URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 34

URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA

MASLA

Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016

URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI


KA
MASLA
Kal telephone par mairi aur Dr Riaz Majid ki Urdu
rasam-ul-Khat ki tabdili kay hawalah say baat ho rahi thi. Oon
ka kehna tha :

Urdu kay mojoda khat ko Roman khat main badalnay ki


sazashain chal rahi hain.
Yah koee aaj ki baat hai, yah to bohat pehlay say ho raha hai.
Mein soch main par giya kya aisa ho sakay ga aur yah behtar

aqdam hoga?!

Is waqt Hindustani- hind'santani, hind'asthani(Urdu+Hindi) jo


donyan ki dosri bari aabadi kay rabtay ki zoban hai kay tein
rasam ul khat raej hain:
1- Nastaleeq, Arabic bara 'ay Urdu 2- Dav Nagri baray hindi
3-Roman
Roman her donoon, Urdu aur hindi alawa'azein dosray bolnay
aur samjhnay waloon kay liay mofeed hain.
Yah khat aaj say nahain, barsoon say mustamal chala aata hai.
Is mozo par guftagu say pehlay eak baat wazay kar doon kah
koee zoban os waqt tak mar nahain sakti jan tak:

1-

Os kay doo bolnay walay mojood rehtay hain ya eak bhi

sochnay wala baqi rehta hai.


2- Eak likhnay aur eak parnay wala mojood rehta hai.
3- Aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq tabadeel nahain
ho jatay.
In tein batoun kay hawalah say mein yah kehnay ki pozishan
main hoon kah Hindustani (Urdu+Hindi) ko kisi qisam ka koee
khatra la'haq nahain.
Urdu kay khat badalnay say kuch nahain ho ga aur na'hi aisa ho
sakay ga. Turki ki baat aur thi, is ka ta'aluq dou khitoon se hai
aur wo zidain ki intaha par hain. Zidain par kaenaat khari
hai. Zidain ka khatma goya kaenat kay khatam honay kay
motraduf hai.

Roman khat main likhi janay wali zoban siraf kitabi zoban ho
gi. Kabi bhi bool chal ki zoban na ban sakay gi.



Turki ka mojoda rasam-ul-khat bool chal ki zoban say laga
nahain rahta. Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota'alq
sarmaya zaya ho giya hai laikin Urdu kay sath yah nahain ho
sakay ga. Urdu walay oon say mukhtalif zehan kay log hain yah
pehlay ko Roman main tabdeel kar lain gay. Pehli baat yah kah
Roman khat ko bara'ay bool chal qabool hi nahain kiya ja'ay ga
ya kya ja sakta ya is hawala say bai'haad mushkal ka eak arsa tak
samna karma paray ga.
Urdu 37 bunyadi awazoon par ostawar hai jab'kah aa aur

noon'ghona ko shamar main nahain rakha jata laikin yah


aawazain kasrat say istamal main aati hain.
In aawazoon kay elava 12 maha paran (bhay, phay thay waghera)
tarriban itni hi alamiti awazain (zabar, zair, shad waghera)
aur
163 say ziyada morakab awazain istamal main aati hain. Yah
surat kisi eak alaqay tak mehdood nahain. Eak aam aadmi
Roman khat kay zair-e-asar in aawazoon say kayoon'kar
dast'kash ho sakay ga. Za'ay farsi roman main likhnay kay liay
kya kary ga.

:
Angraizi ko 1754 say omomi aur 1835 say khasusi toor par jabri
zoban ka darja hasal hai. Kya yah awami maqboliat hasal kar

saki hai.
Jawab yaqinan nafi main ho ga.
Imtihanoon main na'kam honay waloon ki sab say ziyada tadad
angraizi main hamaisha say chali aati hai. .Fazal Din dokandar
ya manay pakoroon walay ko is say kya laina daina. Zindgi kay
kisi eak shobay main bhi ei ko koee moqam nahain mil saka. Log
apni zoban aur lehjay main baat karkay ziyada farhat mehsous
kartay hain. Roman rasam-ul-khat kay raej ho janay say logoon
kay aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq badal nahain jaein
gay. Lihaza is zimun main koee fikar ki baat nahain issay
sansikrat ki tara kitabi zoban say ziyada darja hasal na ho pa'ay
ga. Ta'hum Dav Nagri khat aur Hind'santani(Urdu+Hindi)
bolnay aur samjhnay waloon kay mabain rabatoon kay hawala

say is rasam-ul-khat ki hosla afzaee bora amal nahain.


