Marefat Ke PhooL-Qasida Book in Roman English.pdf

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 101

MADHA SIKHLAYI HAI DOZAQ SE AMAAN BAQSHI HAI

IZZAT-E-ZIKRE SHAHE KAUN -O-MAKAAN BAQSHI HAI


EK MEESUM KI ZUBAAN KAAT KE KHUSH THA ZALIM
USSI MEESUM NE HAZAARO KO ZUBAAN BAQSHI HAI

(Shayer-e-Saqqae Haram Syed Ali Jawed Maqsood r.a)

“MAREFAT KE PHOOL”

EDITION-I, RAJAB- 1441 (2020)

Book Named by Shayer-e-Ahlebait Janab Salman Amanat Khani Sahab


contact # 91 & Himayathali1@gmail.com
Designed & Compiled by Baquer Ali Mujahed (Marsia Khan)

Note: This is the 1st Edition of “Marefath ke Phool” Qasida book in Roman English,
If you find any corrections to be done and to add more qasidas please feel free to inform us

Suggestion: Pages are linked with the index, kindly install Adobe Acrobat Reader if links
does not respond.

Contact details: Himayathali1@gmail.com & +91 95023 12725

Kindly Recite Sura’e Fateha For


Shayer-e-Aazam Mir Babar Ali Anees r.a
Khuda-e-Suqan Mirza Salamat Ali Dabeer r.a
Khanwada-e-Bulbule Dabistan-e-Dabeer r.a
Moulvi Mir Himayath Ali Sahab (Marsiakhan) r.a
Naqeeb-e-Soz-e-Karbala Moulvi Mir Sadiq Ali Sahab
(Marsiakhan) r.a
Khanwada-e-Nawab Mir Fayyaz Ali Khan r.a
&
Jumla Marhoom Momineen-o-Mominaat

MAREFAT KE PHOOL Page 2


S. No. QASIDA Page no.
HAZRAT ABUTALIB (A.S)
1 HOUZ-E-KAUSAR SAQIYE KAUSAR ABUTALIB KA HAI 9
HAZRAT MOHD MUSTAFA (S.A.W.S)
1 KISHWARE DEENE KHUDA KA HUKMURAAN PAIDA HUWA 9
2 AAJ DUNIYA ME MOHAMMAD MUSTAFA PAIDA HUWA 10
3 AAI FAQRE ARAB AAI SHAHE AJAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE 10
4 JO BHI LETA HAI TERA NAAM MADINE WALE 11
HAZRAT IMAM ALI IBNE ABUTALIB (A.S)
1 KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI 12
2 KHUDA KA PYARA NABI KA DILBAR ALI ALI HAI 14
3 JASHNE MILADE MURTUZA HAI AAJ 15
4 MERE LAB PER TOH REHTA HAI SUBH O MASA YA ALI YA ALI 16
5 HAR WAQT MERE MOULA MEHWE KARAM MILENGE 16
6 HUM ALI KE DEEWANE HADESO ME PALTE HAI 17
7 DO AALAM HAI FARHAN ALI ARAHE HAI ALI ARAHE HAI 18
8 DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE 19
9 MAKEEN HAI JO KHUDA KE GHAR KA WO AAGAYA HAI 20
10 TERA NAAM HI AISA HAI 21
11 ALI ALI HAI ALI ALI HAI 22
12 KARTA HOON MAI TUMHARI SANA MURTUZA ALI 24
13 MADHE HYDER SUN KE PEHLE MUSKURA DIJIYE HUZOOR 24
14 VILA KA NASHA BEHER HAAL RANG LANE LAGA 25
15 MERA IMAAN HAI MERA IQAAN HAI 26
16 NOOR KHALEQ KA HAQ KE MAKAAN ME 26
17 MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI 27
18 MERA MOULA MAHAAN 28
19 AISE HUM SAQIE KAUSAR KI TARAF DEKHTE HAI 29
20 HUM SANAE HYDER KI BAZM JAB SAJAYENGE 30
21 NABI HAI NA TU KIBRIYA KYA KAREGA 31
22 WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI 31
23 WO KAHIN MAMNOON HOTA HAI BHALA AGHIYAAR KA 32
24 JAB KHUDA KO PUKARA ALI AAGAYE 33
25 NAAME ALI HAI NAAME KHUDA YA ALI MADAD 25
26 JISNE MOULA ALI KO PUKARA NAHI 35
27 MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN 36
28 GOONJ SALLE ALA KI HAR SO 37
29 AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR 38
30 MERA MUSHKIL KUSHA AAGAYA 39

MAREFAT KE PHOOL Page 3


SHAHZADIYE KAUNAIN (S.A)
1 ARSH PER MUSTAFA KO BULAYA GAYA 40
2 KHUDAE PAAK KE JAISI MASHIYAT FATIMA KI HAI 40
3 FATIMA ZEHRA KA HAI 41
4 AAGAYI FATIMA AAGAYI FATIMA 42
5 YE BEMISL NAYAB DUQTAR MUBARAK 42
6 AAJ DUNIYA ME JANABE FATIMA PAIDA HUWI 43
7 JAB TAK ZUBAAN PER MERI RAHA FATIMA KA NAAM 44
8 MARYAM HAI HAJERA HAI NA SAARA HAI FATIMA 44
9 NOOR KI ANJUMAN FATIMA 45
10 ZEHRA KE HATH ME 45
11 MAHOOL LAJAWAB FIZA BEMISAAL HAI 46
HAZRAT IMAM HASSAN (A.S)
1 MURTUZA KE GULSHAN ME KYA BAHAAR AAYI HAI 47
2 HO MUBARAK FATIMA KA DILRUBA PAIDA HUWA 48
3 JAANE ZEHRA QALBE SHAHE BUTSHIKAN PAIDA HUWA 48
4 KYA POOCHTE HO MUJHSE KE KYA KYA HASAN KA HAI 49
5 DEENE NABI KA TEESRA SARDAR HAI HASSAN 50
HAZRAT IMAM HUSSAIN (A.S)
1 TERE NAAM SE ZINDA HAI 51
2 AAGAYA SHABAN 52
3 DARWAZAE HUSSAIN PE SAJDA KIYE BAGHAIR 52
4 HUM HUSSAIN WALE HAI 53
5 MOHSINE UMMAT SHAFIE AASIYA PAIDA HUWA 54
6 MOMINO KA NAARA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS 54
7 HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI 55
8 KARE JASHN YE HAQQE TAALA MUBARAK 56
9 HAQ FASANA MERE HUSSAIN KA HAI 57
10 JASHNE HUSSAIN KIJIYE KHUSHIYAAN MANAIYE 58
11 MADHE SHABBIR ME JAB UTHAYA QALAM 58
HAZRAT IMAM ZAIN UL ABIDEEN (A.S)
1 HUSSIANE JARI KO YEH DILBAR MUBARAK 59
2 AAJ SHAHE KARBALA KA DILRUBA PAIDA HUWA 60
3 HAI MOMINO KI EID FIZA RASHKE TOOR HAI 60
HAZRAT IMAM MOHD BAQAR (A.S)
1 MUSHDA BAAD AAI DIL IMAME PANJUMEEN PAIDA HUWA 60
2 AAJ NAYEB SYYEDE SAJJAD KA PAIDA HUWA 61
HAZRAT IMAM JAFFER-E-SADIQ (A.S)
1 BAQER KE GHAR ME PHAILI MASSARAT KI ROSHNI 62
2 AAJ NAYEB BAQAR-E-ZIJAAH KA PAIDA HUWA 63

MAREFAT KE PHOOL Page 4


HAZRAT IMAM MOOSIYE KAZIM (A.S)
1 AAJ SADIQ KA JAHAAN ME JANASHEEN PAIDA HUWA 64
2 BANDAGI KO SARE SAJDO KA SILA MILJAYEGA 64
HAZRAT IMAM MOOSIYE RAZA (A.S)
1 HO MUBARAK QALQ KA HAAJAT RAWA PAIDA HUWA 65
2 YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA 65
3 SULTANE QURASAAN KA ZAHOOR AAJ HUWA HAI 66
4 HAR GHAR ME JASHN AAJ IMAME RAZA KA HAI 67
HAZRAT IMAM MOHD TAQI (A.S)
1 MUSHDA BAAD AAI DIL TAQI-E-MUQTEDA PAIDA HUWA 67
2 MOHD TAQI KI VILADAT HUWI HAI 68
HAZRAT IMAM ALI NAQI (A.S)
1 HO MUBARAK SHAFAAI ROZ-E-JAZA PAIDA HUWA 69
HAZRAT IMAM HASSAN ASKARI (A.S)
1 AAJ AALAM ME NAQI KA JANASHEEN PAIDA HUWA 69
IMAM-E-ZAMANA (A.J.T.F)
1 SUBHA AYENGE SHAAM AYENGE 70
2 YA IMAME ZAMAAN YA IMAME ZAMAAN 71
3 HUJJAT SE YEH DUNIYA QAYAM HAI 72
4 WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI 73
5 JAB IMAM AAYENGE 74
6 MAI SAHEB SE APNI KAHANI KAHUNGA 75
7 HASAN ASKARI KO YEH DILBAR MUBARAK 76
HAZRAT ABBAS (A.S)
1 HUBAHU JO SHABIHE ALI HAI BAGHE ALAM ME PAIDA HUWA HAI 76
2 ZEHRA KI DUAO KA ASAR DEKH RAHA HOON 77
3 ISLAM KA HAI TUJH SE BHARAM FATIMA KE LAAL 77
4 MOULA KE GHAR ME PHOOL WAFA KA KHILA HAI AAJ 78
5 AAZMAYA HUWA NAAM KAAM AAGAYA 79
6 DEKHA JO RAN ME SHER NE AAKAR IDHAR UDHAR 80
7 KARTA HOON MAI JO MIDHATE JARRAR BAAR BAAR 80
HAZRAT ALI AKBER (A.S)
1 MERE LABO PE SIRAT-E-AKBER KI BAAT HAI 81
2 NOOR KI HAI YEH MEHFIL HAI YAHAN ALI AKBER 82
3 UMME LAILA KA PISAR KYA SAHIBE TOUQEER HAI 82
SHAHZADA ALI ASGHER (A.S)
1 AAYE ASGHER DEHER ME AUR CHAAR SO TANWEER HAI 83
HAZRAT AUN O MOHD (A.S)
1 HAI SANIYE ZEHRA KE PISAR AUN O MOHD 84
2 GHUNCHOUN KE CHITAKNE KI QABAR AUN O MOHD 84

MAREFAT KE PHOOL Page 5


SHAHZADE QAISM (A.S)
1 HASSAN KA DILBAR HASSAN KA DILBAR 85
2 SANIYE HYDER HASAN KA DILRUBA PAIDA HUWA 86
3 KHUSH HAI AALE MUSTAFA MUSHAF KA JALWA DEKH KAR 86
SHAHZADI SAKINA (S.A)
1 SAKINA HUWI AAJ PAIDA MUBARAK 87
2 IMAAN KI PEHCHAAN HAI ABBAS O SAKINA 87
3 HO MUBARAK BINTE SHAHE KARBALA PAIDA HUWI 88
SHEHZADI ZAINAB (S.A)
1 SANIYE ZEHRA BATOOL-E-DO SARA PAIDA HUWI 88
2 FATIME KE GULSHAN ME KYA BAHAAR AAYI HAI 89
3 ALI SHAAD O QURRAM HAI KHUSH HAI PAYAMBAR 89
4 KYA BATAUN MAQAM ZAINAB KA 90
SHEHZADI KULSOOM (S.A)
1 HAZRATE KULSOOM BINTE FATIMA PAIDA HUWI 91
SHEHZADI SUGHRA (S.A)
1 SONCHTA HOON MARTABA KYA FATIMA SUGHRA KA HAI 92
2 JANABE SUGHRA JANABE SUGHRA 92
AQDE MOULA ALI (A.S) O SHAHZADI KAUNAIN (S.A)
1 DULHA ALI ZEHRA DULHAN 93
2 HAI DULHAN FATIMA MOULA ALI AALA DULHA 93
3 SUNO ARSH WALO MAI SEHRA ALI KA SUNANE CHALA HOON 94
4 JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANARAHE HAI 94
5 ALI KE SATH HAI ZEHRA KI SHAADI 95
EID-E-GHADEER
1 KITNA HASEEN HAI MANZAR EID-E-GHADEER AAYI 96
2 SAGHER MAI GHADEER SE CHALKA KE PI GAYA 97
3 GHADEER-E-QUM KA DULHA ABUTALEB KA BETA 98
4 JAB ZIKRE GHADEER E QUM AAYE IMAAN KI KHUSBO AATI HAI 99
5 SURAJ YE KEH KE DEEN KA UBHRA GHADEER ME 99
6 HUM ALI KE DEWANE HAR ADA GHADEERI HAI 100
EID-E-MUBAHELA
1 HAI AAJ DIN KHUSHI KA EID-E-MUBAHELA HAI 101

MAREFAT KE PHOOL Page 6


QITA’AT

RIZWAAN NE JAB SE DEK H LIYA DAR BATOOL KA


CHORDI BEHISHT BANGAYA NAUKAR BATOOL KA
KART I HAI KAYENAAT PAYAMBER KA EHTERAM
KARTE HAI EHTERAM PAYAMBER BATOOL KA
(Md Ali Wafa Sahab)

KIS TARHA MILE GOHAR-E-EKTA KA JAWAB


KYU DHOONDTE HO FAT IMA ZEHRA KA JAWAB
SHEHZADI-E-KAUNAIN KA KYA ZIK R KAROON
TAREEQ ME MILTA NAHIN FIZZA KA JAWAB
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

CHAIN DUNIYA ME MILE RAHAT -E-UQBA MILJAYE


SHIDDATE ISHQ MILE GHAM KA SALIQA MILJAYE
KAASA-E -DIL LIYE HAZIR HAI DAR -E-DAULAT PER
FAT IMA AAPK I AULAD KA SADQA MILJAYE
(Janab Akhter Zaidi Sahab)

ABU TURAB SHAHE BE-NAZEER AATE HAI


JAHAN ME MAZHAR-E-RABB-E-QADEER AATE HAI
WO AMBIYA HO MALAYEK HO YA HO JINN -O-BASHAR
FAQEER KHUSH HAI JANAB -E-AMEER AATE HAI
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

BUL BUL KO GUL PASAND GULO’N KO SABA PASAND


HUM BUTURABI’O KO HAI KHAK -E-S HIFA PASAND
YE APNI APNI CHAAH HAI AAI AAZIM -E-BEHISHT
TUJH KO IRAM PASAND HUMEIN KARBALA PASAND
(Mir Mounis r.a)

JAARI ZUBAN -E-HAQ PE HO FARMAN CHAHIYE


HUM KO TOH BOLTA HUWA QURAAN CHAHIYE
DAAWA NAHIN HAI ABEDI IMAAN K I HA I BAAT
DAMAN ALI KA THAAMNE IRFAN CHAHIYE
(Janab Abedi Sahab)

PHIR EK BAAR SUE NAJAF DEK HNA PADA


SHER-E-K HUDA KO TEGH BAKAF DEKHNA PADA
JAB MIL SAK A NA HAZRAT -E-ABBAS K A JAWAB
MUDH KAR MUJHE ALI K I TARAF DEK HNA PADA
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

MAREFAT KE PHOOL Page 7


TAQDEER SE MILJATA HAI INAAM -E-GHADEER
MOMIN KELIYE EID HAI PAIGHAM -E-GHADEER
DIL CHAHIYE MOULA K I MOHABBAT KE LIYE
KAM ZARF KE HISSE ME KAHAN JAAM -E-GHADEER
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

YE KAUN AYA HAI AAJ GHAR ME ALI BHI KHUD MUSKURA RAHE HAI
ZAROOR ISK O ALAM MILEGA ABHI SE TEVAR BATA RAHE HAI
HUSSAIN JHULE ME JAB BHI HOTE MALAK JHULATE THE AAKE JHULA
YE KAUN AARAM KAR RAHA HAI HUSSAIN JHULA JHULARAHE HAI
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

NOOR-E-DUA-E-SIBTE PAYAMBER LIYE HUWE


ARMAN-E-QALB-E-ZAINAB-E-MUZT AR LIYE HUWE
SURAT NABI K I NAAM ALI FAT IMA KA SINN
KYA KYA TABARRUKAT HAI AKBER LIYE HUWE
(Janab Akhter Zaidi Sahab)

DIL BEQARAR HOTA HAI JAB GHAM SE HAAR KE


MOULA SUKOON MILTA HAI TUM KOPUKAAR KE
PHAIL HUWA HAI KAB SE MERA DAMAN -E-SAWAL
KHIRAT DIJ IYE MUJHE ASGHER PE WAAR KE
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

WUJOOD -E-HAQ SE YE SAARA NIZAM QAYAM HAI


KISI KE FAIZ SE YE INTEZAM QAYAM HAI
WO AUR HONGE YATEMAAN -E-MAZHAB-O-MILLAT
HAMARE SAR PE HAMARA IMAM QAYAM HAI
(Janab Samsam Ali Gohar Sahab)

HUSSAIN AISA KOI INTEZAM HOJAYE


SALAM KE LIYE HAAZIR GHULAM HOJAYE
NAZAR KE SAMNE ROUZA HO HATH SEENE PER
YE ZEEST AAP KE DAR PE TAMAM HOJAYE
(Janab Basit Raza Sahab)

ELAAN-E-HAQ SUNANA HAI MAIDAN ME ROK K AR


TASWEER -E-RAB DIKHANA HAI MAIDAN ME ROK KAR
HUKM -E-K HUDA HAI MOOSV I IMRAN KE LAAL KO
SABKA WALI BANANA HAI MAIDAN ME ROK KAR
(Janab Mustafa Mossvi Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 8


QASIDA HAZRAT ABUTALIB (A.S)

HOUZ-E-KAUSAR SAQIYE KAUSAR ABUTALIB KA HAI


MAALIK-E-KAUN O MAKAAN DILBAR ABUTALIB KA HAI

PARWARISH PAAYI JAHAN PER AHMED-E-MUQTAR NE


ALLAH ALLAH ZE-SHARAF WO GHAR ABUTALIB KA HAI

YE MUSLMAA’N KEH RAHE HAI USKO KAFIR HAIF HAI


JAB KHUDA AUR USKA PAIGHAMBAR ABUTALIB KA HAI

LAAZMI HAI TUJH KO RAB KI BANDAGI KE SATH SATH


SAJDA-E-TAZEEM KAR YE DAR ABUTALIB KA HAI

KHANA-E-KAABA HAI WAYEZ DAR BANA JIS KE LIYE


DILBARE BINT-E-ASAD HYDER ABUTALIB KA HAI

BAKSHWANE HUM AZADARO KO ZEHRA KI QASAM


ROZ-E-MEHSHAR SHAFA-E-MEHSHAR ABUTALIB KA HAI

MOHTARAM KARBOBALA TUJH KO BANANE KELIYE


SHAKL ME ASGHER KI EK LASHKER ABUTALIB KA HAI

HAR GHADI HAR AAN USKI HAI NAZAR TUJH PER SALEEM
PARDA-E-GHAIBAT ME JO DILBAR ABUTALIB KA HAI
(Abbas Ali Saleem Sahab)

QASIDA HAZRAT MOHD MUSTAFA (S.A.W.S)

KISHWARE DEEN-E-KHUDA KA HUKMURAA’N PAIDA HUWA


KHUTB-E-DUNIYA QATIME PAIGHAMBARAA’N PAIDA HUWA

QIBLA-E-DEE’N KAABA-E-AMN-O-AMAA’N PAIDA HUWA


HAQ KA DARMAANE MASIHA-E-JAHAA’N PAIDA HUWA

AMINA KA RAHAT-E-ROOH-E-RAWAA’N PAIDA HUWA


BAGH-E-ABDULLAH KA SARWE RAWAA’N PAIDA HUWA

BAYES-E-PAIDAISH-E-ADAM HAI NOOR-E-MUSTAFA


MUSTAFA KE NOOR SE SAARA JAHAA’N PAIDA HUWA

RAHMAT-UL-ALAMEEN HAI SAHIB-E-KHULQ-E-AZEEM


NOOR-E-HAQ ROSHAN DIL-E-ROSHAN RAWAA’N PAIDA HUWA

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 9


DILBAR-E-BUTALIB-O-ABBAS-O-ABDUL MUTTALIB
NOOR-E-AIN-E-ZAHIDAA’N O ABIDAA’N PAIDA HUWA

KI VILA PAIGHAMBAR-E-MUQTAR KI JIS DUM QUBOOL


GUL HUWA KHUSH RANG-E-BULBUL KHUSH BAYAA’N PAIDA HUWA

HAI JABEE’N SAAI KI NAAJI KO TAMANNA AAI KAREEM


WO JAGAH JALDI DIKHADE YE JAHAA’N PAIDA HUWA
(Hazrat Naaji r.a)

QASIDA HAZRAT MOHD MUSTAFA (S.A.W.S)

AAJ DUNIYA ME MOHAMMAD MUSTAFA PAIDA HUWA


KHAASA-E-RABB-E-DO AALAM MUQTEDA PAIDA HUWA

JISS KI KHATIR YE ZAMEEN-O-ASMAA’N PAIDA HUWA


MALIK-E-KAUN-O-MAKAA’N ARZ-O-SAMAA’N PAIDA HUWA

FARSH SE ISLAM PHAILA BAANI-E-ISLAM SE


DEEN-E-HAQ KAMIL HUWA NOOR-E-KHUDA PAIDA HUWA

KHUSH HAI ABDULLA AUR MAKKE ME SAB HAI SHADMAA’N


AMINA KA RAHAT-E-JAA’N DILRUBA PAIDA HUWA

HAAN UTHO AAI MOMINO TAZEEM KO PADH KAR DUROOD


KASHTI-E-UMMAT KI KHATIR NA-KHUDA PAIDA HUWA

HASHR ME BAKSH-WAYENGE TUM KO HIMAYATH QAUF KYA


AB TOH MERA SHAFAYE ROZ-E-JAZA PAIDA HUWA
(Himayath Ali Sahab Marsia Khan r.a)

QASIDA HAZRAT MOHD MUSTAFA (S.A.W.S)

AAI FAQR-E-ARAB AAI SHAH-E-AJAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE


AAI NAZISH-E-KAABA SHAMM-E-HARAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE

RO RO KE DUA KAB TAK MAANGU KAB TAK MAI DAMAN PHAILAO’N


KAB TAK MAI SAHUN FURQAT KE SITAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE

SAJDO KE LIYE EK MUDDAT SE BETAAB HAI MERI PESHANI


KAB MUJH KO MILENGE NAQSHE QADAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE

RUDAD-E-ALAM KEHNE KE LIYE SEENA MERA TANGI KARTA HAI


KEHNA HAI BOHOT KUCH WAQT HAI KAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 10


SARKAR KA MAI KEHLATA HOON SARKAR SE NISBAT HAI MUJH KO
MITTNE KO HAI IS NISBAT KA BHARAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE

YEH APKA DERINA KHADIM KEHTA HAI ZAMANA JISKO SAYEED


AB POOCHTA HAI BADEDA-E-NAM KAB YAAD MUJHE FARMAOGE
(Sayeed Shaheedi Sahab R.a)

QASIDA HAZRAT MOHD MUSTAFA (S.A.W.S)

JO BHI LETA HAI TERA NAAM MADINE WALE


USKE BAN JATE HAI HAR KAAM MADINE WALE

AARZU HAI KE KARU’N JAAKE WAHA’N MAI BHI SALAM


TU JAHA’N KARTA HAI AARAM MADINE WALE

KABHI TAHA KAHA TUJH KO KABHI YASEEN KAHA


JAANE KITNE HAI TERE NAAM MADINE WALE

ISS SE BEHTAR BHI KOI AUR WAZIFA HOGA


MERE LUB PER HAI TERA NAAM MADINE WALE

KISI SURAT SE POHONCH JAON TERE KHADMO’N TAK


YEH DUA HAI SEHER-O-SHAAM MADINE WALE

JO BHI SUNTA HAI MOHABBAT USSE HOJATI HAI


KITNA PYARA HAI TERA NAAM MADINE WALE

JAB TERE DAMAN-E-REHMAT SE HAI WABASTA SAYEED


PHIR USSE GHAIRO’N SE KYA KAAM MADINE WALE
(Sayeed Shaheedi Sahab R.a)

MOULAD JO WAHAAN HUKM-E-QADAR SE PAYA

KAABE NE SHARAF ALI KE DAR SE PAYA

GODHI ME LIYE NABI YE KEHTE NIKLE

LO HUM NE WASI KHUDA KE GHAR SE PAAYA

“Hazrat Mir Anees r.a”

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 11


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI
NABI KA WASI MERA MOULA ALI HAI

ARMAA’N BARAYEN JAB TOH NA KYUN DIL KO HO SUROOR


AANKHO’N KA HO QUSOOR TOH KYA HUSN KA QUSOOR
JALWE DIKHA RAHI HAI TAJALLI-E-BARQ-E-NOOR
MOOSA HAI GHASH ME KEHTA HAI CHILLA KE KOH-E-TOOR
AREY YEH WOHI’N MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

EK AAN ME FAQEER KO SULTA’N BANA DIYA


EK BAAT ME WAHUSH KO INSA’N BANA DIYA
ZARRE KO AFTAB-E-DARAKSHA’N BANA DIYA
SAYEL KO WO DIYA KE SULEMA’N BANA DIYA
WO DIL KA GHANI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

SHAHED HAI KIS KE AMR-E-VILAYAT PER INNAMA


QURAN KIS KI SHAAN ME KEHTA HAI KHUL KAFA
KYA SHAD-O-MADD HAI DEKHIYE BALLIGH KO TOH ZARA
KYA ISS KE BAAD BHI KOI BAQI HAI FAISLA
WALI WO WALI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

FAQOU’N KA APNE BACHO’N KE MUTLAQ NAHI MALAL


MEHROOM DAR SE JAAYE NA SAYEL YEH HAI QAYAL
OONTO’N KI WO QATAAR AUR EK NAAN KA SAWAL
ANGUSHTARI NAMAZ ME DI SHAAN-E-ZULJALAAL
SAQI WO SAQI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

NAFS-E-NAFEES QALB-E-HAQ AGAH MIL GAYA


IMAA’N MILA PAYAMBAR-E-ZEEJAAH MIL GAYA
KYA POOCHNA JISE YEH SHAHINSHAH MIL GAYA
ALLAH KI QASAM USSE ALLAH MIL GAYA
WO NAQSH-E-JALI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

ALLAH KA JAMAAL HAI CHEHRE SE AASHKAR


ROSHAN NAZAR SE HAIBAT-E-KHALLAQ-E-KIRDEGAR
IMAA’N HAI USKE DAST-E-ZABARDAST PER NISAR
QUDRAT BALAEI’N LETI HAI HIMMAT KE BAR BAR
WO DIL KA JARI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

MAREFAT KE PHOOL Page 12


KIS KE BAGHAIR DEEN KA ELAAN THA MUZEER
TAUHEED KIS KI SHAAN-E-ULOO ME THI MUSTATHIR
IMAA’N HAI KIS KE FAIZ-E-TAWAJJOH PER MUNHASIR
BARSO RAHE RASOOL-E-KHUDA KIS KE MUNTAZIR
WASI WO WASI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

HATH USKE HAI PANAH-E-NABUWWAT KE WAASTE


HAI USKE PAAO’N DOSH-E-RISALAT KE WAASTE
USKI ZUBAA’N NABI KI KIFALATH KE WAASTE
LEHJA HAI USKA HAQ KI SADAQAT KE WAASTE
WO KANZ-E-QAFI MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

KYA JAA-FIZA HAI HAAL TOH MERAJ KA SUNO


SUNNE KI TAAB GAR HAI TOH AAO ZARA SUNO
HAIRAA’N NABI HAI ARSH KA YEH MAAJRA SUNO
PARDEY SE ARAHI HAI YEH KIS KI SADA SUNO
WOHI’N HAI WOHI’N MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI

MUNKIR NAKIR KA NAHI’N DAR MUJH KO ZINHAR


BALEE’N PE MERI QABR ME HAI SHER-E-KIRDEGAR
AB HAI FAQAT SAWAL-E-IMAMAT KA INTEZAR
FAAZIL LIPAT KE KHADMO’N SE CHILLA TU BAR BAR
YEHI’N HAI YEHI’N MERA MOULA ALI HAI
KHUDA KA WALI MERA MOULA ALI HAI
(Faazil Moosvi Sahab R.a)

KYA SHARAF KAABE NE PAAYA YE SHARAF PAANE KE BAAD

QABIL-E-SAJIDA HUWA EK BAAR MUSKANE KE BAAD

KHUL KE PHIR SE MIL GAYI DEEWAR-E-KAABA YA ALI

EK TERE AANE SE PEHLE EK TERE JAANE KE BAAD


“Janab Hasan Abbas Ehsan”

