaban ki pandrahwin raat ko apni
pori makhloq ki taraf rahmat ki nazar se dekhta hai, phir
Mushrik aur kina parwar ke siwa baqi sari makhlop ki
bakhshish kardeta hai).

Kya hame in riwaayaat ki roshni me jashan ya


khusosi ibaadaat ka ehtemaam karna chahiye?

Kiya in riwaayaat me kisi mahfil jamane/ijtemayi


ibaadaat ya kisi khaas ibaadat ka zikar hai?
[18]

Is sawal ka jawab har wo shakhs de skata hai jo


bid'aat aur man ghadat riwaayaat par etemaad karne ke
bajaye RASOOLUALLAH sallallahu alaihi wasalam ki saaf
suthri shariat par emaan rakhta ho, is Hadis ka agar insaaf
se muraliya kya jai to waazeh taur par malom hojata hai ke
is me kisi mehfil jamane, ibadat karne, charaghan aru aatish
bazi waghairah ka zikar nahi hai, balke jis cheez ka zikar kiya
gaya hai wo hai ALLAH TA'ALA ki aam maghfirat jis ka
mustahiq har wo shakhs hai jo shirk aur kina parwari se
bachahowa hai, lihaza is raat ko aam bakhshish ka haqdaar
ban'ne keliye har insaan ko chahiye ke wo apna aqidah shirk
se paak kare, is ke saath shaath musalmanon ke mutaleq
apna dil saaf rakhe aur kisi se hasad, jalan aur dil me kina
pan na rakhe, ye chize insaan ki najaat keliye intehayi zarori
hain.

Nihayat afsos ki baat hai ke Shaban ki pandrahwin


raat ki jo fazilat RASOOLUALLAH sallallahu alaihi wasalam
ne bayan ki ke mushrik aru kina parwar ke ilawa har
Musalman ki bakhshish hoti hai, hame chahiye ke apne aap
ke gunaho se bachaya jaye likin aaj ka jaahil musalmaan
aulta apne aap ko is raat me in dono gunahon me daal raha
hai ek taraf jalse julos karke in me jhoti aur man ghadat
riwaayaat bayaan karke aur naat khawani ke naam shirkiya
kalimaat kahe jate hain aur naat khawan bazabtah
RASOOLUALLAH sallallahu alaihi wasalam ko madad ke liye
pukar ta hai aur log jhom jhom kar wah wah karte nazar
aate hain jab ke shirk se bachne ka matlab ye hai ke is raat
hi nahi balke har lamha hum sirf ALLAH TA'ALA se madad
maange likin is ke ulat is raat RASOOLUALLAH sallallahu
[19]

alaihi wasalam ko madad ke liye pukara jata hai, yani agar


ye kaha jaye ke ye to khullam khulla shirk hai to ye ghalat
nahi hai yani ke is raat hum shirk bhi kar rahe hote hain aur
ALLAH TA'ALA se ye umeed bhi kar rahe hain ke ALLAH
TA'ALA hame muaf bhi kardenge ye khud se dhoka-dahi hai,
dosri taraf patakhon ke zariye se apne hi bhaion ko
pareshan karke insaan dushmani ka subot diya jata hai jab
ke is riwaayat ke mutabiq aise kamo se bhi bachna zarori
hai jis se ke kisi ko takleef ho, yani hum aise kaam karke
khud ko ALLAH TA'ALA ki maghfirat aur aam bakhshish se
door hojainge aru jahannum se aazaadi se bhi hum mahrom
hojainge.

SHAB-E-BARA'AT ME IBADAT?
Ye bhi sawal hosakta hai ke agar raat me maghfirat ka
saboot milta hai to phir is me khusosi ibadat me kya harj
hai?

