Ghalu & Takseer

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 15

786

92-110
Salam un Ala Ahlayhe

Ap k tamam msgs ka jawab dayna tafseel say zarori tha aur is k lia main nay ap k send krda aik
aik msg ko lekha aur us ka jawab alag alag mukamal detail say likha sath sath har paish karda
hadees per tabsara b kia aur tamam reference aisi books say diay jo ap k nazdeek qabl-e-qabool
hon aur inkar krny k laiq ap na raho. Ap k har msg ko main nay “MSG 1” or “MSG 2” kr k tarteeb
say highlight kia hai aur ta k ap asani say sawal aur jawab parh sako. Jo Jo jumly nehayat ghor
talab thay un ko red kr k show kia aur sath he underline kia hai. Umeed hai ap takabur na karo ga
aur Masoomeen (AS) k farameen k agay sir jhuka lo gay.

YOUR MSG 1
Aap nay kaha k
“Sydo Ap samjti ho k main wilayat ki munkir hon? nahe main manti ho Ali (AS) ko magar utna Jitna
Allah our Rasool (S.A.W.W) Nay Btaya hai.

OUR REPLY

Yaqeenan Munkir he nahe Muqasir bhe ho, Jo Ali (AS) k fazail main shak krty ho. Aima (AS) nay
Muqasireen per jitni lanat ki hai wo ap ko kisi book say nahe mili?? Serf Ghulu nazar aya??? Wo
ghulu b ap nay baghair daleel k hamary sir thoop diya. Agar ap ka dawa ye hai k ap Ali (AS) ko
utna manti ho jitna Allah aur Rasool (S.A.W.W) nay kaha, tu ham ap say pochty hain k ham nay
kon c bat apny dil say gharr k paish ki? ham nay bhe tu Hadith-Masoom (AS) send ki aur Quran ki
ayat paish ki. Lehaza ham b utna he Ali (AS) ko man rahay hain jitna Allah aur Rasool (S.A.W.W)
nay btaya. Baqi ap ka ye shosha k Jaali hadith hai ya Jaali book hai….. tu us ka behs main neechay
karo ga aur har hadees per tabsara karo ga alag alag. Inshallah-o-Ali (AS).

YOUR MSG 2
Aap nay kaha k
Younus Bin Abdur Rahman Aimma ka aik muqarrab sahabi, Iraq gaya to wahan usko Ahadith ki
books mileen. Unko lay k Imam Raza (AS) ki Khidmat ma Hazir hua or books dikhai, Imam (AS)
nay un main aksar ahadith ka kaha k ye hamm nay kahi hi nahi, Imam Jafar sadiq rotay rahy k
Mugheera bin saeed ne unke walid k Ashab ki books ma tehreefat ki hain Masoom ko bataya gya k
kufa ma loag aapse mansoob kr k maghrib ko itna late parhty hain k aasman pe taaray aatay hain,
aap ne abdul khattab pe lanat ki k usne hamse jhooti batein mansoob ki hain in baton se ye wazeh
hai k Aimma (AS) ne apne se mansoob har baat ko qabool karny ka nahi kaha, jab tak tehqeeq na
ki jayen, gharz hamay Aimma (AS) ki zindagi ma aisi hazaron misalein milti hain jab Aimma (AS)
jhooti hadith banany walon se tang thy. Aik akhbari se aap poochain k wo kaisy ghalat ko sahi se
juda kary? Uske pas koi jawab nahi.

OUR REPLY
Ap ki uper waly msg main say ye deduction hoti hai: -

1st deduction: K Imam (AS) say buhat c ahadith mansoob ki gae hain jo Unho nay kahe he nahe.
Hamara jawab ye hai k ye bat aap per b utni he sadiq ati hai jitni ham per ham b ye dawa kar skty
hain k ap wo riwayat paish kar rahay ho jo Imam (AS) nay kabhi nahe kahi pher ap is hadees say
hamary khilaf he kaisay istadlaal kar rahi ho. Ap ko khaab aya k jo Hadees main nay paish ki wo
Imam (AS) nay nahe kahe aur jo Hadees ap paish kar rahi ho wo bil kul Imam (AS) kahe hai?????

2nd deduction: ye hai K Imam (AS) say mansoob kr k kuch log Maghrib itna late ada krty hain k
asman k taray nikal aey.

Hamara Jawab ye hai k is jumly say ye pata chalta hai k faroi masail main agar zara c hair phair ki
jaey tu wo b Imam (AS) ki lanat ka haqdar hai. Lehaza ye bat ap k un fatwa saz ulma per sadiq ati
hai
Jo Halal-e-Khuda ko Haram aur Haram-e-Khuda ko Halal qarar dayty hain aur Jo kbi kehty hain k
Mor Halal hai kbi kehty hain haram hi. Kbi khargosh halal aur kbhi haram. Koi sharai maghrib pay
roza aftar ka fatwa dayta hai koi serf maghrib per….. Lehaza muhtarama iss hadis say AP ka AP k
Muqasar ulma ka daman jal raha hai. Hamary sir elzam dharny ka koi jawaz nahe nikalta

3rd Dedeuction: Ye hai ki Imam (AS) nay khud say mansoob har bat qabool krny ko nahe kaha.

Hamara Jawab ye hai k Ham khud is cheez k qail hai k har bat jo Imam (AS) say mansob ho wo
tehqeeq k sath parkhi jaey gi.
Ap nay ye b sath footnote dia Aik akhbari se aap poochain k wo kaisy ghalat ko sahi se juda kary?
Us k pas koi jawab nahi.
Tu Jawab ye hai k Akhbari ka main zimadar nahi hon kyun k main serf aur serf Shia hon Ye he lafz
Mujhy mairy Imam nay Ata kia hai… Main na tumhari tara asooli aur na he dosro ki tara akhbari
hon. Han Agar mujh say pochti ho k main sahe aur ghalat ko kaisay farq karo ga tu arz hai k
maray pas mezaan Quran hai. Jo Rasool (S.A.W.W) nay dia aur kaha k jb koi Hadees tum ko milay
tum us ko quran say parakh lo agar quran k mukhalif pao tu us hadith ko dewar per day maro.
Chonanchay So ap ki ye khush fehmi k hamary pas mezaaan nahe door ho gae ho gi.

YOUR MSG 3
GHULU KI MUZAMMAT

Imam Jafar Sadiq (AS) k aik Sahabi Ismail Bin Abdul Aziz k afkar kuch ghulu waly thay. Imam (AS)
ne aik dafa us se wuzu k liey Pani lany ko kaha, jab wo lay k aa gya tu sochne laga k ma Imam ko
Rab or Khaliq Raziq smjhta hon aur Imam ko wuzu ki zarurat b parti hai. Imam jab wuzu say
farigh hue tu Ismail se kaha “Aye Ismail Amaaratko is qadar ooncha na karo k munhadim hojaey.
Ham Allah ki makhlooq hain phir (hamain makhlooq samaj k) hamari shaan ma jo
chaho kaho” (Bihar ul Anwar Vol 25 page 279)

OUR REPLY
Ye Hadees aisi hai k is per sair hasil tabsara hona chahye. Ta k Insh Allah-o-Ali (AS) ap ki Ghulu
wali ratt b khatam ho jaey.
Sb say pehly ap ye btana pasand farmain gay k ghulu ki tareef kia hai??
Aur pher ye btain k Ghulu ki haqeqi tareef k mutabiq ap nay hamari send ki hoe Hadees ko Ghulu
kaisay kaha.
Janab Ham nay Ye Hadith send ki thi k Jo Admi aik Bar Ali (AS) ka Name dil say lay tu ye Name
layna 6 mah ki ibadat say afzal hai. Btana pasand farmain gi k Is Hadees main ghalu kahan hai???
Kia iss Hadees main kaheen ye majod hai k Ali Allah hai. Ya ham nay is ye lekha hai is hadith main
k Ali (AS) khuda k Abd nahe??? Ap nay 4 ghulu k hadeesain rath k samaj lia k ap Ali (AS) k har
fazeelat ko rad krny k qabil ho gaey?? Janab ap is lia ye khurafat keh rahay hain k ap ko Ghulu k
tareef ati hi nahe na he ap ko malom hai k Ghalee kon kon hain.
Ham sab say pehly ap k samny Ghulu k tareef paish kar rahay hain. Ta k koi ap hosh k nakhun lain