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 13


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

KHUDA KA PYARA NABI KA DILBAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI
JAHA’N KA HADI JINA’N KA REHBAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

USSI KA SARMAYA HAI NABUWAT WOHIN HAI MIFTAH-E-ILM O HIKMAT


MADINA QATMI MA’AB HYDER ALI ALI HAI ALI ALI HAI

WO MALIK-E-MASNAD-E-MOHAMMAD WO ZEENAT-E-FARSH-E-KHWAB-E-AHMED
HAI MARZI-E-HAQ KO NAAZ JISS PER ALI ALI HAI ALI ALI HAI

NABUWWAT USKI RISALAT USKI IMAMAT USKI VILAYAT USKI


KHULASA-E-KAYENAT-E-DAWAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

WO RAAZ BHI RAAZDAR BHI HAI WO JAAN BHI JAA’N NISAR BHI HAI
MADAAR-E-AMR-E-HABEEB-E-DAWAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

WASI BHI DAMAD BHI WALI BHI WO ZAHIR-O-BATIN-E-NABI BHI


RASOOL KA TAN RASOOL KA SAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

HAI USKI SIRAT NABI KI SIRAT WO SAR SE TAABA HAI WAJH-E-QUDRAT


KISI KA SAANI KISI KA MAZHER ALI ALI HAI ALI ALI HAI

BASHAR KA WALI MALAK KA AQA ZAMEE’N KA MALIK FALAK KA MOULA


KAFEEL-E-BARZAQ AMEER-E-MEHSHAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

BAGHAUR JISNE ALI KO DEKHA MOHAMMAD-E-HASHMI KO DEKHA


NABI KA PARDA NABI KA MEHZAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

HAR BARQ TAABA’N GHASH IBN-E-IMRA’N HAI TUR-E-SOZA’N SHAJAR HAI GOYA
BA RAB-E-KAABA BA RABB-E-DAWAR ALI ALI HAI ALI ALI HAI

LAHAD ME MUNKIR NAKIR AKAR KARENGE KYA FAAZIL ISKA KYA DARR
YAHA’N TOH SHAAM-O-SEHER ZUBAAN PER ALI ALI HAI ALI ALI HAI
(Faazil Moosvi Sahab R.a)

ALI NAWISHTA-E-TAQDEER KO BADALTE HAI

ALI SE KAAM KHUDAI KE SAARE CHALTE HAI

YE MOUJIZA HAI ZARA AAP BHI TO SUNN LIJIYE

ALI KE NAAM SE GIRTE HUWE SAMBHALTE HAI


“Sajid Razvi Sahab r.a”

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 14


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMATH-E-KHUDA HAI AAJ

AAMAD-E-SHAH-E-AUSIYA HAI AAJ - MOMINO KO KHUSHI SIWA HAI AAJ


DARE-GULZAR KHULD WA HAI AAJ – GHUNCHA-E-BAGHE DIL KHILA HAI AAJ
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

SHAH-E-HAR DO SARA HUWA PAIDA - ZAUJ-E-KHAIR-UL-NISA’A HUWA PAIDA


NOOR-E-PAAK-E-KHUDA HUWA PAIDA - AAJ IMAM-E-HUDA HUWA PAIDA
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

SAHIB-E-IQTEDAAR AA POHONCHA - AUR SHAH-E-NAAMDAR AA POHONCHA


SARWAR-E-ZEEWEQAR AA POHONCHA - NOOR-E-PARWARDIGAR AA POHONCHA
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

NAFSE KHAIR UL ANAAM AA’POHONCHA-SHAHE ZUL EHTERAM AA’POHONCHA


SARWAR-E-KHAS O AAM AA’POHONCHA - APNA PEHLA IMAM AA’POHONCHA
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

AAO MOOSA YAHA’N BARA-E-KHUDA – TUM KO DIKHLAYE TOOR KA JALWA


DEKHO WO NOOR-E-KIBRIYA CHAMKA - SUNLO KAABE SE ARAHI HAI SADAA
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

AAMAD-E-SHAHE LAFATA HAI AAJ - MOMINO KO KHUSHI SIWA HAI AAJ


KUSH HAR EK SAHIB-E-VILA HAI AAJ - SHOR SALLE ALAA BAPA HAI AAJ
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

KOH-E-MOULA ALI PE KYA HAI AAJ - ROSHNI BARQ KI SIWA HAI AAJ
ZIKR LOGO ME JABAJA HAI AAJ - EK SE EK KEH RAHA HAI AAJ
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ

ROZ YE BE NAZEER HAI SAIM - SHAAD RAB-E-QADEER HAI SAIM


DIL ME FARHAT KASEER HAI SAIM - AAJ EID-E-AMEER HAI SAIM
JASHN-E-MILAAD-E-MURTUZA HAI AAJ
JOSH PER REHMAT-E-KHUDA HAI AAJ
(Hazrat Saim r.a)
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 15


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

MERE LUB PER TOH REHTA HAI SUBH-O-MASA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI
BANDA PARWAR YAHI’N HAI WAZIFA MERA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

KAAM AYA HAI JISKE AZAL SE YEHI AUR ABAD TAK YEHI SABKE KAAM AYEGA
HAI YEHI IBDETA AUR YEHI INTEHA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

AAP MAANE NA MAANE HAQIQAT HAI YEH KHUD ASAR PESHWAYI KO AJAYEGA
DEKHIYE KEH KE EK BAAR BAAD AZ DUA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

MERI BALEE’N PER JAB AAYA MOULA MERA NAZA’H KI MUSHKILEIN SAARI ASAA’N HUWI
SAR KO RAKH KER QADAM PER JO MAI NE KAHA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

BAAB-E-JANNAT PE JIS WAQT DEKHA MUJHE RAASTA DE DIYA HATT KE RIZWAN NE


AAP KI MADHA KA YE MILA HAI SILA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

MERI HAALAT PE BHI RAHEM FARMAIYE MUJH KO BHI APNE ROUZE PE BULWAIYE
MERE MUSHKIL KUSHA MERE HAAJAT RAWA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

JAB YEH POOCHA GAYA ISKA MATLAB HAI KYA KHUL KAFA HAL ATA INNAMA LA FATA
MUSKURA KAR JAWABAN YE MAI NE KAHA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

AAP KYA HAI HAQIQAT HAI KYA AAPKI KHUD MASHIYAT KA BHI HAI ISHARA YEHI
MUSTAFA KO BHI MUSHKIL ME KEHNA PADA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

HAI ZAMANA MUQALIF TO HOTA HAI KYA MUJH KO MUTLAQ ZAMANE KI PARWA NAHI
SAANS JAB TAK HAI BAAQI KAHE JAUNGA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

WIRD KARNE LAGA MAI JO NAAD-E-ALI BHOOL BAITHE FARISHTE JO THA PUCHNA
WO BHI KEHNE LAGE MAI BHI KEHNE LAGA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI

AA KE MERI LAHAD ME FARISHTE SAYEED KYA QABAR MUJH SE KYA KAR RAHE THE SAWAL
ADATAN MAI JAWABAN YE KEHTA RAHA YA ALI YA ALI YA ALI YA ALI
(Sayeed Shaheedi Sahab R.a)

SAFAR TAWEEL HAI RAH-E-NAJAT CHOTI HAI

ALI KA ZIKR BOHOT HAI HAYAT CHOTI HAI

ALI KO KAISE MAI MOULA-E-KAYENAT KAHUN

BADA HAI NAAM-E-ALI KAYENAT CHOTI HAI


(Janab Mohd Ali Wafa)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 16


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

HAR WAQT MERE MOULA MEHWE KARAM MILENGE


TUM DUM BA DUM PUKARO WO DUM BA DUM MILENGE

GHAMQWARE SHAH-E-DEEN HAI JISSE BHI HUM MILENGE


AANKHEI’N BHI NAM MILENGI DAMAN BHI NAM MILENGE

TEGHO’N KI CHAOO’N HO WO YA DAAR KI HO MANZIL


JO HAQ KE HAI FIDAAYI SABIT QADAM MILENGE

KYA RABT ROSHNI KO BATLAO TEERAGI SE


HYDER KE DUSHMAN’O SE KIS TARHA HUM MILENGE

QADMO PER MURTUZA KE JAB SAR JHUKAUNGA MAI


QADMO SE MERE BADH KAR JAH-O-HASHAM MILENGE

WO DOSH-E-MUSTAFA HO YA ARSH-E-KIBRIYA HO
MOULA KE MERE HAR JAA NAQSH-E-QADAM MILENGE

SALMAN’ KUMAIL’ MEESUM’ HAANI’ HABEEB-O-MUSLIM


ALLAH ROZ-E-MEHSHAR KIS KIS SE HUM MILENGE

EK JAAN HAI DO QALB ABBAS AUR SAKINA


HAR WAQT TUM KO EK JAA MASHK-O-ALAM MILENGE

HUM KO TALASH KARTA MEHSHAR ME JO BHI AAYE


KEHDO SAYEED USSE KAUSAR PE HUM MILENGE
(Sayeed Shaheedi Sahab R.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

HUM ALI KE DEEWANE HADISO ME PALTE HAI


KHARDAR RAHOU’N PER MUSKURAKE CHALTE HAI

KYA SAMAJH KE YE DUNIYA HUM PER ZULM KARTI HAI


HUM WO HAI KE DIL JINKE MAUTH SE BEHELTE HAI

HUM TOH KOODH PADHTE HAI AAG ME ALI KEH KER


BAAZ LOG HYDER KE NAAM HI SE JALTE HAI

AAP AUR HUM KYA HAI KYA BISAAT HAI APNI


NAAM-E-MURTUZA LEKAR AMBIYA SAMBHALTE HAI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 17


ZIKR-E-MURTUZA CHEDA KYA BURA KIYA MAI NE
AAP ISTARHA PEHLU KIS LIYE BADALTE HAI

DAMAN-E-ALI JIN KE HATH ME NAHIN HOTA


WO KHUDA RASEEDA BHI HOKE HATH MALTE HAI

AAJ LEKE JAYEGA KUCH NA KUCH TOH KIRMANI


SAYEL-E-ALI BHI KYA KHALI HATH TALTE HAI
(Kirmani Sahab R.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)


DO AALAM HAI FARHA’N PAYAMBER HAI SHADAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI
NIKAL JAYENGE AAJ KAABE KE ARMAA’N ALI AARAHE HAI ALI AARAHE HAI

NABI APNE BHAAI KO HATHO PE LENGE ALI DEKH KAR MUSTAFA KO HANSENGE
NAZAR AAJ AAYEGA QURAA’N PE QURAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

KARAMAT HAI BINT-E-ASAD KE QADAM SE NAYA EK DAR BAN RAHA HAI HARAM ME
HAI DEWAAR-E-KAABA MASARRAT SE QANDAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

YE AB ZULM-E-BAATIL NA KAABA SAHEGA KHUDA KE MAKAA’N PER NA QABZA RAHEGA


BUTHO TAQLIYE KA KARO TUM BHI SAMAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

JALALAT KE TEWAR SE MARHAB HAI SHASHDAR WO HAIBAT KA ALAM KE HAIRAA’N HAI ANTAR
AJAB ROUB HAI BAAB-E-KHYBAR HAI LARZAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

WO HAI NOOR-E-AFSHAA’N GAWAH-E-RISALATH MASARRAT SE UBHRI HAI MOHR-E-NABUWATH


HAI KAABA BHI APNE MUQADDAR PE NAAZAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

ALI KE LIYE KHUD PAYAMBER BADHENGE NABI NAFS KO APNI AB DEKH LENGE
MUJASSAM HUWE HAI MOHAMMAD KE ARMAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

BADHI PAISHWAI KO KHUD KAMIYABI ZAMEEN PER QADAM RAKHTI HAI BUTURABI
NA KYUN KHAK-E-MECCA HO QISMAT PER NAAZA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

MOHIBBO KI MEHFIL BADI PUR ZIYA HAI ALI KE TASAWWUR KA JALWA HUWA HAI
DILO’N ME MASARRAT SE AB HAI CHARAGHAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

MALAYEK ME EK SHOR-E-SALLE ALA HAI YEHI TOH HAQIQAT ME WAQT-E-DUA HAI


KHUDA KI HAI REHMAT KE DARIYA ME TUFAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI

ALI ME HAI BAQER JALAL-E-KHUDAYI KALAYI ME HAI ZOR-E-KHYBAR KUSHAYI


HUWI MUSKILEI’N SAB PAYAMBER KI ASAA’N ALI AARAHE HAI AARAHE HAI
(Baqer Amanat Khani Sahab R.a)
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 18


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE


HUM SE ZAMANA QAYAM HAI HUM KO YEH DUNIYA KYA JAANE

DAAR PE BHI HONTO’N PE HAMARE SIRF ALI KA NAAM RAHA


HUM KO NA HARGIZ DUNIYA WALO QAUF-O-GHAM-O-ALAAM RAHA
WIRD HAMARA NAAD-E-ALI HAI NAAD-E-ALI SE KAAM RAHA
MIT JAOGE NADANO AAO NA HUM SE TAKRANE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE

JAB HAI ALI KA ZIKR IBADAT KYUN NA USSI KI BAAT KARE


AAO ALI KE NAQSH-E-QADAM AUR DOSH-E-NABI KI BAAT KARE
CHODO SAB YAARO KE QISSE SIRF WASI KI BAAT KARE
EK MIDHAT KA QURAA’N HAI BAAQI SAB HAI AFSANE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE

KAUN ALI HAI KYA HAI ALI HUM NE TUM NE KAB JAANA
SIRF KHUDA NE AUR NABI NE ZAAT-E-ALI KO PEHCHANA
ITNA ASAA’N KAAM NAHI HAI HADD-E-NUSAIRI TAK AANA
KISME ITNI HIMMAT HAI EK BANDE KO RAB JAANE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE

BINT-E-NABI HAI ZAUJA INKI SIBTAIN INKE DILBER HAI


MARYAM’ HAWWA’ ASIYA’ SAARA KYA ZEHRA KI HAMSAR HAI
BINTE FULAAN AUR BINTE FULAAN SAB SHEHZADI SE KAMTAR HAI
DEEN KO IZZAT BAQSHI HAI GHAR ME REH KAR ZEHRA NE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE

YEH BHI SACH HAI SAB NE ALI KI TEGH KO LOUHA MAANA HAI
YEH BHI SACH HAI SAB NE ALI KO MAUT PER GHIRTE DEKHA HAI
YEH BHI SACH HAI MAGHRIB KA JO EK MUWARRIQ KEHTA HAI
JANG-E-OHAD SE BHAGE KUCH CHEHRE JAANE PEHCHANE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE

MANZIL-E-MUSHKIL ME JAB HUM NE NAAM LIYA HAI HYDER KA


KHANDAQ KO CHAKKAR SA AAYA KAANP UTHA DIL KHYBER KA
QABR ME CHONKI LAASH-E-MARHAB KAANPA MURDA ANTER KA
MARHAB-O-ANTER DUSHMAN THEY AAP LAGE KYUN GHABRANE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 19


BHATKE HUWE WO LOG WEQAR AB RAAH PE KAISE AYENGE
THOKAR INKI QISMAT ME HAI THOKAR HI YEH KHAYENGE
ISSE ZYADA DEEN KE REHBER AUR KAHA’N TAK JAYENGE
NOK-E-SINA TAK SAR POHONCE BE-DEENO KO SAMJHANE
DEEWANE HAI DEEWANE HUM HAI ALI KE DEEWANE
(Weqar Nagri Sahab R.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

MAKEEN HAI JO KHUDA KE GHAR KA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI


WO JIS KI KHATIR BANA HAI KAABA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

WO JIS KA DEEDAR HAI IBADAT WUJOOD JISKA SUBOOT-E-WEHDAT


WO JIS KA RUQ HAI KHUDA KA JALWA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

WO JISKA INKAAR KUFR-O-ZILLAT SUBOOT-E-IMAA’N HAI JISKI ULFAT


WASI NABI KA IMAM APNA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

HAI TEGH USKI AZAAB-E-QUDRAT HAI USS KE HATHO’N ME HAQ KI TAQAT


JALAAL USKA GHAZAB KHUDA KA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

HAREEF USKE FARAAR-E-MAIDAN KAHAA’N UNHE THA QARAR-E-MAIDA’N


HAR EK RAN ME LADAA JO TANHA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

NAHI’N HAI DIL SE JO BUTURABI NASAB ME UNKE HAI KUCH KHARABI


WO HI TOH MEYAAR HAI WALAD KA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

GHUROOR TAQAT PER KARNE WALO NA SAAMNE USKE SAR UTHAO


HAI HATH USKA KHUDA KA PANJA AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI

USSI SE HAI MERI ZINDAGI BHI WOHI’N MERI JAAN-E-BANDAGI BHI


YEHI HAI JAWEED KA WAZIFA WO AAGAYA HAI WO AAGAYA HAI
(Ali Jaweed Masood Sahab R.a)

DONO KI NIGAHO ME FURQAT KE GILEY HONGE

HONTO PE TABASSUM KE KUCH PHOOL KHILE HONGE

KAABE SE KOI POOCHE US WASL KE MANZAR KO

JAB NOOR KE DO TUKDE AAPAS ME MILE HONGE


(Janab Mohd Ali Wafa)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 20


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

KYUN GIRTA NA SAMBHLEGA TERA NAAM HI AISA HAI


TAQDEER BADAL DEGA TERA NAAM HI AISA HAI
DIL DUSHMAN KA JALEGA TERA NAAM HI AISA HAI

MAQBOOL HUWI TAUBA TERE NAAM SE AADAM KI


ASAAN NA KYUN MUSHKIL HO MURSAL-E-AZAM KI
AAI HUMSAFAR-E-ZEHRA TERA NAAM HI AISA HAI

KHUSBOO-E-VILA AATI HAI HAR DIL-E-MOMIN SE


AUR AAG SI LAGTI HAI HAR DIL ME MUNAFIQ KE
KYUN AISA NA HO MOULA TERA NAAM HI AISA HAI

MASHOOR-E-JAHAA’N HAI HUM TERE NAAM KE SADQE ME


DUNIYA ME RAHE AB HUM YA QABR KE GOSHE ME
DIL SE NA JUDA HOGA TERA NAAM HI AISA HAI

HAR KAAM NUSAIRI KA TERE NAAM SE BANTA HAI


BAS ISLIYE WO NADAA’N RAB TUJH KO SAMAJHTA HAI
KYA JURM NUSAIRI KA TERA NAAM HI AISA HAI

TAQLEEQ KE DIN SE HUM KARTE HAI SANA TERI


HAR SAANS PE LETE HAI HUM NAAM TERA PHIR BHI
DIL SAIR NAHIN HOTA TERA NAAM HI AISA HAI

MIDHAT TERI KAR KE YEH UNN AQL KE MAARO SE


BATLADIYA MEESUM NE TERA NAAM ZUBAANO KE
KATNE SE NAHIN RUKTA TERA NAAM HI AISA HAI

TERE KHALQ ME AANE SE KHUSH JABKE KHUDAYI THI


PHIR FARTE MASARRAT SE DEEWAR BHI KAABE KI
KYUN CHEER NA LE SEENA TERA NAAM HI AISA HAI

DUNIYA KO YE DIKHLADOO’N GAR TERI IJAZAT HO


TERE NAAM KA MAI DEDOO’N GAR WAASTA SURAJ KO
WO AAJ BHI PALTEGA TERA NAAM HI AISA HAI

TU BAN KE ZUBAA’N HAQ KI JO DEEN SIKHAATA HAI


KHALIQ BHI FARISHTO’N KO TERA ZIKR SUNAATA HAI
NA HO ARSH PE KYUN CHARCHA TERA NAAM HI AISA HAI

HAI NAAM TERA AB BHI HONTO’N PE JO KAABE KE


KOSHISH ME MITANE KI DUNIYA HAI ZAMANE SE
PHIR BHI WO NAHIN MIT’TA TERA NAAM HI AISA HAI

MAREFAT KE PHOOL Page 21


YE JISM YE JAA’N MOULA TERI HI AMANAT HAI
TERE NAAM PE MARNE KA BAS NAAM SHAHADAT HAI
NA HO JAAN SE KYUN PYARA TERA NAAM HI AISA HAI

YE AQEEL TERA MOULA MIDHAT TERI KARTA HAI


TERE NAAM PE JEETA HAI TERE NAAM PE MARTA HAI
KYUN KAR NE MARE AAQA TERA NAAM HI AISA HAI
(Ashraf Ali Aqeel Sahab)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

GHADEER-E-QUM KA HASEEN MANZER


SAJA KAJAWO’N KA EK MIMBER
BULANDIYO’N PER GAYE JO HYDER
KAHA PAYAMBER NE MUSKURA KAR
HAR EK KA MOULA YE MERA DILBAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

ALI KA MAANA HAI SAB SE AALA


ALI KA MATLAB HAI SAB SE OONCHA
ALI HAI MUSHKIL KUSHA HAMARA
ALI SAHARA HAI AMBIYA KA
HAI JIS PER NAAZA’N KHUDA-E-BARTAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

NO HOTA KOI BHI MAREKA SAR


NA SATH DETA JO YEH GHAZANFER
HO JUNG-E-KHANDAQ KE JUNG-E-KHYBER
YAHA’N BHI HYDER WAHA’N BHI HYDER
WO FARD-E-TANHA KHUDA KA LASHKAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

KHUDA KI ANKHEI’N KHUDA KA CHEHRA


KHUDA KA BAAZU KHUDA KA LEHJA
KHUDA KI REHMAT GHAZAB KHUDA KA
WO HUBAHU KIBRIYA KA JALWA
SIFAAT-E-RAB KA HAI KAUN MAZHAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

SAJAYA RAB NE HASEEN GULSHAN


MAHEK RAHA HAI KHUSHI KA AANGAN
HAI TEZ HOORO’N KE DIL KI DHADKAN
HAI JAISA DULHA HAI WAISI DULHAN
WO JIS KI HUMSAR NABI KI DUQTAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

MAREFAT KE PHOOL Page 22


KISI NE POOCHA KE KYA HAI QURAA’N
WO KAUN HAI JO HAI JAAN-E-IMAA’N
WO KAUN HAI JO HAI SHER-E-YAZDAA’N
WO KAUN HAI JO HAI SHAH-E-MARDAA’N
KAHA JAWABAN YE MAI NE HASKAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

KHUDA KE DEE’N KO BAQA NAHIN HAI


JO MAZHER-E-KIBRIYA NAHI’N HAI
ALI KI QUDRAT ME KYA NAHI’N HAI
MAGAR WO PHIR BHI KHUDA NAHI’N HAI
FALAK KA MAALIK ZAMEEN KA MEHWAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

ALI KE DAR KI MILEY GADAYI


TOH THOKARO’N ME HAI BADSHAHI
ALI KO DUNIYA SAMAJH NA PAAYI
ALI KE QABZE ME HAI KHUDAYI
ZAMEEN SE HADD-E-ASMAA’N TAK
ALI ALI HAI ALI ALI HAI

ALI KE DAR KA FAQEER EHSAN


HAI QABR ME BHI AMEER EHSAN
KAHENGE MUNKIR NAKIR EHSAN
ALI TERE DASTAGEER EHSAN
KAHUNGA QADMO’N SE MAI LIPATKAR
ALI ALI HAI ALI ALI HAI
(Hasan Abbas Ehsan Sahab)

ALI KA NAAM NA LO GE AGAR DUAO ME

GHIRE RAHO GE KHUDA KI QASAM BALAO’N ME

SUKOON DIL KO NAZAR KO QARAR MILTA HAI

YE BARGAHO ME DARGAHO ME ALAWO ME


(Janab Mohd Ali Wafa)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 23


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

KARTA HOON MAI TUMHARI SANA MURTUZA ALI


HOJAYE KUCH MUJHE BHI ATA MURTUZA ALI

MOULA TUMHARE AANE KI YE SHAAN YE WEQAR


DAR BAN GAYA HARAM ME NAYA MURTUZA ALI

DO UNGLIYO KA ZOR DIKHAYA THA AAP NE


KHYBER KA DAR BHI KAANP UTHA MURTUZA ALI

HIJRAT KI SHAB RASOOL KE BISTAR NE BHI KAHA


AAJAIYE BARA-E-KHUDA MURTUZA ALI

BAD BAQT HAI WO SHAQS JO DIN BHAR ME BHI NA LE


APNI ZUBAAN SE NAAM TERA MURTUZA ALI

MAIDAAN ME GHADEER KE LAKHOU’N KE RUBARU


TUM KO WASI NABI NE KAHA MURTUZA ALI

BALEE’N SE MERI MAUT BHI SUN KAR PALAT GAYI


LUB PER MERE FAQAT THI SADA MURTUZA ALI

MAI HOON ANDHERI QABR ME IMDAD KIJIYE


KOI NAHIN TUMHARE SIWA MURTUZA ALI

MUNKIR NAKIR KARTE RAHE JAANE KYA SAWAL


MERA YEHI JAWAB RAHA MURTUZA ALI

MAI KYA MERI BISAAT KYA ADNA HOON MAI SOHAIL


TUM KO TOH DI NABI NE SADA MURTUZA ALI
(Raza Ali Sohail Sahab)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

MADHE HYDER SUNN KE PEHLE MUSKURA DIJIYE HUZOOR


JURRAT-O-HIMMAT KO MERI PHIR DUA DIJIYE HUZOOR

MAANTA HOON MAI NUSAIRI KO GHALAT FEHMI HUWI


AAP KA KYA ISS ME BIGDA YE BATA DIJIYE HUZOOR

JHIL MILA JAATI HAI JO NOOR-E-ALI KE SAMNE


AISI SHAMMO KI ZARURAT KYA BHUJA DIJIYE HUZOOR

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 24


MAI SAMAJHTA HOON ALI KO ASL ME AIN-E-KHUDA
BAAT KA MERI NA AFSANA BANA DIJIYE HUZOOR

CHUP RAHENGE AAP TOH PHIR DOOR HO JAYEGI YE BAAT


NAAM SUNTE HI ALI KA MUSKURA DIJIYE HUZOOR

MAI NABI ME AUR ALI ME FARQ KARTA HI NAHI’N


AB DUA DIJIYE MUJHE YA BAD’DUA DIJIYE HUZOOR

AAP KO MOHR-E-NABBUWAT SE AQEEDAT HAI AGAR


NAQSH-E-PAAYE MURTUZA PER SAR JHUKA DIJIYE HUZOOR

BISTAR-E-AHMED PER SONA HAI HAQEEQAT ME KAMAAL


AAP MASNAD PER JISSE CHAHE BITHA DIJIYE HUZOOR

DHOONDTA AAYE JO KOI NAQSH-E-PAAYE BUTURAB


AAP US KO DOSH-E-AHMED KA PATA DIJIYE HUZOOR

MUNTAZIR DEDAAR-E-HYDER KA HAI MUDDAT SE SAYEED


ILTEJA HAI USKO MARNE KI DUA DIJIYE HUZOOR
(Sayeed Shaheedi Sahab r.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

VILA KA NASHA BEHER HAAL RANG LAANE LAGA


NAMAZ ME BHI ALI KA KHAYAL AANE LAGA

QASIDA MADHE ALI KA JO MAI SUNANE LAGA


LABOU’N TALAK MERE KAUSAR KA JAAM AANE LAGA

MALAYEKA MERI QISMAT PE RASHK KARNE LAGE


JO NAQSH-E-PAAYE ALI PER MAI SAR JHUKANE LAGA

JO MUJH SE POOCHA NAKIREIN NE IMAM HAI KAUN


ISHARA KAR KE SARHANE MAI MUSKURANE LAGA

SAYEED MADHE ALI KA YE SAB TASSADUQ HAI


MERA KALAAM HAR EK KO PASAND AANE LAGA
(Sayeed Shaheedi Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 25


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

MERA IMAAN HAI MERA IQAAN HAI MERE MOULA MERI QABR ME AYENGE
WO PARESHAA’N MUJHE KYA KARENGE BHALA KHUD FARISHTE PARESHAAN HOJAYENGE

SAQT MEHENGI PADEGI ALI DUSHMANI DEKHIYE INSE WABASTA HOJAIYE


ISS ME MERA NAHI’N HAI KOI FAYEDA AAP APNE PE EHSAAN FARMAYENGE

WEHSHAT-E-QABR KA HO MUJHE QAUF KYA WIRD KARTE RAHUNGA MAI NAAD-E-ALI


BANDA PARWAR MUJHE AAP KI FIKR HAI AAP KIS TARHA DIL APNA BEHLAYENGE

FATHA HOJAYEGI JUNG-E-KHYBER ABHI YA NABI AAP ITNE PARESHAA’N HAI KYUN
MERE MOULA KO AWAAZ DIJIYE ZARA SAARE BIGDE HUWE KAAM BANJAYENGE

