4 Munkaraat
4 Munkaraat
4 Munkaraat
nirajeem bismillah hir rahmaan nir raheem Wa innaka laala qulooqin azeem Rabbish rahli sadri wa yassirli amri wahlul uqhdatam millisaani yafqahu qawli Aaj ki meri is taqreer ka unwaan hai tabah kar dene wale chaar munkaraat. Allah subhanahu wa taala ne insaano ko jis maqsad k liye duniya me bheja hai, wo wahid maqsad yehi hai ke jiske baare me Allah ne Surah Mulk me farmaya, Allazi qalaqal mauta wa hayaata li yabluwakum ayyukum ahsanu amala. Yaani humne tumko maut aur zindagi ata ki hai sirf iss maqsad ke liye ke hum dekhe ke tum me kaun ache amal karne wala hai. Aur Allah subhana hu wa taala yu toh zindagi me kayi baato se humko aazmaate hain lekin aj mai apke saamne inshallah un chaar azmaaisho ka tazkera karungi jo mera unwaan hai. Unwaan jaisa ke aap jaante hai tabah karne wale chaar munkaraat hai. Ye chaar baatein aisi hai jisse is zameen ki sabse aala tareen shaqsiyat Nabi (s) ne bhi panah maangi hai aur ummat ko bhi inse bachne ki targheeb di. In chaar baato me se sabse pehli baat jisse Allah ke Nabi (s) ne apni dua ke zariye panah maangi, wo ye hai Allahumma inni auzubika min munkaratil aqlaaq. Yaani sabse pehli cheez jisse Allah ke Nabi (s) panah maanga karte thay wo hai, bure aqlaaq. Nabi (S) ke aqlaaq aur kirdaar ke baare me Allah taala ne Quran me wazeh farma diya ke aqlaaq ki buland tareen choti par Nabi (s) hi fayez hai. Yaani Nabi (s) se behtar aqlaaq wala iss duniya me kabhi koi ho hi nahi sakta. Allah ki iss gawaahi ke bawajood Allah ke Nabi (S), Allah se dua karte ke Allah mujhe bure aqlaaq se bacha le. To andaza lagaiye ke Allah ke Nabi (S.A.W) ke aqlaaq kitne aala honge. Jab Allah ke Nabi (s) aqlaaq me ala tareen hone ke bawajood bure aqlaaq se panah maanga karte thay toh phir mera aapka kya maamla hona chahiye? Isliye ke badh aqlaaqi aur badh tameeziya har qaum me paayi jaati hai lekin badh aqlaaqi aur badh tameezi agar hum musalmaano ke andar ajaye toh ye bade fikr ki baat hai isliye ke Allah ne hume imaam-e-ummah banaya hai aur imaam ummah ke andar agar badh aqlaaqiya ajaye toh phir hum dusro ko kya aqlaaq sikhayenge.. Aaj agar hum khud apni zindagiyo ka jaiza lekar dekhen toh har maamle me badh aqlaaqi nazar aayegi. Jaisa ke hum aurto ke agar aam amal par nazar daal le jaha wo a) burqha pehenti hai toh kayi ladkiyo ke burqhe pehenne me be hayai aur badh aqlaaqi jhalak kar aati hai. b) dawato ke mauqhe par jaha khaane ke dastar par bulaya jaata hai toh waha badh aqlaaqi ka muzahira hota hai. c) mehfilo ke mauqhe par zor zor se baatein karna aur hasna. d) dusre logo ki zindagi ke maamlaat ko apni guftagu ka mauzu banana. e) khud ke walidain ke saath toh badh aqlaaqi hoti hi hai uske sath sath zari si choti baat par saas waghaira se bhi badh aqlaaqi se pesh aate hain aur bado ka bhi yehi maamla hai ke apni bahu betiyo ke sath bhi apni akard ke liye aisi baat zuban se nikaal dete hai jaha khud bado ko apni badh aqlaaqi nazar nahi aati hai. Jabke hum uss Nabi (s) ki ummat hai jiske aqlaaq ke baare me jab Ayesha (RA) se poocha gaya toh aap ne farmaya kaana quluqu hul quraan ke Allah ke Nabi (s) toh chalta phirta Quran thay. Goya ye hadith mere aur apke saamne wazeh karti hai ke hamari badh aqlaaqiyan chahe wo kisi bhi tarah ki badh aqlaaqi ho unki wajah sirf Quran se doori hai. Aaj hum zindagi ke tamaam maamlaat me Quran aur hadith se jo doori ikhteyaar kar rahe hai is se saaf wazeh hai ke aaj hamare andar Allah ka qauf jaise rehna chahiye tha waise nahi hai. Aur insaan ko badh aqlaaq banana k