Ghulu k Lafzi mani hain Had say Barhana Yani kisi ko bhe us ki Had say Nikal kr us say buland tar
had main dakhil krna. Dunya ki kisi dictionary main ye nahe likha k ye Ghulu serf aur serf Ali (AS)
ko had say barhana hota hai. Bal k kisi bhi cheez ko had say nikalna Ghulu hai.
Ab ye Aqli masla hai k ap tab tak kisi bhe cheez main ghulu nahi kar skty jab tak ap ko dono
hadod ka elm na ho. Yani jis had say nikal rahay ho wo b malom ho aur jis had main dakhil kr
rahay ho wo had b malom ho. Warna ghulu mumkin hai he nahe. Lehaza Ghulu serf isi sorat main
mumkin hai Jab Ehl-e-Bait (AS) ki Abdiyat ka Inkar kia jaey aur un ko Alohwiyat ki Had
main dakhil kia jaey yani Un ko Zat-e-Wajib ul Wajod man lia jaey Jo Bezaat Qaim ho.
Kyun k is say ziyada ap kuch jantay he nahe in zawat-e-Muqdisa k baray. Is k elwa kisi b fazeelat
per ye kehna k ye ghulu hai buhat bari hamakat hai. Kyun k ap ko Ghulu sabit krny k lia pehly Had
ka ta’ayun karna ho ga aur main zail main aik buhat he authentic Hadees Paish kar raha ho ye
read kr ap faisla farmain k kia waqei Ehl-e-Baith (AS) k had ap jantay hian?

Ye Hadees Maqbool aur Mashoor Shia Kitaab “Habl ul Mateen Fi Fazail-e-Amir Ul Momineen (AS)”
say naqal kar raha hon Jis k Mo’alif Hoza Elmiya Qum k Hujataul Islam Ali Raza Yazdi hain. Wo Ba
Hawala Manqib-e-Aal-e-Abi Talib (AS) Jild 3 page 267 Lekhtay hain k
Rasool Allah (S.A.W.W) ny farmaya k Ya Ali (AS) Ap k aur Mairay Elwa kisi ko bhe Allah ki Marifat
nahe aur Serf Mairay aur Khuda ki siwa Kisi ko bhe Ap ka Haq-e-Maarifat nahe maloom”

Ye Hadith Buhat c shia books main hai aur motabar tareen hadith mani jati hai hata k sunni ulma
nay b is ko naqal kia aur tasleem b kia hai. Ab ap ye btain jab Rasool (S.A.W.W) nay apny aur
Khuda k siwa sb k baray main keh dia k Ali (AS) ka Maqam koi janta he nahe tu kaisay Ghulu
mumkin hain Ghulu tu tab mumkin ho k jab ap kisi k maqam ki had janty hon… Main yahan aik
ehm bat aur arz kar do is hadis main Rasool (S.A.W.W) nay Apny aur Allah ki siwa sb ko Marfit-e-
Ali (AS) k lia Ajiz aur qasir kaha hai jis main Nabi (AS) b shamil hain aur Muqarab tareen Faishtay
bhe. Lehaza ye Saf Zahir hai k Ali (AS) k shan main Ghulu krna Anbiya (AS) aur Farishtay (AS) say
b mumkin nahe tu mari ap ki kia auqaat hai. Yahan Aik choti c Misal aisi jo Bacho ko b samaj a
jaey wo zaror don ga.
K agar ap jantay ho k Zaid ya bakr Colonel hain tu ap Ghulu kr k keh skty ho k wo General hai.
Lakin ap agar na janty ho k zaid ya bakr colonel hai ya General ya kuch aur tu ap Ghulu kr he
nahe skty. Sath he ye bhe bta do k ap ko Elm ho k Zaid ya bakr Sadar-e-Pakistan hai tu zarori hai
k ap us ki shan main Ghulu krny k lia us say azeem martaby aur uhday say b waqif ho agar ap ko
ye Malom he nahe k Sadar say buland martaba aur Uhda kon sa hai tu ap Ghulu kr he nahe skty.
Main mazeed tasali k lia Quran ki Ayat yahan ap ki Samny Paish krna chahta hon
Irshan Rabul Izzat hai
“Subhana Rabeka Rabil izzatay Amma Yasefoon”
Yani Taira Rab aur Izat ka Rab buland hai Un Sefaat say Jo Wasif Bayan krty hain us k liay”

Ayat main Saf Allah nay Elaan kia k Us ki Sefat tak Rasai Wasifeen k lia mumkin he nahe hai jo wo
sefat bayan krta hai asl main khuda us say Subhan hai pak aur buland
Is Ayat ki Tafseer, main Nehjul Balagha say Paish krta hon ta k Pathar per Lakeer ho jaey
Ameer ul Momineen (AS) ka Khutba Number 1 in alfaz may bayan hota hai k
Hamd Us Allah k lia jis k Madah tak bolny walo ki rasae nahe…………………..Na Buland Parwaz
Himat usay pa skti hai na Aql ki gehrai us tak pohnch skti hai Us k Kamal-e-Zat ki koi Had
Mo’ayan nahe aur Na us k lia koi Toseefi Alfaz hain.

Ap nay Ghor farmya? K Maula nay b wohe bat kahe jis ko quran nay bayan kia Maula (AS) keh
rahay hain k Us Zat-e-Parwardigar k liay koi Toseefi Alfaz nahe hain aur Quran keh raha hai k wo
Wasifeen ki sefat bayan krny say pak hai. Ab ap faisla karain
Hadees-e-Rasool (S.A.W.W) Kalam-e-Khuda aur Qol-e-Imam (AS) say ye bat buhat saf hai k na tu
koi Aql Ali (AS) ki Had qaim kr skti hai kyun k marfat he nahe rkti aur na he Allah ki Had qaim ki ja
skti hai k us ki Kamal-e-zat ki kahan ibtada hoti hai.
Lehaze jo dono Hadood yani jis Had say Ali (AS) ko nikalna hai aur Jis Had main Ali (AS) ko Dalna
hai wo dono hadod he Na maloom hain tu ap Ghulu ki kr kaisay skty hain?
Ap aik sawal baqi reh jata hai k agar ghulu mumkin he nahe tu Masoomeen (AS) nay Ghali ki
Muzammat kyun ki wo Ghulu kia hai.???
Ap ko dono Haddo main say serf aik cheez maloom hai wo hai Ali (AS) ka Maqam-e-Abdiyat
k Ali (AS) Abd-e-Khuda hain ab main ap ko wapis ap he ki Hadees ki taraf lay jana chahta hon ap
uper underline jumly ko apni Hadees main dubara read karo.

ap ki Hadees main 2 Jumlay buhat Ehm hain, wo ye k Imam (AS) ka Sahabi Ismail Bin Abdul Aziz
Ye samaj raha tha k Imam (AS) ko Wazu k zarorat kia hai yani wo Imam (AS) ki Abdiyat ka
Inkar kr raha tha aur Ye Abdiyat ka Inkar he Ghulu hai warna in ki fazeelat ki koi Hadd hai
he nahe is dawa ki daleel k tor per main ap he ki paish krda Hadees ka dosra jumla paish kro ga jb
Imam (AS) nay kaha k phir (hamain makhlooq samaj k) hamari shaan ma jo chaho kaho
Yani hamari Abdiyat ka Inkar na karo bs. Aur Pher jo chaho kaho.
Main is Hadees k Taeed k lia kuch aur Hadees paish karna chaho ga ta k yaqeen ho jaey k ap nay
jo Hadees paish ki us ka sahe mafhoom kia hai.