IS SAWAL KE DO(2) JAWAB HAIN:


1) ALLAH TA'ALA ki khusosi bakhshish ka subot sirf
pandrahwin shaban ki raat ke saath khaas nahi hai
balke yahi khusosiyat Peer aur Jumerat ke din bhi
hoti hai, is se pahle is Hadis ka zikar guzar chuka
hai. Balke ALLAH TA'ALA to har raat apne bando
ko bakhashne keliye har raat pahle aasmaan par
naazil hota hai, is Hadis ki mutabiq ek Musalman
ko to har raat is khusosi ibaadat ka ehtemaam
karna chahiye na ke sirf pandrahwin Shaban ko
halanke pandarah win shaban ki raat ki koi ek
riwayat bhi Sahih nahi hai.
[20]

2) Shabe-e-Bara'at / Shaban ki pandrahwin raat me


PYARE NABI sallallahu alaihi wasalam se koi
khusosi ibadat saabit nahi hai, aur Shab-e-Bara'at
ki jo riwaayaat bayan ki jati hai wo sab ki sab jhoti
manghadat aur Mauzo hai jin ki tafseel pahle
guzar chuki hai, lihaza apni taraf se kisi din ya raat
ya kisi bhi waqt ko ibadat ke saath khaas karne se
NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne
mana farmaya hai, Syidina Abu Hurairah
raziallahu-anhu bayaan karte hain ke NABIYE
KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
ِّْ‫ام ِِِّم‬ َ َ ُ ُ ْ َ ْ َ ُّ ُ َ َ َ َ َّ ْ َ ْ َ َ ٍُ ُ ‫َِّت َت ّ ُصرا ِّىَ ْیيَ َة ِّْاْل‬
َْ َ
ٍ ‫ْي ِّاليی ِال ِّول َِّتصرا َِّيم ِّاْلٍع ِة ِّ ِب ِصی‬ِ ‫ِّب‬ ِ
‫ِِّم‬ ‫ام‬
ٍ ‫ی‬ ‫ل‬
ِ ‫ب‬
ِ ِّ ِ
‫ة‬ ‫ع‬ ‫((ل‬
ْ ُ ُ َ َٔ ُ ُ ُ َ ْ َ َ ُ َ ْ َٔ َ ّ َ ّ َٔ ْ َ
))‫ُك‬
ِّ ‫ْيِّالَي ِمِّ ِٕالَِّنِّيهرن ِِّفِّصر ٍمِّيصرٌوَِّخد‬ ِ ‫ب‬
"Raton me sirf jume ki raat ko ibaadat keliye aur
dino me sirf Jume ke din ko roza keliye khaas na
karo, Haan! agar Jume ka din in dino me aajaye jin
me tum me se koi roza rakhne ka aadi ho to aise
shakhs ka roza rakhne me koi harj nahi." (Sahih
Muslim 1144)

Agar kisi raat ko ibaadat ke saaht khaas kya


jaasakta hota to Juma ki raat sab se afzal tareen thi likin
NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne Jume ki raat
ko khaas karne se mana farmadiya aur NABIYE KAREEM
sallallahu alaihi wasallam ka farmana hi hamare liye kaafi
hai aur hamare liye NABIYE KAREEM sallallahu alaihi
wasallam ka farmaan hi sab se bahtareen namona hai, AAP
sallallahu alaihi wasallam ne agar kisi din ya raat ko ibaadat
keliye khaas kya hai to is ka hokum bhi diya hai aur
ehtemaam bhi farmaya hai jaisa ke Sahih Ahadis me
Ramazan ki raato aur khusosan Shab-e-Qadar ke bare me
[21]

hai ke AAP sallallahu alaihi wasallam ne is ka khusosi


ehtemaam kiya aur ibaadaat ki aur saath hi saath Shab-e-
Qadar ki raaton ki fazilat bayaan kar ke apni ummat ko in
raton ki ahmiyat batayi, lihaza agar Shaban ki pandrahwin
raat me mehfil jamane, ibaadat karne aur dosre kaam bhi
karne ki koi khaas fazilat hoti to AAP sallallahu alaihi
wasallam apni ummat ko zaror bate aur khud bhi is ka
ehtemaam karte kion ke AAP sallallahu alaihi wasallam ka
mansab hi yahi tha ke AAP sallallahu alaihi wasallam
ummat se koi chiz bhi chupa nahi sakte the, agar koi ye
samajhta hai ke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam
koi chiz chupai thi to wo Risalat ka munkar kahlayega aur
Risaalat ka munkar Kaafir hota hai, is raat me kisi ibaadat ka
koi sabot nahi milta aur nah Sahabah Kiraam raziallahu-
anhum-ajmayin hi se is ka koi sabot milta hai aur nahi
Tabayin aur Taba-Tabayin hi se koi sabot milta hai to phir is
raat ko khusosi ibaadat wali raat kis tarah samjha jasakta
hai?

