BHOLA

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 6

Written By - Yash Sharma

BHOLAA
SCENE 1(a) COCONUT STALL. EXT./EVENING

Shots coconut wala ek coconut cut karke, straw dal kar bhola ko
deta hai. Coconut wala bhola se baat karta hai, bhola kuch sochta
hai.

COCONUT WALA
Yeh lo bhaiya,

Bhola coconut water pine lagta hai.

COCONUT WALA
Ek baat bataiye, bhaiya. roz nariyal Pani peene ki koi khas wajah.

Bhola coconut water pite hue apni aankhe band karta hai. Uske
kaano mein khushi ki aawaz aati hai.

KHUSHI VO.
Bhola,

BLANK
(TEXT-FEW WEEKS BEFORE)

KHUSHI VO.
Nariyal paani peeya karo sukun milta hai, sehat ke liye accha
hota hai.

FLASHBACK (FEW WEEKS BEFORE)


F/SCENE 2(a) ROAD. EXT./EVENING

Bhola aur Khushi walk karte hue baat karte hain. Bhola ek dialogue
marta aur phir Khushi Sharma jati hai.

BHOLAA
Hmm, tum piyo nariyal paani. Meri sehat toh tumhara sukun bhara
chera dekh kar apne aap thik ho jati hai.

Khushi wow expressions deti hai.

BHOLAA
Waise tumhe nariyal paani kafi pasand hai

KHUSHI

1
Written By - Yash Sharma
Nahi…Haan

BHOLAA
Kya hua

KHUSHI
Kuch nahi.

Khushi starts whispering

KHUSHI .
Ab isse kaise batau ki mujhe nariyal Pani se nahi. Is bhola ke
sath hone se sukun milta hai.

Khushi Sharmati hai.

F/SCENE 2(b) GOL-GAPPA STALL. EXT./EVENING

Khushi aur bhola gol gappe kha rahe hai. Ek dusre se khane ka
competition kar rahe hain.

NEXT DAY
F/SCENE 2(c) ROAD. EXT./MORNING

Khushi aur bhola dono hath pakad kar scooty par ghum rahe hain.
Vijay apne friends ke sath hai aur woh Khushi aur bhola ko dekhta
hai.

F/SCENE 2(d) MANDIR. EXT./EVENING

Bhola aur Khushi Mandi mein khade hain aur pujari ke paar chute
hai ek sath.

F/SCENE 2(d) ROAD. EXT./EVENING

Bhola dogs ko khana khila Raha hai, aur Khushi dog ko sehla rahi
hai.

NEXT DAY
F/SCENE 2(e) PARk. EXT./MORNING

Khushi aur bhola mil kar ek podha laga kar chale jate hai. Us
podhe par Vijay peeche baitha hai headphone laga kar, vijay Khushi
aur bhola ke jaane ke baad, chal kar podhe ke pass jata hai.
Khushi aur bhola ko dekh kar phodhe ko paar se kuchal deta hai.

2
Written By - Yash Sharma
BLANK
(Sound of gunshot)

F/SCENE 4(c) OLD BUILDING INT./EVENING

Bhola ke face par blood ke splash hai, khushi uske hath mein dead
hai aur bhola chalte chalte hue camera ki taraf aa raha hai. Bhola
ke sath mein Gun bhi hai. Peeche 2 bando ki lash padi hai but
peeche bhi dark hai.

BHOLA VO.
प्रणयवञ्चितः परु
ु षः स्त्री वा न जीवतंु शक्नोति ।
अर्थात ्
परु
ु ष हो या स्त्री जो प्रेम में असफल हो जाता है , वह जीवन जीने में भी समर्थ नहीं हो सकता
है ।

CUT TO

SCENE 1(b) COCONUT STALL.

Bhola aakh kholta hai aur gusse mein nariyal paani fak kar apni
scooty par baith kar chal deta hai. Coconut wala mafi bhi mangta
hai.

COCONUT WALA
Bhaiya bataye nahi?...

Bhola nariyal fak deta hai.

COCONUT WALA
kaa hua…humne kuch galat bol diye ka?

CUT TO:

SCENE 3(a) BHOLA'S HOUSE. INT./EVENING

Bhola Khushi ki picture ke aage khade ho kar khushi se mafi mangta


hai aur phir bhole nath ka aashirwad ke kar pushup karna shuru
karta hai. Lekin 2-3 ke baad thak apni position hold karta hai aur
aankhe band karta hai. Koi dusri building ki chat par khada hai.