AALAM-E-NAZA’H ME QABR ME HASHR ME HAR JAGAH MERE MOULA SE HAI SABEQA


DUSHMANAN-E-ALI SE YE POOCHE KOI MERE MOULA SE BACH KAR KAHA’N JAYENGE

JISKO HONA HAI DAMAD-E-KHAIR UL BASHAR UNKE GHAR KHUD SITARA CHALA AYEGA
AAP AGAR INTEZAR ISKA KARTE RAHE AAP KO DIN ME TAARE NAZAR AYENGE

MAUT KI MAANGTA HAI DUA AB SAYEED AAP SUB MILKE AMEEN FARMAYE
ISKI DERINA HASRAT NIKAL JAYEGI JINKO AANA HAI BALEE’N PE AJAYENGE
(Sayeed Shaheedi Sahab r.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

NOOR KHALEQ KA HAQ KE MAKAA’N ME ISS QAYAMAT KA CHAMKA NAHIN HAI


MURTUZA KE SIWA DO JAHAN ME KOI MOULOOD-E-KAABA NAHIN HAI

AMBIYA YUN TOH GUZRE JAHA’N SE JINKI SHOHRAT HAI KAUN-O-MAKAA’N ME


JISKO MOULA KAHE KHUD PAYAMBER KOI AISA TOH MOULA NAHI’N HAI

JO PARASTAR-E-BIDA’AT BANE HAI KAARNAME YE UNSE HUWE HAI


DEEN-E-HAQ KO TOH PALTA DIYA HAI UNSE SURAJ TOH PALTA NAHIN HAI

FATIMA JIN SE RAAZI NAHIN HAI UNSE RAAZI NABI BHI NAHIN HAI
DAGH-E-NARAZI-E-FATIMA KA LAAKH DHONE SE DHULTA NAHIN HAI

NAAM-E-HYDER NAHIN MIT SAKEGA YE JAHAA’N KI ZUBA’N PER RAHEGA


YE TOH CHASHM-O-CHARAGH-E-HARAM HAI YE BHUJANE SE BHUJTA NAHIN HAI

KUCH KHABAR ISKI LILLAH LIJIYE KYA HAI PEHLU ME TAHQEEQ KIJIYE
HUBB-E-HYDER NA DIL ME AGAR HO BUTKADA HAI WO KAABA NAHIN HAI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 26


HAI MOHAMMAD PE GOYA MOHAMMAD YA ALI HI PE GOYA ALI HAI
EK QURAA’N PE GOYA HAI QURAA’N DOSH-E-AHMED PE MOULA NAHIN HAI

LAAKH ARSH-E-HIMAQAT PE POHONCHO LAAKH NAQLI HIJABAAT DALO


JIS SE AWAAZ HYDER KI AAYE KOI AISA TOH PARDA NAHIN HAI

AARZO HAI UNHE YEH JAHAA’N ME UTRE TAARA HAMARE MAKAA’N ME


BHOOLE BHATKE HUWE JINKE GHAR ME EK JUGNU BHI UTRA NAHIN HAI

RAN ME MARHAB KO MAARA ALI NE BAAB-E-KHYBER UKHADA ALI NE


APKE DONO HATHO SE SHAHED EK PAUDHA BHI UKHDA NAHIN HAI

HO MUBARAK YE BINT-E-ASAD KO AAYE HYDER NABI KI MADAD KO


KEH RAHI HAI YE MUSHKIL KUSHAYI BAND MUTHI ME KYA KYA NAHIN HAI

MAANTA HOON KE DAAR-E-JAHAA’N ME EK ANDHER MERE LIYE HAI


ROH-E-HYDER KI BAQER QASAM HAI QABR ME TOH ANDHERA NAHIN HAI
(Baqer Amanat Khani Sahab r.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

DEEN KA DAATA JAGAT KA MAALIK SABKA PAALAN HAR


MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI

TERE CHARAN KI DHOOL KE AAGE KYA CHAANDI KYA SONA HAI


DHARTI CHAAND SITARE SAB KUCH TERE HUSN KA SADQA HAI
TERA PASEENA HAI TERE MATHE KA PASEENA NABI’ WALI’ AVTAR
MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI

TERE SIWA WO KAUN HAI JISKE DAR PER TAARA UTRA HAI
DHARTI SE AKASH TALAK BAS TERA SIKKA CHALTA HAI
MERE MOULA’ SURAJ TERE HUKM SE NIKLA EK DIN ME DO BAAR
MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI

PURAB PACHIM UTTAR DAKSHIN SEHME SEHME REHTE HAI


QAUF SE APNE PANKH SAMAITHE DOOR FARISHTE REHTE HAI
AAI BALHARI’ CHALTI HAI ANIYAI KE AAGE JAB TERI TALWAAR
MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI

NAINO ME TERI YAAD KI JYOTI ZEHN ME TERI MURAT HAI


SAANS ME TERE NAAM KI MAALA MANN ME PYAAR KI DAULAT HAI
AYE JAGDATA’ MERE BADAN KE ROM ROM PER HAI TERE UPKAAR
MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 27


MEESUM’ SALMAN’ AUR ABUZAR SAB HUMKO PEHCHANE HAI
TERI GALI KE BIKSHO HAI HUM QAMBER HUMKO JAANE HAI
BHEJDE MOULA’ BHEJDE AB HASNAIN KA SADQA KARDE BEDA PAAR
MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI

TERI KHUSHI ME KUSH HOTE HAI TERE GHAM ME ROTE HAI


DHAAGE ME EHSAAS KE DAATA HUM AKSHAR KO PUROTE HAI
TERI MAALA’ TERI MAALA JAPTE HAI HUM MIMBER HO YA DAAR
MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI MOULA ALI ALI
(Mohd Ali Wafa Sahab)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

AAJ KE DIN KE KAARAN RAB NE SAARI DUNIYA BANAAI HAI


WO AAYA HAI JIS KE SABAB UMMED-E-NABI BAR AAI HAI
AAJ TO KAABE KE BHI LABOO’N PER AAYI HAI MUSKAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

CHAAR DISHAOO’N PER DHARTI KE NOOR YE KAISA PHAILA HAI


TERA RAJAB KO KAABE ME YE KAISA BALAK AAYA HAI
ABHI ABHI TO JANAM HUWA HAI LUB PE HAI QURAA’N
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

MERA MOULA JAG ME AAYA KHUSHIYA NABI KE GHAR LAAYA


MERA MOULA JAG ME AAYA KUFR KA CHEHRA MURJHAYA
MERA MOULA AATE HI AAYI DEEN-E-NABI ME JAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

DEKHO DEKHO ALI KO DEKHO ARSH PE ESHWAR LAGTA HAI


HIJRAT KI SHAB BISTAR-E-AHMED PER WO PAYAMBER LAGTA HAI
KHUDA KAHU’N YA NABI KAHU’N MAI AQL HAI AB HAIRAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

HUKM-E-KHUDA THA AAO NABI KHAUSAIN KI HADD TAK AAJAO


THAM JAAO AWAAZ SUNO AUR KIS KI HAI YE PEHCHAANO
TERA JALWA DEKH KE MOULA HAIRAA’N HAI MEHMAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

DAULAT-E-ISHQ-E-MOULA KA MAI QALB ME JAUHAR RAKHTA HOON


SATH HAMESHA DAAMAN ME MAI ASHK KE GAUHAR RAKHTA HOON
KAUN BHALA HAI IS DHARTI PER MUJH SE BADA DHANWAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

MAREFAT KE PHOOL Page 28


HINDU MUSLIM SIKH EISAAI PREM ME TERI JEETE HAI
GANGA JAMUNA YAMUNA TERA NAAM HI LEKAR BEHTE HAI
TERA AADAR KARTA HAI YE SAARA HINDUSTAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

ROZA NAMAZ AUR HAJJ KO RAKH KAR KYU’N ITNA ITRATA HAI
SUNN AAI MUQASSIR MANUSHYE SE TO PARMATMA YE KEHTA HAI
ROZ-E-MEHSHAR ISHQ-E-ALI KA BAQSHISH KA SAMAAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN

FIKR-E-ALI ME SAMAAI BITANA SAB SE BADI YE IBADAT HAI


ZIKR-E-ALI SE DIL KO JALANA APNI PURANI AADAT HAI
HIRDAYE JALTA HAI DUSHMAN KA KEHTA HAI JAB SALMAN
MERA MOULA MAHAAN MERA MOULA MAHAAN
(Salman Amanat Khani Sahab)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

AISE HUM SAQI-E-KAUSAR KI TARAF DEKHTE HAI


JIS TARAH PYASE SAMANDAR KI TARAF DEKHTE HAI

YAAD AATA HAI HUMEIN TERA RAJAB KA MANZAR


JAB BHI ALLAH TERE GHAR KI TARAF DEKHTE HAI

KHUD SAMAJH JAATA HAI MAALIK KA ISHARA MAALIK


BAS ALI MAALIK-E-ASHTAR KI TARAF DEKHTE HAI

AYATEI’N HO YA MOHAMMAD HO AMAA’N KI KHATIR


FATIMA ZEHRA KI CHAADAR KI TARAF DEKHTE HAI

JAB NUSAIRI MERE MOULA KO KHUDA KEHTA HAI


HANS KE SALMAN ABUZAR KI TARAF DEKHTE HAI

HOUSLA APNA BADHANE KE LIYE MUSHKIL ME


AMBIYA KHUD ALI ASGHER KI TARAF DEKHTE HAI

RUK JA AAI MAUT ZIYARAT KA MAZAA LENE DE


HUM ABHI CHEHRA-E-HYDER KI TARAF DEKHTE HAI

LAFZ KHUD AAL-E-MOHAMMAD KI SANA HAI AKBER


JODH KAR HATH SUQAN’WAR KI DEKHTE HAI
(Hasnain Akber Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 29


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

HUM SANA-E-HYDER KI BAZM JAB SAJAYENGE


ARSH SE FARSIHTE BHI ZIKR SUNNE AAYENGE

JAB BHI RAH-E-MUSHKIL ME PAAO’N LAD KHADAYENGE


YA ALI MADAD KEH KER HUM SAMBHALTE JAYENGE

YA ALI MADAD KEHNA SUNNAT-E-MOHAMMAD HAI


MAAN LIJIYE WARNA THOKAREY HI KHAYENGE

MADHA MERE MOULA KI HAI TILAWAT-E-QURAA’N


BAAT YE ZAMANE KO HUM BATATE JAYENGE

SUBH-O-SHAAM HAR LAMHA BAS ALI ALI KEH KAR


DUSHMANAN-E-HYDER KO HUM JALATE JAYENGE

AAP JALTE REHTE HAI MADHE MURTUZA SUN KAR


YE BATAAYE JANNAT ME AAP KAISE JAYENGE

TAUBA KIJIYE WARNA SILSILA YEHI HOGA


AAP JALTE JAYENGE HUM JALATE JAYENGE

SIDQ-E-DIL SE JANNAT KI JUSTAJU HAI JINKO WO


NAQSH-E-PAAYE HYDER PER SAR JHUKATE JAYENGE

HAMD TERE KHALIQ KI HO RAHI HAI MEHFIL ME


KEH KE YE NUSAIRI KO BAZM ME BULAYENGE

BAZM-E-MADHE HYDER KE JAANTE HAI HUM AADAB


MUSKURATE AYENGE MUSKURATE JAYENGE

DEHER KE MASAYEB SE AAP GAR PARESHAN HAI


NAAM-E-MURTUZA LIJIYE KAAM BANTE JAYENGE

QABR ME MALAK HUM SE CHAHE POOCHLE KUCH BHI


HUM TOH APNE MOULA KI MANQABAT SUNAYENGE

TU RASHEED ZAYER HAI AUR ALI KA SHAYER BHI


DE SADA TUJHE MOULA PHIR NAJAF BULAYENGE
(Rasheed Shaheedi Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 30


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

NABI HAI NA TU KIBRIYA KYA KAREGA


BATA TU ALI KI SANA KYA KAREGA

MERE HATH ME MURTUZA KA HAI DAMAN


BIGAD KAR ZAMANA MERA KYA KAREGA

NABI-O-ALI ME NAHI’N FARQ KOI


KOI BHAIYO KO JUDA KYA KAREGA

NUSAIRI KE JAB KUCH SAMAJH ME NA AYA


ALI KO KHUDA KEH DIYA KYA KAREGA

KHUDAYI KA MUQTAR MERA ALI HAI


ALI KA KOI SAAMNA KYA KAREGA

RAKHE PAAO’N DOSH-E-PAYAMBER PER JISNE


AB ALLAH JAANE WO KYA KYA KAREGA

NAJAF CHAL NAJAF HAJJ-E-AKBER YEHI HAI


TU KAABE KO JAKAR BHALA KYA KAREGA

KHUDA MAUT DE DUSHMANAN-E-ALI KO


SAYEED ISSE BADHKAR DUA KYA KAREGA
(Sayeed Shaheedi Sahab r.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)


KAAM MUSHKILO ME AYE SAB KI BIGDI BANAYE WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI
SAARI DUNIYA BHULAYE USSE KUCH BHI NA BHAYE WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

AGHOSH-E-ABUTALIB KI TARHA KAABA BHI TUMHARA TALIB HAI


KHUDRAT KI BANAYI HAR SHA’E PER TU POORI TARHA SE GHALIB HAI
MURDA ZINDA HOKE JAYE SURAJ BHAGA BHAGA AAYE
JO HO TERA ISHARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

HAI ACHI TARHA MALOOM USSE KISKI CHOKHAT PER JAANA HAI
DAR ASL SITARE KA MAQSAD KUCH LOGO KO TADPANA HAI
DIL KI DHADKANEI’N BADHAYE NA JAGAYE NA SULAYE
KEHTA JAAYE YE SITARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

WO JISKE EK ISHARE PER MAGHRIB SE PALAT AAYE SURAJ


SOU JAAN NICHAWAR CHAND KARE KHADMO’N ME BICHA JAAYE SURAJ
AISA MOUJIZA DIKHAYE KUCH SAMAJH ME NA AAYE
WOHI RAB KA DULARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

MAREFAT KE PHOOL Page 31


MUSHKIL KI GHADI JAB AAN PADI ISLAM PER JUNG-E-KHYBER ME
FARRAR YE LASHKER KE EK EK HALCHAL THI DIL-E-PAIGHAMBER ME
SAB THEY SAR KO JHUKAYE TAB HI JIBREEL AAYE
AUR GOONJA YE NAARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

ISS DEHER ME JINKE SHAAM-O-SAHER KAT’TE HAI BUGHZ-E-HYDER ME


UN CHEHRO’N PE LAANT BARSEGI WO HAALAT HOGI MEHSHAR ME
KHADE HONGE SAR JHUKAYE AUR KARENGE HAYE HAYE
NAHI’N JIN KO GAWARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

DAR DHOOND RAHA THA HYDER KA MUJHE SHEHER-E-ILM KO JAANA THA


KYUN JAATA BHALA MAI IDHER UDHAR JAB MOULA KA DEEWANA THA
MAI THA AAS LAGAYE KOI RAAH DIKHAAYE
TAB HI DIL NE PUKARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI

HOUNTO’N PE ALI KA NAAM RAHE ISS JISM ME JAB TAK JAAN RAHE
NAYAAB HAMARA TANN’ MANN’ DHANN’ SAB MOULA PER QURBAN RAHE
MAUT HUM KO NA AAYE JAB TAK NA DIKHAYE
RAB ROUZA TUMHARA ALI ALI WO HAI MOULA HAMARA ALI ALI
(Nayaab Hallori Sahab)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

WO KAHI’N MAMNOON HOTA HAI BHALA AGHYAR KA


KALMA GO JO HO JANAB-E-HYDER-E-KARRAR KA

KYA HUWA THOKER ME GAR MURDEY KO ZINDA KARDIYA


YE TOH ADNA MOUJIZA THA HYDER-E-KARRAR KA

AYAT’H-E-BALLIGH SE PUCHA SHUB’A JISKE DIL ME HO


MERA MOULA JANASHEE’N HAI AHMED-E-MUQTAR KA

KAABA KAABA BANGAYA BESHAK ALI KI WAJHA SE


WARNA BUTH KHANA HI KYA MAMUN BHI THA KUFFAR KA

REHNUMA PAYA ALI SA AAI ZAHE SHAAN-E-KHUDA


MILGAYA HUMKO THIKANA REHMAT-E-GHAFFAR KA

KHELTE HI KHELTE ASHDER KE DO TUKDE KIYE


EK KHILONA THA YE GOYA HYDER-E-KARRAR KA

SAQIYA ITNI PILA’ ITNI PILA’ ITNA PILA


TA DAM-E-MEHSHER NA UTRE NASHA ISS SAR SHAAR KA

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 32


HAQ HAI SHAHED HAQ ALI KA ALI HAQDAAR HAI
JANASHEE’N AB KAUN HOGA AHMED-E-MUQTAR KA

YUN TO AAYE SAINKADO ALAM ME AAKAR CHAL DIYE


KAUN HAI DUNIYA ME SAANI HYDER-E-KARRAR KA

BISTAR-E-AHMED PER SOYA SHAAM-E-HIJRAT CHAIN SE


YA ALI TU HI WASI HAI AHMED-E-MUQTAR KA

AAP HUM KYUN KER UTHATE LUTF-E-ZARB-E-HYDERI


YE MAZAA MARHAB KO AAYEGA ALI KE WAAR KA

KAAM JO BIGDE HAI SUB BAN JAYENGE EK DIN SHAOOR


TUJH KO HAI KAAFI BHAROSA HYDER-E-KARRAR KA
(Shaoor Abedi Sahab r.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

JAB KHUDA KO PUKARA ALI AAGAYE


JAB ALI AAGAYE ZINDAGI AAGAYEI
ZAINDAGI BANDAGI ROSHNI AAGAYI
ROSHNI AAGAYI AGAHI A AAGAYI

GHUSL-E-MAIYAT NA KEHNA MERE GHUSL KO


UJLAY MALBOOS KO MAT KAFAN NAAM DO
MAIN CHALA HOON ALI SE MULAQAT KO
JISKI THI AARZO WO GHARI AAGAYI

MAUT INN KE MOHIBBO’N KO AATI NAHI


AA BHI JAYE TOH PHIR BACH KE JAATI NAHI
MAUT KA KYA KHATAR MAUT SE KYA HAI HAZAR
ISS SE BACHNA BHI KYA AAGAYI AAGAYI

TERI MASNAD PE GHAIRO’N KO BITHLA DIYA


NAYEB-E-MUSTAFA MAZHAR-E-KIBRIYA
TU WASI-O-WALI-O-ALI HI RAHA
MANZELAT MEIN TERI KIYA KAMI AAGAYI

HUM KE SAR SHAAR ISHQ AUR TAWWALA MEIN THE


JAANTE HI NA THEY NAFRAT-O-DUSHMANI
YE TABARRA BHI WALLAH KYA CHEEZ HAI
HUM KO AGHYAAR SE DUSHMANI AAGAYI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 33


MASLAK-E-ISHQ MEIN MAANGNA AAIB HAI
MAIN BHI KHAMOOSH HOON WO BHI KHAMOOSH HAI
UNKO SAB HAI KHABAR ISLIYE CHUP HOON MAI
KIYA HUWA AANKH MEIN GAR NAMI AAGAYI

KHUMS DENA MOWWADDAT KI EK SHART HAI


AUR NA DENA BHI MISL-E-FIDAK HAI GUNAH
HAQQ-E-SADAAT-O-ZAHRA KE MAQROOZ SE
JAB TABARRA SUNA TO HANSI AAGAYI

KYUN NA ROYE WO QISMAT KO APNI SADA


JINKA POORA MUQADDAR HAI LANAT ZADA
JINKI QISMAT MEIN APNE HI AAMAL SE
BINT-E-AHMAD KI NARAZGI AAGAYI

JISKA MOULA HOON MAIN USKA MOULA ALI


JAB NABI NE KAHA DEEN KAAMIL HUWA
MARHABA MUSTAFA RAB BHI RAAZI HUWA
WO JO AANA THI AAYAT WOHI AAGAYI

JIBRAEEL AUR QAMBAR PE KYA MUNHASAR


DAR TERA CHORD’KAR KOI JAATA NAHI
JO GHULAMI KA TERI MAZAA PA GAYA
RAAS JISKO TERI NAUKRI AAGAYI

ISHQ-E-HYDER MEIN PHIRTE THEY SHAAM-O-SAHER


UNKE MADDAH HAIN SAARE JINN-O-BASHAR
UNKI AWARGI KA SAFAR DEKH KAR
ZEHN MEIN FIKAR-E-AWARGI AAGAYI

ISHQ JAB TAK NA HO SHAIR HOTA NAHI


MUJH ME KAB AHLIYAT THI TERI MADHA KI
MERE MOULA MAI QURBAAN TERE ISHQ KE
SIBT-E-JAFFAR KO BHI SHAYERI AAGAYI
(Sibte Jaffar Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 34


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

KYU KAR KAHE NA AHLE VILA YA ALI MADAD


NAAM-E-ALI HAI NAAM-E-KHUDA YA ALI MADAD

NAAD-E-ALI KE MAYENE HAI KYA YA ALI MADAD


ISS WAASTE NABI NE KAHA YA ALI MADAD

TASBEEH-E-FATIMA HAI MERE DUM KE SATH SATH


DIN RAAT HAI WAZEEFA MERA YA ALI MADAD

TOOFAN-O-BATN-O-MAHI-O-ZINDAAN-O-AAG ME
HUM KYA HAI AMBIYA NE KAHA YA ALI MADAD

SHAIR-E-KHUDA NE SHAIR SE UN KO BACHA LIYA


SALMA’N NE DASHT ME JO KAHA YA ALI MADAD

HOTA HAI FAIZ USS PE JANAB-E-AMEER KA


DETA HAI JAB FAQEER SADA YA ALI MADAD

POHONCHA HARAM ME USKI ZIYARAT HUWI QUBOOL


ZAYER NE JAB NAJAF ME KAHA YA ALI MADAD

KHADMOU’N KO MERE CHOOM RAHA THA PUL-E-SIRAAT


KEHTE HUWE MAI JAB KE CHALA YA ALI MADAD

MUNKIR NAKIR QABR ME MUNH DEKHNE LAGE


HILMI NE JAB LAHAD ME KAHA YA ALI MADAD
(Hilmi Afandi Sahab r.a)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

JISNE MOULA ALI KO PUKARA NAHI


USKA DUNIYA ME KOI SAHARA NAHI

ROTIYAA’N GAR NA DE AHLEBAIT-E-NABI


AAI FARISHTO TUMHARA GUZAARA NAHI

JISKA MOULA HOON MAI USKE MOULA ALI


JO ALI KA NAHI WO HAMARA NAHI

QUM ME MIMBER BANA KE YE BOLE NABI


YE HAI MIMBER ALI KA TUMHARA NAHI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 35


BADR SE KARBALA TAK MOUWARRIQ BATA
KAUNSI JUNG HAI KUFR HAARA NAHI

SIRF MOULA ALI KE YE KIRDAAR HAI


ZAIR KAR KE BHI DUSHMAN KO MAARA NAHI

GHAR SAJA KER PARESHAA’N RAHE RAAT BHAR


EK TAARA KHUDA NE UTAARA NAHI

JAO AB JAAKE BAGH-E-FIDAK ME RAHO


GHASIBO BAGH-E-JANNAT TUMHARA NAHI

JISME ZIKRE ALI MURTUZA GAR NA HO


WO IBADAT KHUDA KO GAWAARA NAHI

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN


ALI HAI AWWAL ALI HAI AQIR JAAN AREY NADAAN

ISHQ-E-ALI ME MANZIL MANZIL DAAR PE JAANA PADHTA HAI


SAR KO KATANA PADHTA HAI GHAR BAAR LUTANA PADHTA HAI
DEKH KE MEESUM KI HIMMAT KO DUNIYA HAI HAIRAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN

ZARRA ZARRA PATTA PATTA MOULA MOULA KARTA HAI


DAR PE ALI KE AAKE SITARA SHAAN SE SAJDA KARTA HAI
PADHTE HAI MOULA KA QASEEDA LULU AUR MARJAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN

PAKEEZA WO LOG HAI JO MOULA SE MOHABBAT KARTE HAI


QAUL-E-NABI HAI WO HAI NAJIS JO INSE ADAWAT KARTE HAI
HUBB-E-ALI SE HOJATI HAI NASLO KI PEHCHAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN

TERA RAJAB KO AGAYE MOULA KHANA-E-KAABA SHAAD HUWA


RAB-E-NUSAIRI KE AANE SE RAB KA GHAR ABAAD HUWA
KEHTI HAI DEEWAR HARAM KI SAB SE YE MUSKAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN

BAQQIN BAQQIN KEHTA HAI PAR UTRA HUWA KYU CHEHRA HAI
AISA LAGTA HAI KE JAISE ANDER SE DIL TOOTA HAI
KHOON HUWE HAI SHAHED TERE DIL KE SAB ARMAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN

MAREFAT KE PHOOL Page 36


DUNIYA KE YE SAARE TAWANGAR ASL ME HAI KANGAAL MIYA’N
KHAATE HAI JO LOOT KE HAR DAM HAQDARO KA MAAL MIYA’N
SIRF ALI KE DAR KA BIKHAARI HOTA HAI DHANWAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN

YAHAN ALI HAI WAHA ALI HAI JAHA’N BHI DEKHO ALI ALI
SAB NE KAHA KE MERE YAHA’N THEY MERE YAHA’N THEY ABHI ABHI
EK WAQT ME ALI HUWE CHALEES GHAR MEHMAAN
MOULA KO PEHCHAAN MOULA KO PEHCHAAN
(Sajjad Nazar Sahab)

QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

GOONJ SALLE ALAA KI HAI HAR SO HAR TARAF PHOOL HAI ROSHNI HAI
MADHE HYDER KI MEHFIL SAJI HAI AUR NAJAF KI HAWA CHAL RAHI HAI

KYUN NA HUM BHI ALI KO PUKARE SUNNAT-E-MUSTAFA BHI YEHI HAI


MUSHKILEI’N DOOR REHTI HAI UN SE JINKE HOUNTO PE NAAD-E-ALI HAI

PADRAHE HAI DUROOD AAJ MILKER KYUN MUSALSIL FARISHTE FALAK PER
KHANA-E-HAQ KI DEEWAR AAKHIR KIS KI AAMAD PER SHAQ HO RAHI HAI

DEKHIYE AAMAD-E-MURTUZA PER KIS QADAR SHAAD HAI RAB-E-DAWAR


DE RAHI HAI KHUD USKI GAWAHI YE JO KAABE KE LAB PER HANSI HAI

ANKHEI’N KAMBLI ME UDHJAYENGI GER KAISE DEKHOGE PHIR TUM YE MANZAR


NAQSH-E-PAAYE ALI-E-WALI KI DOSH-E-AHMED PE JO ROSHNI HAI

AQL KE ANDHE KYA ISKO SAMJHE YE HAI WALLAH ROSHAN HAQIQAT


YE ALI HI KE DAR KA HAI SADQA AAJ SURAJ ME JO ROSHNI HAI

ISKE AAGE NA MAI KUCH KAHUNGA ISKE AAGE NA MAI KUCH SUNUNGA
AISE WAISO KI BATIE’N NA KIJIYE BAS ALI JANASHEEN-E-NABI HAI

DUSHMANAN-E-ALI HAI MUNAFIQ UNKE CHEHRE HAI MAKROOH-O-GOONGE


MOMINO KE TOH CHEHRO SE HAR DUM BAS VILA-E-ALI BOLTI HAI

ZEHN-O-DIL ME LIYE BUGHZ-E-HYDER HAJJ KI NIYYAT SE KAABE KE CHAKKER


ISLIYE AB BHI DEEWAR-E-KAABA AAP KI AQL PER HANS RAHI HAI
(Rasheed Shaheedi Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 37


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR
DEKH KAR MEESUM-O-SALMAN KO KEHTI HAI NAZAR

WAQT PER WAQT KI RAFTAAR BADAL DETE HAI


FITRAT-E-QANJAR-O-TALWAAR BADAL DETE HAI
DAAR PER LEHJA-E-GUFTAAR BADAL DETE HAI
ZAIR-E-QANJAR BHI SADA DETE HAI HYDER HYDER
AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR

TUM NE MOULA KI MOHABBAT KA NAZARA DEKHA


LASHKAR-E-KUFR ZYADA THA MAGAR HAAR GAYA
CHAND AFRAAD NE LEBNAAN KA NAQSHA BADLA
BHAGNE WALE ZARA DEKH LE PEECHE MUDH KAR
AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR

ISHQ-E-HYDER KI YE TABLIGH KIYA KARTE HAI


AISE DEEWANE HAI DANAYI ATA KARTE HAI
AQL WALE INHE BEHLOOL KAHA KARTE HAI
HAAN MITTI SE BANA DETE HAI YE KHULD ME GHER
AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR

QASR-E-BAYAT KE SUTOONO KO GIRANE KE LIYE


APNA GHAR QALBE PAYAMBER ME BANANE KE LIYE
JUTIYAAN SIBT-E-PAYAMBER KI UTHANE KE LIYE
HUR NE HASTE HUWE DUNIYA KO LAGADI THOKAR
AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR

MAR KE BHI ULTAF-E-HYDER NAHI MARNE DETI


BAAT YE HAZRAT-E-SALMAN NE SABIT KARDI
BAAD MARNE KE AGAR INKO BULAYENGE ALI
MAUTH KI GODH SE LABBAIK KAHENGE UTHAR
AISE HOTE HAI ALI KE NAUKAR

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 38


QASIDA MOULA’E KAYENAAT HAZRAT IMAM ALI (A.S)

AHMED-E-MUJTABA’ ZEENAT-E-AMBIYA
SU’E KAABA YEH KEH KAR CHALA MERA MUSHKIL KUSHA AGAYA

KHANA-E-KAABA KI QISMAT KA AAJ SITARA CHAMKA


DEKH NUSAIRI TERA KHUDA AB GHAR ME KHUDA KE AAYA
FARSH KURSI BANA’ AAYE SAB AMBIYA
ARSH-E-AZAM NE DI YE SADA - MERA MUSHKIL KUSHA AGAYA

KHANA-E-HAQ ME HAQ KI KHATIR BINT-E-ASAD AAYI HAI


KHUL KE JIDAAR-E-KHANA-E-KAABA MUJDA YE LAAYI HAI
DEE’N KI HOGI BAQA’ KUFR HOGA FANAA
AAI BUTHO AB KARO TAQLIYA - MERA MUSHKIL KUSHA AGAYA

SAQI-E-KAUSAR KI AAMAD PE KAABE ME MEHFIL HAI


NAZIM KHUD JIBREEL-E-AMEE’N HAI SHAAD HAR EK KA DIL HAI
MADHA KHWAN AMBIYA DAAD KHWAN OULIYA
MUSKURANE LAGE MUSTAFA’ MERA MUSHKIL KUSHA AAGAYA

JUNG-E-OHAD KE BHAGNE WALE BHAAG RAHE THE DAR KAR


LAAJ BACHALI DEENE KHUDA KI TANHA KHADE THE HYDER
DEKH KAR YE SAMAA’ KHUSH HUWE MUSTAFA
AUR LABO’N PER YEHI THI SADA - MERA MUSHKIL KUSHA AGAYA

MERE ALI KI SHAAN-O-FAZILAT KYA YE ZAMANA SAMJHE


APNI THOKAR SE MURDO KO PAL ME ZINDA KARDE
LAASH SALMAN KI UTHHI KEH KAR YEHI
AGAYA AGAYA AGAYA’- MERA MUSH KIL KUSHA AGAYA

GHAIR NE POOCHA MAI NE SUNAYA SUNLE ATA-E-MOULA


JAB BHI SAR PER MAUTH KO DEKHA ROYA HAI SARA ZAMANA
DARR KE BOLA YEHI AL MADAD YA ALI
USNE POOCHA KE PHIR KYA HUWA’ MERA MUSHKIL KUSHA AAGAY

BACHPAN SE PARWAZ HUMEI’N HAI NAAM-E-ALI KI AADAT


NAZA’H KI HALATH QABR KI WEHSHAT SAB ME MILI HAI RAHAT
TANG HALAAT ME SAQT LAMHAAT ME
JAB BHI DIL NE TADAP KAR KAHA’ MERA MUSHKIL KUSHA AAGAYA

(Janab Shabbir Hyder Parwaz)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 39


QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

ARSH PER MUSTAFA KO BULAYA GAYA DEHR ME AAMAD-E-SYYEDA KE LIYE


IBTEDA JIS KI DUNIYA ME AISI RAHE KYA KAHA JAYEGA INTEHA KE LIYE

HO WO ABBAS-O-ZAINAB KE SHABBIR HO KHAAS NISBAT INHEI’N SYYEDA SE HUWI


AALAM-E-NOOR ME BAZM-E-ASBAAB ME JO BULAYE GAYE KARBALA KE LIYE

DAAWA DARAN-E-AHKAAQ-E-HAQ THEY BOHOT MUQTALIF MANZILO PER JO RUKTE GAYE


FATIMA KA GHARANA HI AAGE BADHA DEEN-O-IMAAN-O-HAQ KI BAQA KE LIYE

FATIMA KI KAMAYI THI WO ROTIYA TEEN DIN TAK JO TAQSEEM HOTI RAHI
SYYEDA KO WASEELA BANAYA GAYA BAKHSISH-E-SURA’E HAL ATA KE LIYE

JIS KI REHMAT KE SAAYE ME KAUNAIN HAI US PE SAYAA FIGAN HOGAYI JO RIDA


AQL NE LAKH CHAHA NAHI’N MIL SAKI KOI TASHBEE’H BHI ISS RIDA KE LIYE

KOI MANSAB NAHI HAI TO KYA HOGAYA JAB NASARA PE ETMAM-E-HUJJAT HUWA
WAASTA SYYEDA KA ZARURI HUWA SYYED-UL-AMBIYA KI DUA KELIYE
(Sayeed Shaheedi Sahab r.a)

QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

KHUDA-E-PAAK KE JAISI MASHIYAT FATIMA KI HAI


NABUWAT FATIMA KI HAI RISALAT FATIMA KI HAI

RASOOL ALLAH KA TAZEEM KO UTHNA BATATA HAI


NABUWAT KI NIGAAHO ME JO AZMAT FATIMA KI HAI

PIDAR HAI SHAFA-E-MEHSHAR HAI SHOHAR SAQI-E-KAUSAR


PISAR HAI KHULD KE SARDAR JANNAT FATIMA KI HAI

MILA HAR DAUR ME ZEHRA KE GHAR SE REHNUMA HUM KO


JAHA’N ME AAJ BHI QAYAM HUKUMAT FATIMA KI HAI

ISSI SE SAAF ZAAHIR HORAHI HAI AZMAT-E-ZEHRA


ALI MUSHKIL KUSHA KO BHI ZARURAT FATIMA KI HAI

SHARAF HAASIL HUWA HAI KAMSINI SE ZIKR-E-SARWAR KA


SALEEM-E-MADHA KHWAN PER YE INAYAT FATIMA KI HAI
(Abbas Ali Saleem Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 40


QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

BAS ZAMANE ME YE RUTBA FATIMA ZEHRA KA HAI


ISMATO’N KE LUB PE CHARCHA FATIMA ZEHRA KA HAI

ISS TARHA QURA’N SE RISHTA FATIMA ZEHRA KA HAI


MADHA KHWAN HAR EK SURAH FATIMA ZEHRA KA HAI

KIS TARHA BATLAOO’N KYA KYA FATIMA ZEHRA KA HAI


JO JAHA’N ME HAI WO SAARA FATIMA ZEHRA KA HAI

YUN TOH DUNIYA NE LAQAB ITNE CHURAYE HAI MAGAR


BAS LAQAB UMM-E-ABIHA FATIMA ZEHRA KA HAI

FARSH SE ARSH-E-BAREE’N TAK ARSH SE JANNAT TALAK


JO JAHA’N KHATA HAI SADQA FATIMA ZEHRA KA HAI

UTH RAHE HAI MUSTAFA TAZEEM-E-ZEHRA KE LIYE


MARTABA ITNA ZYADA FATIMA ZEHRA KA HAI

KARBALA ME JO HUWI ISLAM KI TAMEER-E-NAU


MEHNATEI’N SARWAR KI NAQSA FATIMA ZEHRA KA HAI

KYU NA AAYE KHULD SE HASNAIN KI QATIR LIBAAS


ZIDD HAI BACHOU’N KI IRADA FATIMA ZEHRA KA HAI

KAR RAHI HO LEHJA-E-QURAA’N ME BATEI’N AAJ KAL


AAP PER EHSAAN FIZZA FATIMA ZEHRA KA HAI

AAI BAQI KO TODNE WALO TUMHE KYA HAI QABAR


SAARA MECCA AUR MADINA FATIMA ZEHRA KA HAI

KARBALA’ MASHAD’ NAJAF’ QUM’ KAZEMAIN O SAMERA


JIS TARAF DEKHO ILAQA FATIMA ZEHRA KA HAI

HAI RIZA-E-FATIMA RAB KI RIZA YA YUN KAHU’N


MARZI-E-KHUDRAT PE QABZA FATIMA ZEHRA KA HAI

ISLIYE AKSAR NAMAZO ME ISSE PADHTA HOON MAI


SURA-E-KAUSAR QASIDA FATIMA ZEHRA KA HAI

INKI MIDHAT INKI MARZI MERA HYDER KUCH NAHIN


JO MILE ALFAZ HADIYA FATIMA ZEHRA KA HAI
(Janab Hyder Sahab)
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 41


QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

JIBRAEEL-E-AMEEN DE RAHE HAI SADA AAGAYI FATIMA


AAJ KHUSH HAI BOHOT ASHRAF-UL-AMBIYA AAGAYI FATIMA

ARSH SE FARSH TAK NOOR KA HAI SAMAA


AAYI ALAM ME GYARAH IMAMO KI MAA
DOOR ALAM KA SAARA ANDHERA HUWA
AAGAYI FATIMA AAGAYI FATIMA

MUSTAFA AUR HASNAIN AUR MURTUZA


HUKM-E-KHALIQ SE JAB HOGAYE EK JAA
PHIR DUROODO KI BARISH ME ZAIR-E-KISAA
AAGAYI FATIMA AAGAYI FATIMA

JIS KE DAR SE MALAK RIZQ PAATE RAHE


AUR BAN BAN KE QAYYAT AATE RAHE
BHEEK LENI HAI JA JALD KASHKOL LAA
AAGAYI FATIMA AAGAYI FATIMA

MAI GUNAHGAR KYA MERI AUQAAT KYA


EK AANSO KE BADLE SILA YE MILA
KHULD SE KHUD MERE HAQ ME KARNE DUA
AAGAYI FATIMA AAGAYI FATIMA

MAI HASAN MUSHKILO ME GHIRA JAB KABHI


MAI NE DARBAR-E-ZEHRA ME FARYAAD KI
KHATM HONE NA PAAYI THI MERI DUA
AAGAYI FATIMA AAGAYI FATIMA
(Mir Hasan Mir)

QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

YE BEMISL NAYAB DUQTAR MUBARAK


MUBARAK MUBARAK PAYAMBER MUBARAK

FALAK KO MAI-O-MEHR-O-AKHTER MUBARAR


HAMEI’N APNI KHATOON-E-MEHSHAR MUBARAK

SADA HAR TARAF SE YEHI AARAHI HAI


RASOOL-E-KHUDA KO YE DUQTAR MUBARAK

MUBARAK HAMEI’N NAQSH-E-PAA FATIMA KA


TUJHE AYINA AAI SIKANDER MUBARAK
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 42


ALI KO YE RUH-UL-AMEE’N KEH RAHE HAI
YE JODA TUMHEI’N DEE’N KE REHBAR MUBARAK

NABI KO YE BETI ALI KO YE ZAUJA


YE SHABBIR-O-SHABBAR KO MADAR MUBARAK

MUBARAK HAMEI’N YE GUL-E-BAAGH-E-WEHDAT


TUJHE AAI GULISTAAN GUL-E-TAR MUBARAK

YE AA AA KE KEHTE HAI SALMAN-O-BUZAR


YE BETI JANAB-E-PAYAMBER MUBARAK

KHUSI KI YE JAA HAI MASARRAT KA DIN HAI


YE EID AAI GHULAMAN-E-HYDER MUBARAK

MUBARAK SALAMAT KI HAI DHOOM FAAZIL


KARE JASHN YE RAB-E-DAWAR MUBARAK
(Faazil Moosvi Sahab r.a)

QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

AAJ DUNIYA ME JANAB-E-FATIMA PAIDA HUWI


SYYEDA PAIDA HUWI KHAIR-UL-NISAA PAIDA HUWI

ASHARF-E-HAWWA-O-SAARA-O-JANAB-E-HAJERA
FAQR-E-MARIYAM IFTEQAR-E-AASIYA PAIDA HUWI

AYA’H-E-TATHEER JINKI SHAAN ME NAAZIL HUWI


AAJ BAGH-E-DEHER ME WO TAHERA PAIDA HUWI

NOOR SE MAAMOOR SAARA AAJ AALAM HOGAYA


GHAR ME NOOR-E-HAQ KE NOOR-E-KIBRIYA PAIDA HUWI

KEHTE HAI PADH KAR DUROOD AHLE ZAMEEN-O-AASMA’N


DUQTAR-E-MEHBOOB-E-HAQ SALLE ALAA PAIDA HUWI

LETI HAI AAKAR BALAEI’N KHULD SE EK EK HOOR


AAJ NISWAAN-E-JAHAN KI REHNUMA PAIDA HUWI

AB JAHAA’N ME SAB RAHENGE RAHAT-O-AARAM SE


KHALQ KI HAAJAT RAWA MUSHKIL KUSHA PAIDA HUWI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 43


QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

JAB TAK ZUBAAN PER MERI RAHA FATIMA KA NAAM


KARTA RAHA SUKOON ATA FATIMA KA NAAM

ASAA’N THA MERE WAASTE US DAM PUL-E-SIRAT


JAB TAK CHALA MAI LETA RAHA FATIMA KA NAAM

AAMAL MERE WAASTE KAAFI NA THEY MAGAR


BAQSHISH KA MERI RAAZ BANA FATIMA KA NAAM

HAR LAMHA APNE QALB KI TASKEEN KE LIYE


LETE THE KHUD RASOOL-E-KHUDA FATIMA KA NAAM

HOTI NAHI HAI RADD KABHI USS SHAQS KI DUA


LE LE AGAR WO WAQT-E-DUA FATIMA KA NAAM

KIRDAAR USKA NAIK HO YE SONCHKAR SOHAIL


BETI KO MERI MAI NE DIYA FATIMA KA NAAM
(Raza Ali Sohail Sahab)

QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

MARYAM HAI HAJERA HAI NA SAARA HAI FATIMA


KHAD AAYINO KE PAST HAI BAALA HAI FATIMA

GODHI ME LE KE FAQR SE JHOOME NA KYUN RASOOL


KUL ZINDAGI KI EK TAMANNA HAI FATIMA

PARCHAYI BHI NA DEKHI KABHI DIN KI DHOOP NE


NIKLA NA JO RIDA SE WO CHEHRA HAI FATIMA

AYAT ME DHAL GAYI JO WO TEHREER HAI ALI


MAANGA JO AYATO’N NE WO LEHJA HAI FATIMA

HYDER HAI WO NAMAZ SHUJAAT NE JO PADHI


ISMAT NE JO KIYA HAI WO SAJDA HAI FATIMA

JAB AAGAYI BATOOL KHADE HO GAYE RASOOL


SAABIT HUWA KE UMM-E-ABIHA HAI FATIMA

NAYYAR MERI ZUBAA’N KOI QURAN TO NAHIN


MAI KIS TARHA BATOU’N BHALA KYA HAI FATIMA
(Nayyar Jalalpuri Sahab)
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 44


QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

NOOR KI ANJUMAN FATIMA


MARKAZ-E-PANJTAN FATIMA

ARSH SE BAN KE AAYI HAI TU


MURTUZA KI DULHAN FATIMA

KEH’KASHAAN SE ZIYADA HASEE’N


TERE GHAR KA CHAMAN FATIMA

TERI MAMTA KE HAI DO NAYAA’N


EK HUSSAIN EK HASAN FATIMA

KHULD KA ARSH PE HAI DIMAAG


CHU KE TERE CHARAN FATIMA

KAB KISI MAA NE PAIDA KIYE


PHIR HUSSAIN O HASAN FATIMA

TERE SHOHAR KE DAR SE MILA


HUM KO RIZQ-E-SUQAN FATIMA

GHAIR NE JISKO DEKHA NAHIN


TERA WO PAIRAHAN FATIMA

BAN GAYA TERA BAGH-E-FIDAK


GHASIBO KA KAFAN FATIMA

HAI YE QAUL-E-NABI AAI SAROSH


MERA TAN MERA MAN FATIMA
(Janab Agha Sarosh)

QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

KUL NAZM-E-KAYENAAT HAI ZEHRA KE HATH ME


SHAIR-E-KHUDA KA HATH HAI ZEHRA KE HATH ME

ALLAH NE MANGA LI SAR-E-ARSH ROTIYAA’N


KOI TO AISI BAAT HAI ZEHRA KE HAATH ME

JIS DAR SE CHAL RAHA HAI ZAMANE KA HAR NIZAM


USKI MAA’SHIYAT HAI ZEHRA KE HATH ME

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 45


BETI KO SATH LAAYE HAI ISS WAASTE RASOOL
NAJRANIYO KI MAAT HAI ZEHRA KE HATH ME

MALIK HAI JAISE CHAHE YE TABDILIYA KARE


LOH-O-QALAM DAWAAT HAI ZEHRA KE HATH ME

KEHNE LAGE HUSSAIN YE RUMAAL BANDH KER


JA HUR TERI NAJAT HAI ZEHRA KE HATH ME

HATHO ME HATH SHABBAR-O-SHABBIR KE NAHIN


ISLAM KI HAYAT HAI ZEHRA KE HATH ME

KAISE MITAYE KOI AZA KI NISHANIYA


HIFZ-E-TABARRUKAT HAI ZEHRA KE HATH ME

TASBIH-E-FATIMA NE TAKALLUM BATA DIYA


HAR RADD-E-MUSHKILAT HAI ZEHRA KE HATH ME
(Mir Takallum Sahab)

QASIDA SHAHZADIYE KAUNAIN S.A

MAHOL LAJAWAB FIZA BE MISAAL HAI


PHIR AAJ MERI FIKR KA CHEHRA BAHAL HAI

DAULAT MILI HAI MIDHAT-E-BINTE RASOOL KI


QISMAT KI IS ATA PE MERA DIL NEHAL HAI

AAO SUNA RAHA HOON MAI ZEHRA KI MANQABAT


KYA SOUNCHE TO YE BHI AZAAN-E-BILAL HAI

TAZEEM INKI KARTA HAI ALLAH KA RASOOL


HASTI JANAB-E-FATIMA KI BE MISAAL HAI

HYDER BANA RAHE HAI ISSE APNI JANAMAZ


BINTE NABI YE TERI RIDA KA KAMAAL HAI

MOULA-E-KAYENAAT NUSAIRI KE HAI KHUDA


AUR FATIMA ME BHI SIFAT-E-ZUL JALAL HAI

ZEHRA KI ABROO’UN PE NA AAYE KAHIN SHIKAN


IN ME TOH ZULFEQAR-E-ALI KA KAMAAL HAI

ISHQ-E-ALI ME ZEEST HAI HAR RUQ SE KAMIYAB


BUGHZ-E-ALI ME SAANS BHI LENA MUHAAL HAI
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 46


MERI LAHAD ME AAGAYE MOULA-E-KAYENAAT
POOCHO FARISHTO JO BHI TUMHARA SAWAL HAI

KAHE KO CHEDHE DUSHMAN-E-HYDER KO HUM RASHEED


KHUD USKI ZEEST USKE LIYE EK WABAL HAI
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA IMAM HASSAN-E-MUJTABA (A.S)

MURTUZA KE GULSHAN ME KYA BAHAR AAYI HAI


REHMAT-E-KHUDA BAN KAR CHAARSO JO CHAAYI HAI

YE JO NOOR BIKHRA HAI FATIMA KI GOUDI ME


MUJTABA KE JALWE ME SHAAN-E-KIBRIYAI HAI

YE ALI KA BETA HAI JISKA MUJTABA HAI NAAM


HAR BULANDI CHOKAT PER SAJDA KARNE AAYI HAI

SHAAD HAI ALI BEHAD AUR FATIMA KHUSH HAI


AAJ UNKE DIL KI JO AARZO BAR AAYI HAI

AAJ HUM GHULAMO KE DIL BHALA NA HO KHUSH KYUN


MURTUZA-O-ZEHRA KE GHAR ME EID AAYI HAI

KHULQ ME MURAWWAT ME ILM-O-FANN ME HIKMAT ME


HAR SIFAT PAYAMBAR KI MUJTABA NE PAAYI HAI

JAMA’AH HAI MUHIB SAARE AAJ DAR PE HYDER KE


TEHNIYAT KE NAARO SE GOONJTI KHUDAYI HAI

NOOR SE MUNAWWAR HAI AAJ GHAR JO HYDER KA


NOOR-E-PANJETAN KI YE CHAUTHI SHAMMA AAYI HAI

ZAKIRO ME MOULA KE HAI SHAREEK TU SHABBIR


MUJTABA KE SADQE ME MANZELAT YE PAAYI HAI
(Shabbir Hussain Sahab Marsia Khan)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 47


QASIDA IMAM HASSAN-E-MUJTABA (A.S)

HO MUBARAK FATIMA KA DULRUBA PAIDA HUWA


DO JAHAN ME TEESRA HAAJAT RAWA PAIDA HUWA

BAAD-E-SHAHE LAFATA KHYBER KUSHA PAIDA HUWA


MALIK-O-MUQTAR TAAJ-E-INNAMA PAIDA HUWA

DI KHABAR JIBREEL NE AAKAR RASOOL ALLAH KO


MUJTABA PAIDA HUWA LO MUJTABA PAIDA HUWA

HOGAYA ROSHAN MADINA JISKE NOOR-E-PAAK SE


AAJ WO AALAM ME NOOR-E-KIBRIYA PAIDA HUWA

KIBRIYA NE KI SANA JISKI KALAAM-E-PAAK ME


WO SHAH-E-MOUJIZ NUMA SALLE ALA PAIDA HUWA

HOOR-O-GHULMA’N KEH RAHE HAI HOKE KHUSH FIRDOUS ME


KHANA-E-ZEHRA ME SIBTE MURTUZA PAIDA HUWA

JISKI KHATIR HAZRAT-E-ESSA FALAK SE AAYE HAI


WO SHAH-E-KAUNAIN FAQRE AMBIYA PAIDA HUWA

NOOR SE JISKE DO AALAM ME UJALA HOGAYA


WO SHAH-E-BADR-O-DUJA SHAM UL ZOHA PAIDA HUWA

NEMATEIN ALLAH NE NAHEED JIS PER KHATM KI


AAJ APNA WO IMAM-E-PESHWA PAIDA HUWA
(Naheed Sahab r.a)

QASIDA IMAM HASSAN-E-MUJTABA (A.S)

JAAN-E-ZEHRA KHALB-E-SHAH-E-BUTH SHIKAN PAIDA HUWA


ASHIQ-O-SHAIDA-E-RAB-E-ZULMENAN PAIDA HUWA

DEKH KAR LAAL-E-LABE SHABBAR KO KEHTE HAI RASOOL


AAJ TAK AISA NAHIN LAAL-E-YAMAN PAIDA HUWA

KEHTE HAI AHLE MADINA KAR KE DUR US PER NISAR


AHMED-E-MUQTAR KA DURR-E-ADAN PAIDA HUWA

KEHTI HAI FIZZA YEHI LEKAR BALAYE’N BAR BAR


DUQTAR-E-MEHBOOB-E-HAQ KA SEEM-E-TAN PAIDA HUWA

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 48


HOOR-O-GHULMAAN-O-JINA’N KE AAJ HAI DIL BAGH BAGH
NOOR-E-AIN-E-QASIM-E-NEHRE LABAN PAIDA HUWA

TERE JADD KE NOOR SE AAI NOOR-E-QALLAQ-O-ZAMEEN


YE ZAMEEN PAIDA HUWI CHARQ-E-KOHAN PAIDA HUWA

KEHTE THEY ADA-E-DEEN HYDER SE KYA DARTE THEY HUM


LO JAHAA’N ME DOOSRA SHAMSHEER-E-ZAN PAIDA HUWA

CHAIN KHALBE-E-FATIMA KA RAHAT-E-JAAN-E-ALI


AHMED-E-MUQTAR KA AARAM-E-TAN PAIDA HUWA

MAHATAAB-E-FATIMA QURSHEED MAHBOOB-E-KHUDA


AAJ ZEHRA KA CHARAGH-E-ANJUMAN PAIDA HUWA

QASIDA IMAM HASSAN-E-MUJTABA (A.S)

KYA POOCHTE HO MUJH SE KE KYA KYA HASAN KA HAI


JO KUCH BHI HAI KHUDA KA WO SAARA HASAN KA HAI

HUM KYA HAI KEH RAHA HAI YE KHUD DEEN-E-MUSTAFA


MUJH KO ALI KE BAAD SAHARA HASAN KA HAI

TABDEEL KAR KE JINSS HASAN NE BATA DIYA


KEHTE HAI JISKO KUNN WO IRADA HASAN KA HAI

WAJIB SAMAJH KE KARTA HOON MAI TAB SE LANATEI’N


JAB SE MERI NAZAR ME JANAZA HASAN KA HAI

IS KHUSH QATI SE CHALTI HAI MAIDAN-E-JUNG ME


LAGTA HAI ZULFEQAR PE SAAYA HASAN KA HAI

ARZAQ KI LASH DEKH KAR BOLI YE FAUJ-E-SHAAM


ALLAH KA GHAZAB HAI YE BETA HASAN KA HAI

KYUN KAR NA DO JAHAN ME TU SARFARAZ HO


AAI MEER TERE SATH HAWALA HASAN KA HAI
(Mir Hasan Mir Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 49


QASIDA IMAM HASSAN-E-MUJTABA (A.S)

DEEN-E-NABI KA TEESRA SARDAR HAI HASSAN


AUR WIRSA DAAR-E-AHMED-E-MUQTAR HAI HASSAN

JAAN-E-BATOOL-O-HYDER KARRAR HAI HASSAN


KHULD-E-BAREE’N KA MALIK-O-MUQTAR HAI HASSAN

NANA KE TU QADAM BA QADAM HAI ALI KE LAAL


GUFTAAR-E-MUSTAFA TERI GUFTAAR HAI HASSAN

AGHAAZ-E-DEEN HUWA HAI PAYAMBER KE KHALQ SE


AB SABR TERA DEEN KO DARKAR HAI HASSAN

PARWA NAHIN HAWA-E-MUQALIF AGAR CHALE


JAB DEEN-E-AHMEDI KA NIGEHBAAN HAI HASSAN

BAATIN ME TERI SULHA THI MANIND-E-ZULFEQAR


YEH KHUD MUAWIYA PE TERA WAAR HAI HASSAN

JIS KARWAN-E-SABR KE SALAAR THEY NABI


US KARWAN-E-SABR KA SALAAR HAI HASSAN

BOLI ZUBAAN-E-HAAL SE SULHE HUDAIBIYA


MISL-E-RASOOL SULHA KA MEYAR HAI HASSAN

KHABZE PE JISKE ZABT PAYAMBER KA HATH HAI


AISI NIYAM-E-SABR KI TALWAR HAI HASSAN

DUNIYA-O-AKHERAT ME HIMAYATH PE HO NAZAR


BANDA TERE KARAM KA TALABGAR HAI HASSAN
(Himayath Ali Sahab Marsia Khan r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 50


QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)
TERE NAAM SE ZINDA HAI

SHABBIR YE SUB DUNIYA TERE NAAM SE ZINDA HAI


YE DEEN MOHAMMAD KA TERE NAAM SE ZINDA HAI
ALLAH KA BHI KALMA TERE NAAM SE ZINDA HAI

PHAILI HAI ZAMANE ME TOUHEED KI TANWEEREI’N


GOONJI HAI TERE DUM SE KAUNAIN ME TAKBEEREI’N
HAQ TUJH SE HAI PAYINDA TERE NAAM SE ZINDA HAI

TAABEER-E-KHALEEL HAI TU AUR FAQR MASEEHA KA


TU WAARIS-E-AADAM HAI MOOSA KA TOH KEHNA KYA
JAB NAAM-E-SHAHE BATHA TERE NAAM SE ZINDA HAI

MINNI KI SANAD BAQSHI TUJHE SARWAR-E-AALAM NE


PHIR YE BHI KAHA MAI HOON SHABBIR TERE DAM SE
SHABBIR TERA NANA TERE NAAM SE ZINDA HAI

FITRUS TOH FARISHTA THA HUR KO BHI AMAA’N DI HAI


JAA’N IBN-E-MAZAHIR KO AUR DEEN KO BAQSHI HAI
YE DEEN-E-NABI HAQQA TERE NAAM SE ZINDA HAI

WA-AL FAJR ME TU SHAAMIL TATHEER ME TU SHAAMIL


KAUSAR KI MAWADDAT KI TAFSSER ME TU SHAAMIL
WA-AL ASR KA BHI SURAH TERE NAAM SE ZINDA HAI

AHD-E-NABAWI ALAVI DAUR-E-HASANI KE BAAD


ISLAM TANE BEJA EKSATT HIJRI KE BAAD
TERE NAAM SE ZINDA THA TERE NAAM SE ZINDA HAI

BAIYAT BHI NA KI TU NE SAR BHI NA JHUKA TERA


ZALIM KO KIYA RUSWA SARWAR NE SAR-E-NAIZA
QURAAN BHI AAI AAQA TERE NAAM SE ZINDA HAI

SHABBIR KA MARSIA KHWAN SHABBIR KA SHAYER BHI


PEHCHAAN YEHI HAI AB TERE SIBTE JAFFER KI
SADD SHUKR TERA BANDA TERE NAAM SE ZINDA HAI
(Sibte Jaffar Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 51


QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)
AAGAYA SHABAN KHUSHIYO’N KE ZAMANE AAGAYE
RONE WALE MEHFILO ME MUSKURANE AAGAYE

KAUN AAYA HAI ZAMEE’N PER BAN KE ZEENAT BAAP KI


PANJETAN KHUD SHOUQ SE JHULA JHULANE AAGAYE

PYAAS BACHPAN ME BHUJAKAR SHEH KI GHAZI NE KAHA


DEKHIYE BABA HUMEI’N WAADE NIBHAANE AAGAYE

DEKHIYE SIDRAH SE AAGE KE MANAZIR JIBRAEEL


FATIME ZEHRA KE GHAR CHAKKI CHALANE AAGAYE

SHIKWA QISMAT SE NA KARNA JOHN SE BOLE HUSSAIN


AB TO RAAZI HAI TUJHE HUM KHUD MANANE AAGAYE

QABR ME POHONCHA JO MOMIN AAYI BALEE’N SE SADA


AAI FARISHTO JAO KYUN ISKO JAGANE AAGAYE

MAI NE LIKHA THA FIDAK KI MILEKA TUJH KO SALAM


KHAAR ME KUCH LOG MERA GHAR JALANE AAGAYE

DEKH KER MANZAR NAJAF SE KARBALA TAK YUN LAGA


JAISE QAYAM KI HUKUMAT KE ZAMANE AAGAYE

IS JAHAA’N ME AAI TAKALLUM HUM FAQEER-E-BUTURAB


DUSHMAN-E-ZEHRA KO MITTI ME MILAANE AAGAYE
(Mir Takallum Sahab)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)


DARWAZA-E-HUSSAIN PE SAJDA KIYE BAGHAIR
BANTA NAHIN WALI KOI AISA KIYE BAGHAIR

DAFNANA MUJH KO JALD ALI HONGE MUNTAZIR


AAI LOGO INTEZAR KISI KA KIYE BAGHAIR

NAU LAKH SAR JHUKE HAI TABASSUM KE SAAMNE


ASGHER NE JUNG JEET LI HAMLA KIYE BAGHAIR

ABBAS WO JARI HAI JO MAIDAN-E-JUNG ME


LADTA HAI BAZUOU’N PE BHAROSA KIYE BAGHAIR

GHASIB FIDAK KA NAAK RAGADTA HI REH GAYA


JANNAT ME HUR CHALA GAYA TAUBA KIYE BAGHAIR
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 52


ASHOOR WALE DIN YE MUJHE MAA KA HUKM THA
GHAR ME NA AANA KHOON KA PURSA KIYE BAGHAIR

ALLAH KEH RAHA HAI TAWALLA NAHIN QUBOOL


ZEHRA KE DUSHMANO PE TABARRA KIYE BAGHAIR

QAYAM NA ZULFEQAR RAKHENGE NIYAAM ME


ABBAS KE KALEJE KO THANDA KIYE BAGHAIR

TAQLEED ME HOON MAI BHI ANEES-O-DABEER KI


SAJJAD SHAIR LIKHTA HOON CHARBA KIYE BAGHAIR
(Mir Sajjad Sahab)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

KYA ATA-E-KHUDRAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI


YEH HAMARI QISMAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

HUM NABI KE AASHIQ HAI HUM ALI KE DEEWANE


AUR HASSAN SE NISBAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

HUM SE FATIMA ZEHRA KAR CHUKI HAI EK WAADA


AB HAMARI JANNAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

APNE KHOO’N SE LIKHTE HAI APNI DAASTAN HUM KHUD


YE BHI EK ALAMAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

UN KI YAAD ME JEENA UN PE JAAN DE DENA


YE HAMARI AADAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

YA ALI KI MIDHAT HAI YA HUSSAIN KA MATAM


HAR NAFAS IBADAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

UNKE GHAM ME RO DENA AUR KHUSHI ME KHUSH HONA


YE HAMARI FITRAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

HUM BATATE DUNIYA KO HUM SE POOCHTI DUNIYA


GHAM ME KITNI LAZZAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI

CHAHE HUM JAHAN BHI HO KARBALA HI ME AZMI


MUSTAQIL SUKUNAT HAI HUM HUSSAIN WALE HAI
(Rahath Azmi Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 53


QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

MOHSIN-E-UMMAT SHAFIH-E-AASIYA PAIDA HUWA


FATIMA KA DOOSRA AARAM-E-JAA’N PAIDA HUWA

DEEN-E-HAQ KO KARDIYA PUR NOOR JISNE MISLE MEHR


MUSTAFA KA WO CHARAGH-E-KHANDA’N PAIDA HUWA

HOOR-O-GHULMA’N KEHTE HAI BAHAM BASAD AISH-O-SUROOR


AAJ SARDAR-E-JAWANAN-E-JINA’N PAIDA HUWA

FATIMA KI JAAN MEHBOOB-E-HABEEB-E-KIBRIA


ASHIQ-O-MAQBOOL KHALLAQ-E-JAHA’N PAIDA HUWA

KYU NA HO MUSHKIL KUSHA KA LAQT-E-DIL MUSHKIL KUSHA


JO KE MUSHKIL ME PUKARA YE WAHA’N PAIDA HUWA

JIS KE NAAM-E-PAAK SE HOTI HAI TASKEEN QALB KO


GHAMZADO KA WO MOEE’N ROOH-E-RAWAA’N PAIDA HUWA

JIS KE DARWAZE PE SHAHAN-E-JAHA’N RAKHTE HAI SAR


AAJ WO SHAHINSHAHE ARSH AASTA’N PAIDA HUWA

NAAZ UTHATA THA SADA JIS NAZNEE’N KE BE NIYAZ


WO SAWAR-E-DOSH-E- KHATM-E-MURSALAA’N PAIDA HUWA

HAI ZAHOOR AAJ INKA KAL ABBAS KYUN PAIDA NA HO


SHAMMA JAB ROSHAN HUWI PARWANA WAA’N PAIDA HUWA

MEHR-E-MADAR DEHR ME MASHOOR HAI DANISH MAGAR


LAAKH MAA’IN SADQE YE WO MEHRBAAN PAIDA HUWA
(Mumtaz Danish Sahab)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

MOMINO KA NAARA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS


QALB KI TAMANNA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

ISKI GOONJ ME SHAAMIL HAI MAHEK IBADAT KI


MOUTABAR WAZIFA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

NAAM DO HAI YE LEKIN KAAM IN KE HAI EKSA’N


MUSHTARIK QASEEDA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 54


DO SAHIFE HAI EK JAA’N SABR AUR WAFA’O KE
PYAAS KA MUSALLA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

AHMED-O-ALI ZEHRA AUR HASSAN KA NOOR IN ME


PANJETAN KA TUGHRA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

PADHTE JAIYE HAR DUM IN KE NAAM KI TASBEEH


HAAN DUA-E-ZEHRA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

DHOOM HAI ZAMANE ME AAJ INKE AANE KI


ZARRA ZARRA KEHTA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

MURTUZA-O-ZEHRA KE INN HASEEN BETOU’N KA


NAAM KITNA PYARA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

MATAMI HAI HUM INKE HUM HAI INKE PARWANE


LUB PE APNE REHTA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

POOCHTA HAI JAB KOI KISNE ZINDAGI DI HAI


DIL DHADAK KE KEHTA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

MERI SIMT DEKHE TOH DEHR KI KOI MUSHKIL


CHASHM-E-NAM PE LIKHA HAI YA HUSAIN YA ABBAS

SAB SE PEHLE HOTI HAI BAS WO HI DUA MAQBOOL


MOHTARAM WASEELA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

KARBALA POHONCH JAYE HAZIREEN-E-MEHFIL SUB


DIL TADAP KE KEHTA HAI YA HUSSAIN YA ABBAS

AAI RASHEED EK PAL ME KHATM KARLE DO QURAAN


MUQTASAR SA SURA’H HAI YA HUSSAIN YA ABBAS
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

HAI JASHN-E-VILADAT ME JOSH-E-MASARRAT


HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI
AB ISLAM MEHFOOZ HAI TA QAYAMAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

HAI CHEHRE SE HIMMAT KE TEWAR NUMAYA’N


NA KYUN KAR HO KUFE KI DEEWAR LARZAA’N
KE AB DIL ME LEKAR ALI KI SHUJAAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

MAREFAT KE PHOOL Page 55


NA KYU KAR HO QURBAAN DAUR-E-ZAMANI
FIDA HO RAHI HAI IRAM KI JAWANI
MILA TUJH KO SARDAR AAI BAGHE JANNAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

NA HO KISTARHA SHOR SALLE ALAA KA


HAR EK SIMT HOTA HAI GHUL MARHABA KA
NA KYU KAR HO MEHFIL ME AB JOSH-E-MIDHAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

FALAK SE SADA GHAAIB KI AARAHI HAI


KE HAQQANIYAT AB MUJASSAM HUWI HAI
MASARRAT SE UBHRI HAI MOHR-E-NABUWAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

INHI KI KAHANI ZAMANA KAHEGA


BAS AB HASHR TAK NAAM INKA RAHEGA
KARENGE YE DUNIYA KE DIL PER HUKUMAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

JAHANNUM ME SOTA RAHEGA JO SHAB BHAR


SEHER KO WO JAGEGA JANNAT ME AAKAR
BADAL DENGE EK ROZ YE HUR KI QISMAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI

VILADAT KA BAQER ASAR HAI MUQARRAR


MILENGE FARISHTE KO PARWAZ KE PAR
NA KYUN KAR KO FITRUS KO JOSH-E-MASARRAT
HUSSAIN AARAHE HAI HUSSAIN AARAHE HAI
(Baqer Amanat Khani Sahab r.a)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

KARE JASHN YE HAQ-E-TAALA MUBARAK


RASOOL-E-KHUDA KO NAWASA MUBARAK

KARO DOSTO ARZ SALWAT PADH KAR


PISAR CHAAND SA TUM KO MOULA MUBARAK

NABI SE YE RUL-UL-AMEE’N KE RAHE HAI


YE FARZAND AAI SHAH-E-BATHA MUBARAK

SADI DE RAHI HAI YE BARQE TAJALLI


YE NOOR-E-NAZAR SHAH-E-WALA MUBARAK
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 56


MUBARAK HO JIBREEL JHOOLA JULANA
TUJHE ARSH YE GOUSH WARA MUBARAK

PAYAMBER SE KEHTE HAI ASHAB-O-YAWAR


MUBARAK MUBARAK HO SHAHA MUBARAK

KHUSHI KA YE MOUQA HAI KAR ARZ FAAZIL


MOHAMMED KI BETI KO BETA MUBARAK
(Faazil Moosvi Sahab r.a)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

HAQ FASANA MERE HUSSAIN KA HAI


SABNE MAANA MERE HUSSAIN KA HAI

GHAR KHUDA KA MERE HUSSAIN KA HAI


RAB-E-KAABA MERE HUSSAIN KA HAI

JIS KO KEHTE HAI BAGH-E-JANNAT WOH


AASTANA MERE HUSSAIN KA HAI

ILM-O-HIKMAT KA DEEN-O-IMAAN KA
HAR KHAZANA MERE HUSSAIN KA HAI

TOOL SAJDE KO DE RAHE HAI NABI


MARTABA KYA MERE HUSSAIN KA HAI

BAS WOHI EK SHAQS HAI HOSHIYAAR


JO DEEWANA MERE HUSSAIN KA HAI

KALMA-E-LA ILAHA ILLALLAH


YE TARANA MERE HUSSAIN KA HAI

SAARE LASHKAR KO KARDE JO KHAMOSH


WO ISHAARA MERE HUSSAIN KA HAI

HASHR KI DHOOP ME SHIFAAT KA


SHAMIYANA MERE HUSSAIN KA HAI

MERE GHAR MAJLIS-E-AZA KI QASAM


AANA JAANA MERE HUSSAIN KA HAI

DEEN PALTA HAI JISME AAI SAHIL


WO GHARANA MERE HUSSAIN KA HAI
(Alamdar Sahil Sahab)

MAREFAT KE PHOOL Page 57


QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)

JASHN-E-HUSSAIN KIJIYE MEHFIL SAJAIYE


LIJIYE DUA’E FATIMA KHUSHIYA’N MANAIYE

PAIDA HUWE HUSSAIN MUNAWWAR HAI KAYENAT


ISS ROSHNI ME APNA MUQADDAR JAGAIYE

BAS YUN BASAR HO AAJ IBADAT ME SAARI RAAT


MAZLOOM-E-KARBALA KE FAZAIL SUNAIYE

ISKA SHARAF TILAWAT-E-QURAAN SE KAM NAHI


SHABBIR KA QASEEDA JAHAA’N KO SUNAIYE

PADH LI JIYE NAMAZ-E-VILA-E-HUSSAIN PHIR


PESHANI APNI KHAAK-E-SHIFA PER JHUKAIYE

JO MAANGNA HAI MANGAIYE DENGE HUSSAIN AAJ


ISS DAR SE AB TALAB SE SIWA LEKE JAAIYE

MUSHKIL KUSHA BHI AYENGE YAA’N FATIMA KE SATH


AB EHTERAM-E-QALB SE ANKHEI’N BICHAIYE

HAI APKA RASHEED BOHOT MUZTARIB HUSSAIN


DIJIYE SAHARA BEHR-E-SAKINA AB AAIYE
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA IMAM HUSSAIN (A.S)


MADHE SHABBIR ME JAB UTHAYA QALAM KYA BATAU’N KE KYA KYA MILA DOSTO
BANGAYA LAFZ-E-NAJH-UL-BALAGAT KOI KOI QURAAN SE JAA MILA DOSTO

AAJ HAR CHASM ME NAMM ME YE TEHREER HAI QASR-E-DIL ME BAPA JASHN-E-SHABBIR HAI
APNI PALKAOU’N PE ASHKOU’N KI SHAMMA LIYE HAR KOI MUSKURATA MILA DOSTO

GAR TEHER JAATA SHABBIR KA QAFILA KAABE KI KHAAK HOJATI KHAAK-E-SHIFA


KHAAK-E-KARBOBALA KI YE TAQDEER THI KARBALA KO YE RUTBA MILA DOSTO

BEHR-E-SAJDA JHUKAYA THA JO KHAAK PER APNI MARZI SE PHIR NA UTHAYA WO SAR
WO JO JAARI RAHEGA QAYAMAT TALAK KYA KOI AISA SAJDA MILA DOSTO

NAAM LIKHA JO KAGAZ PER ABBAS KA NAQSH UBHAR NE LAGA SABR KA PYAAS KA
KAR KE DARYA PE KHABZA JO PYAASA RAHA EK AISA BHI SAQQA MILA DOSTO

TUM JO KEHTE RAHE YA KHUDA YA KHUDA HUM BHI KEHTE RAHE YA ALI MURTUZA
TUMKO KAABA MILA SIRF KAABA MILA HUM KO MOULOOD-E-KAABA MILA DOSTO

MAREFAT KE PHOOL Page 58


HUM GUNAHGAR HAI HUM QATA WAAR HAI PER SHAH-E-KARBALA KE AZADAR HAI
JIN KE SADQE ME FITRUS KO PAR MILGAYE HUR KO RUMAAL-E-ZEHRA MILA DOSTO

WO JO EHSAN WAFA’O KA SARDAR HAI HATH KATWA KE BHI JO ALAMDAR HAI


ISKI CHOKHAT PE JAB BHI JHUKAYA HAI SAR YE NA POOCHO KE KYA KYA MILA DOSTO
(Hasan Abbas Ehsan Sahab)

QASIDA IMAM ZAIN-UL-ABIDEEN (A.S)

HUSSAIN-E-JARI KO YE DILBAR MUBARAK


MUBARAK MUBARAK KO SARWAR MUBARAK

MUBARAK SHABIH-E-ALI YE PISAR HAI


MUBARAK KO MOULA YE DILBAR MUBARAK

YE ABID HAI ZAHID SAQI AUR SABER


HAI MAZLOOM BEKAS YE REHBAR MUBARAK

HUWE AAJ SAJJAD-E-MUZTAR TAWALLUD


HUWA GHAR ALI KA MUNAWWAR MUBARAK

MUBARAK MUBARAK HO ZEHRA-O-HYDER


TUMHEI’N AAJ DILBAR KA DILBAR MUBARAK

QAYAMAT ME BAQSHWAANE WALA TUMHARA


AB AAYA GHULAMAN-E-HYDER MUBARAK

YE NAYAB TUMHARA HAI MOULA HAMARA


YE CHAUTHA KHALIFA PAYAMBER MUBARAK

HUWE AAJ PAIDA IMAM-E-CHAHARRUM


TUMHEI’N AAJ SHIYO YE REHBAR MUBARAK

HUWA NOOR-E-ABID SE ROSHAN ZAMANA


HUWA KHANA-E-DIL MUNAWWAR MUBARAK

ALI NAAM IN KA HAI ABID LAQAB HAI


YE FARZAND-E-KHUSH RU-O-KHUSH TAR MUBARAK

MAQASID BAR AAYE MATALIB BAR AAYE


KARE JASHN SAB KO YE DAAWAR MUBARAK

PADHO AAJ SALWAT KHAMOOSH KYUN HO


KAHO AAJ MOULA YE DILBAR MUBARAK
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 59


KHUDA KA WALI AAJ PAIDA HUWA HAI
KARO ARZ MOULA SE YAWAR MUBARAK
(Yawar Sahab)

QASIDA IMAM ZAIN-UL-ABIDEEN (A.S)

AAJ SHAH-E-KARBALA KA DILRUBA PAIDA HUWA


MALIK-E-HAR DO SARA ZAIN-UL-ABA PAIDA HUWA

MUTTAQI ZAHID NAMAZI SABIR-O-ABID SAQI


YAADGAR-E-MUSTAFA-O-MURTUZA PAIDA HUWA

MUSTAFA HAI SHAAD AUR HYDER BOHOT KHUSH HAAL HAI


AAJ CHAUTHA JANASHEEN-E-MUSTAFA PAIDA HUWA

SHAAD HAI HOOR-O-MALAK MASROOR HAI KHAIR-UL-NISA


AAJ POUTA FATIMA KA CHAND SA PAIDA HUWA

SHOR HAI SALWAT KA GHUL HAI MUBARAK BAAD KA


NOOR-E-CHASME MUSTAFA SALLE ALA PAIDA HUWA

UMMAT-E-AASI KA BEDA PAAR KARNE KE LIYE


AAJ FARZAND-E-SHAH-E-KARBOBALA PAIDA HUWA

ZAINAB-O-KULSOOM KHUSH HAI SHEHER BANO SHAAD HAI


AAJ PEHLA DILRUBA SHABBIR KA PAIDA HUWA

HAZREEN-E-BAZM KA BAR AAYE YARAB MUD’DUA


SADQA USS MOULOOD KA JO MAILAQA PAIDA HUWA

LE SILE ME ISKE JANNAT AUR LE KAUSAR KA JAAM


AAI HUSSAINI DILBAR-E-SHAIR-E-KHUDA PAIDA HUWA
(Hussaini)

QASIDA IMAM ZAIN-UL-ABIDEEN (A.S)

HAI MOMINO KI EID FIZAA RASHK-E-TOOR HAI


SAJJAD-E-ZEWEQAR KA JASHN-E-ZAHOOR HAI

SHARMA KE MUNH CHUPANE LAGA AASMA’N KA CHAAND


SHABBIR TERE CHAAND KA KUCH AISA NOOR HAI

SAJJAD KI SANA KI JO MEHFIL SAJI YAHAN


ISS WAASTE BHI GHAR KI FAZAO’N ME NOOR HAI
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 60


ABID KA NAAM LIJIYE MILJAYEGA SUKOON
DUNIYA KE RANJ-O-GHAM SE JO DIL CHOOR CHOOR HAI

SYYED HAI SAJIDEEN KA AUR ZAIN-UL-ABIDEEN


KHAAK-E-SHIFA ME IS KE HI SAJDOU’N KA NOOR HAI

AAYE HAI ARSH WALE BHI ISS BAZM-E-NOOR ME


MAQMOOR HAI FIZAEI’N HAWAA ME SUROOR HAI

HUM KO KARENGE JAAM ATA PANCH PANJETAN


CHAUTHE IMAM-E-PAAK KA JASHN-E-ZAHOOR HAI

SHABBIR KA PISAR HAI YE PAUTA ALI KA HAI


ISS DAR KO JO FAQEER HAI WO BA SHAOOR HAI

ZAIN-UL-ABA KA SADQA HUMEI’N KIJIYE ATA


SAB KI DUA HUSSAIN YE TERE HUZOOR HAI

MOUJOOD PANJETAN HAI YAQENAN YAHA’N RASHEED


SARWAR KE NOOR-E-AIN KA JASHN-E-ZAHOOR HAI
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA HAZRAT IMAM MOHAMMED BAQAR (A.S)

MUSHDABAD AAI DIL IMAM-E-PANJUMEE’N PAIDA HUWA


KHALQ ME FARZAND-E-ZAIL-UL-ABIDEE’N PAIDA HUWA

SHOR HAI MUSHKIL KUSHA KA JANASHEEN PAIDA HUWA


WARIS-E-MIRAAS-E-KHATM-UL-MURSALEEN PAIDA HUWA

ZEENAT-E-KASHANA-E-KHULD-E-BAREE’N PAIDA HUWA


NAAZ KARTA HAI MAKAA’N AISA MAKEE’N PAIDA HUWA

GULSHAN-E-JANNAT KI AATI HAI HAWAI’N NAAZ SE


SAR-O-QAMAT GUL’EZAAR-E-NAAZNEE’N PAIDA HUWA

JASHN-E-FARHAT KAR RAHE HAI APNE APNE RANG SE


SHAAD HAI AALAM IMAM-E-ALAMEE’N PAIDA HUWA

INS-O-JINN HOOR-O-MALAK YE SAB KE SAB HAAZIR HAI AAJ


KHUSRAWE KAUN-O-MAKAN SULTAN-E-DEEN PAIDA HUWA

HALQA-E-AALAM ME AB KUCH KAUF IMAAN KO NAHIN


DEEN NAAJI HOGAYA AISA AMEE’N PAIDA HUWA
(Hazrat Naaji R.a)

MAREFAT KE PHOOL Page 61


QASIDA HAZRAT IMAM MOHAMMED BAQAR (A.S)

AAJ NAYEB SYYED-E-SAJJAD KA PAIDA HUWA


HAZRAT-E-BAQAR SHAH-E-HAR DO SARA PAIDA HUWA

KHULD ME HAI SHAAD BEHADD AHMED-E-MUQTAR AAJ


PANCHWAA’N MASNAD NASHEEN-E-MUSTAFA PAIDA HUWA

DE RAHE HAI TEHNIYAT SAB HAZRAT-E-SHABBIR KO


AAJ POUTA CHAAND SA SHABBIR KA PAIDA HUWA

ZAINAB-O-KULSOOM KHUSH HAI SHAAD HAI ABBAS BHI


AAJ FAZL-E-HAQ SE POUTA CHAAND SA PAIDA HUWA

SABR SE ISS SHAH-E-DEEN KE BAN GAYA UMMAT KA KAAM


NASIR-E-DEE’N FIDIYA-E-RAH-E-KHUDA PAIDA HUWA

UMMAT-E-AASI KI BIGDI AAI HUSSAINI BANGAYI


PANCHWA REHBAR BA FAZL-E-KIBRIYA PAIDA HUWA
(Hussaini)

QASIDA HAZRAT IMAM JAFFER-E-SADIQ (A.S)

BAQAR KE GHAR ME PHAILI MASARRAT KI ROSHNI


HAI DO JAHAAN ME HAQ-O-SADAQAT KI ROSHNI

HAAN YE IMAM-E-JAFFER-E-SADIQ KA NOOR HAI


JAYEGI TAABA ARSH SADAQAT KI ROSHNI

BAQAR KA LAAL AAYA HAI PADHTE RAHO DUROOD


PHAILAO CHAARSO YE IBADAT KI ROSHNI

MARBOOT PANJETAN SE HAI PHAILEGI HASHR TAK


SADIQ KA NOOR YAANI IMAMAT KI ROSHNI

HUM MANQABAT SUNATE HAI BAQER KE LAAL KI


BAZM-E-VILA ME PHAILI HAI JANNAT KI ROSHNI

PHAILAYENGE ZAMANE ME HUM ISKO HAR TARAF


SADIQ KA HAI PAYAM MOHABBAT KI ROSHNI

HUM PANCHWE IMAM KO DETE HAI TEHNIYAT


KARLENGE WO QUBOOL AQEEDAT KI ROSHNI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 62


SAJJAD KA HAI POUTA YE BAQER KA NOOR-E-AIN
BANTEGA YE BHI ILM KI DAULAT KI ROSHNI

POHONCHADO HUMKO SHEHR-E-MADINA MERE IMAM


ANKHOU’N PE SAB KI RAKHDO ZIYARAT KI ROSHNI

KARLEIN QUBOOL IMAM ISSE HAI DUA RASHEED


LAFZOU’N KI SHAKL ME HAI AQEEDAT KI ROSHNI
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA HAZRAT IMAM JAFFER-E-SADIQ (A.S)

AAJ NAYEB BAQER-E-ZEEJAA’H KA PAIDA HUWA


JAFFER-E-SADIQ SHAHE HAR DO SARA PAIDA HUWA

DE RAHE HAI TEHNIYAT SAB SAYYED-E-SAJJAD KO


AAJ POUTA CHAAND SA SAJJAD KA PAIDA HUWA

MUSTAFA HAI SHAAD AUR HYDER BOHOT MASROOR HAI


PANCHWAAN MASNAD NASHEEN-E-MURTAZA PAIDA HUWA

SHAAD HAI MADAR PIDAR CHEHRA PISAR KA DEKH KER


KEHTE HAI KYA MEILAQA SALLE ALAA PAIDA HUWA

JISKE NOOR-E-PAAK SE PURNOOR HAI SAARA JAHAAN


AAJ WO AALAM ME NOOR-E-KIBRIYA PAIDA HUWA

SHOR HAI SALWAT KA GHUL HAI MUBARAK BAAD KA


MOMINO KA KHALQ ME HAJAT RAWA PAIDA HUWA

HAJATEI’N BAR LA ILAAHI MOMINO KI JALD TAR


SADQA USS MOULOOD KA JO MEILAQA PAIDA HUWA

PANJETAN HAI SHAAD AUR HYDER BOHOT MASROOR HAI


HAZRAT-E-BAQER KO BETA CHAAND SA PAIDA HUWA

SABR SE ISS SHAH-E-DEEN KE BANGAYA UMMAT KA KAAM


AAI HUSSAINI AAJ HAAMI KHALQ KA PAIDA HUWA
(Hussaini)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 63


QASIDA HAZRAT IMAM MOOSI-E-KAZIM (A.S)

AAJ SADIQ KA JAHAN ME JANASHEEN PAIDA HUWA


MOOSI-E-KAZIM SHAHE DUNIYA-O-DEEN PAIDA HUWA

PANJETAN HAI SHAAD AUR MASROOR HAI HOOR-O-MALAK


MUSTAFA KA SATHWAA’N MASNAD NASHEEN PAIDA HUWA

HAZRAT-E-SADIQ HAI KHUSH MADAR HAI BETE PER NISAR


KHUSH HAI BAQAR AAJ POUTA MAI JABEEN PAIDA HUWA

SHOR HAI SALWAT KA GHUL HAI MUBARAK BAAD KA


HAZRAT-E-SADIQ KA FARZAND-E-HASEEN PAIDA HUWA

SABR SE ISS SHAH-E-DEEN KE BANGAYA UMMAT KA KAAM


SAANI-E-ZAIN-UL-ABA SULTAN-E-DEEN PAIDA HUWA

HAJATEI’N BAR LA ILAAHI MOMINO KI JALD TAR


SADQA USS MOULOOD KA JO MEIJABEEN PAIDA HUWA

AAI HUSSAINI HO GAYA HAI NOOR SE ROSHAN JAHAAN


SADIQ-E-ZEEJAA’H KA MEHR-E-MUBEEN PAIDA HUWA
(Hussaini)