KYA SHAB-E-BARA'AT FAISLON KI RAAT HAI?


Shab-e-Bara'at manane walon ka nazriya ye hai ke ye raat
faislon ki raat hai, aur dalil me Surah Dukhaan ki ye aayat
pesh karte hain:
﴾]4[ً‫ِی‬
‫ه‬ َ
‫ِّخ‬ ‫ر‬ ْ ََِّٔ‫ِّك‬
ٌ
ُّ ُ ُ َ ْ ُ َ
‫ق‬ ‫ر‬ ‫ف‬ ‫ِّي‬ ‫ا‬‫هي‬‫ف‬ِ ِّ]3[ َ ‫ار َن ٍةِّا ََّن ُِّن َّنا ٌُِّ ْن ِذر‬
‫ْي‬ َ ‫ب‬َ ٌِّ ُ ‫﴿ا ََّنََِّٔ ْ َْن ْى َن‬
ُ ‫اه ِِّفِّىَ ْیيَ ٍة‬
ٍ ٍ ِ ِٕ ِٕ
"Yaqinan hum ne ise baabarkat raat me utaara hai[3]
Beshak hum darane wale hain, is raat me har mazbot kaam
ka faisla kiya jata hai[4]."(Surah Ad-Dukhan 44/3-4)

ALLAH TA'ALA ke is farmaan me "baabarkat raat"


ka zikar aayaa hai jis me Quran Majeed ko utaara gaya aur
jis me saal bhar me hone wale waqiat ka faisla kya jata hai,
[22]

kuch hazrat is "baabarkat raat" se muraad Shaban ki


pandrahwin raat ko maante hain, ab dekhna ye hai ke kya
waqayi "baabarkat raat" ka matlab pandrahwin Shaban ki
raat hai ya is raat se muraad koi aur raat hai?

Agar hum is aayat ki tafseer apni raye aur apne


khiyal ke mutabiq karne ke bajaye khud Quran Majeed hi se
is ka mana aur matlab talash karen to hame is sawal ka
jawab mil jayega jaisa ke Quran Majeed me ek dosre
muqaam par ALLAH TA'ALA ne is aayat ke mutaleq waazeh
andaaz me farmaya hai:
ُْْٓ َ ْ ُٔ َ ّ َ َ َ َ ُ ْ َ
﴾‫﴿شيرِّرٌضانِّاى ِذيَِّ ِْنلِّ ِفی ِوِّاىلرَ ِّن‬
ُ
"Ramazan ke mahine me Quran utaara gaya."(Surah al-
Baqarah,2/185)

Aur jis raat Quran Majeed ko utaara gaya ALLAH


TA'ALA ne us raat ko bhi khol kar bayan kardiya:
ْ َ ْ َ ْ َ ُ َ ْ َ ْ َٔ َ ّ
﴾‫﴿ ِٕاَنَِّْنىناه ِِّفِّىیي ِةِّاىلد ِِّر‬
"Beshak hum ne is (Quran) ko Lailat-ul-Qadr(shab-e-qadr)
me utaara hai." (Surah al-Qadr, 97/1)

Ummat ka is baat par ittifaq hai ke Lailat-ul-Qadar


Ramazan Mubark ke aakhri dahe(Ramazan ka aakhri Ashra)
me hai, ALLAH TA'ALA ne Quran ko utaarne ka mahina aur is
mahine ki khaas raat jis me NABIYE KAREEM sallallahu alaihi
wasallam par Quran utarna shuro howa yaa Lohe Mahfoz se
dunya ke aasmaan par Bait-ul-Izzat" me utaara gaya ALLAH
TA'ALA is ko bhi khool kar bata diya Quran me nuzol-e-
quran ki raat ko "Lailat-un-Mubarakah" bhi kaha gaya aur
jab hum "Lailat-un-Mubarakah" ki Quran me tafseer dekhte
hain to is se hame ye pata chalta hai ke ye "Lailat-ul-Qadr"
[23]