1. Maula Ameer Ul Momineen (AS) farmatay hain k


“Hamain Abodiyat k Darjay say na Hatao pher Jo chahtay ho Hamari Shan main Bayan karo Magar
pher b tum hamari shan tak nahe Pohnch skty”

2. Maula Imam (AS) Jafar Sadiq farmaty hain k


“Hamara aik Rab Tasleem karo Jis ki Taraf Ham rajo krty hain. Us k Baad Tumhara Jo Dil Chahay
Hamari Shan Main kaho”.

3. Maula Ameer Ul Momineen (AS) Farmatay hain k


“ Ghulu say bacho aur Hamary Baray main Ye kaho k Ham Allah k Banday hain aur Khuda k
Marbob aur Khuda Hamara Rab hai Us k Bad Jo chaho hamri Fazeelat main kaho
For Refference see Book Haqaiq ul Wasait Jild 1 Page 96 to 100)

Ap nay uper di gae Ahadees main say ye samaj lia ho ga k Ghulu in k abdiyat ka inkar hai na k in
ki fazeelta bayan krna. Ab ham akhri Keel bhe tabot main thonk rahay hain

Bihar Ul Anwar main Allama Majlasi nay Ghulu ko moqamal tafseel say bayan kar diya hai. Ab ap
ye nahe keh skty k Ye Jaali kitaab hai ya Jaali Hadees. Q k Ye Ghulu ki tareef main jo paish kr
raha ho us he book say hai jis say ap nay apni tamam Ahadees quote ki hain
Allama Majlisi Bihar ul Anwar Jild No.7 Page Number 365 per Ghulu ki Iqsam kuch is tara say ye
btatay hain: -
1. Aima ko Khuda kehna Ghulu hai.
2. Khuda ki Mabodiyat ya Khalq o rizq ka shareek qarar daina yani ye kehna k jis tara khuda
mabod hai isi tara ye mabod jaisay wo Khaliq wasay ye khaliq aur raziq hain(Matlab inko
Bizaat Khaliq Raziq manna) ghulu
3. In k andar Khuda ka Halool ka aqeeda rakhna ghulu hai
4. Khuda aur Masoomeen (AS) ko Mutahid Manna yani ye aur Khuda mil kr aik ho gaey hain
5. Baghair Ilham o Wahe in ko Alim-e-Ghaib manna
6. Aiman (AS) ki arwah ka tansakh manna Jaisay awazgon ka aqeeda hai Arya log ki tara
7. Aaima (AS) ko Nabi manna
8. Ye Kehna k Aima (AS) k Marfat k Bad na Ibadat ki zarorat hai na gunah tark krny ki.

G ap nay uper diya gaey Tamam points read kr lia Ye Majlisi Sahab nay Mayar dia hai k in aqaid ko
ap ghulu keh skty hain
Khuda ka Lakh lakh shukr hai k Ham aik b aqeeda aisa nahe rakty aur na he kisi msg main ham
nay ap ko mundarja bala aqeeda forward kia hai. Ab kis ki majal hai k ham ko Ghali keh sky
Haqeeqat tu ye hai k apni jahalt ki waja say log Hamaqat per utar atay hain. Neem Hakeem…..

Main baat ko mazeed wazeh kr dayna chahta ho aur is k bad ap ki tamam daleelain Batil hojain gi
Ye Ibarat main Allama Majlisi ki isi Behar ul Anwar k Hawala say tehreer kr raha ho ta k ap ka ye
Bahana k Hadees ya Kitaab Jaali hai na chal sakay.
Allama Majlsi Lekhtay hai k
“Baaz log aur Muhadas logo nay Ghulu k mani buhat barha charha kr kr btaey hain kyun k Aima
(AS) ki Marfat say wo Muhdas Ulma Qasir hain aur Masoomeen (AS) ki Hairat Angaiz fazeelat ko
Samajnay say aur un ki shaan bardash krny say Ajiz thay. Un Ulma Muhadaseen nay Marfat na
honay ki waja say buhat Mo’atabar Bawasooq Rawiyun ki b qadah ki hai jinho nay Masoomeen
(AS) k lia Hairat Angiaz waqiyat o mojzaat tehreer kiya. In unlma nay tu marfat na honay ki waja
say yahan tak likha k Imam (AS) say bhool chuk b hoti hai jo ye na mano tu bhi ghali hai aur inhe
ulma nay marfat na hony ki waja say ye bhe likha k Masoomeen (AS) ko “MA KANA MA YAKOONA”
yani guzashta aur anay waly waqiyat ka Elm bhi nahe hota. Isi tara unho nay Masoomeen (AS) ki
buhat say Fazail say inkar kr k Ghulu keh diya. Hala k Ahadees main buhat jaga Khud Masoomeen
(AS) nay khud farmaya k tum bs Ham ko Allah mat kaho pher Hamari fazeelat Bayan karo Tum log
hamari Fazeelat ka Haq ada nahe kar skty ho.” Isi tara Imam (AS) nay aik jaga ye bhe Farmaya k
Hamari Fazeelat buhat Mushkil Amr hai is ka samajhna bhi mushkil hai is ka baar uthana Muqarab
Farishtay aur Nabi-e-Mursal aur Banda-e-Momin ka he kam hai. Aur Aik Hadith main Rasool
(S.A.W.W) nay ye tak farmaya k agar Hazrat Abu Zar (AS) ko maloom ho jaey k Hazrat Salman
Farsi (AS) k dil main Imam (AS) k lia kia Aqeeda hai tu Abu Zar salman ko Qatl kr day” Lehaza ye
bat zehn main rakhty howa momin per wajib hai k wo jald bazi say kam na lay aur Imam (AS) ki
Fazeelat ka inkar na karay jab tak Baraheen-e-Qaatey say koi cheez in k khilaaf sabit na ho”

Allama Majlasi ki Ibarat khatm hoe main guzarish karo ga ap aik bar pher parh lo aur ghor kar lo.
Ap ko jo Hadees ham nay bhaiji wo b parh lo pher ap samaj jao gay k ap ko inkar ka hargiz hargiz
haq hasil nahe hai. Ham nay Kal Ayat aur Ahadees-e-Moatabara say sabit kar diya tha k Ali (AS) ki
fazeelat tamam Ibadat per sabit hai. Un main say main aik 2 pher darj kar raha ho serf iss lia k ap
b isi tara ki rewayat paish kar k dekhao jo direct ye sabit krti ho k Ali (AS) ki Allah ki tamam Ibadat
per koi fazeelat nahe hai. Ham Challenge krty hai k ap qayamat tak na ayat paish karo gi na
moatabar Hadees.
1. Imam (AS) Jafar Sadiq (AS) farmatay hain k her Ibadat say Afzal 1 ibadat hoti hai aur Ham
Masoomeen (AS) ki Muhabbat Tamam Ibadato say Afzal Tareen hai. Aur Ameer ul
Momineen (AS) ki Muhabbat tamam ibadato ki sardar hai. Her cheez ki Bunyad hoti hai aur
Hamari Muhabbat Islam ki Bunyad hai.