QASIDA HAZRAT IMAM MOOSI-E-KAZIM (A.S)

BANDAGI KO SAARE SAJDO KA SILAA MIL JAYEGA


MIL GAYE KAZIM JISSE US KO KHUDA MIL JAYEGA

NARA-E-YA MOOSI-E-KAZIM LAGA KAR DEKHIYE


SATWEE’N MANZIL PE BHI MUSHKIL KUSHA MIL JAYEGA

SHAFA-E-MEHSHER HUMEIN JANNAT ME LEKAR JAYENGE


MOOSI-E-KAZIM KI MIDHAT KA SILAA MIL JAYEGA

WAASTA DEKAR HUSSAIN IBN-E-ALI KA MOMINO


MOOSI-E-KAZIM SE MAANGO MUD’DUA MIL JAYEGA

HUM GHULAMAN-E-ALI KO KHAUF MEHSHAR KA NAHIN


BILYAQEEN MEHSHAR ME HUM KO RAASTA MIL JAYEGA

NAAM SE KAZIM KE MUSHKIL HOTI HAI AASA’N HAR EK


TUJH KO BHI MUSHKIL ME SAHIL AASRA MIL JAYEGA
(Alamdar Sahil Sahab)
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 64


QASIDA HAZRAT IMAM MOOSIYE RAZA (A.S)

HO MUBARAK KHALQ KA HAAJAT RAWA PAIDA HUWA


MOMINO KA AATHWA YE REHNUMA PAIDA HUWA

NOOR SE SAARA JAHAN ROSHAN HUWA TA AASMAN


AAJ DUNIYA ME WO NOOR-E-KIBRIYA PAIDA HUWA

KYUN NA KHUSH HO MOMINEEN HAI AAJ JASHN-E-SHAHE DEEN


MOOSI-E-KAZIM KA AB YE MEILAQA PAIDA HUWA

KYA HAQEEQAT HUSN-E-YOUSUF KI BHALA PAISH-E-RAZA


NOOR-E-HAQ SHAHE HUDA YOUSUF LAQA PAIDA HUWA

HAATIF-E-GHAIBI NIDA DETA HUWA PHIRTA HAI YUN


SHAAD HO SAB MOMINEEN HAJAT RAWA PAIDA HUWA

AB HUWE PAIDA JANAB-E-HAZRATE MOOSA RAZA


SHOR EK SALLE ALA KA JA’BAJA PAIDA HUWA

NOOR SE SAARA JAHAN AB EK BA EK ROSHAN HUWA


JIS GHADI YE MAAH-E-NAU NOOR-E-KHUDA PAIDA HUWA

HAJATEI’N SHIYO KI BAR LAAYE KHUDA AB JALD TAR


USS KE SADQE ME JO SHAHE DO SARA PAIDA HUWA

KYA JAHANNUM KA TUJHE DAR AAI NASEEB-E-KHUSH NASEEB


AAJ BALAAYE ZAMEEN MOULA TERA PAIDA HUWA

QASIDA HAZRAT IMAM MOOSIYE RAZA (A.S)

AATHWE PESHWA SHAH-E-HAR DO SARA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA


NAYEB-E-MURTUZA SUB KE HAAJAT RAWA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

KYA MUBARAK MAHINA HAI ZEEQAD KA JISME PAIDA HUWE HAI IMAM-E-RAZA
HAI KHUSHI MOMINO ME YE SUBH-O-MASAA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

NOOR SE AAP KE AAI SHAHE DO JAHAN HOGAYE HAI MUNAWAR YE KAUN-O-MAKAA’N


WAJHE RAB NOOR-E-HAQ NOOR-E-KHAIR UL WARA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

NOOR-E-AWWAL SE HAI SILSILA AAPKA KITNA AALI HASAB AUR NASAB APKA
KAISE MIDHAT BAYAA’N HOGI MUJH SE BHALA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

KHALQ KE AAP HI HAI JO HAAJAT RAWA TERE DAR PE SAWALI HAI SHAH-O-GADA
MALIK-E-DO JAHAA’N MAZHER-E-KIBRIYA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

MAREFAT KE PHOOL Page 65


HAI ZAMANAT ME MOULA YE SUB MOMINEEN UQDE POORE KARO YA IMAM-E-MUBEEN
HO SHIFAAT HAMARI BHI ROZ-E-JAZAA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

BAS YEHI ILTEJA HAI IMAM-E-GHAREEB PHIR SE MOULA HO HUM KO ZIYARAT NASEEB
JALD MUJH KO MILEY YE MERA MUD’DUA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA

HAI GHULAMO ME MOULA YE SHABBIR BHI HO NASEEB AAP KA ISKO DEEDAR BHI
USKI TURBAT ME HO AAP KI BHI ZIYA YA IMAM-E-RAZA YA IMAM-E-RAZA
(Shabbir Marsis Khan r.a)

QASIDA HAZRAT IMAM MOOSIYE RAZA (A.S)

SULTAN-E-KHURASAA’N KA ZAHOOR AAJ HUWA HAI


MAI KHANA-E-MIDHAT PER HUJOOM-E-SHO’ORA HAI

KYA TU NE BHI WAYEZ KABHI MEHSOOS KIYA HAI


HAR AYAT-E-QURAAN SANAA KHWAN-E-RAZA HAI

JO NAQSH CHAMAKTA NAZAR AATA HAI QAMAR ME


WO NAQSH SHAH-E-TOOS KA NAQSH-E-KAFE PAA HAI

UQDA KOI DAR PESH HO TUM US KO PUKARO


HAMNAM-E-ALI MISL-E-ALI UQDA KUSHA HAI

HAI ZIKR-E-RAZA NOOR WO TA HASHR RAHEGA


DUNIYA ME KAHI’N NOOR BHI PHOOKOU’N SE BHUJA HAI

ROUZA HAI SHAH-E-DEEN KA BOHOT DOOR WATAN SE


IS TARHA LAQAB UNKA GHAREEB-UL-GHURABA HAI

KARTA HAI JO RADD EK HAZAAR EK BALAIE’N


WO EK LAQAB SHAH-E-KHURASAA’N KA RAZA HAI

HAAMI YE AQEEDA NAHI’N AAYAT KI HAI TAFSEER


JO HUKM-E-SHAHE TOOS HAI WO HUKM-E-KHUDA HAI
(Ibrahim Ali Haami Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 66


QASIDA HAZRAT IMAM MOOSIYE RAZA (A.S)

HAR GHAR ME JASHN AAJ IMAM-E-RAZA KA HAI


DUNIYA ME ROZ-EID YE AHL-E-VILA KA HAI

MEHFIL ME SHOR CHAARSO SALLE ALA KA HAI


SHOHRA JAHAA’N ME AAJ IMAM-E-RAZA KA HAI

MUJH PER FAQAT YE LUTF O KARAM KIBRIYA KA HAI


JAZBA JO MERE DIL ME RAZA KI SANAA KA HAI

BAAZO PE BANDHI JAATI HAI JO INKI ZAMINI


NUSQA HAMARE PAAS YE RADD-E-BALA KA HAI

LARAIB HAI WO GULSHAN-E-JANNAT KA MUSTAHIQ


MADDAH JO JAHAA’N ME ALI-E-RAZA KA HAI

KYA POOCHTE HO HAAL ATA SHAH-E-TOOS KA


ROZ-E-AZAL SE SILSILA JAARI ATA KA HAI

HUSN-E-AMAL ME MERE JO TASEER KHAAS HAI


MUJH PER YE LUTF-E-KHAAS IMAM-E-RAZA KA HAI

DEKHA DAR-E-JINAA’N PE TO RIZWAAN NE KAHA


DILDAAR MADHA KHWAN YE IMAM-E-RAZA KA HAI
(Moulana Dildar Hussain Sahab)

QASIDA HAZRAT IMAM MOHD TAQI (A.S)

MUSHDA BAAD AAI DIL TAQI-E-MUQTEDA PAIDA HUWA


HO MUBARAK YE NAWAA MUSHKIL KUSHA PAIDA HUWA

ZAHID-O-ABID IMAM-O-REHNUMA PAIDA HUWA


MUTTAQI HAI SHAAD SHAH-E-ATQIYA PAIDA HUWA

ISM-E-VALA HAI MOHAMMAD AUR LAQAB INKA TAQI


ISLIYE NAZAA’N HAI TAQWA MUQTEDA PAIDA HUWA

EID BHI NOUROZ KI AB HOGAYI SHEH PER NISAR


DUS RAJAB KO YE NAWAA JAB REHNUMA PAIDA HUWA

GHYRAWAA’N MASOOM HAI YE HAAN IMAM APNA NAWAA


QAMIS-E-AALE ABA SE YE CHATA PAIDA HUWA

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 67


AATH IMAMO KI YE JAA’N HAI KHUD NAWAA MASOOM HAI
HAI RAZA KHUSH KHUSH KE MERA DILRUBA PAIDA HUWA

JAB HUWE PAIDA TAQI TO GHUL YE HAR SU HOGAYA


AB NUSAIRI KE KHUDA KA MEILAQA PAIDA HUWA

AAJ HAR GHAR SE MADINE KE YE AATI HAI SADA


SHUKR HAI MUSHKIL KUSHA HAAJAT RAWA PAIDA HUWA

TERE SADQE AAI MUKARRAM MAAH AAI MAH-E-RAJAB


TUJH ME HAR EK MUQTEDA HAAJAT RAWA PAIDA HUWA

HAZIREEN-O-BAANI-E-MEHFIL KO YARAB SHAAD RAKH


ISKA SADQA AAJ JO HAAJAT RAWA PAIDA HUWA

MISL APNE JADD KE HAI BAB-UL-HAWAIJ AAP BHI


SHUKR KAR YAWAR TERA HAAJAT RAWA PAIDA HUWA
(Yawar Sahab)

QASIDA HAZRAT IMAM MOHD TAQI (A.S)

MOHD TAQI KI VILADAT HUWI HAI


YE SHIYO PE HAQ KI INAYAT HUWI HAI

WO TASHREEF LAATE HAI ROOH-E-DO ALAM


KE JINKE TASADDUQ ME KHILQAT HUWI HAI

YE MASNAD NASHEEN HAI NAWEY MUSTAFA KE


TAMAM INN PE ISMAT TAHARAT HUWI HAI

RAJAB KI THI DUS AUR WAQT-E-SEHER THA


KHUDA KI JO NAAZIL YE REHMAT HUWI HAI

MADINA HAI MAAMOOR NOOR-E-KHUDA SE


HUWAIDA JO KHALIQ KI HUJJAT HUWI HAI

INHI SE HAI QAYAM PAYAM-E-MOHAMMAD


INHI SE TO JAARI SHARIYAT HUWI HAI

BADA FAZL HAI YE LATEEF TUM PE HAQ KA


JO YUN MANQEBAT KI HIDAYAT HUWI HAI
(Lateef Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 68


QASIDA HAZRAT IMAM ALI UL NAQI (A.S)

HO MUBARAK SHAFAAI ROZ-E-JAZA PAIDA HUWA


AAJ DASWAA NAYEB-E-KHAIR-UL-WARA PAIDA HUWA

ITRATH-E-ATHAAR KA CHAUTHA ALI AALI MUQAAM


HUM SHARAF YE HYDER-E-KARRAR KA PAIDA HUWA

HAI NAQI’ HADI’ WALI JIN KE LAQAB WO SHAH-E-DEEN


JANASHEEN-E-MURTUZA SALLE ALA PAIDA HUWA

HAI MOHAMMAD DEKH KAR ROYE PISAR SHADAA’N BOHOT


HUBAHU JO HUMSHABIHE MURTUZA PAIDA HUWA

KYA FAZEELAT HO BAYAAN DASWEY IMAM-E-PAAK KI


MISL-E-JADD BADR-UL-DUJA SHAMS-UL-ZUHA PAIDA HUWA

HUKMURAAN-E-DO JAHAAN FARMA RAWA-E-SAMERA


TAJDAAR-E-DEEN IMAM-E-DO JAHAN PAIDA HUWA

KAR LATEEF-E-BE NAWA WIRD-E-ZUBAAN SHUKR-E-KHUDA


FAZL-E-KHALIQ SE HAMARA PESHWA PAIDA HUWA
(Lateef Sahab)

QASIDA HAZRAT IMAM HASAN ASKARI (A.S)

AAJ AALAM ME NAQI KA JANASHEEN PAIDA HUWA


MUSTAFA KA GHYARWA MASNAD NASHEEN PAIDA HUWA

HOGAYA ROSHAN NAQI KE CHAAND SE SAARA JAHAA’N


HAI TAQI MASROOR POUTA MEIJABEEN PAIDA HUWA

SHOR HAI SALWAAT KA GHUL HAI MUBARAK BAAD KA


KHUSH HAI MAA AUR BAAP FARZAND-E-HASEEN PAIDA HUWA

KHULD ME MASROOR HAI ROOH-E-ALI-O-FATIMA


MURTUZA KA AAJ DASWAA JANASHEEN PAIDA HUWA

JISKA BETA HAZRAT-E-EISA KA HOGA PESHWAA


WO FALAK QADR AAJ BAALAYE ZAMEEN PAIDA HUWA

UMMAT-E-AASI KO TUFAAN KA NAHIN BILKUL QATAR


LANGAR-E-KASHTI-E-AFLAAK-O-ZAMEEN PAIDA HUWA

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 69


TEHERWEEY MASOOM KI MILAD KA HAI JASHN AAJ
SHAAD HAI SUB MOMINEEN SULTAN-E-DEEN PAIDA HUWA

UMMAT-E-JADD KO HUSSAINI BAKHSWANE KE LIYE


GHYARWA SAB KA MADADGAR-O-MOEEN PAIDA HUWA
(Hussaini)

QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE


KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

LAB PE KIS KIS KE NAAM AAYENGE


JAANE KYA KYA PAYAAM AAYENGE
KAISE KAISE MUQAAM AAYENGE
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

HIJR KE GHAM PE KYA GUZARTI HAI


IBN-E-MARYAM PE KYA GUZARTI HAI
SONCHIYE HUM PE KYA GUZARTI HAI
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

DEEN KA WAQT KHO NAHIN SAKTE


HUM PASHEMAAN HO NAHIN SAKTE
AISI ULJHAN ME SO NAHIN SAKTE
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

DOOBNE KO HAI NABZ FITRAT KI


LAB PE HAI JAAN AADMIYAT KI
SAANS UKHADNE LAGI SHARIYAT KI
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

HOGI PHIR KHAK-E-KARBALA BEDAAR


HOGI PHIR KHOON-E-GARM KI BOCHAAR
KHAINCH KAR INTEQAM KI TALWAAR
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 70


MAAL-O-ZAR KA SUROOR KYA HOGA
ILM-O-FANN KA GHUROOR KYA HOGA
KHUD PARASTI KA TOOR KYA HOGA
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE

DEEN KA TAZKERA KARO QAWAR


FARZ APNA ADA KARO QAWAR
MUJH KO CHOUNKA DIYA KARO QAWAR
SUBHA AAYENGE SHAAM AAYENGE
KYA KHABAR KAB IMAM AAYENGE
(Qawar Noori Sahab r.a)

QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

WARIS-E-MUSTAFA NAYEB-E-MURTUZA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN
JAAN-E-KHAIR UL WARA HUJJAT-E-KIBRIYA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN

DEEN-E-AHMED KO PHIR SE BAHAR AAYEGI


ROSHNI NOOR KI HAR TARAF CHAYEGI
KUFR MIT JAYEGA JAB TU AAJAYEGA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN

KAR RAHE HAI MOHIBB INTEZAAR AAPKA


HAI ZUBAAN PER YAHIN SAB KE SUBH-O-MASAA
AAIYE AAIYE JALD BEHR-E-KHUDA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN

HAI TAMANNA KE DEEDAR KARLOON TERA


KAB SE TAKTA HOON MOULA TERA RAASTA
KAB MAI CHOOMUNGA AKHIR TERA NAQSE PAA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN

TU FARAYEZ IMAMAT KE FARMAYEGA


JAB NAMAZ-E-JAMAAT TU PADWAYEGA
IBN-E-MARYAM TERE PEECHE HOGA KHADA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN

TERA TARZ-E-IBADAT HAI SAB SE JUDA


SAJDA KHALIQ KA TU JAB KAREGA ADA
BEHTE DARIYA PE HOGA MUSALLA TERA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 71


THA JO AADAM SE KHATIM TALAK SILSILA
BADH KE HYDER SE PHIR ASKARI SE MILA
AAJ ISS SILSILE KA TU WAARIS BANA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN

KHOON-E-SHABBIR KA JAB TU LE INTEQAAM


APNE SHABBIR KO YAAD KARLE IMAM
NASIROU’N ME TERE MUJH KO CHUNLE ZARA
YA IMAM-E-ZAMAAN YA IMAM-E-ZAMAAN
(Shabbir Marsia Khan r.a)

QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

KYA JANIYE DIL ME ISHQ YE KIS EJAAZ NUMA KA QAYAM HAI


DIL HIJR ME JAL KER KHAAK HUWA PER DIL KI TAMANNA QAYAM HAI

KIS PARDA NASHEEN NE DUNIYA ME KHUD PARDA UTHAYA HAI APNA


KOTAHI-E-DASTE SHOUQ HI TAK MASHOOQ KA PARDA QAYAM HAI

ANKHOU’N ME WOHIN HAI DIL ME WOHIN RASTE ME WOHIN MANZIL ME WOHIN


KHILWAT ME WOHIN MEHFIL ME WOHIN PHIR PARDE KA PARDA QAYAM HAI

ANKHOU’N SE HAI SAIL-E-ASHK RAWAA’N PUTLI KO NAHIN KUCH QAUF-E-ZIYA


BEHTE HUWE DARIYA PER JAISE QAYAM KA MUSALLA QAYAM HAI

GHAFLAT SE MUSALMANO CHONKO KUCH GHAUR KARO SONCHO SAMJHO


DUNIYA SE SHAH-E-LAULAK GAYE KIS KE LIYE DUNIYA QAYAM HAI

QURAAN NAHI ITRAT SE JUDA FARMAGAYE HAI MEHBOOB-E-KHUDA


JO TOOTE NA ROZ-E-MEHSHAR TAK WO DONO ME RISHTA QAYAM HAI

TUM PARDA UTHA DOGE JISS DIN DUNIYA KA BHARAM KHUL JAYEGA
HAQ YE HAI TUMHARE PARDE SE EK EK KA PARDA QAYAM HAI

HUM LAKH AREEZE LIKHENGE ARMAAN-E-JAWAAB MAZALLAH


KYA KAM HAI AQEEDAT-MANDI KA SARKAR SE RISHTA QAYAM HAI

KUCH BEHES NAHIN GAR LAKH BARAS ILYAS-O-MASIH-O-QIZR RAHE


DUNIYA KO JALAN HAI KYUN ABTAK AHMED KA YAGANA QAYAM HAI

ISS GHAR KE MOHAMMAD KUL EKSAA’N PER AWWAL-O-AKHIR SALLE ALA’A


UN KE LIYE DUNIYA KHALQ HUWI IN KE LIYE DUNIYA QAYAM HAI

AAGE HAI IMAMAT KI MANZIL PEECHE HAI NABUWAT KI MANZIL


EISA KI BUZURGI REHTE HUWE EISA KA BHI QIBLA QAYAM HAI

MAREFAT KE PHOOL Page 72


INKAR JINHE HAI GHAIBAT SE AAI QAIS WO IMAAN KHO BAITHE
HUM GHAIB PER IMAAN RAKHTE HAI IMAAN HAMARA QAYAM HAI
(Hazrat Qais r.a)

QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

SAJAIYE MEHFIL-E-MASARRAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI


JAHAAN PER JIN KI HAI HUKUMAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

WO JINKA FARMAAN HAI MASHIYAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI


HAI JINKE QABZE ME SAARI QUDRAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

YAZEED SE INTEQAM HOGA LEYEENO KA QATL-E-AAM HOGA


HAI KHATM ZULM-O-SITAM KI MOHLAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

PAYAM-E-HAQ KO DABANE WALE YE JHOOTE SIKKE CHALANE WALE


DILO PE TAARI HAI JINKI DEHSHAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

HAI KAUN KAAZIB HAI KAUN AALIM HAI KAUN MAZLOOM KAUN ZALIM
HAI JINKO MALOOM SAB HAQEEQAT WO AA RAHE HAI WO AA RAHE HAI

BADE THEY DAAWE BAHADURI KE LIYE HUWE PHIR RAHE THEY DURRE
AB AAYE AAGE HO JISME HIMMAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

DILO KO APNE ZARA TATOLO NA HAQ KISI KA DABA KE RAKHO


HAI JISKI SAB SE BADI ADALAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

ANDHERA HAR DIL SE DOOR HOGA TAMAM AALAM PE NOOR HOGA


MITEGI DONO JAHAN SE ZULMAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

KHULI DILO KI KITAB RAKHO NAZAR ME JALWO KI TAAB RAKHO


HAI UNKE PAIKAR ME NOOR-E-WEHDAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

MOHABBAT-E-MURTUZA BACHAO DILO KO KARBOBALA BANAO


WO LENGE TUM SE HISAAB-E-ULFAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI

WO HI HAI BAS FATAH-E-ZAMANA UNHI KA HAR DIL HAI ASHIYANA


UNHI KI JAWEED HAI MOHABBAT WO AARAHE HAI WO AARAHE HAI
(Ali Jaweed Maqsood Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 73


QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

HAAL-E-GHAM SUNAYENGE JAB IMAM AAYENGE


ZAKHM-E-DIL DIKHAYENGE JAB IMAM AAYENGE
MEHFILEIN JAMAYENGE JAB IMAM AAYENGE
BAAM-O-DAR SAJAYENGE JAB IMAM AAYENGE
JASHN HUM MANAYENGE JAB IMAM AAYENGE

ZAQM HAI ABHI TAAZA MAKKA AUR MADINA KE


SHAAM’ KUFA’ KARBOBALA HUM BHULA NAHIN SAKTE
AZ SAQIFA TA IDAM GHAIR SE NAHIN POHONCHE
JITNE DUKH UTHAYE HAI HUM NE KALMA GOYOU’N SE
EK EK CHUKAYENGE JAB IMAM AAYENGE

MARHALA QAYAMAT KA HAI ZAHOOR PER MOQOOF


INSDAAD-E-JOUR-O-JAFA HAI ZAHOOR PER MOQOOF
INTEQAM-E-KARBOBALA HAI ZAHOOR PER MOQOOF
EHTEMAM-E-ROZ-E-JAZA HAI ZAHOOR PER MOQOOF
HUM SUKOON PAYENGE JAB IMAM AAYENGE

SHAK HAI JIN KO ALLAH KE ADAL AUR ADALAT PER


MANSAB-E-NABUWWAT PER SYYEDA KI ISMAT PER
MURTUZA KI AHMED SE MUTASSIL NIYABAT PER
JINKO SHAK HAI BARAH PER BARHWEIN KI GHAIBAT PER
SAB HI MAAR KHAYENGE JAB IMAM AAYENGE

NAAM PER SAHABA KE KAAM FASIQOUN JAISE


NAAM PER SAHABA KE KAAM KAFIRO JAISE
NAAM PER SAHABA KE KAAM MUSHRIKO JAISE
NAAM PER SAHABA KE KAAM MUNKIRO JAISE
SAB HI MUNH CHURAYENGE JAB IMAM AAYENGE

YEH HAMARE MAKR-O-RIYA SHATIRANA AYYARI


KYA HAMARE SOAM-O-SALAT AUR YE AZADARI
KITNA HAI KHULOOS IN ME KIS QADAR RIYA KAARI
KYA IMAM KI KHAATIR HUM NE KI HAI TAYYARI
KAISE MUNH DIKHAYENGE JAB IMAM AAYENGE

DAAWA-E-MOHABBAT JO SUBH-O-SHAAM KARTE HAI


UNKE DUSHMANO SE BHI RAH-O-RASM RAKHTE HAI
KHUMS BHI NAHI DETE GHEEBATEIN BHI KARTE HAI
MOMINO SE BHI DIL ME BUGHZ-O-KEENA RAKHTE HAI
KIS TARHA NIBHAYENGE JAB IMAM AAYENGE

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 74


JHOOT BOLNE KO HUM MASHGALA SAMAJHTE HAI
BAAT BAAT PER BEJA MASLEHAT BARAT’TE HAI
AUR MUNAFEQAT KO BHI MASLEHAT HI KEHTE HAI
LAH’O LAAB KA SAMAAN HUM GHAROU’N ME RAKHTE HAI
KIS TARHA CHUPAYENGE JAB IMAM AAYENGE

AL AJAL JO KEHTE HAI AAGAYE TO KYA HOGA


KYA HAI APNI TAYYARI PESH HUM KARENGE KYA
SIBTE JAFFER APNA TO KUL YEHI HAI SARMAYA
HAMD-O-NAAT-O-SOZ-O-SALAAM AUR MANQABAT NOUHA
HUM YEHI SUNAYENGE JAB IMAM AAYENGE
(Sibte Jaffer Sahab r.a)

QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

MAI SAHEB SE APNI KAHANI KAHUNGA


KAHANI YE DIL KI ZUBAANI KAHUNGA

TERA DARD INAAM-E-FITRAT HAI MOULA


TERE DARD KO ZINDAGANI KAHUNGA

GUZARTI HAI KYUN KAR SHAB-E-GHAM KI MANZIL


TULOOH-E-SEHER SE KAHANI KAHUNGA

SHAB-E-GHAM NE JO DAGH CHODHE HAI DIL PER


TERE GHAM KI UNKO NASHANI KAHUNGA

AREEZA MAI BHEJOON YE MUJH SE NA HOGA


TADAP KAR KAHUNGA ZUBANI KAHUNGA

TERI MADHA GAR HO SALEQE SE MOULA


TOH MAI USKO MOUJIZBAYANI KAHUNGA

GUZARTI HAI JO YAAD-E-QAYAM ME AADIL


MOWADDAT KI USKO JAWANI KAHUNGA
(Aadil Najmi Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 75


QASIDA IMAM E ZAMANA (A.J.T.F)

HASAN ASKARI KO YE DILBAR MUBARAK


YE DILBAR MUBARAK YE SAFDAR MUBARAK

IMAM-E-ZAMAAN APNA PAIDA HUWA HAI


YE HAI BARHWAAN SAB KA REHBAR MUBARAK

HAWAEIN BHI JANNAT KI LEHRA RAHI HAI


KE KHUSBO SE GHAR HAI MOATTAR MUBARAK

HAI AWAAZ-E-SALWAT HAR GHAR SE AATI


TAWALLUD KE HAI NAARE GHAR GHAR MUBARAK

HAI KHATM IMAMAT IMAM-E-ZAMAAN PER


YE AAKHAR HAMARA HAI REHBAR MUBARAK

YE HAI MAH-E-SHABAN MAH-E-MOAZZAM


KHUSHI MOMINO KO HAI GHAR GHAR MUBARAK

NABUWAT KA HAFIZ IMAMAT KA MALIK


TUMHEIN YE KHALIFA PAYAMBER MUBARAK

RAHE SHAAD-O-KHURRAM GHULAMAN-E-HYDER


KARE JASHN HAR SAAL DAWAR MUBARAK

KE SADQE ME INKE MAQASID HO POORE


YEHI HAI DUA APNI YAWAR MUBARAK
(Yawar Sahab)

QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

HUBAHU JO SHABIH-E-ALI HAI BAGH-E-AALAM ME PAIDA HUWA HAI


MUSHKILEIN DEKH KAR KEH RAHI HAI DOOSRA YE TOH MUSHKIL KUSHA HAI

APNE QAIME ME TEWAR BADAL KAR AAYE MAIDAN ME ABBAS JISS DAM
BOLEY MARHAB SIFAT LASHKARI SAB YE TOH HYDER NAZAR ARAHA HAI

PAANI CHULLU ME LEKAR JO PHENKA GOYA DARYA PE MAARA TAMACHA


REHGAYI SAR PATAKTI HI MOUJEIN PYASA DARIYA SE WAPAS HUWA HAI

MOMINO KE DILO SE HI POOCHO KISKO KEHTE HAI JOSH-E-MASARRAT


JASHN-E-ABBAS KI AB KHUSHI HAI BAZM ME SHOR-E-SALLE ALA HAI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 76


DOOSRI PADH KE NAAD-E-ALI AB ISKO AAWAZ DETE HAI MOMIN
HOKE BEDAST GIRTE HUWO KA MUSHKILO ME YEHI AASRA HAI

TUM KO UMM UL BANEEN HO MUBARAK ISSE BADH KER BHI KYA HOGI NISBAT
YE TO FARZAND HAI WO TUMHARA JISS KO ZEHRA NE BETA KAHA HAI