liye ye cheez kaafi hai ke wo Allah ke qauf ko bhula de. Jabke hamari safo me aise aslaaf guzre ke jin ke aqlaaq se qauf-e-ilahi ka andaza lagaya jasakta hai. Aur Allah ke Nabi (s) ne apni aurto ko yaani hamari maao ko aise aqlaaq ki taleem di ke jiske zariye hume sabaq lena lazim hai. Waqiya: Chand yahoodi Allah ke Nabi (S) k paas aaye toh uss waqt Ayesha (ra) Nabi (S) k sath thi. Un yahoodiyo ne Nabi (S) se kaha Assaamualaikum yaani aap par maut ho. Allah ke Nabi (S) khamosh rahe lekin Ayesha (RA) ko ye baat bardasht na hui aur unhone fauri yahoodiyo se keh diya tum par bhi maut aaye aur tum par Allah ka ghazab nazil ho. Jab Allah ke Nabi (S) ne Ayesha (RA) ka ye jawaab suna toh Aap (S) ne farmaya ke Ayesha, tum logo se badh zubaan mat hojana balke logo se narmi ke sath baat kiya karo. Andaza lagaiye iss baat ka ke yaha Ayesha (RA) ko ghussa ajana lazim aur wajbi baat thi lekin unka ye amal qayamat tak aane wali iss ummat ki betiya dekhne wali thi isliye Nabi (S) ne usi waqt unke zariye saari ummat ko paighaam de diya ke tum badh aqlaaq mat hojao aur apne ghusse ko khaboon me rakho aur log se bure alfaaz me baat mat karo aur logo ko badh dua na do balke dushman ke sath bhi husn e sulook ke sath pesh aao take tumhare ache aqlaaq ki wajah se tumhara dushman bhi tumhara dost ban jaaye. Aur acche aqlaaq agar hamaare ho jaaye to phir InshaAllah jannath ka raasta integhaayi qareeb hai. Hz.Umar (ra) qilafath ke daur mein madine mein ek bimaari ki hawa chali jis ki wajesh kuch hee dino mein kayi sahaba ki mauth pesh aa gayi.. ek sahabi Hz.umar (ra) ke paas milne ke liye aaye to saamne se ek janaza guzra to logo se pucha ye kis ka janaza hai, to jawab mila ke fala sahabi ka hai, to naam sunte hee logo ne kaha ke ye to bade acche aadmi thein yaani amal aur aqlaaq se bahuth acche thein, ye sun Kar hz.umar(ra) ne kaha ke is par waajib ho gayi, phir ek aur janaza guzra to phir pucha kis ka hai, jawab mila ke fala ka hai to logo ne kaha ke ye sahabi bhi acche amal waale thine yaani aqlaaq aura mal duno acche thein Hz.Umar ne kaha ke is par bhi waajib ho gayi. Us sahabi ne kaha ke hz.umar (ra) kya waajib ho gayi unhone kaha ke hum Nabi (saw) ke saath thien to aap (saw) ne famrya ke jis shaqs ke acche aqlaaq ke baare mein 3 log gawaahi de de to aisa shaqs jannath mein jayega, sahaba (ra) ne pucha ke agar 2 logo ki gawaahi mil jaaye to, Nabi (saw) ne farmaya ke 2 logo ki gawahi bhi mil jaaye to wo jannati hai To goya agar hum ko agar ghar ke koi 2 admiyo ki gawahi hamari mauth ke baadh mil jaaye to hamaare liye InshaAllah kaafi hai chaahe wo bhai behen ki, ya baap bte ki ya kisi 2 dosto ki mil jaaye.. isi liye har ek se acche aqlaaq se pesh ana chahiye, na jaane kis ki gawaahi mil jaaye