BHOLAA
Mujhe maaf karna khushi main, chah kar bhi kuch karne ki halat
mein nahi tha. Kash uss main rok pata… Lekin mein ab mehnat kar
raha hoon aur khud ko behtar banane ki koshish kar raha hoon. Main
janta hoon, na woh waft wapas aa sakta hai aur na tum… Main
koshish nahi chodunga.

3
Written By - Yash Sharma

BLANK
(TEXT-FEW DAYS BEFORE)

FLASHBACK
F/SCENE 4(a) OLD BUILDING INT./EVENING

Khushi zameen par gire hue hai, uske hath paar bandhe hue hain.
Khushi aur Vijay baat kar rahe hain, phir bhola wahan aata hai.
Vijay ne Khush par gunpoint kar rakhi hai. Bhola jaise hi aage
badhta hai, Vijay khushi par goli chala deta hai. Vijay par blood
splash hota hai. Bhola chillata hai aur bhaag kar kar Vijay ke
sath se gun girwa kar, face par 2 punch marta hai. Peeche se dusra
banda bhola ke knee joint par laat marta hai aur phir sar par maar
deta hai. Bhola gun ke upper gir jata hai aur jab bhola Khushi ka
hath pakadne ki koshish karta hai tab Vijay khushi ka hath duur
kar ke Vijay ke sar par laat mar deta hai. Vijay aur uska dost
wahan se chale jate hain. Background mein aawaz aati hai "Bhola".
Bhola apni aakh kholta hai aur bhola khade hote hue gun uthata
hai.

VIJAY
Kyu kiya tune mere sath aisa

KHUSHI
Main kuch nahi kiya,

BHOLA
Khushi…khushi!

Bhola came there

VIJAY(ANGRY)
bholaa

Bhola ki entry hoti hai, bhola Khushi ko dekhta hai aur aage ek
step badhan wala hota hai tabhi vijay gun load kar ke Khushi par
point karta hai. Bhola apna paar peeche hi rakh leta hai.

BHOLA
Vijay,

VIJAY(ANGRY)
Kya Vijay, Khushi baap ne mere sath iski shadi bachpan mein fix
kar di thi.

KHUSHI

4
Written By - Yash Sharma
Papa nashe mein the.

VIJAY
Jo bhi tha, tu agar mere ghar ki bahu nahi ban sakti toh mat ban,
lekin kisi aur ke Ghar ki Bahu main tujhe banne nahi dunga.

Vijay fire kar deta hai.


Bhola chillata hai.

BHOLA
Khushi

Bhola bhagte hue aata hai inke fight hoti hai.

F/SCENE 4(b) OLD BUILDING INT./EVENING

Vijay aur uska friend chal kar aa rahe hain. Vijay realise karta
hai uski gun uske pass nahi hai. Tabhi saamne se bhola aa jata hai
aur gun point karta hai.
BLANK
(Gunshot sound)

CUT TO:
REALITY
SCENE 3(b) BHOLA'S HOUSE. INT./EVENING

Bhola apni position se gir jata hai aur rone lagta hai. Bhola uth
kar baithta hai. Phir rone lagta hai.

SCENE 5 BHOLA'S HOUSE FRONT BUILDING. EXT./EVENING

Ek Banda phone par hai aur kisi ko bhola ke baare mein bata-ta
hai. Phir wahan se nikal jata hai.

SPY
Yeh goli nahi chala sakta, iske baski 3 pushup nahi hai… main
nikal raha hoon.

SCENE 3(c) BHOLA'S HOUSE. INT./EVENING

Bhola ab rote hue hasne lagta hai. Uth kar apne washroom mein jata
hai jahan Vijay ki body hain ice or salt ke sath. Bhola ek bada
wala chaku uta kar vijay ke hath par marta hai.

BLANK

SCENE 6. OUTSIDE BHOLA'S BUILDING. EXT./EVENING.

5
Written By - Yash Sharma
Bhola apni scooty mein back colour ki Panni tanga kar, wahan se
nikal jata hai.

BLANK

SCENE 7. PARK . EXT./EVENING.

Bhola park mein ek dog ke sath baith hai aur in-dono ke paas pass
blood gira hua hai. Bhola bahar jata hai

SCENE 8. COCONUT STALL. EXT/EVENING

Bhola bahar aa kar scooty par baitha hai, uske kande par koi hath
rakhta hai. Bhola peeche mudhta hai, nariyal waale se ek nariyal
deta hai. Bhola baith kar wahi peeta hai.

COCONUT WALA
Bhaiya humein nai pta, hum ka bol diya. Maaf Kari Dio aur ae
nariya Leo… Paisa baad mein dena.

Bhola nariyal Baith kar wahi pita hai

BHOLA VO.
Jaldi hi dobahar milte hai.

THE END

You might also like