Is pehlou kay elawa bolnay kay zimun main koee khatar'naka
natija baramad na ho sakay ga aur yah main baray wasooq
say keh raha hoon aur is par her hawala say guftagu ki pozishan
main hoon. Roman rasam-ul-khat ka her hami jab chahay
mairay sath is ziman main kisi bhi waqt guftagu kar lay.
Sun Aug 31, 2008 6:45 pm
_________________

duaa
salam 2 all!
dr. sahb! first of all i wud like to say that it really feels good

whenever pure urdu is used n i really admire ur "shusta aur


sakeel urdu" as for as this topic z concerned, i'd only say that
agar aisa ho jae k urdu rasm-ul-khat ko roman mae tabdeel kr
dia jae, to urdu k readers ko jitni mushkil ho gi uska andaza ap k
post kie hue topics ko parhne mae lagne wali der n mushkil se
lagaya ja sakta hae!!! Smile plz dnt take it negatively. i really have
this point k roman mae likhi hui urdu parhna bohat mushkil
kaam hae....
Mon Sep 01, 2008 12:08 am

_________________

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani

punjab
aap ki khasusi tovajo k liay mumnoon hoon.
Allah sahib aap ko kush rakhy.
Mon Sep 01, 2008 12:52 pm
_________________

ahmet2910
Senior Member Pakistani

YES I AGREE WITH YOU PEOPLE


UNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING AND
WRITING URDU IS DIFFICULT

BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR


FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORD
FOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETC
SO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TO
LEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABET
AND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULT
TURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAME
PROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATE
URDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETS
LIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOW
ITS NOT A BIG TASK
I HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS

SUBJECT
I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNED
PEOPLE THIS HOMEWORK OF MINE
Mon Sep 01, 2008 3:18 pm

_________________
ahmet2910
Senior Member Pakistani
[/quote]Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya
zaya ho giya hai
UNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THIS
OBSERVATION OF YOURS

tHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST

OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORM


Mon Sep 01, 2008 3:22 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
ahmet2910 wrote:
Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya zaya ho
giya hai
UNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THIS
OBSERVATION OF YOURS
tHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST

OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORM


ikhtalaf aap ka adbi aur asoli haq hai.
wo sab ossay tara say na'ay khat main muntaqil nahain howa
aur ya mumkin bhi nahin.
aap ko is hawala say mazeed tehqeeq karni chahiay ta'kah mujh
say mamoli talib-e-ilm ko bhi faeda ho say.
shukarreya janab
Mon Sep 01, 2008 7:49 pm
_________________
Note: ahmet


ahmet

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab

ahmet2910 wrote:
YES I AGREE WITH YOU PEOPLE
UNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING AND
WRITING URDU IS DIFFICULT
BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR

FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORD


FOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETC
SO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TO
LEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABET
AND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULT
TURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAME
PROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATE
URDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETS
LIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOW
ITS NOT A BIG TASK
I HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS
SUBJECT

I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNED


PEOPLE THIS HOMEWORK OF MINE

janab ki tovajo aur mohabat mairay liay bari maeniviat rakhti


hai.
mein arz yah karna chahata hoon kitaboon k hawala say aisa ho
bhi giya to is ki koee ehmiat nahain ho gi. yah seiaf aur siraf
sansikrat ki se zoban ho gi.
logoon k aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq jo qudrat ki
ata hain oon ko kis tara tabdeel kiya ja sakay ga.
Hind'santani (Urdu+Hindi) ki aawazoon ka apna nazam hai aur
yah yahaan ke logoon say wasta rakhta hai.
donyan ki koee zoban aawazoon k ehawala say Hind'santani

ka moqabla nahain kar sakti aur mein apnay is biyan k hawala


say her tara ki guftagu ki pozishan main hoon.
aap nay tovajo farmae is k liay aap ka bohat bohat shukarreya.
Allah Sahib aap ko kush rakhay.
Mon Sep 01, 2008 8:00 pm
_________________
I K QAZI
Moderator
Germany