Tabsara: Ye Hadees Kitab Mahasin Page No.113 say le gae hai aur isi hadees ko ayatullah
Ahmed Mustanbat nay Al Qatra Minal Bahar main darj kia hai. Ap agar is ko Jaali Hadees ya
books kahain gay tu us ki daleel b ap ko dayna ho gi. Ye koi tareeqa nahe ko munh phaarr
k ap kahain k ye Jaali hai aur ham maan lain… Ham pori zimadari say Hawala day rahay
hain aur ye books Ulma k hath say ho kar markit main ae hai aur aj kal ki book nahe hai
sadyun purani hai.
Dosra ya bhe bta dain k Hadees main Muhabat-e-Ali (AS) ko tamam Aamal ka sardar kaha
gaya hai. Ab ap btain ap 6 month ki ibadat ko ro rahi ho Ali (AS) ki muhabat tu anbiya
malaika aur kainat ki tamam ibadato say afzal hai. Aur main ap k zung alood zehn main aik
mashoor hadees b daal do jo sunni ulma tak b manta hain wo ye k Ali (AS) ki Yom-e-
Khandaq aik Zarbat Saqlain ki Ibadat say afzal hai. Lo gi ab ap btao jis ki zarbat saqlain ki
ibadat say afzal hai us ki muhabat kitni afzal hai ap 6 month k rozay lay kar ro rahay ho.

2. Janab-e-Rasool (S.A.W.W) Farmatay hain k Aal-e-Muhammad (AS) k sath 1 Din ki Muhabbat


aik saal ki Ebadat say Afzal hai

Tabsara: Ye Hadees Kitab Kashf ul Ghumma Jild 1 page no. 137 say le gae hai aur isi ko
Ayyatullah Ahmed Mustanbit Al qatra Jild 1 page 89 main b naqal kr chuky hain.
Ap ko agar ye dono books jaali lagain tu baray mehrbani hamain itala dijeay ga matkay
main mon dal k challenge na karty rehna aur agar ye Hadees ap say jalee sabit na ho saky
tu pher is main khuda k lia ghor krna k 1 din ki muhabat kitni afzal hai. Ap inkar-e-Fazeelat
kr rahay ho ya ghulu ka bahana bana rahay ho.

3. Rasool-e-Khuda (S.A.W.W) nay farmay k Jis nay Allah ki Ataat ki us nay Yaqeenan Allah ko
Yad Rakha chahay us ki Namazin us k rozay us ki telwat kam he q na ho aur jis nay atat na
ki us nay Allah ko farmosh kr diya chahay us k namazin rozay aur telwat buhat ziyada he q
na ho.

Tabsara: Ye Hadees Ap k Shia Mazhab ki Maqbool tareen books main hai jo Mani ul Akhbar
say mashoor hai. Is Hadees main saf malom ho gaya k namazo aur rozy ko Allah nay apni
ataat ka darja nahe diya bal k kaha k ataat hona lazim hai chahay namazin thori he hon.
Aap k lia soch kar darwaza khula hai k ghor karian k ye Ataat kia hai jo Namazo say Afzal
hai.

Uper main nay apnay send krda sms ki haq mai dalail paish kiay hain ab ap k next msg per mamoli
sa tabsa kar lun
YOUR MSG 4
Hazrat Imam Raza (AS) k farman hai k Hamary mukhalifeen hamari fazeelat main apni taraf say
Ahadees garh kr khaas maqasid k liye hamse mansoob karty hain. Ye Ahadees 3 aqsam ki hain.
1. Ghulu wali reayaat jo hamari hesiyat barhati hain.
2. Wo Rewayaat jo hamain kamtar zahir krti hain
3. Aisi riwayat jin ma Mukhalifeen k aib bayan kiey gaey hain
Log jab Ghulu wali riwayat dekhty hn tu hamary shiao ki takfeer karty hain jb hamary mukhalifeen
k aib dekhty hn tu hamse b wohi nisbatain daity hn
(Bihar ul Anwar V26 Page 239)

OUR REPLY
Ap ki is paish krda Hadees main b kisi aik aqeeda ko bhe bayan nahe kiya gaya k Imam (AS) kis
aqeeda ko Ghulu keh rahay hain lehaza ye Elzam ham per tu anay say rha k agar Imam (AS) nay
is main Ghali ko dushman kaha hay tu theek kaha hai Ghali ki pehchan tu ham uper bayan kar aey
hai Ham tu Bari ho gaey magar is Hadees main 2nd Jumla ap k lia ghor talab hai wo ye
K Imam (AS) ny farmaya k hamary dushman wo riwayat bayan krty hain jo Hamain Kamtar
zahir krti hain. AB ap khud ko is Ilzam say bachain. Kyun k ap wo riwayat paish krty hai jis main
Ali (AS) k fazail ka inkar hai jis main Maaz Allah summa MazAllah Ali (AS) ko bashar kaha gaya hai.
Ye ap per bil kul fit Hadees hai aur tamam Muqasireen per b.
Ham jantay hain ap k dil per kia guzar rahi ho gi is lia kuch aur Ahadees darj krty hain ta k
Muqasireen apnay anjam say ashna ho sakain.

Kitab Qawaid Ushariya Fi Aqaid us Shia Page 22 with refference to Ihtajaj Tabrasi Jild Number 1
Page 77. Rasool (S.A.W.W) nay apny Khutba main Farmaya “Aey Logo Allah ka Noor mujh main
hai Jo mairy baad Ali (AS) aur Un ki Nasl main is Qaim (As) Mehdi tak jari rahay ga Jo Allah ka Haq
aur Hamara Haq wasool karain gay kyun k Allah nay Muqasireen Sarkasho Mukhalfo Khayanat karo
gunahgaro aur pori dunya k zalimo per hujaat qarar dia hai”

Tabsara: Ghor farmain is main Rasool (S.A.W.W) Allah nay sb say pehly dushman ko Muqasir kaha
hai (Yani jo Fazail ka inkar krta hai)
Ap ko tasali nahe howe tu aik aur Rewayat paish karta hon ta k ap k seena chak ho jaey kyun k ye
rewayat b main Bihar ul Anwar say paish kar raha hn ap k pas inkar ki gujaish he nahe hai Jild
No.7 hai Page number 275 hai.

Ameer ul Momineen (AS) ny farmaya Jo Mairay Btaey howi Tashreeh o Tozeeh shuda fazail aur
kamalat per Iman Laey wo Momin Arif Mustabsir hai aur Jo Mairay Fazail main shak karay ,
Anaad kary, Towaqaf Kary (Yani ruk jaey tasleem say) Hairan jo jaey aur Shak krny lagay tu
Aisa Shakhs Muqasar Nasbi hai”
Umeed hai Dil thanda howa ho ga ap ka Aina daikha kr. Kyun k Maula nay Hadees main Apny
Fazail ka inkar karny walay ko Muqasar Naasbi kaha hai.

Aik akhri Hadees is unwan per jo buhat he wazeh hai aur saf kr day gi k Ghali ki hasiyat kia hai aur
muqasar ki kia hai.

Book Saheefat ul Abrar Jild 2 Page 365 aur Qawaid us Shariya main hai k Imam (AS) Jafar Sadiq
nay famaya k Muqasireen wo hain jin ko Allah nay Hamaray Fazl-e-Elm ki Taraf Hidayat ki
magar unho nay ham main Shak kia. jo Hamari Muhabbat main Ghali ho ga us ko ham apni taraf
lotain gay tu wo ghali sabit qadam ho jaey ga aur hamari bat man lay ga. Jab k muqasar ko ham
mulhiq honay k liay Bulain gay aur apny Fazail k iqrar ki dawat dain gay tu Muqasir na sabit
qadam rahay ga na hamari bat many ga na Mulhiq ho ga. Nasbi Shia k Dushman hai
aur Muqasir Hamaray Dushman hai.