HUSN-E-ABBAS KI IBTEDA HI INTEHA BAN KE ROSHAN HAI BAQER


CHAUTHI SHABAN HI KO QAMAR YE BADR-E-KAAMIL NAZAR ARAHA HAI
(Baqer Amanat Khani Sahab r.a)

QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

ZEHRA KI DUA’O KA ASAR DEKH RAHA HOON


HASHAM KE GHARANE ME QAMAR DEKH RAHA HOON

HAI MULK-E-WAFA SALTANAT-E-HAZRAT-E-ABBAS


ABBAS KA PARCHAM HAI JIDHER DEKH RAHA HOON

KHABZE ME HAI TALWAR JARI IBN-E-JARI KE


JIBREEL KE SIMTE HUWE PAR DEKH RAHA HOON

ABBAS TERE NAAM KA SADQA HAI MAI BHI


TAPTE HUWE SEHRA ME SHAJAR DEKH RAHA HOON

YA HAZRAT-E-ABBAS BACHALO MUJHE AAKAR


NAZDEEK SAFEENE KE BHANWAR DEKH RAHA HOON

KHADMO ME BULALE MERE GHAZI MERE AAQA


MAI KAB SE TERI RAAH GUZAR DEKH RAHA HOON

YE DABDABA ABBAS-E-JARI KA HAI KE AKHTER


AANDHI KO CHARAGHO KI SIPAR DEKH RAHA HOON
(Allama Akhter Zaidi Sahab R.a)

QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

ISLAM KA HAI TUJH SE BHARAM FATIMA KE LAAL


GIRNE DIYA NA TU NE ALAM FATIMA KE LAAL

TU FATIMA KE BAGH KI AISI BAHAR HAI


JISS PER NISAR BAGH-E-IRAM FATIMA KE LAAL

TU MARZI-E-HUSSAIN KI TASWEER BAN GAYA


KANDHE PE RAKH KE MASHK-O-ALAM FATIMA KE LAAL
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 77


DOSH-E-NABI PE HYDER-E-KARRAR KE QADAM
DOSH-E-ALI PE TERE QADAM FATIMA KE LAAL

TERA WUJOOD SIBTE NABI KA WUJOOD HAI


TASKEEN-E-QALBE AHLE HARAM FATIMA KE LAAL

PYASA HAI TU KHAYAL-E-SAKINA LIYE HUWE


DARIYA HAI TERE ZAIR-E-QADAM FATIMA KE LAAL

AHL-E-WAFA KO RASHK HAI TAQDEER PER MERI


SAR MERA TERE NAQSH-E-QADAM FATIMA KE LAAL

ZEHRA KI GOUDH ME NA PALA TU TOH KYA HUWA


NIKLA HAI SHEH KI GOUDH ME DUM FATIMA KE LAAL

DEKHOON TOH MAI BHI KISME HAI HIMMAT-O-HOSLA


KHAAYE TOH KOI TERI QASAM FATIMA KE LAAL

TUJH KO JALALAT-E-SHAHE MARDAAN KA WAASTA


APNE WAFA KA RAKH LE BHARAM FATIMA KE LAAL
(Mohd Ali Wafa Sahab)

QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

MOULA KE GHAR ME PHOOL WAFA KA KHILA HAI AAJ


AGHOSH ME ALI KE ALI KI DUA HAI AAJ

KAABA HAI BARGAH-E-QASIDA DUA HAI AAJ


ALLAH KO PASAND NAMAZ-E-WAFA HAI AAJ

ROSHAN RAHA HAI YUN TOH HAMESHA ALI KA GHAR


EK ROSHNI CHARAGH-E-WAFA KI SIWA HAI AAJ

AFLAAK QAM HAI SAJDA-E-TAZEEM KE LIYE


MOULA KE GHAR ZAHOOR-E-KHUDA-E-WAFA HAI AAJ

ABBAS PER NIGAAH BEHAN BHAIYO KI HAI


SAB KI NAZAR ME MAREKA-E-KARBALA HAI AAJ

PAIKAR DUA KA JISNE NA DEKHA HO DEKH LE


DAST-E-KHUDA KE HATH PE UNKI DUA HAI AAJ

AANKEIN THI BANDH BHAAI KE DEEDAR KE LIYE


YE EHTEMAM-E-KHAAS BHI ZAAHIR HUWA HAI AAJ
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 78


BATLADIYA KE MERI NAZAR BHI HAI BAWAFA
PEHLE RUQ-E-HUSSAIN MUJHE DEKHNA HAI AAJ

HAI BARGAH-E-HAZRAT-E-ABBAS SAAMNE


AKHTER NAZAR ME ROZA-E-SHAH-E-WAFA HAI AAJ
(Allama Akhter Zaidi Sahab R.a)

QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

AAZMAYA HUWA NAAM KAAM AGAYA ZOUQ-E-MIDHAT KO YUN MUD’DUA MILGAYA


YA ALI KEH KE MAI NE UTHAYA QALAM MADHE ABBAS KA HOUSLA MILGAYA

MAI NE ABBAS KA WAASTA DE DIYA MERI TAQDEER ME JO NA THA MILGAYA


JO HAMESHA SE QISMAT KE KHAYEL RAHE UNKO KAISE BATAUN KE KYA MILGAYA

MAI NE BAB UL HAWAIJ KO AWAAZ DI PANJETAN KA DAR-E-FAIZWA HOGAYA


EK WASILEY SE KITNE WASILEY MILEY JO BHI MAANGA THA USSE SIWA MILGAYA

ROZ-E-MEHSHER QAYAMAT KI THI TASHNAGI AUR DEEDAR-E-SAQI KI LOU THI LAGI


NAAM-E-ABBAS LEKAR MAI AAGEY BADHA TAABA KAUSAR MUJHE RAASTA MILGAYA

WO ALI-E-WALI HO KE ABBAS HO NAAM BADLE MAGAR KAAM BADLA NAHI’N


JAB BHI MUSHKIL’KUSHA KI ZARURAT HUWI ISS GHARANE ME MUSHKIL’KUSHA MILGAYA

HAI ALI MURTUZA MAZHER-E-KIBRIYA AUR ABBAS HAI MAZHER-E-MURTUZA


MUJH KO ABBAS KA AASTAN KYA MILA TAABA MABOOD EK SILSILA MILGAYA

JAB WAFA KA KAHIN TAZKERA CHIDHGAYA BAAT POHONCHI BAHER HAAL ABBAS TAK
JUSTAJU KARNE WALO KO MANZIL MILI CHAAND KA CHAANDNI SE PATA MILGAYA

AASMAAN PER HAI ROSHAN ZAMEEN KA QAMAR AUR ZAMEEN PER HAI ROSHAN ALI KA QAMAR
YUN ZAMEEN KO JO HAASIL HUWA YE SHARAF AASMA’N SE BADA MARTABA MILGAYA

HAQ YE HAI AAKE DUNIYA ME ABBAS NE MERE MOULA KI HAAJAT KO POORA KIYA
WO ALI KHALQ KA HAI JO HAAJAT RAWA AAJ USKO BHI HAAJAT RAWA MILGAYA

NAAM-E-ABBAS MERI ZUBAAN PER JO HAI AARAHI HAI TARAYI KI THANDI HAWA
MADHA GOYI KE PUR NOOR MAHOOL ME AAJ JANNAT KA AKHTER MAZA MILGAYA
(Allama Akhter Zaidi Sahab R.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 79


QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

DEKHA JO RAN ME SHER NE AAKAR IDHER UDHER


GHABRA KE BHAAGE RAN SE SITAM GAR IDHER UDHER

ABBAS IBNE HYDER-E-SAFDAR KE ROUB SE


THA MUNTASHIR YAZEED KA LASHKER IDHER UDHER

ABBAS KA JO CHOOM KE DAAMAN HAWA CHALI


PHAILI FAZAA ME BOO-E-GUL-E-TAR IDHER UDHER

MIDHAT KE WAQT ROUZA-E-ABBAS SE KABHI


PHIRTA NAHIN HAI ROO-E-SUQAN WAR IDHER UDHER

ABBAS KE JO SAAMNE AATE THEY AHLE SHAAM


GIRTE THEY WO ZAMEEN PER KATKER IDHER UDHER

MIDHAT KE WAQT ROUZA-E-ABBAS KE SIWAA


REHTA NAHIN HAI KOI BHI MANZAR IDHER UDHER

ABBAS KA GHULAM MUSIBATH KE WAQT BHI


HAIBAT SE DEKHTA NAHIN MUDHKER IDHER UDHER

HAAMI NAJAF ME MILTI HAI SEHBA-E-MAREFATH


KYUN JAAYE KOI MEIKASH-E-HYDER IDHER UDHER
(Ibrahim Ali Haami Sahab)

QASIDA HAZRAT ABBAS (A.S)

KARTA HOON MAI JO MIDHAT-E-JARRAR BAAR BAAR


DETE HAI DAAD MEESUM-E-TAMMAR BAAR BAAR

MILTI HAI KAB SUQAN KO YEH RAFTAAR BAAR BAAR


MAZMOON KHUD HI HOGAYE ASHAAR BAAR BAAR

AYAAT KI TARHA MERI DIL KI KITAAB PER


NAAZIL HUWE HAI ARSH SE ASHAAR BAAR BAAR

NAAME HUSSAIN PAANI PILAYA TOH KAR LIYA


DIL KI NAZAR SE SAQQE KA DEEDAR BAAR BAAR

MILTA HAI INSE FATIMA ZEHRA KE DIL KO CHAIN


ABBAS KI SANA ME HO ASHAAR BAAR BAAR

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 80


MAIDAA’N ME TAIZ GARMI-E-ASP-E-JARI NA POOCH
BATEIN HAWA SE KARTA THE RAHWAAR BAAR BAAR

ABBAS-E-NAAMDAR KI HAIBAT SE THA YE HAAL


DAST-E-ADU SE GIRTE THEY HATHIYAAR BAAR BAAR

SARWAR KE HAQ KA WAASTA GHAZI KO DETA THA


BEHR-E-AMAAN LASHKAR-E-KUFFAR BAAR BAAR

JAB KARBALA ME MIDHAT-E-GHAZI KARUNGA MAI


ZAINAB MUJHE BANEYENGI ZAWWAR BAAR BAAR

MEHFIL ME JAB SAMAR NE PADHI HAI YEH MANQABAT


KEHTE HAI SAMAEEN PHIR EK BAAR BAAR BAAR
(Janab Meesum Samar)

QASIDA HAZRAT ALI AKBER (A.S)

MERE LABO PE SEERAT-E-AKBER KI BAAT HAI


DUNIYA SAMAJH RAHI HAI PAYAMBER KI BAAT HAI

AKBER MAI KAR RAHA HOON TERE GHAR KA TAZKIRA


ALLAH KEH RAHA HAI MERE GHER KI BAAT HAI

CHAHE JISSE WO KHULD ME LE JAAYE APNE SATH


ITNI TOH SHAHZADE KE NAUKAR KI BAAT HAI

QURAAN HO YA MIDHAT-E-HUMSHAKL-E-MUSTAFA
MIZAA’N ME TOULL LIJIYE BARABAR KI BAAT HAI

SAMJHENGE KAISE RUTBA SHABIH-E-RASOOL KA


YE AAPKE DIMAGH SE UPER KI BAAT HAI

KUNN KEH KE MURTUZA NE YE DUNIYA BANAYI HAI


HUJRE ME MATH SUNAO YE MIMBER KI BAAT HAI

JIBREEL BHI NA SAMJHE KE ZAIR-E-KISAA HAI KAUN


SAMJHE BHI KIS TARHA SE YE ANDER KI BAAT HAI

DIL KEH RAHA HAI PADH KE ALIF’ LAAM’ MEEM KO


YE HO NA HO HUSSAIN KE LASHKAR KI BAAT HAI
(Mir Takallum Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 81


QASIDA HAZRAT ALI AKBER (A.S)

NOOR KI HAI YEH MEHFIL HAI YAHAN ALI AKBER


JASHN KA HASEEN UNWAAN NAUJAWA’N ALI AKBER

TERA JASHN KARTE HAI BAZM HUM SAJATE HAI


ILTEJA HAI TU AAJA AB YAHAA’N ALI AKBER

KARTA HOON SANA TERI AUR YAQEEN HAI MUJH KO


HAI MALAYEKA MERE HUM ZUBAAN ALI AKBER

AAJ PHIR ZARURAT HAI MUNTAZAR SAMAAT HAI


PHIR SE LEHN-E-AHMED ME DE AZAA’N ALI AKBER

HUSN HAI MOHAMMAD KA AUR SIN HAI ZEHRA KA


KYA RAQAM KAROON TERI KHUBIYAA’N ALI AKBER

AATI HAI WAHAN ZAINAB SATH UMM-E-LAILA KE


TERE ZIKR KI MEHFIL HO JAHAA’N ALI AKBER

SHAAD IBN-E-HYDER HAI AAJ JASHN-E-AKBER HAI


MUSKURA KE KEHTI HAI HAR ZUBAAN ALI AKBER

TU SAQI KA POUTA HAI TU SAQI KA BETA HAI


BHARDE AAJ HUM SAB KI JHOLIYAA’N ALI AKBER

HAZIREEN-E-MEHFIL KI HAR MURAAD BAR AAYE


DEKHEIN JALD SAB TERA AASTAA’N ALI AKBER

ISS PE BHI KARAM FARMAA WAASTA SAKINA KA


HAI RASHEED BHI TERA MADHA KHWAN ALI AKBER
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA HAZRAT ALI AKBER (A.S)

UMM-E-LAILA KA PISAR KYA SAHIB-E-TAUQEER HAI


HUBAHU TASWEER-E-AHMED DILBAR-E-SHABBIR HAI

DEKH KER SURAT ALI AKBER KI KEHTE HAI HUSSAIN


AAI ALI AKBER MERE NANA KI TU TASWEER HAI

AAGAYE AKBER HUSSAIN IBN-E-ALI KI GOUDH ME


DAMAN-E-QURAA’N ME GOYA AAYAT-E-TATHEER HAI

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 82


JARAHE HO RAN KO AKBER FATHA YARAB HO NASEEB
AAPKE PEECHE DUA-E-HAZRATE SHABBIR HAI

MUSTAFA KI JUNG PEHLI BAAR AAYEGI NAZAR


AAJ HUMSHAKLE NABI KE HATH ME SHAMSHEER HAI

NAMURADI’ NAUJWANI’ TASHNAGI’ AFTRATH-E-GHAM


DARD KI DUNIYA HAI TOH EK DARD KI TAFSEER HAI

ZINDAGI BHAR KI HAI HASRAT AAI HIMAYATH DEKH LE


QABR ME AAYE ALI YE KHUBIYE TAQDEER HAI
(Himayath Ali Sahab Marsia Khan r.a)

QASIDA SHAHZADA ALI ASGHER (A.S)

AAYE ASGHER DEHER ME AUR CHAAR SU TANVEER HAI


KARTE HAI HUM JASHN-E-ASGHER APNI YE TAQDEER HAI

EK TARAF MAZLOOM SABIR TASHNA LAB BE SHEER HAI


EK TARAF ZAALIM QAD-AVAR HURMULA KA TEER HAI

DEKH KER ASGHER KO DAST-E-SHEH PE KEHTE HAI ADU


YE KHAMUSHI ME ALI KI BOLTI TASVEER HAI

AAI SHAHINSHAH-E-ATASH AAI JHOOLE WALE TERA NAAM


NASIRAAN-E-DEEN KI FEHRSIT ME TEHREER HAI

BANDH MUTTHI SE SITAM KO ISS NE PASPA KARDIYA


PYASE ASGHER KA TABASSUM HYDERI SHAMSHEER HAI

WO HANSI TU NE UDHAYI HAI QAD-AVAR ZULM KI


APNI NAKAMI PE GIRYAA’N HURMULA KA TEER HAI

MADHE HYDER ME TABASSUM AUR GHAM-E-ASGHER ME ASHK


AARZO-E-FATIMA HAI NUSRATH-E-SHABBIR HAI

DE RAHI HONGI DUA MUJH KO RASHEED UMM-E-RABAB


MERE HONTO PER SANA-E-ASGHER-E-BE SHEER HAI
(Rasheed Shaheedi Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 83


SHAHAZADAGAN-E-AUN O MOHAMMAD (A.S)

HAI SANIYE ZEHRA KE PISAR AUN-O-MOHAMMAD


SHABBIR KE HAI NOOR-E-NAZAR AUN-O-MOHAMMAD

UNKE RUQ-E-PUR NOOR SE EK NOOR AYAA’N HAI


HAI RASHK-E-DAHE SHAMS-O-QAMAR AUN-O-MOHAMMAD

YE KAAT’TE MAIDAAN ME BIN SAAD KE SAR KO


WALLAH JAWAA’N HOTE AGAR AUN-O-MOHAMMAD

SAAYE KI TARHA SATH IMAMATH KE THEY HAMRAAH


SHABBIR KE THEY SINA SIPAR AUN-O-MOHAMMAD

ABBAS CHALO DEKHNE BACHOU’N KI LADAYI


LAKHO HAI IDHAR AUR UDHAR AUN-O-MOHAMMAD

YE BAAP KI ASHOOR KO KARTE HAI NIHAYAT


GOUYA HAI TAMANNA-E-PIDAR AUN-O-MOHAMMAD

HYDER KE NAWASE HAI TOH JAFFER KE HAI POUTE


HAI NAQLE SHUJAAT KE SAMAR AUN-O-MOHAMMAD

WO HYDERI ANDAAZ ME MAIDAN ME JAANA


LAGJAYE NA AB TUM KO NAZAR AUN-O-MOHAMMAD

KARTA HAI SHAB-O-ROZ HIMAYATH JO DUAI’N


HOJAYE DUA’O ME ASAR AUN-O-MOHAMMAD
(Himayath Ali Sahab Marsia Khan r.a)

SHAHAZADAGAN-E-AUN O MOHAMMAD (A.S)

GUNCHO KE CHITAKNE KI KHABAR AUN-O-MOHAMMAD


HAR PHOOL ME KHUSBO KA ASAR AUN-O-MOHAMMAD

ABBAS UFAQ SHAMS-O-QAMAR AUN-O-MOHAMMAD


ZAINAB KI DUA’O KA SAMAR AUN-O-MOHAMMAD

AAJAYENGE KHUD BAZM ME PHIR SHABBAR-O-SHABBIR


HO MADHA KA UNWAAN AGAR AUN-O-MOHAMMAD

KARTA HOON SANA INKI MUJHE ISKA YAQEEN HAI


DENGE MUJHE LAFZO ME GUHAR AUN-O-MOHAMMAD

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 84


DO LAKH KA HAI WAISE SITAMGARO KA LASHKAR
KARDENGE MAGAR ZAIR-O-ZABAR AUN-O-MOHAMMAD

PHIR SHAAM KE LASHKAR KI SEHER HI NA THI MUMKIN


KARDETE WEGHA CHALKE AGAR AUN-O-MOHAMMAD

EK DUSRE SE KEHTE THEY CHUPKE SE SITAMGAR


BHAAGO KE NA AJAYE IDHER AUN-O-MOHAMMAD

KIS TARHA RAQAM KARTA RASHEED AAJ QASEEDA


DETE NA SAHARA USSE GAR AUN-O-MOHAMMAD
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA SHAHZADA QASIM (A.S)

JAHAAN ME AAYA HAI NOOR-E-PAIKAR HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER


YE DOOSRI HAI SHABIH-E-HYDER HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

HASAN SE KHETI HAI UMM-E-FARWA NAZAR NA LAGJAYE ISKO MOULA


HAI KHUBSURAT QAMAR SE BADH KER HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

WO HAMZA JAFFER SA TERA RUTBA WO SHEH KI NUSRAT ME TERA JAZBA


AJAL KO SAMJHA SHAHED SE BADH KER HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

JARI KI MEHNAT ALI KE TEWAR YEHI HAI DULHA KE AAJ ZEVAR


DEKHAYEGA SAB WEGHA KE JOUHAR HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

BARASTI THI TEGH BANKE BIJLI AMAA’N LEYEENO KO KUCH NA MILTI


THA RAN ME CHAYA WO MAUTH BAN KAR HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

GIREY JO ARZAQ KE CHAAR BETE TO USKE SATHI YE USSE BOLE


HAI SIN ME CHOTA YE HAI GHAZANFER HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

JO QATL ARZAQ KO KARKE CHORDE TO HATH ABBAS NE THEY THAAME


KE TAAZA KARDI HAI YAAD-E-HYDER HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER

ASAR HO MOHSIN KI ILTEJA ME MANAOON ARFAA MAI KARBALA ME


KARAM KI NAZREIN KAREGA MUJH PER HASAN KA DILBER HASAN KA DILBER
(Ali Mohsin Khan Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 85


QASIDA SHAHZADA QASIM (A.S)

SANIYE HYDER HASAN KA DILRUBA PAIDA HUWA


AAJ DAMAD-E-SHAHE KARBOBALA PAIDA HUWA

QASIM-E-MEHRO ALI KI BOLTI TASVEER HAI


GHAR ME ZEHRA KE NUSAIRI KA KHUDA PAIDA HUWA

HUSN-E-QASIM DEKH KER MAH-E-DARAKSHAA’N HAI QAJAL


UMM-E-FARWA KA PISAR KYA CHAAND SA PAIDA HUWA

HUSN-E-YOUSUF JISS PE HOTA HAI TASADDUQ BAAR BAAR


WO HASEEN WO MEIJABEEN WO MEILAQA PAIDA HUWA

SANIYE ZEHRA SE KEHTE HAI YE KHUSH HOKAR HASAN


NASIR-E-SHABBIR MERA MUD’DUA PAIDA HUWA

FATHA KA SEHRA BANDHEGA JISS KE SAR ASHOOR KO


FATAH-E-KARBOBALA WO MEILAQA PAIDA HUWA

MISLE HYDER JISS NE ARZAQ KO DO TUKDE KAR DIYA


WO JARI WO SANIYE KHYBER KUSHA PAIDA HUWA

MOMINO KI MUSHKILEIN HOJAYENGI ASAA’N ZIA


SAANI-E-MUSHKIL KUSHA HAJAT RAWA PAIDA HUWA
(Zia Sahab)

QASIDA SHAHZADA QASIM (A.S)

KHUSH HAI AAL-E-MUSTAFA MUSHAF KA JALWA DEKH KAR


PADHTE HAI QURAAN SAB QASIM KE CHEHRA DEKH KAR

MUSKURATE HAI AJAB ANDAZ SE HAZRAT HUSSAIN


APNI HI AGHOSH ME APNI TAMANNA DEKH KAR

SHEH NE QASIM KO DIYA KUCH SONCH KAR IZN-E-WEGHA


KAMSINI NE JAAN NISARI KI TAMANNA DEKH KAR

AAYE JAB MAIDAN ME QASIM BA ANDAZ-E-ALI


HOSH LASHKAR KE UDHE ZULFO KO UDHTA DEKH KAR

HATH SE HATHIYAR CHOOTE GUMM HUWE HOSH-O-HAWAAS


BHAAGI FAUJ-E-ASHKIYA QASIM KO AATA DEKH KER

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 86


DE RAHE HAI DAAD ABBAS-E-DILAWAR DUM BA DUM
HYDERI ANDAAZ ME QASIM KA HAMLA DEKH KAR

LADTE LADTE FATIMA KA LAAL POHONCHA NEHER PER


YAAD SHASH MAHE KI AAYI BEHTA DARIYA DEKH KAR

HASHR ME QASIM HIMAYATH KHUD MERI FARMAYENGE


DAQIL-E-JANNAT KARENGE MUJH KO APNA DEKH KER
(Himayath Ali Sahab Marsia Khan r.a)

QASIDA SHAHZADI SAKINA (S.A)

SAKINA HUWI AAJ PAIDA MUBARAK


HAI DIL KHUSH SHAH-E-KARBALA KA MUBARAK

HUWI SAANI-E-FATIMA AAJ PAIDA


BOHOT SHAAD HAI ROOH-E-ZEHRA MUBARAK

RABAB AUR SHABBIR KI YE JAHAA’N ME


HUWI DUQTAR-E-MAAH-E-PAARA MUBARAK

HAI ABBAS JISS SHAHZADI PER QURBAAN


HUWI SHEH KI BETI WO PAIDA MUBARAK

HUSSAINI SAKINA KE SADQE SE SAB KA


DILI MUD’DUA HOGA POORA MUBARAK
(Hussaini)

QASIDA SHAHZADI SAKINA (S.A)

IMAAN KI PEHCHAAN HAI ABBAS-O-SAKINA


EHSAAN HI EHSAAN HAI ABBAS-O-SAKINA

LAAZIM HAI WAZU NAAM JO LENA HO ZUBAAN PER


DO BOLTE QURAAN HAI ABBAS-O-SAKINA

UNWAAN-E-SUKOON-E-DIL-E-SHABBIR HAI DONO


TASKEEN KA SAMAAN HAI ABBAS-O-SAKINA

UNLOGO KE BAQSHISH KA WASEELA NAHIN KOI


JIN LOGO SE ANJAAN HAI ABBAS-O-SAKINA

PYASE RAHE PYASA NA RAKHA DEEN-E-KHUDA KO


ESAAR KA UNWAAN HAI ABBAS-O-SAKINA
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 87


EK’JAAI BATATI HAI HASAN MASHK-O-ALAM KI
DO JISM HAI EK JAAN HAI ABBAS-O-SAKINA
(Abul Hasan Abedi Sahab r.a)

QASIDA SHAHZADI SAKINA (S.A)

HO MUBARAK BINT-E-SHAH-E-KARBALA PAIDA HUWI


DUQTAR-E-SHABBIR JAAN-E-FATIMA PAIDA HUWI

SHEH NE RAKHA HAI SAKINA NAAM ISS MOULOOD KA


NOOR-E-CHASHME QAMIS-E-AALE ABA PAIDA HUWI

MOMINO ME HAR TARAF SHOR-E-MUBARAK BAAD HAI


SHAHE WALA KI WO LO CHASHM-E-ZIA PAIDA HUWI

HAI KHUSHI KA ROZ YE AUR HAI MASARRAT KI GHADI


QASIM-E-NAAR-O-JINAAN KI DILRUBA PAIDA HUWI

HAI BOHOT MASROOR AUR SHADAAN SHAHEED-E-KARBALA


SAB KE SAB KHUSH HAI KE SHEH KI MEILAQA PAIDA HUWI

ZAINAB-E-ZEEJAAH DETI HAI MUBARAK BA-ADAB


KEHTI HAI BHAAI MUBARAK DILRUBA PAIDA HUWI

HAZRAT-E-KULSOOM BHI KEHTI HAI AB YE SHAH SE


BHAAI JAAN TUM KO MUBARAK MEILAQA PAIDA HUWI

JASHN BARPA TUM KARO SAJJAD HAI WAQT-E-SUROOR


AAJ SHAH-E-KARBALA KI DILRUBA PAIDA HUWI
(Sajjad Sahab)

QASIDA SHAHZADI ZAINAB (S.A)

SAANI-E-ZEHRA BATOOL-E-DO SARA PAIDA HUWI


KHWAHAR-E-SHABBIR BINT-E-MURTUZA PAIDA HUWI

YA RASOOL ALLAH MUBARAK HO NAWASI AAPKO


FATIMA KE GHAR ME BINT-E-FATIMA PAIDA HUWI

MARYAM-O-HAWWA-O-SAARA AAYI KHIDMAT KE LIYE


DUQTAR-E-KHAIR UL NISAA FAQR-UL-NISAA PAIDA HUWI

HAI AGAR SIBTAIN SARDAR-E-JAWANAN-E-JINAAN


KHUSH HO HOORAIN AAJ UNKI SYYEDA PAIDA HUWI
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 88


MARKAZ-E-ISMAT HAI JO ISMAT KO JISS PER NAAZ HAI
DEHR ME WO ZEENAT-E-ISMAT SARA PAIDA HUWI

NUSRAT-E-DEEN-E-NABI YE BHI KARENGI EK DIN


AAP KI KHWAHAR SHAHEED-E-KARBALA PAIDA HUWI

DAMAN-E-ISMAT HAI JIN KA CHADAR-E-BAIT UL HARAM


WO HAREEM-E-TAHERA ME TAHERA PAIDA HUWI

MAANG LO AJLAL TUM BHI DAULAT-E-DUNIYA-O-DEEN


BINT-E-HYDER MAADAN-E-JOOD-O-SAQA PAIDA HUWI
(Ajlal Sahab)

QASIDA SHAHZADI ZAINAB (S.A)

