Maut Ka Safar

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Maut Ka Safar

Khitab : Maulana Tareek Jameel Saheb

Hu wallazi yusavvirukum fil arhaami kayfa yashaa

Tumhara Rab hi hai jo tumhe jaisi chahta hai shakal ata farmata hai.

yeh ek aisi hakikat hai jiska koi inkaar kar nahi kar sakta. do marhale hai jiska
koi inkaar nahi kar sakta. hum na apni marzi se is duniya me aaye na to apni marzi
se is duniya se jayenge.

Layi hayaat aaye kaza le chali chale


Na apni khushi aaye na apni khushi chale

Aur na to apni marzi se hamari shaklo surat, hamari skin ka colour aur hamare
sochne ka dhang nahi bana. hume banaya hai rabbul aalameen ne.

Wa lakum mee aa du yaum

ek din Hamare ilm me tay hai ki


La ta'a firuna anhu saa atam wal atam wal atat takdimun
jab wo (din) aayega kayenaat ki koi takat tumhe bacha nahi sakti

wa izal maniatu an shabat azfaaraha


jab maut panje gaadti hai
tu dekhta hai ki saari tadbeeren toot jati hai

Allah taala ne paidaish aur maut dono mein majboor kar diya. beech mein thoda sa
arsa hai. isme bhi Allah ne hame bandh ke rakh diya hota to koi Allah ka nafarmaan
na hota. Na koi mard na koi aurat koi kaafir na hota.

Allah farmata hai ki Hum chahe to tum sab ko hidayat de de.

Zamin aasmaan ke nizam koi aur duniyaao ko ALlah taala chala raha hai. Hamara to
wajood hi 5-6 foot ka hai.

A' Antum Ashaddu Khalkam Amissamaa

Tumhara banana mushkil ya aasman ka ?

Allah ne aasman ki chhat ko banaya zamin ko past kiya zamin par pahado ko bithaya
phir sabz ugaye mitha pani nikala kiske liye ?

TUmhare liye , tumhare jaanwaro ke liye !

Yusikus samawate wal arda antazoola


Zameen aasman uske samne jhuke huve hai

Ataiyna tabeien

Aye Allah hum tere taabe hai

Suraj zamin se 12 lakh guna bada hai. Itni badi muheeb kayenat hai aur is kayenat
ke 97% hisse me roshni koi nahi. Andhera hi andhera hai. Its black hole. Waha
suraj chand sitare aur 9 sayyare aur kaee arab chhote chhote sitare hain aur woh
7.5 arab meel mein faila huva hai aur black hole mein se ek tea spoon jitna unit
nikal kar palde mein rakha jaye to yeh 1 tea spoon of measurement unit hamare 7.5
arab meel ke nizam se zyda wazani hai. sare nizame shamsi se. aur jo 3% hai usme
10 kharab galaxies hai kehkashaye. Aur har galaxy mein kai arab sayyare hai. aur
in sayyaro mein jo sab se door tareen sayyara dekha gaya hai uski roshni ko zamin
par aane mein 14 arab saal lagte hai. ek second mein roshni 1 lakh 86 thousand
mile ka safar tay karti hai. to 14 arab sal roshni apni raftaar se safar kare tab
jaa kar uski shuaa is zamin par padti hai. uski pehli shuaa uska pehla photo
insano ne liye hai woh 14 arab saal purana hai. aur Allah taala ke nazdeek ye sari
kayenat jiske bare mein soch kar bhi hum baukhla jate hai hairat mein aur tajjub
mein pad jate hai aur kabhi kabhi hame lagta hai ki yeh sara nizame shamsi hamare
to kya kisi aalatareen scientist ke dimag aur shaoor se bhi bahar ki cheez hai to
yeh sari kayenat Allah taala ke nazdeek machhar ka par hai makdi ka jaala hai. aur
is taveel aur itni zabardast kayenat ka nizam Allah taala ne is kadar sambhala
huva hai ki kahi bhi zarra barabar bhi change nahi aata nizam mein. TO agar Allah
chahe to kyu na sab farmabardar ho jaye. Lekin Allah farmata hai Hum dekhna chahte
hai ki Hamari maan kar kon chalta hai. Allah ko kon razi karta hai aur apni nafs
ko razi kon karta hai.