Maira G chah raha hai k jab ap nay Muqasireen ki Haqeeqat parh li hai tu main aik aur Hadees
fazail-e-Aal-e-Rasool (S.A.W.W) ki paish kar do ta k ap inkar kr ya tu Lanat ka toq apny galay dal
lo ya pher Eman lay ao. Raat ap nay kaha tha k Behar ul Anwar say hawala do ab ap k lia wo he
sher arz karo ga k
Uljha hai Pao Yar ka Zulf-e-Daraz main
Lo aap apnay Daam main Sayaad A gya

Ye Hadees bhe main Behar ul Anwar Jild Number 3 (Khilafat-e-Ilahiya) say Paish kar
raha hon
Imam (AS) Farmatay hai k “Lana MaaAllahay Halaatu Fiha Nahnu Howa wa Howa Nah
nu w Maa zalika howa howa wa Nahno nahno”
K Ham Aimaa (AS) k Khuda say wo Taluq hai k kabhi Ham, Wo ho jatay hain aur kabhi
Wo, Ham ho jata hai Magar is k bawajod wo, wo he rehta hai aur ham, ham he rehtay
hain.

Mujy yaqeen hai k ap k dil main jany kia kia waswasay a rahay ho gay magar rukain
aur inkar say pehly is hadees ko parh lain aur ye hadees b

Bihar ul Anwar Jild Number 9 Page 25 per Maray Imam (AS) Taqi farmatay hain“
Khuda ki qasam agar is Baat ka khatra na hota k Ehl-e-Batil aur Gumrah Nasl-e-Kufr
Ham per Hamla Aawar ho jaey gi aur Ehl-e-Shirk-e-Shak aur Munafiq ham per Tot
parain gay tu main aisi aisi batain btata jisay sun kr Awaleen-o-Akhreen Hairat main
Parr Jatay” us k Bad Imam (AS) nay apna Hath apny munh per rakhty howay farmaya
Aye Muhammad (AS) tum b khamosh ho raho jis tara tumharay Aba-o-Akram Khamosh
rahay”
Ap ghor karain ye Hadees bta rahi hai k Ehl-e-Bait (AS) k Fazail kin halat main nahe btaey ja saky
wo kitnay zulm k halat thay. Jb Faqat Syed hony ki bina per qatl kia jata tha tb fazail kaisay btaey
ja skty thay. Yaqeenan Imam (AS) nay Taqiya kia har dor main taqiya jari raha haan kabhi kabhi
moqa milny per haqeeqat say agah b kia.
Ye Hadees ye b btati hai k Fazail itnay hairat angaiz hain k log Masoom (AS) k qatl krny per tul jain
gay.
Isi hadith say Ye b maloom ho jata hai k Imam (AS) Taqi b khamosh ho gaey jaisay un ka Abaa
(AS) khamosh thay. Ab Taqiya main rehny k baais aisi batain jo un ki toheen aur kamtari per
mushtamil hai aaj ka shia haqeeqat samajhnay lagay tu sharam nak bat hai. Khuda Lanat karay
aisay Shia per jo Apny he Maula aur Sardar ki ezat ghatanay per tulla howa hai.

YOUR MSG 5
Imam Jafar Sadiq nay farmaya k Mufawaaza per Allah ki Lanat ho Unhon ne khuda ki na farmani
ko mamool bana liya. Allah ka inkar kiya. Shirk kiya aur gumrah hue aur auron ko b gumrah kiya
takeh Faraiz aur Hoqooq k ada krny se Farar ikhtiyar Karen. (Bihar ul Anwar V44 page270)
Mufawaaza unko kaha jata hy jo kehty hain k Allah ne apne kuch kaam Aimma ko tafweez kr diye
hain, maslan khalq karna aur rizq dena, goya Allah ki sifaat ma shirk karty hain,
OUR REPLY
Ye Hadees bil kul darust hai Ye Aqeeda Tafweez k Mutaliq hai aur ham nay kabi is aqeeda ka izhar
nahe kia. Ham nay kabhi Zat-e-Bari Tala ko Moatal nahe samjha. Lehaza ap ki Iss Hadees ka ham
say koi taluq nahe ap ye Hadees Mufawaaza ko paish karain jo Khuda ko Moatal mantay hain
Hamara tu buhat khubsorat aqeeda hai wo ye k Allah ka Amr jab jari hota hai tu wo Masoomeen
(AS) k hath say jari hota hai ye Mashiyat-e-Khuda k mazahir hain aur wo jab kuch karna chahta
hai tu us ki chahat ka zahor in hastiyun k zariya hota hai aur ye aqeeda tafweez say bil kul bhe
nahe milta ye wo he aqeeda hai jo Aima (AS) nay btaya aur Ham zail main chand Ahadees ka zikr
karain gay ta k ap ki tasali b ho jaey k Hamara aqeeda Hadees Aur quran say sabit hai Ye
Mufawaaza ka aqeeda nahe. Lehaza ap ki paish krda Hadees per mazeed behs ki zarorat he baqi
nahe rehti.

YOUR MSG 6
(ALI BASHAR THY KHUDA NA THY)

Imam Raza (AS) ko jab bataya gaya k kuch log Mola Ali ko Allah ki sifaat daity hain tu apka badan
larazny laga or chahray par Paseena a gya or Farmaya Allah Taala Munazza hy us cheez se jisko
ye Zalim or Kafir uske baray main kehty hain (Yani Makhloq ko khaliq k barabar latay hain). Kia Ali
auron ki tarah khaatay peetay na thay kya wo auron ki tarah shadi nahe karty thy? Kia wo auron ki
tarah bat nahi karty thay? Kia wo apne Rab k Hozoor haqeer ho kr namaz nahi parhty thay? Kia jis
ma ye sifaat hon wo khuda jaisa ho skta hy? Agar aisa hy tu phir tum sb khuda ho, kyun k tum
loag b in sifaat ma Ali k Shareek ho.
(Bihar ul Anwaar v25 page276)
OUR REPLY

Khuda ki Lanat ho jis nay is Hadees ka matlab ye lia k Maula (AS) Bashar hain. Main is per latadat
quran o Hadees say hawala jat paish kr skta hon k Maula (AS) MaFoq ul Bashar hain magar fil hal
is Hadees k Alfaz per he ghor kar lain aur behs kar lain
Kia ham nay inkar kia k Ali (AS) khana nahe khatay thay
Kia ham nay inkar kia k Ali (AS) nay nikah nahe kia thay
Kia ham nay inkar kia k Ali (AS) Namaz na Parhtay thay
Ham tu uper sabit kar chukay hain k in ki abdiyat ka inkar ghulu hai jo inkar ham nay kbhi nahe
kia. ab rahi bat Khana Peena Nikah karna .. Aur pher Agar Man lo k Khana na Khana Nikah na
Karna aur in jaisy kamo ko na karny say koi khuda banta hai tu pher btain k Quran main Hazrat
Ibraheem (AS) k mehmano ka zikr hai jo k farishtay thay aur unho nay khana khany say inkar kar
dia ye keh kr k wo Khana khanay ki Hajat say he bay nayaz thay. Isi tara Malaika nikah bhe nahe
kartay tu kia malaika ka nikah na karna aur khana na khana un ko Khuda jaisa bna dayta
hai???????? Lehaza is Hadees say ap ka mafhoom kisi tara b sabit nahe. kahan na khana aur shadi
na karna sefat-e-khuda man li jaen tu mailaika b is sefat say masoof hain magar un ko khuda jaisa
nahe kaha ja skta. Khuda buhat buland hai in sefaat say k agar ye sefat makhloq main hon tu b
wo khuda nahe ho skti. Serf aik cheez jb tak hai wo hai abdiyat jb tak abdiyat hai wo khudai k
dawa nahe kar skta aur jb tak abdiyat qaim hai tamam ki tamam sefat-e-Khuda ka b Banday say
zahoor ho jaey tab bhe wo khuda nahe ho ga bal k mazhar-e-Khuda he kehlaey ga.