FATIMA KE GULSHAN ME KYA BAHAR AAYI HAI


HAQ NE SHADMANI KI YE GHADI DIKHAYI HAI

KIS KI YE VILADAT HAI JAMMAH HAI MOHIB KAISE


REHMAT-E-KHUDA DEKHO SAARE JAG PE CHAYI HAI

AAJ BAGH-E-ZEHRA ME BULBULE HAZAARO NE


TEHNIYAT KE NAGHMO SE DHOOM EK MACHAYI HAI

KEH RAHE HAI AAPAS ME HOOR AUR MALAK BAHAM


YE ALI KI HAI BETI FATIMA KI JAAYI HAI

SHAAD HAI MERE MOULA HAQ NE KI ATA DUQTAR


REHMAT-E-KHUDA DEKHO AAJ GHAR ME AAYI HAI

KYUN NA HO BHALA NOORI NOOR SE JO HO PAIDA


FATIME KI BETI ME SHAAN-E-KIBRIYAI HAI
(Afzal Sahab)

QASIDA SHAHZADI ZAINAB (S.A)

ALI SHAAD–O-QURRAM HAI KHUSH HAI PAYAMBER


HUWI AAJ ZEHRA KO ZAINAB SI DUQTAR

USSI SE HAI ROSHAN YE TAARE FALAK PER


HUWI GOUDH ZEHRA KI JIS SE MUNAWWAR

AYAA’N ISKI ANKHOUN SE HAI AZM-E-HYDER


BANAYEGI DEEN KA YE BIGDA MUQADDAR
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 89


YE DEEN-E-MOHAMMAD KI MUSHKIL KUSHA HAI
GAWAHI KO HAI KARBALA TAABA MEHSHAR

DUROOD AB PADHO YE HAI SA’AT MUBARAK


HUWI GHAR ME ZEHRA KE PEHLI YE DUQTAR

NABI KI NAWASI YE BETI ALI KI


HAI SURAT ME SEERAT ME BINT-E-PAYAMBER

NAHIN KAM YE GHAR FATIMA KA


LAGATE HAI HOOR-O-MALAK GHAR KE CHAKKAR

NABI JISKE NAANA HAI BABA ALI HAI


HAI MAA FATIMA BHAI SHABBIR-O-SHABBAR

HO WO HAJERA SAARA BILQUIS-O-MARYAM


NAHI INKE KOI BHI ZAINAB KI HUMSAR

SUKOON NAAM SE JISKO MILTA HAI DIL KO


WO ZAINAB HAI BINT-E-PAYAMBER KI DILBAR

FAREED ARAHI HAI SADA YE FALAK SE


HUSSAIN-O-HASAN KO MUBARAK YE KWAHAR
(Fareed Baig Sahab)

QASIDA SHAHZADI ZAINAB (S.A)

KYA BATAUN MAQAAM ZAINAB KA


ISM-E-AAZAM HAI NAAM ZAINAB KA

MAI TOH KYA KHUD QASIDA PADHTE HAI


MERE BAARA IMAM ZAINAB KA

TERE DAR PER BHI AAYEGA JIBREEL


TU BHI HO JA GHULAM ZAINAB KA

ALLAH ALLAH HUR TERI QISMAT


TUJH KO AAYA SALAM ZAINAB KA

SAARE NABIYO SE KEH RAHA THA KHUDA


DEKHA TUM SAB NE KAAM ZAINAB KA

BAN GAYA KHUD ALAM SA KAGAZ PER


LIKH RAHA THA MAI NAAM ZAINAB KA
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 90


CHAL RAHA HAI AZA KI SURAT ME
DO JAHAA’N ME NIZAAM ZAINAB KA

MATAM-E-SHAH AUR YAZEED KA GHER


DEKH LO INTEQAM ZAINAB KA

DEKHTA HAI HUSSAIN KA SAJDA


KHUD BHI RUK KAR QIYAM ZAINAB KA

MERI BEHNO HIJAAB LAZIM HAI


HAI YE TUMKO PAYAM ZAINAB KA

TERA HUMSAR NAHI HAI MEER KOI


KYU KE TU HAI GHULAM ZAINAB KA
(Mir Takallum Sahab)

QASIDA SHAHZADI KULSOOM (S.A)

HAZRAT-E-KULSOOM BINT-E-FATIMA PAIDA HUWI


DOOSRI SHAIR-E-KHUDA KI DILRUBA PAIDA HUWI

SHOR HAI SALWAT KA GHUL HAI MUBARAK BAAD KA


NOOR-CHASHM-E-MUSTAFA SALLE ALA PAIDA HUWI

SAANI-E-ZAINAB FADAYI SHABBAR-O-SHABBIR KI


HAAMI-E-DEEN SHAFA-E-ROZ-E-JAZA PAIDA HUWI

KAAN ME DEKAR NAWASI KE AZAAN KHUSH HAI NABI


KHUSH ABUTALIB HAI POUTI MEILAQA PAIDA HUWI

HOKE KHUSH FARMATE HAI MADAR SE YE HASNAIN AAJ


DOOSRI KHWAHAR BAFAZL-E-KIBRIYA PAIDA HUWI

DEKH KER ZAINAB BEHEN KO HOKE KHUSH KEHTI HAI YE


QUWWAT-E-BAAZU MERI SHUKR-E-KHUDA PAIDA HUWI

HAQ SE BAQSHWAYENGE YE SHAHZADE AUR SHAHZADIYA’N


MAGHFERAT KO SAB KI AAL-E-MUSTAFA PAIDA HUWI

NAZNEEN YE MAA KI HAI AUR BAAP KI HAI LADLI


HAQ KI PYARI KHALQ KI HAJAT RAWA PAIDA HUWI

MAREKO SE HASHR KE SAB KO BACHANE KE LIYE


AAI HUSSAINI DUQTAR-E-MUSHKIL KUSHA PAIDA HUWI
(Hussaini)

MAREFAT KE PHOOL Page 91


QASIDA SHEHZADI SUGHRA (S.A)

SONCHTA HOON MARTABA KYA FATIMA SUGHRA KA HAI


EK QASIDA MUJH KO LIKHNA FATIMA SUGHRA KA HAI

IMTEHAN HAI MERE HAQ ME KUCH ATA KIJIYE MUJHE


YA ALI AB ZIKR KARNA FATIMA SUGHRA KA HAI

KARTA HAI UNKI DUA’IN KHALIQ-E-AKBER QUBOOL


JIN DUAO ME WASEELA FATIMA SUGHRA KA HAI

ISLIYE TAZEEM KARTE HAI HUSSAIN IBNE ALI


FATIMA ZEHRA SA CHEHRA FATIMA SUGHRA KA HAI

AATE HAI ABBAS-O-AKBER AUR HUSSAIN IBNE ALI


ZIKR JIS GHAR ME BHI HOTA FATIMA SUGHRA KA HAI

MAJLIS-E-SHABBIR BARPA HOTI HAI GHAR ME MERE


MERE GHAR ME AANA JANA FATIMA SUGHRA KA HAI

NAAZ HAI SAHIL KO APNI KHUBIYE TAQDEER PER


MADHA GOYI KA YE TOHFA FATIMA SUGHRA KA HAI
(Alamdar Sahil Sahab)

QASIDA SHEHZADI SUGHRA (S.A)

AAI NOOR-E-SARWAR AAI SHEH KI DUQTAR JANAB-E-SUGHRA JANAB-E-SUGHRA


TU BAAP KA DIL TU JAAN-E-MADAR JANAB-E-SUGHRA JANAB-E-SUGHRA

TU HUBAHU HAI SHABIHE ZEHRA HUSSAIN HI JAANE TERA RUTBA


HAI SABR TERA ATA-E-HYDER JANAB-E-SUGHRA JANAB-E-SUGHRA

HUSSAIN AKBER KO DEKH LETE JO YAAD NANA KI UNKO AATI


HAI YAAD-E-MADAR ME NAZRE TUJH PER JANAB-E-SUGHRA JANAB-E-SUGHRA

WO SHAIR-E-HYDER CHACHA TUMHARA UTHA KE GOUDHI ME TUM KO PHIRTA


NA CHALNE DETA TUMHE ZAMEEN PER JANAB-E-SUGHRA JANAB-E-SUGHRA

MADAD JO MOHSIN KI TUM NA KARTI NAHIN THI MUMKIN SANA TUMHARI


HO JAAN MERI NISAAR TUM PER JANAB-E-SUGHRA JANAB-E-SUGHRA
(Ali Mohsin Khan Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 92


QASIDA AQDE MOULA ALI (A.S) O FATIMA (S.A)

KYA AQD HAI TALATH FIGAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN


HUSN-E-QIRAAN WAJH-E-HASAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

SAIDAIN HAI IMAAN KE BEHRAIN HAI REHMAN KE


HAI AABRO-E-MARD O ZAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

ZEBA DULHAN KI HAI TARAF SAARE RASOOLO KA SHARAF


DULHA KI JAANIB ZULMENAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

HOORAI’N BARATI AUR MALAK MOUJOOD QAZI-E-FALAK


SHAMS-O-QAMAR SHAMME LAGAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

SEHREY KI LADIYAAN NOOR HAI TAARE SHUWAIN TOOR HAI


HAQ KI TAJALLI ZOU FIGAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

GHUL HAI MUBARAK BAAD KA HAR ASMAAN PER BAR MALA


HAI NOUBATI NAQQARA ZAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

RAHIL NE SEGHA PADHA SHOR-E-QABILTO BHI SUNA


SHAHED MALAYEK KHUSH SUQAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN

AAI JOSH SAB UQDE KHULE HAAN CHAAR CHUND AB HAI SILEY
HAQ MEZBAAN SHAH-E-ZAMAN DULHA ALI ZEHRA DULHAN
(Josh Malihabadi Sahab r.a)

QASIDA AQDE MOULA ALI (A.S) O FATIMA (S.A)

HAI DULHAN FATIMA MOULA ALI AALA DULHA


CHAHIYE AISI DULHAN KE LIYE AISA DULHA

DULHA ALLAH KA WALI BETI ALI KI HAI DULHAN


NA DULHAN HOGI KOI AISI NA AISA DULHA

DO JAHAAN ME NA THA ZEHRA SI DULHAN KA KAFU


CHUNKE KHALIQ NE ALI KO HAI BANAYA DULHA

BADDIYAAN ZAIB-E-BADAN NOOR KI HAI NOOR KE HAAR


SAR PE BANDHE HUWE HAI NOOR KA SEHRA DULHA

YA ALI KYUN NA HO SHADI KI DO AALAM ME KHUSHI


TUJH KO ALLAH NE ZEHRA KA BANAYA DULHA

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 93


YA NABI AAPKO DAMAAD MUBARAK HO YE
MERI SHAHZADI MUBARAK HO ALI SA DULHA

SHOR HAI SALLE ALAA SALLE ALAA KA EHSAN


AQAZADI HAI DULHAN HAI MERA MOULA DULHA
(Hasan Abbas Ehsan Sahab)

QASIDA AQDE MOULA ALI (A.S) O FATIMA (S.A)

SUNO ARSH WALO SUNO FARSH WALO MAI SEHRA ALI KA SUNANE CHALA HOON
JO SUNKAR YE SEHRA HAI JALTE HAMESHA UNHE AUR BHI MAI JALANE CHALA HOON

PADHOON TERE DADA KI SHADI KA MANZAR AAI MERE IMAM-E-ZAMANA MADAD KAR
TASAWWUR ME HAR EK MOMIN MOHIB KO ALI KA BARAATI BANANE CHALA HOON

KHUDA KEHTA HOGA AGAR HOTA KAABA MERE GHAR SE HI JAATI BARAAT ISKI
YE MERA WALI HAI SO ISKE LIYE MAI MADINE KO KAABA BANANE CHALA HOON

KHUDA KE WALI KI HAI SHADI KA MOUQA SIWA-E-CHARAGHO KE KUCH NA JALEGA


KAHA YE FARISHTO NE HUKME KHUDA SE MAI NAAR-E-JAHANNUM BHUJANE CHALA HOON

ATA KAR KE HYDER KO ZEHRA SI ZOUJA PUKARA FALAK PER YE MABOOD MERA
ALI NE BANAYI HAI QISMAT JAHAAN KI ALI KI MAI QISMAT BANANE CHALA HOON

KHUDA KEH RAHA THA MOHAMMAD FALAK PER KAYI BAAR AAYE THE ZEHRA KI QATIR
SO MEIRAJ THA AB NAYA HAI THIKANA DAR-E-MURTUZA KO BANANE CHALA HOON

GHADI RUQSATI KI TAKALLUM JAB AAYI HIJAAB-E-ILAAHI SE AWAAZ AAYI


ALI MERI SURAT HAI ZEHRA HAI AYAT MAI AAYAT SE SURAT MILANE CHALA HOON
(Mir Takallum Sahab)

QASIDA AQDE MOULA ALI (A.S) O FATIMA (S.A)

JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI


SAB ARSH FARSH WALE KHUSHIYAAN MANA RAHE HAI

BAAD-E-SABA KHUSHI ME ITRA KE CHAL RAHI HAI


TEHZEEB AAJ PHIR SE KARWAT BADAL RAHI HAI
JANNAT SAJANE WALE DUNIYA SAJA RAHE HAI
JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI

DULDUL SAWAAR MOULA PAIDAL RAWAAN DAWAAN HAI


BARATIYO ME SHAAMIL NABIYO KA KARWAN HAI
KARNE KO KHAIR MAQDAM SARKAR AARAHE HAI
JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI

MAREFAT KE PHOOL Page 94


MEHMAN NAWAZIYO ME HAI MEHWE SHAH-E-BATHA
KHAANE KI ZIMMEDARI ORDHE HAI UMM-E-SALMA
ILYAS-O-KHIZR SAB KO SHARBAT PILA RAHE HAI
JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI

MIQDAD AUR QAMBER SALMAN HO YA MEESUM


HAWWA HO YA KA SAARA FIZZA HO YA KE MARYAM
SEHRA ALI WALI KA SAB MIL KE GA RAHE HAI

QIRTAS ASMAAN HAI TOOBA KI SHAAQ KHAMA


ALLAH BHAR RAHA HAI KHUD HI NIKAH NAMA
IMRAN AUR MOHAMMAD SEGHE PARDHA RAHE HAI
JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI

KITNA HASEEN HAI MANZAR IS WAQT RUQSATI KA


QURAN KAR RAHA HAI DULHAN KE SAR PE SAAYA
SALMAN AUR ABUZAR DOLI UTHA RAHE HAI
JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI

SUN KAR HASAN SE SHADI NAYAB AUR TAKALLUM


DAWOOD KEH RAHE HAI KYA KHUB HAI TARANNUM
YE SUN KE SAB MUNAFIQ BAL KHAYE JA RAHE HAI
JIBREEL MURTUZA KO DULHA BANA RAHE HAI
(Mir Takallum Sahab)

QASIDA AQDE MOULA ALI (A.S) O FATIMA (S.A)


ALI KE SATH HAI ZEHRA KI SHAADI
SABHI KHUSH HAI KHUDAYI BHI KHUDA BHI

LADKA HAI KHUDA KE GHAR KA LADKI HAI NABI KE GHAR KI


WO ARZ-O-SAMAAN KA MAALIK YE MALEKA BEHR-O-BAR KI
ZAMEEN RAKSA HAI RAKSA ASMAAN BHI

HYDER HAI KULLE IMAAN AUR KULLE ISMAT ZEHRA


USS SAR PE WAFA KA SEHRA ISS SAR PE HAYA KA SEHRA
WO SHEHZADA HAI AUR YE SHAHAZADI

DULHA KE ROOP ME PYAARE ALI IBN-E-ABUTALIB HAI


THA BAAP BHI SAB PE GHALIB YE BHI KULLE GHALIB HAI
YE DAMAAD-E-NABBI HAI AUR WO SAMDHI

BARAAT CHALI HYDER KI REHMAT KE SAAYE SAAYE


BARAAT KE AAGE AAGE QURAAN QASIDE GAAYE
NABI SAARE CHALE BANKAR BARAATI
HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 95


TOHFE ME MILEY MAI KAISE INHE JANANT AUR KAUSAR KO
YE SAARA NAMAK AUR PAANI HAQ MEHR MILA ZEHRA KO
SALAAMI ME MILI MARZI KHUDA KI

KHUDRAT KI TARAF SE INKO ABHI TOHFE AUR MILENGE


KAL INKE HASEEN AANGAN ME DO ASLI PHOOL KHILENGE
HASEEN SHAJRE INHE DENGE SALAAMI

AB CHAHE KOI BHARKE AB CHAHE KOI TADPE


AB MERI BALA SE CHAHE MARJAYE KOI JAL JAL KE
KHUSHI KI BAAT HAI MAI NE SUNADI

KAISE HO BAYAAN WO MANZAR JAB KHATM HUWI SAB RASMEIN


KAUNAIN KI HAR SHEH GOHAR KEHTI THI KHA KAR QASMEIN
MUBARAK HO MUBARAK HO YE SHAADI
(Gohar Jarchvi Sahab)

QASIDA EID-E-GHADEER

KITNA HASEEN HAI MANZAR EID-E-GHADEER AAYI


HAR ZARRA HAI MUNAWWAR EID-E-GHADEER AAYI

MAN KUNTO KI SADA’IN PHIR GONJTI HAI HAR SU


PHIR SAJ RAHA HAI MIMBER EID-E-GHADEER AAYI

LO PHIR CHAMAK RAHI HAI WO DHOOP DO PAHAR KI


BALLIGH KE LEKE TEWAR EID-E-GHADEER AAYI

SEHN-E-CHAMAN ME DEKHO HAR SIMT KEH RAHE HAI


GUNCHE CHITAK CHITAK KAR EID-E-GHADEER AAYI

ISLAM TERA CHEHRA KIS NE KIYA THA ROSHAN


KARLE WO YAAD MANZAR EID-E-GHADEER AAYI

ELAAN HO RAHA HAI AHMAD KE JANASHEEN KA


KHUSH HAI MOHIBB-E-HYDER EID-E-GHADEER AAYI

JO AAJ KHUSH NAHI HAI BESHAK WO SAB HAI KAFIR


MASROOR HAI PAYAMBER EID-E-GHADEER AAYI

LO JAMA’H HO RAHE HAI SAARE GHADEERI MEIKASH


TAKRARAHE HAI SAGHAR EID-E-GHADEER AAYI

TAQSEEM HO RAHI HAI BALLIGH KI MAI MUSALSAL


PEETE HAI SAB SUQAN WAR EID-E-GHADEER AAYI

MAREFAT KE PHOOL Page 96


HYDER KE DAR PE AAO DIL KI MURAD PAAO
QAM KARDO SAR YEHIN PER EID-E-GHADEER AAYI

HAI MOMINO KE GHAR ME RONAQ RASHEED HAR SU


SAB KEH RAHE HAI MIL KAR EID-E-GHADEER AAYI
(Rasheed Shaheedi Sahab)

QASIDA EID-E-GHADEER

SAGHAR MAI GHADEER SE CHALKA KE PIGAYA


SAQI KE HAR HAREEF KO TADPA KE PIGAYA

HAR DUSHMAN-E-SHARAB-E-VILA NE BURA KAHA


MAI MUSKURAKE JHOOM KE LEHRA KE PIGAYA

JAB BHI MILI HAI FURSAT-E-BAADA KASHI MUJHE


MAI SHUKR KI NAMAZ BAJA LAA KE PIGAYA

ISS MAIKASHI PE MERI MUSALMAN THE MOUTARIZ


MAI CHADAR-E-RASOOL ME CHANWA KE PIGAYA

CHARO TARAF THEY ZULM KE PEHRE LAGE HUWE


ME SABR KE HUDOOD ME BAL KHAAKE PIGAYA

KAUSAR BHI MERA SAQI-E-KAUSAR BHI HAI MERA


CHAHA TO JIBRAEEL SE MANGWA KE PIGAYA

BALEEN PE AA KHADI THI AJAL KHATM KI HAYAT


MAI THODI DAIR MAUT KO BEHLA KE PIGAYA

THEY MERE SATH JAAM BAKAF AMBIYA TAMAM


MAI APNI PARSAYI BHI MANWA KE PIGAYA

KIRMANI MUSTAFA KI DUA KA HAI MUSTAHIQ


JO MURTAZA KE NAAM PE LEHRA KE PIGAYA
(Kirmani Sahab r.a)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 97


QASIDA EID-E-GHADEER

ABU TALIB KA BETA ABU TALIB KA BETA


FAZILAT KA MEENARA ABU TALIB KA BETA
GHADEER-E-QUM KA DULHA ABU TALIB KA BETA

ALI MURDO’N KO JILAAYE ALI SURAJ PALTAYE


KARISHME DEKH KE JIS KE ZAMANA DHOKA KHAAYE
KHUDA HAI YA HAI BANDA ABU TALIB KA BETA

NASAB KUCH AISA PAAYA NABI NE BETI DEDI


SHAB-E-HIJRAT JO SOYA KHUDA NE MARZI DEDI
SHARAF KA ARSH-E-MOALLA ABU TALIB KA BETA

JO INSE BUGHZ RAKHEGA BADI MUSHKIL ME MAREGA


YAHAAN BHI HATH MALEGA WAHAN BHI HATH MALEGA
HAI BAKSHISH KA DARWAZA ABU TALIB KA BETA

USSE KEHTE HAI KAFIR PAYAMBER KA JO CHACHA HAI


AAI FARZI BAAP KE BETO WO SAB KUCH DEKH RAHA HAI
HAI AB BHI GHAIB ME BAITHA ABU TALIB KA BETA

MERA IMAAN ALI HAI MERI PEHCHAAN ALI HAI


ZAMANE WALO SUN LO MERA SULTAN ALI HAI
SHAHINSHAHI KA IDARA ABU TALIB KA BETA

HUWI JAB INKI VILADAT BUTOUN KI AAYI SHAAMAT


MUQADDAR DEEN KA JAAGA MILI KAABE KO TAHARAT
WIQAR-E-KHANA-E- KAABA ABU TALIB KA BETA

MILA JAB MAAL-E-GHANIMAT IKHATTA HOGAYI UMMAT


MAGAR JAB DEEN-E-NABI KO PADI HAI KHOON KI ZARURAT
NIKAL KAR SAAMNE AAYA ABU TALIB KA BETA

WO NIKLA QAIMA-E-HAQ SE BANI HASHIM KA JIYAALA


BATATI HAI YE JALALAT BITHA DO KITNA HI PEHRA
UTHA LEJAYEGA DARIYA ABU TALIB KA BETA

JAB EK HALKA SA TABASSUM BANA SHAMSHEER-E-JALALAT


TO PHIR FAYYAZ NA JAANE WO HOTI KAISI QAYAMAT
AGAR KHUL KAR HASDETA ABU TALIB KA BETA
(Fayyaz Barelvi Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 98


QASIDA EID-E-GHADEER

JAB ZIKRE GHADEER-E-QUM AAYE IMAAN KI KHUSBO AATI HAI


HUM GHAR ME SAHIN MASJID ME SAHIN MAIDAN KI KHUSBO AATI HAI

QAYYAT KAHAN SE AAYA HAI KIS KE LIYE TOHFE LAYA HAI


KYUN AAJ ZAMEEN PER JANNAT KE DARBAAN KI KHUSBO AATI HAI

JAB NUQTA-E-BA SE HOTA HAI AGHAZ KALAM-E-BAARI KA


AURAQ-E-KITAB-E-HAQ SE MUJHE IMAAN KI KHUSBO AATI HAI

INSAN MAI SAB KO KYUN SAMJHOON HAAN JIS KO ALI KA ISHQ MILE
AISE HI BASHAR SE BAS MUJH KO INSAN KI KHUSBO AATI HAI

DAURAN-E-TILAWAT BALLIGH PER JIS WAQT NAZAR RUK JAATI HAI


AYAT SE GHADEERI MEHFIL KE ELAAN KI KHUSBO AATI HAI

NATIQ KA TALLUQ SAMIT SE HAR HAAL ME SAABIT HOTA HAI


AATA HAI JO LAB PER NAAM-E-ALI QURAAN KI KHUSBO AATI HAI

ABBAS ALI KI SURAT ME SHAYED LAB-E-DARIYA POHONCHE HAI


SAHIL KI HAWAA SE MOULA KE ARMAAN KI KHUSBO AATI HAI

MASJID ME NAMAZO KI KHATIR JIS WAQT AZAAN DI JAATI HAI


TAKBEER SE IBN-E-ZEHRA KE EHSAAN KI KHUSBO AATI HAI

KARTA HAI JO AKHTAR ZIKR-E-ALI ALFAAZ KE GUNCHE KHILTE HAI


HAR SAANS MOATTAR HOTI HAI IMAAN KI KHUSBO AATI HAI
(Akhter Zaidi Sahab r.a)

QASIDA EID-E-GHADEER

SURAJ YE KEH KE DEEN KA UBHRA GHADEER ME


TAKMEEL AAJ PAYEGA QURAAN GHADEER ME

QURAAN KI AYATOU’N KA SAFAR INTEHA PE THA


THI IBTEDA PE NAHJE BALAGHA GHADEER ME

SADIYO KA FAASLA HAI MERE UN KE DARMIYAAN


LEKIN MAI JAANTA HOON KE MAI THA GHADEER ME

RASTA BHATAK RAHA THA MUSAFIR GHADEER KA


HUR BAS ZARA SI DER SE POHONCHA GHADEER ME

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 99


NAAM-E-ALI NAHIN THA TOH AADHI THI YE AZAAN
POORA HUWA AZAAN KA CHEHRA GHADEER ME

BAAZU BULAND KAR KE DIKHATE RAHE RASOOL


ANDHO NE PHIR BHI KUCH NAHI DEKHA GHADEER ME

DIL MAST AANKH MAST ZUBAAN MAST ROOH MAST


QAMBER THA KHAAS DEKHNE WALA GHADEER ME

JAB SE ALI HAI TAB SE HAI MOULA-E-KAYENAAT


ELAAN TAI SHUDA THA KE HOGA GHADEER ME

SAJDA KABHI IDHER KIYA AKBER KABHI UDHER


DAEIN TO KABHI BAEIN THA KAABA GHADEER ME
(Hasnain Akber Sahab)

QASIDA EID-E-GHADEER

HUM ALI KE DEEWANE HAR ADA GHADEERI HAI


IBTEDA GHADEERI HAI INTEHA GHADEERI HAI

AMBIYA IMAMO KA SILSILA GHADEERI HAI


PADH LO AYAT-E-BALLIGH KHUD KHUDA GHADEERI HAI

AAJ BHAGNE WALE RAASTA NA PAYENGE


MAIMANA GHADEERI HAI MAISARA GHADEERI HAI

NAAM LE KE HYDER KA HUM YE JAAN LETE HAI


KAUN HAI SAQIFAYI KAUN SA GHADEERI HAI

USKO KYA DARAYEGI MUSHKILEIN ZAMANE KI


KARBALAI DIL JIS KA HAUSLA GHADEERI HAI

KHUD HI USKE QADMO ME BADH KE AYEGI JANNAT


BADH KE JIS KO HYDER NE KEH DIYA GHADEERI HAI

KUFR AUR BAATIL KI BAS SAQIFA MANZIL HAI


HAQ PASAND LOGO KA RAASTA GHADEERI HAI

DEKH KAR MUJHE AKHTER DI SADA YE RIZWAAN NE


KHULD ME CHALE AAO RAASTA GHADEERI HAI
(Akhter Lakhnavi Sahab)

HOME PAGE

MAREFAT KE PHOOL Page 100


QASIDA EID-E-MUBAHILA

HAI AAJ DIN KHUSHI KA EID-E-MUBAHILA HAI


BAATIL KA AUR HAQ KA DEKHO MUQABILA HAI

JAATE HAI PANJETAN AB GHAR SE MUBAHILE KO


HAI JAMAAH SAB NASARA MAIDAAN ME GHULGULA HAI

ZEHRA NISAYENA ME ABNAYENA ME HASNAIN


NAFS-E-NABI ME HYDER KYA KHOOB SILSILA HAI

YE AHLEBAIT BHI HAI AUR HAI NABI KE QURBA


SAB PER MUWADDAT IN KI EK FARZ-E-KIBRIYA HAI

KARTE RAHE HAMESHA ISLAM KI MADAD YE


QURAAN ME HAR JAGAH PER INKA HI TAZKIRA HAI

EISSAIYO KE KHAIF HAIRATH SE DEKHTE HAI


KEHTE HAI KYA KHUDA NE JALWA INHE DIYA HAI

ANWAAR-E-PANJETAN KO EK JAA JO JAMA DEKHA


EISSAIYO KA MAJMA SHARMINDA HO RAHA HAI

JUZIYA QUBOOL KAR KE AQIB NE SULHA KARLI


PAAKAR SHIKAST BATIL HAQ JAGMAGA RAHA HAI

ZILHIJJ KI KYA MUBARAK CHAUBEES HAI HUSSAINI


AHMED NE FATHA PAAYI KHUSH AAJ KIBRIYA HAI
(Hussaini)

MAREFAT KE PHOOL Page 101

You might also like