Khalakal mauta wal hayaat li yubluwakum ayyukum ahsanu a'malaa

Humne zindagi aur maut ka nizam chalaya hai yeh dekhne ke liye tumme kon hai jo
hamari maan ke chalta hai.

Mere bando tumhe kya ho gaya hai aur tum kaise zindagi guzar rahe ho jaise tumhara
koi nigehbaan nahi ? mere farishte tumhare har bol ko likh rahe hai. Allah taala
ki khuli kitab hame bata rahi hai ki tumhari aankh galat dekhti hai tumhare ander
galat jazbaat paida hote hai woh bhi likha jata hai.

to insan ko paida kyu kiya gaya ?

hum log mar ke mar jate to yeh masla bada hi aaasan tha. koi jawabdehi nahi, ek
examination insan is liye deta hai ki phir use result dekhne ki aur phir us result
ki beena par aage ka meyar tay karne ki talab hoti hai aur mission hota hai. hum
me se aksartareen logo ne kahi na kahi koi na koi exam de hogi. phir exam dene ke
bad kya hota hai ? result ka intazar. aur us result par hamari aage ki career ka
daromadaar hota hai. to hum log hai is waqt ek examination hall mein. aur aise
bekhabar hai aise bekhabar hai jaise exam nahi balki khel kud kar rahe hai. kya
yeh masla itna aasan hai ki zindagi naam ka ek sab se bada sab se bada hamare unit
tests, ssc, hsc, bcom, bsc, it, llb, har degree har diploma ki satah se azeemtar
ek exam har pal ham de rahe hai aur har action record ho raha hai batur hamari
answer sheet aur practical ke. hum kya practical kar rahe hai aur kaha us text
book aur us manual ko padh kar samjhne ki koshish kar rahe hai jo hamari aur saari
kayenat ke wajood ko chalane ke liye khas nazil kiya gaya for our sake.

agar mar ke mar jate mitti ho jate to kya bat thi lekin mar ke marna nahi hai
marke nayi zindagi ka aagaz hoga jaha results display honge aur aage ki career tay
hogi. aur yeh to ek aisi ajeeb aur aisi aasan exam hai ki har action par ehtiyat
barto to inam hi inam aur phir yeh exam ka time kab over ho jayega koi nahi janta.
Hazarat Ali r.z. ka irshad hai "Log soye huve hai. Jab maut aayegi to aankh khul
jayegi"

Yeh duniya khwab hai. ek aadmi khwab dekhta hai ki mein mehal mein reh raha hu aur
ek khab dekhta hai ki mein jhopde mein reh raha hai. maut sarpat aati hai aur dono
ko utha kar mitti ke hawale kar deti hai. saara khel khatam. Qatar mein ek bahut
hi aalishan aalatareen mehal hai. kisi ne dekh kar puchha kya ye kisi shahi
khandan ka hai ? kaha nahi yeh to Qatar ke sab se ameer aadmi ne banwaya tha. phir
kuchh 5 sal tak waha raha phir intekaal kar gaya. Aaj jaha uski qabr hai thik uske
bazu mein Qatar ke sab se muflis fakir ki kabr hai. dono bazu bazu. yeh bhi usi
mitti mein, woh bhi usi mitti mein.

ya ayyuhannaas inna wa'adallahe haqq

e logo khub sun lo ke mera waada sachcha hai

woh kya waada hai

min ha khalakna kum


is mitti se tumhe banaya

wa feeha nu'ee dukum


yahi tumhe wapas pahucha dunga

wa minha tukhrijukum ta'aratan ukhra


isi se tumhe doobara zinda kar dunga.

Quran mein Allah ne kasam khayi hai qayamat ke mutallik


Tere rab ki kasam Qayamat ka uth'na haq hai,

Allah ke habib sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farma kar gawahi di

Aye Allah mein gawahi deta hu ki tera waada sachha hai, jannat hak hai, jahannum
hak hai, qayamat hak hai aur Tu hame maar kar zinda karega yeh baat hak hai

Tum sab ke liye woh din muta'ayyan hai.

Sab ko Allah ki bargah mein khada hona hai.

DUnya mein aana ek bada haadsa hai, mar jana usse bhi bada hadsa hai.

You might also like