Main zail main mazeed tasalli k lia kuch dalail paish krta hon ta k andaza ho saky k Bashri Taqzay k
Mutabiq is dunya main anay ka matlab ye Hargiz nahi k Ali (AS) Bashar hain. Bal k Aima (AS)
hamari Hidayat k lia wo rehn sehn ikhtiyar krty thay jis ki insan ko zarorat hoti thi warna wo
hamary liay Namona-e-Amal kaisay qarar patay?? Iss ka matlab ye nahe k ap un ko bashar man lo
aur un ki baatni haqeeqat ka inkar kar do. Jaisa k Bihar Ul Anwar Jild No.57 Page No.320 Kitab ul
Sama wal Awalim main darj hai k Imam (AS) Jafar Sadiq nay farmaya k Parwardigar nay 12000
Awalam Khalq farmaey hain har Alam 7 asamano aur 7 zameeno say barra hai aur in main kisi aik
ko pata nahe k Allah nay kisi aur Alam (Dunya) ko paida b kiya hai ya nahe aur ANA HUJATU
ALAIHIM aur Main Jafar Sadiq (AS) un 12000 dunyao per Hujjat hon.

Tabsara: ap btain kia 12000 awalam sb bashri hain??? Ya Nahe???? Jab ap ko ye elm he nahe k
wo kaisi makhloq hai tu ap kaisay keh skty hai k un ki Hujjat kia ho gi.>>> aur pher agar ye
Bashar he man lo tu btain Imam (AS) 12000 Awalam k bayak waqt hadi kaisay hain, un k Aaqa
Maula rehnuma kaisay hain un per Hujjat kaisay hain?. 12000 Awalam main say aik b abhi tak
Khalaa Nawardo ko nahe milay 1400 saal k bad b 21ween sadi ki jadeed tareen scienctif dor main
b……….. aur Maira Imam (AS) un 12000 dunyaon per Hujjat hai un ka Hadi hai un ka reh numa hai
un main Namon-e-Amal hain …kaisay ye Bashari taqat main kaha hai??????

YOUR MSG 7
(GHALI DUNYA K BAD TAREEN KAFIR)

Imam Jafar Sadiq apny Jawanoo ko Ghaliyun sy bachao ta ke wo unhain bigarr na dain, Ghali Allah
ki Bad tareen makhlooq hain, kyun k ye allah ki azmat ko kam kar k us k bando ko rab man laytay
hain, Khuda ki qasam Ghali Yahodi, esai, majoosi or Mushrikeen se bhi badtar hain
(Amali Shaikh Tosi page 54) & (Bihar Ul Anwar vol 25 page 265)

OUR REPLY
Iss Hadith per go k tabsara karny ki zarorat nahe rahi. Magar main chata ho k isi bahany main
kuch aur Haqaiq ap tak pohncha do.
Ye tu ap jan he chukay hain aur ham sabit kr chukay hain k Ghali Haqeeqat main hota kon hai.
Yani jo Aima (AS) ki Abdiyat ka inkar karay aur un k Maqam-e-Alohwiyat ka iqrar karay. Lehaza
Ham khud ye kehtay hai k Aima (AS) ki abdiyat say inkar krny walo say jawano ko zaroor bachao
ye Hamaray Imam (AS) ka farman bil kul sir ankho per hai. Main Tareekh main say kuch ghali
nazriyat rakhny waly firqo ka zikr ap ki malomat main izafa karny k gharz say yahan darj kar do.
Ta k jab b ap Ghulu ki mozammat main koi Hadees parho tu ye bhe zehn main rakho k Imam (AS)
ki nazar main kon kon log hotay thay aur kin aqaid waly ko ghali keh kar lanat kartay thay.

Ayun-e-Akhbar Ur Raza (AS) Jild No.1 Page No.378 per Imam Raza (AS) Farmatay hain k “Allah
Tala Ghaliyu Per Lanat karay, Ghali Yahoodi, Nasrani, Qadriya, Marjiya aur Haroriya Hain.

Tabsara: Ap nay Note kia k Imam (AS) nay wazahat say bta dia k Ghali kon kon hain?? Imam (AS)
nay mazeed tashreeh b kar di k koi shak na karay k Imam Jab Ghali per Lanat kartay hain tu un
say kon Murad hota hai Lehaza Imam (AS) nay Farmaya k
QADRIYA wo Firqa hai Jo Ye aqeeda rakta hai k Allah nay Insan ko Mukamal Ikhtiyar day dia hai
aur Khuda Hath per Hath rakh kr Baitha hai (yani moatal hai)
MARJIYA wo firqa hai jo Ye aqeeda rakta hai k Insan Majbor-e-Mahz hai (Yani Allah he insan say
sb kam krata hai matlab zulm ki nisbat khuda ki taraf daytay hain wo log)
HARORIYA wo firqa hai jo Kharjion ki shakh hai (Dushman-o-Qatileen-e-Ehl-e-Bait (AS)

Lain Hazoor ap din rat aik kar k Hubdar Shia momineen per ghulu k fatwa lagaty ho aur har ghulu
wali momin per fit karny ki koshish karty ho aur Ye nahe btatay k Imam (AS) ki nigah main kon
say Ghali hain ap uper waly tamam aqeeda parh kar ghor kar lain gay k asl main Imam (AS) nay
Naqs aur Aib ko Khuda say mansoob karny ko Ghulu kaha hai aur sath he apny Mubghiz dushman
ko b Ghali kaha hai. Ham mazeed ap k lia ghulu waly firqo ka zikr kar daytay hain ta k masoom
shia momineen say ap dushmani chor dain jo serf apny Maula (AS) k fazail sun kar khush hotay
hai aur ap apna Hasad ka izhar kiay bina reh nahe skty.
Kitab Aeina-e-Marifat main kuch mazeed ghalio ki aqsaam likhi gae hain wo ghaliyu k kai friqo ka
zikr karty hain
1. Sabiya: Ye wo log hain jo Ali (AS) ko Ism k bajaey Maani samajty hain. (Abdiyat ka inkar)
2. Bunyaniya: Inka Qol hai k Khuda ki Roh Hazrat Ali main Halool kar gae hai aur un k baad un
k baitay Muhammad Hanfiya main un k bad abu hashim main pher Bunyan main Halool kar
gae. (Yani Khud apni Had ko Barha lia Ali (AS) k bahany)
3. Mughriya: Ye log Khuda ki Tajseem k Qail hain. (Yani Khuda say Bashar ka aib mansob kia)
4. Mansoriya: Mansoriya ka aqeeda k serf 5 Imam han pher wo Khud Khuda ban gaya(yani 12
Imam (AS) ki Imamat say inkar kr k apni Zat ko Had say Barha dia).
5. Khitabiya: In ka Aqeeda hy k sb Ali (AS) Khuda hain magar Abu Khitaab (Firqa ka Bani)
Hazrat Ali (AS) say afzal hai.(Yani Ali (AS) ki khudai ka bahana kar k khud apni Had say
barha dia)
6. Zimiya: Inka Aqeeda hai k panjtan sb Khuda hain aur wahid hn Roh in main brabar hai aur
kisi ko kisi per tarjeeh nahe (Hala k Rasool(AS) ka Farman hai k Ali (AS) Hasan Hussain (AS)
say Afzal hain, magr Ye log Ali (AS) main Aib laga rahay hain)
7. Zaramiya: Inka Aqeeda hai k Imamat Ali (AS) k bad Muhammad Hanfiya ki taraf a gae pher
ye Mansoor tk ae pher Khuda abu Muslim Khurasani main Halool kar gaya ( yani ye log bhe
Abu Muslim khurasani ko Had say nikal rahay thay aur Imamat ka (AS) ka Aib Zahir kar
rahay thay.
8. Nusairya o Ismaqiya: Ye Kehtay hain k Khuda Al-e-Muhammad (AS) Main Halool kar gaya
(yani khuda main Makhooq ki Aib laga dia)
9. Batniya: in ka laqab is lia howa k Ye Quran k Batin ko Moatabar mantay hain zahir ko nahe
aur unho nay shariya k haram ko halal kar diay(yani khud ko had say barha kr itna ikhtiyar
day dia k shariya aur quran k haram ko halal qarar day diay)