hi hai jis me Quran utaara gaya aur isee "Lailat-ul-Qadr" me


saal bhar ke hadisaat aur waqiyaat ka faisala bhi kiya jata
hai tamam Quran ke Mufassireen ki yahi tafseer hai, Quran
ke aayaat ke moqabile me ZAYEEF aur MAUZO riwaayaat se
"Lailat-un-Mubarakah" ki tafseer pahdrahwin Shaban ki
raat se karna jayez nahi hai balke Haraam aur Baatil hai,
lihaza Shaban ki pandarahwin raat ko faisle ki raat maan'na
Quran ki mukhalifat hai.

PANDRAH SHABAN KA ROZA SAABIT NAHI HAI:


Sunan Ibn Majah ki riwaayat hai:
ُ ‫رٌراِّىَ ْیيَ َيا َِّو ُص‬
))‫رٌرا َ َِّْي ٌَ َيا‬ ُ ‫ان َِّف ُل‬
َ ‫ِِّم َِّش ْع َب‬
ْ ِ‫ف‬ َُ َ َ َ َ
ِّ ‫((ِّ ِٕاذاِّکُ ْتِّى ْیية‬
ِ ‫ِّاىن ْص‬
"Shaban ki pandrahwin raat ko ibaadat karo aur din me roza
rakho." (Sunan Ibn Maja:1388 Shaikh Albani rahmahullah
ne is ko MAUZO (man-ghadat) qarar diay hai Dekhiye
Silsilat-uz-Zayeefah :5/154, No:2132)

Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBARI ALI ZAYI


rahmahullah ki Tahqiq:
 Is riwaayat ko Imam Mizzi rahmahullah ne
"Tahzib-ul-Kamal":33/107 "Ibn Abi Sabrah" ke
tarjume me bayaan kiya hai.
 Imam Buseri rahmahullah ne "Ibn Abi Sabrah" ki
wajah se Zayeef kaha hai.
 Imam Ahmed Bin Hanbal rahmahullah ne
farmaaya ke ye MAUZO riwaayat hai.
 Imam Ibn Mayeen rahmahullah ne kaha ke ye
MAUZO hai.
 Imam Ibn Rajab rahmahullah ne "Latayif-ul-
Muarif" me farmaya ke Ibrahim Bin Muhammed
[24]

ko koi nahi janta, aur Ibn Abi Yahya Matrok-ul-


Hadis hai.

Is riwaayat ki bina par bahut sare log Shaban ki


pandrah ko roza rakhte hain likin Muhaddiseen ke nazdeek
ye riwaayat MAUZO aur man-ghadat hai lihaza pandrah
Shaban ka roza bhi saabit nahi.

Albatta Sahih Hadis sy ye baat sabit hai ke NABIYE


KAREEM sallallahu alaihi wasallam har mahine ke 13,14,15
tarikh me roza rakha karte the, is hadis ke mutabiq koi
shakhs jo har mahine ki 13,14,15 tarikh ko roza rakh ta hai
to usee tarah wo Shaban ki bhi in tarikhon me roza rakhta
sakta hai likin agar koi shakhs jo makhsos sirf 15 Shaban ka
roza rakhta ho to uske liye ye jayez nahi hai balke ke Bid'at
ka murtakib kahlayega aur aur agar koi rakhna hi chahta hai
to wo sunnat ke mutabiq 13,14,15 ke roze rakhle jo Sahih
Hadis se saabit hain likin saath hi ye bhi khiyaal rakhe ke ye
Ayyam-e-Beez ke roze hain ye koi makhsos Shaban ke roze
nahi hain.