Tabsara: Ham nay pori Eman dari k sath Ghulu ki wazahat paish kr di Uper tamam firqo main
koi aik b aisa nahe jis k aqaid ham momineen say miltay hon. Bal k tamam k tamam Ghali firqy
serf isi bat per Ghali kehlay yani had say barh jany waly kehlay k unho nay
Khud ko apni Had say nikal kar kabhi Imamat ka dawa kia kabhi Khudai ka dawa
Ya Unho nay Khuda ko Bashar jaisa man lia Ya wo log Ghali kehlay jo Deen main apni marzi
dakhil krty howay Halal ko Haram aur Haram ko Halal bana layty hain.
Lehaza Aaj b agar
jo koi khud ko Imam kahy wo ghali ho ga
Jo Allah say Bashari naqs mansoob karay wo ghali ho ga
Jo Bashar ko Khudai Sefat say mansob kry wo Ghali ho ga
Jo Halal-e-Khuda ko Haram Kahay Haram-e-Khuda ko Halal wo Ghali ho ga.

Aap ki ankho per tu andhi taqleed ki patti hai ap ko tu anday Ulma k chabaey howay luqmay
chabanay ki adat hai is lia ap ko ye Ghali nazar nahe aey gay
Magr main aik chota sa ishara day do ta k Haq parast ko Elm ho jaey k aaj ye Ghali kahan
milain gay. Zail k chand Jumlay serf Ishara k tor per.
Bashar ko Khudai Sefat say mansob krny wala aaj ka Nara with ref to Nazriya Wilayat-e-faqih
“Wilyat-e-Khamnae Wilyat-e-Ali aur Wilayat-e-Khuda hai”

Bashar ka Aaj Imamat ka dawa with refference to Mahnama Wahdat-e-Islami Shumar Jun 88)
“La Illaha IlAllah Muhamad.ur.RasolAllah Ali Un Wali Ullah Khumani Hujat Ullah Ala Khalq-e-he’’

Takleef k lia mazrat nahe chaho ga kyun k fact jo hain wo main chupa skta he nahe, ab jb Ghali ki
asli sorat aur tareef ap ko maloom ho gae hai tu G bhar k Ghali per Lanat karain aur din rat in
ghulu karny waly logo k khilaf Ahadees-e-Masoomeen (AS) send karain.

Hadees-e-Imam Ali Ameer ul Momineen (AS) hai k Aey Salman! Badbakhti hai aur barbadi hai us
Shakhs k lia.... JO HAMARAY FAZAIL KA MUNKIR HAI (Ref: Alqatra Minal Behar V-3 Page 56)

YOUR MSG 8
MISALI SHIA
Imam Jafar Sadiq (AS) ka farman k Hamary Shia ko 3 Mawaqay pe aazmao
1. Jab Namaz ki waqt ho tu daikho wo kaisy namaz ki muhafizat kary hian
2. Razdari k mamly mian k wo kaisay raaz hamary dushmano say chopatay hain
3. apne maal ko kharch karny k muamlay ma k kaisay wo apne bhaiyon ki madad karty hain
(Bihar ul Anwar vol 83 page 22)

Yahan Imam Misalen bayan kar rahay hain k shion ki kam az kam is jali riwayat kay batil honay
kay liyeh ye hadees kafi hai.

OUR REPLY
Aap k commetns parh k Hassi atai hai. K ye rewayat paish kr k ap baghlain baja rahay ho aur
khush ho k ye hadees hamri hadees ko jali sabit kar rahi hai.
Subhan Allah Hadees k Abdtaal k lia Quran ki Mohkamat say istadlal kia jata hai. Khair ap ki bat ko
man laytay hian Is Hadees main Maula (AS) keh rahy hai k Hamara shia Namaz k waqt Namaz ki
mohafizat krta hai tu janab Hamari Hadees main Ali (AS) ka Muhabbat k sath name layny ka zikr
tha ap btao kia Ali (AS) ka muhabbat say zikr karny say Namaz k waqt ka kon sa harj hota hai???
Jo ap nay ye Hadees mujhy Paish ki. Ali (AS) k zikr say jalny ki koi khas wajha hai ap k pas ???
pora ka pora zor laga rahi hai ho. Jo bhe hadees mili tum nay dua ki k kash is say Ali (AS) k zikr ki
ehmiyat kam ho jaey itni talsh kar rahi ho is zikr ko kam ehm zahir krny k lia thori c mehnat ki hoti
tu tum ko Ali (AS) k Fazail ki aisi Hadeesain mil jati jis k bad tum serf aur serf Ali Ali Ali Ali Ali (AS)
ki tasbeeh parhti rehti.

Suno Ap ki lia main kuch Ahadees Lekh raha hon mujhy nahe maloom k ye sb parh kar ap k
chehry gulzar bany ga ya sharar. Magar Is unwan say hadees taluq rakti hain so paish kar do ta k
ap ko zikr-e-Ali (AS) k ehmiyat maloom ho aur ap Ali (AS) k zikr ko he Khuda k zikr say comparison
na karo kabhi.

Shaik Mufeed ka name tu ap nay suna ho ga in ko jalee kehny ki zarorat nahe ho gi ap ko wo apni
kitab Iktesaas main Asbagh Bin Nabata say Rewayat krty hain k Ibn-e-Abbas nay Rasool-e-Khuda
(S.A.W.W) say Suna k “Khuda ka zikr Ibadat hai Maira zikr Ibadat hai aur Ali ka zikr Ibadat hai”
Tabsara: Ap nay Jan lia k in 3 hastiyu ka zikr Ibadat hai ab ap ko koi haq nahe k ap kisi ibadat ko
ko Kam ya ziyada kaho kyun k ap k pas ibadat ko tolny ka mizaan he nahe hai.
Haan maray pas Daleel hai k Afzal Ibadat kia hai. Wo apni zati raaey nahe bal k Hadees-e-Imam
(AS) hai. Ye Hadees Kitab Mahasin Page No.113 aur Ayatullah Ahmed Mustanbit ki Al-Qatra Minal
Bahar say Naql kar raha hon k
Imam (AS) Jafar Sadiq (AS) farmatay hain k her Ibadat say Afzal 1 ibadat hoti hai aur Ham
Masoomeen (AS) ki Muhabbat Tamam Ibadato say Afzal Tareen hai. Aur Ameer ul Momineen
(AS) ki Muhabbat tamam ibadato ki sardar hai. Her cheez ki Bunyad hoti hai aur Hamari
Muhabbat Islam ki Bunyad hai.

Main koi comments nahe do ga yahan ap ko maloom ho chukka hai k Ali ka zikr ibadat b hai
aur afzal tareen ibdat hai bal k sardar hai. baqi Ibdat Ali ki Muhabbat ki Raiyat hain. Mujy
Maloom hai k ap say bardash nahe ho raha ho ga magar is k lia ap mujh per ghusa mat
nikalain Khuda say jhagro jis nay ye Shan Ali (AS) say makhsos ki aur pher Imam (AS) say
jhagro jinho nay ye Hadees bayan ki aur pher un Ulma say ja ka Jhagro jin Ulma nay apni
moatabar tareen books main is ko record per laya.

Aik Mantqi air Aqli Bat ap ko samjhata hon

Kitab-e-Toheed sheikh Sadooq ki buhat he authentic book hai aur ye Dunya janti hai k Shaikh
sadooq Ghali nahe thay aur Behar-ul-Anwar ko ap mantay he ho uski Jild 24 Hadees No.25
main b Kitab-e-Thoeed ki Ye Hadees darj hai. K
Maula Ali (AS) nay Farmaya k
Ana Elm Ullah hai Ana Qalb Ullah hai ana…………………………………………………..
Yani Main Allah ka Elm hon
Main Khuda ka wo Dil hon Jis main Us k Razo ko rakha howa hai
Main Khuda ki bolti Zaban hon
Main us ki Daikti Aankha hon,
Main Allah ka Pehlu hon jis ki taraf Tamam Makhloq ko Tawajo krny ka Hukm dia gaya.
Kyun k Khuda ka Qurb Mairay Baghair Hasil na ho ga.

Tabsara: Ap nay ghor farmaya, Ali (AS) ka zikr tamam IBadato say afzal kyun hai??? Kyun k Ali
(AS) ka zikr jab ap kar rahy ho tu Ap samaj lo k Ap
Allah k Elm ka zikr kar rahy ho
Ap Allah k raaz dar dil ka zikr kar rahy ho
Ap Khuda ki zaban ka zikr kar rahy ho
Ap khuda ki ankho ka tazkara kar rahy ho
Ap Allah k us pehlu ka zikr kar rahy ho jis ki taraf Allah nay aap ko tawajo karny ka Hukm dia
Ap is lia ye zikr kar rahy ho k ap k Maula keh rahay hain k Khuda ka qurb mil he nahe skta
baghair Hub-e-Ali (AS). Yani jo Ali (AS) ka zikr karay goya wo khuda ka zikr kar raha hai.
(Nishani hai Aql walo k liay)
YOUR MSG 10
Hazrat Ali example zaror hain magar un say bari example Rasool Allah hain. Jin kay ye ghulam
hain aisa kiyun nazar nahen ata kay Hazrat Muhammad ka sachay dil say nam laina 6 maheenay
kay rozay say behtar hai?

OUR REPLY
Ye msg ap k shadeed tareen bughz ki alamat zahir kar raha hai aur kuch nahe ap ko jo fazeelat Ali
(AS) k lia shirk lag rahi hai jo bat ap ko Ali (AS) k lia ghulu lag rahi hai wohe bat ap Rasool Allah
(S.A.W.W) k liay talab kar rahi ho. Agar ye shirk hai tu sb k lia hai aur agar nahe tu pher kia
takleef k Ali (AS) say mansob ho ya Rasool Allah (S.A.W.W). Main samajta ho k ye jawab kafi nahe
ap ko samjhany k lia. Ap Maula (AS) ki Maarifat rakhty he nahe warna ye ehmakana jumla na
kehty k Rasool (S.A.W.W) k zikr kyun nahe 6 month ki ibadat say afzal. Aap k lia main kuch aur
sawal karta hon? Agar ap in tamam sawalo k jawab day do tu main samjho ga ap apny sawal ka
jawab b talash kar lo gi.

1. Btain… wo kia waja hai k Rasool Allah (S.A.W.W) ki Muhabbad Momin aur Munafiq ki
pehchan nahi magar Ali (AS) k Muhabbat Pehchan hai???
2. Btain…. Wo kia waja hai k Allah ki Muhabbat Momin aur Munafiq ki pehchan nahe magar Ali
(AS) ki hai.
3. Btain…. Wo kia waja hai k Allah nay Rasool-e-Khuda (S.A.W.W) ko Serf Ali (AS) ki Wilayat
ka Elaan na karny ki mamlay Dhamki di k Aey Rasool apki Rasalat zaya ho jaey gi. Quran
main in alfaz main record hai ye dhamki Illam taf’al fama balagta resalatao. (agar ap nay ye
na kia tu samjain pori resalat ka kam he nahe kia)
4. Btain wo ki waja hai k Allah nay aur Rasool S.A.W.W nay Ali (AS) ki Muhabbat ko apni
muhabbat ka meezan qarar dia. Aur Ye Alfaz farmaey k Wo jhota hai jo mari muhabbat ka
dawa kary magar Ali (AS) say bugz rkhta ho …Q Ali (AS) ki wilayat na honay per Allah k
khatir kiay howay naik Amal dhol ki manid urra diay jaen gay. Hala k Allah ki Ibadat tu
Khalis ki hai.
5. Btain wo kia waja hai k Ammer ul Momineen ka laqab serf aur serf Ali (AS) k lia he istamal
ki ijazat hai. Hatta k ap 11 Masoomeen (AS) k lia b nahe istamal kr skty aur Lafz Ameer Ul
Momineen (AS) k baray main kia waja hai k kaha gaya k Ali (AS) say pehly na koi Ameer ul
Momineen hai na Ali (AS) k bad. Awaleen o akhareen main koi aik b Ameer ul Momineen
(AS) honay ka dawa Ali k siwa koi q nahe kar skta??????

Ye serf 5 sawal hain in ka jawab ap talash karain. Tu ap ko apny sawal k jawab b mil jaey ga. Main
bs itni naseehat karo ga k Ali (AS) ki Infardiyat say mat jalo khuda ki qasam buhat baray azab
main mubtala ho jao gay Allah nay Ali (AS) ko buhat say infardi fazail ata kiay hain Ali (AS) k bayto
jaisy bayty Rasool (AS) k pas nahe Ali (AS) ki zoja jaisi Pak Batool Tahira zoja Rasool (AS) k pas
nahe … Ap kis kis infardiyat say jalty raho gay ham haqeeqat pasand hain aur koi dooghli bat nahe
kahain gay jo jaisa hai us ko waisa he manty hain chahay kisi ko kuch b lagay.
YOUR MSG 11
Imam Muhammad Baqi (AS) ka farman Jabir Bin Abdullah se farmatay hain Aye Jabir Tanha ham
Ahle-e-Bait ki muhabbat kafi nahi. Qasam Ba khuda Hamara shia wo hai jo Muttaqi aur Itaat Quzar
ho. Khuda ki qasam sirf Amal aur Parhaiz gari se hamari wilayat tak pohncha ja skta hai
(Asol-e-Kafi vol 2 Kitabul Iman wal Kufr)

OUR REPLY

Is poray msg ko main baghair jawab diay chor raha hon kisi lehaz say b is per tabsara karma koi
mani nahe rakht is waqt. Is Hadees main aik Jumla hai k Hamara Shia WO hai jo Muttaqi ho…….
Aap say sawal hai k Taqwa Hidayat say pehlay ata hai ya Baad main….??? Yani Koi admi Muttaqi
pehly Banta hai Ya Pehly Hidayat pata hai pher Mutaqi banta hai??? Ye sawal main ap per chor
raha ho next jab ap mairy tamam k tamam letter ka jawab do gi tu tab is ka b jawab daina main
us k bad isi hadees per ap ki jawab ko samny rakh kar Quran say behs karo ga ta k baat asaan aur
saf ho jaey.

Alhamdo lellah ap k tamam tar Aytrazat ka ham nay mukamal jawab diay. Aur ap k kisi msg ko b
ignore nahe kia aur kisi pehlu ko b tashna nahe chora aur Ghulu ka sahe tasawur wazih kar k pher
ap k jawabat ka jawab dia hai. Parwardigar ka shukr hai k ham nay Ali (AS) ko is lia nahe mana k
hamary ma bap nay kaha ho na is lia mana k Ulma kehty hain bal k Ham nay is lia mana k Ali (AS)
Quran aur Hadees main hamain HAQ Nazar aya isi lia ham kisi bhi andhi taqleed main kahe hoe
bat say mutasir nahe hotay aur Hamara Eman, har muqasir ka hamla aur waar per barh jata hai ye
daikh kr k dushman-e-Ali (AS) ki kitni kamzoor sepah hai.

Sajjad Haider
02 Sep 2010

You might also like