SHAB-E-BARA'AT KE NAAM KIYE JANE WALE


HARAAM KAAM:
Shaban ki pandrahwin raat kw aur bhi baz kaam aise kiye
jate hain jin ka koi sabot nahi, jaise "Murdon ki Eid" ka
naam dena logonka khiyaal hai ke is roz murdon ki rohen
aati hai, halanke ye aqidah bilkul ghalat hai aur be-bunyad
hai balke ye aqidah unhi ke khilaf hai jo ye kahte hain ke
murde sunte hain aur unki duaon ko ALLAH tak pahunchate
hain, isee liye wo raat bhar qabron par charaaghaan karte
hain aur murdon ke pasandidah khane chune jate hain aur
[25]

khob patakhe aur aatish baazi ki jati hai halanke ye hindos


ke rasm o riwaaj hain ye mushrikana aqide hain aur patakhe
aur aatish bazi Parsion/Majosion ki nishani hai aur ye aag
ko poj ne wale hote hain iseeliye ye sab karte hain Islam se
is ka koi taluq nahi hai.

Rafzion ka is din ka ek aqidah ye bhi hai ke is din


unke barahwen imam ki paidayish hai lihaza Rafzi Shia (isna
ashriyyah) khob ehtemaam karte hain aur jashan manate
hain aur Ahle Sunnat ke ye aqayed ke ye khilaf hai.

(Maakhooz Az: [Hafiz Salahuddin Yousuf


rahmahullah] Mas'alah Royat-e-Hilaal aur 12 Islami
Mahine, page:317-336, Published: Darussalam)

KHULASAH
Az Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBARI ALI ZAYI rahmahullah:
Pandrah Shaban waali koi bhi riwayat RASOOLUALLH
sallallahu alaihi wasallam aur Sahabah Kiraam raziallahu-
anhum-ajmayeen se saabit nahi hai.

MUHAQQIQ KA FAISLAH:
Abu Bakar Ibn al-Arabi rahmahullah farmate hain(543 Hijri):
ََ َ َ ٓ ْ ْ َ َ َ َ ْ َ َ ْ َ َ ُ َّ َ ُ ٌ َ َ َ ْ َ ْ ِ ْ ّ َ ْ َ َ ْ َ َ
ِ ‫ف ِِّم ِّشعبان ِّخ ِديث ِّي ِّعرل ِّعيیوِوِّل ِِّف ِّفض ِيياوِّول ِِّف ِِّص ِذ ِّالج‬
ِّ‫ال ِّ ِفهياو ِّفال‬ ِ ‫((وىنس ِِّف ِّىیي ِة‬
ِ ‫ِّاىنص‬
َ َْ
))‫ثي َت ِف ُتراِّ ٕاى ْهيَا‬
"Nisf Shaban (Shab-e-Bara'at) ki raat aur fazilat ke bare me
koi Hadis qaabile etemaad nahi hai aur is raat ko maut ke
faisle ki mansokhi ke bare me bhi koi hadis qaabile etemaad
nahi hai. Pass aap in (naa qaabil-e-etemaad) ahadis ki taraf
(zarrah bhi) eltefaat na karen." (Ehkaam-ul-
[26]

Quran:4/1690[4/117- Published: Dar-ul-Kutob al-Ilmiyyah,


Bairut, Libnan)

Hafiz Ibn Qayyim rhamahuallah likhte hain:


َ ْ ٌِ ِّ‫لِّيَ ِص ّ ُح‬
ْ َ ‫ْا‬ َ
))‫َِّ ٌِّء‬ ِّ ((
"Pandrahwin Shaban ki raat ko khaas namaz waali
riwaayaton me se koi cheez bhi sabit nahi hai." (al-Manar
al-Munif fi al-Sahih walzyeef, page:98-99)

HASSAN LI-GHAIRIH:
Muhaddis Kabeer al-Shaikh Albani rahmahuallah ne
pandrahwin Shaban waali riwaayat ko ta'addud-e-turq ki
wajah se "Sahih" qarar diya hai. Halanke ye riwaayat
"SAHIH LI-GHAIRIH" ke darje tak bhi nahi pahunchti,….

TANBIYYAH:
Nuzol-e-Bari Ta'ala har raat ko phichle pahar hota hai jaisa
ke Sahihain waghairahuma ki mutawatir ahadis se saabit
hai. Hum is par eemaan late hain aur uski kaifiyat ko ALLAH
TA'ALA ke supord karte hain, wahi bahtar jaanta hai.

WAMA ALAINA ILLALABALAGH


(Tahqiqi, Islahi aur Ilmi Maqaalaat:1/299 aur 304)

You might also like