Humari majboori he ke hume Roman Urdu me iss Forum par


likhna parrtha he QK hume nahih mahloom ke kaise Urdu Rasm

Ul Khat me likhte hain warna tho jo maza Urdu ko asli rasm ul


khat me parrne likhne ka he, wo roman me kahah.Hume konsi
aisi zaroorat parr gayi he ke hum Urdu ka Rasm ul khat tabdeel
kareh "Original Is Original".Meri Maadri zabaan Pashto he,me
Angrezi schooloh ka parra huwa hoon lehkin chunke mujhe
Urdu achi laghti thi iss liye Muthaleha kartha raha aur iss ko aisi
zabaan paya ke jiss me khud ko behter thor se, apne khayalaat
aur jazbaat ko bayaan (Express) kar sakthe hain.Har aik cheez
ke liye dilchaspi ka hona zaroori hotha he,aur jab aap ko kisi
cheez se lagao ho ga aap uss ke liye koshish kareh ge seekne ki
aur issi tarrah dilchaspi barrthi jaye gi.Siway Turkiyo ke mujhe
yaad nahih ke kissi aur Mulk ya Qaom ne Murawaj rasm ul Khat
tabdeel kiya ho.Jabke Turki me ye iss liye waqya pazeer huwa ke
"Zabardast Ka Jabbar" tha aur ussi ke yaani ATTA TURK ke

complexes aur Arabioh se nafrat thi (Nahi nasal ke liye kohi


doosra raasta nahih tha ya uss se unn ko waqfiyat aur raghbat
he)no other way left & no alternative.Me samajhtha hoon ke
Urdu humare liye bahami raabthe aur apna "mahfi ul zameer"
wahzeh thor par bayaan karne ka zariya ban chuka he aur iss ki
saari khubsurati bhi iss ke Arabi rasm ul khat ki waja se he.Issi
se hum mahnoos bhi hain aur issi me hume lutf bhi aatha
he.Yahah Germany me har 20 Km par lahja aur dialect (Boli)
change ho jathi he (Aisa humare Pashto zabaan aur hilaqoh me
bhi he,siway Adabi Pashto ke) lehkin meri hat al wassa koshish
thi aur he ke humesha "Hoch Deutsch"(High German yaani
Adabi Germani) me ghuftagu karoo jis se taleem yaafta tabaqe
par aik musbat assar hotha he.Issi tarrah hume chahihe ke hum
apni Qomi zabaan ko ahmiat de,lagan se iss ko seekhe tab hi iss

ki ahmiyat humare dilloh me barre ghi.Me tho iss cheez ka na


sirf qahil hoon balke iss par hamal bi karne ki koshish kartha
hoon ke aadmi apni asaliyat se pyar kare balke uss par fakhar
kare,usse issi tarah qabool aur maqbool kare jis se ke uss ki
infiradiyat aur ahmiyat barqarar rehthi
he.Ghalib,Iqbal,Faiz,Faraz Etc ko Roman me parrne mo lutf tho
nhih mille ga jo Asal rasm ul khat me he aur jis se apnahiyat ka
ahsaas bhi zinda rahtha he.Apni
cheezoh,asliyat,Tehzeeb,zaban,Aqdaar waghaira se pyar karreh.
Tue Sep 02, 2008 5:22 pm

_________________

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani


punjab

Shukarreya janab, aap nay is hisas moamlay ki taraf puri


mohabat se tovajo farmae.
Mein seraf itna araz karma chahata hoon kah her cheez kay
apnay taqazay aur apni zarotin hoti hain ohain onhi kay
hawaloon say daikhna ziyada zarori faeda'mand hota hai. Oon
kay liay koee dosri ainak istamal main laein gay to masla olajhta
chala ja ay ga.
Mein qatan yah nahain kehna chahata kay roman rasm-ul-khat
khatam kar diya ja'ay yah sadyoon say raej chala aata hai. Is ki
zarorat hai is liay issay barqarar rehna chahiay. Aaj kay ehhad

kay hawala say is ki teen zaroratain hain:


a- Net par word main ziyada tar likha jata hai.
b- Dev Nagri waloon say is kay hawala say rabta rehta hai jo
intahaee zarori hai.
c- Dusri zobanoon walay jo boltay aur samjhtay hai.n Yah oon
ki bhi zarorat hai.
Mazay ki baat yah kah donoon group (b, c) alfaz ki aawazoon ko
asal lehjay hi main bolain gay. Roman main toay aur tay kay liay
t mustamal hai. Tara ko toay say hi samjha ja'ay ga. Baat kay
liay t ko oski asa; aawaz say hi samjha aur bola ja'ay ga.
Japani main char tara kay lisani nazam raej hain (1- hiragana 2katakana 3- romji (romanji) 4- kanji) zoban par kya faraq par
raha hai?

Kusch bhi to nahain.


Hind'santani (Urdu+Hindi) kay bhi 3 khat 3 hawaloon say
mojood rahain gay to kya qiyamat toot paray gi aur kya noqsan
ho raha hai jis ka azala na ho sakay ga?!. Yah 3noon hawalay se
apna vajood aur jawaz rakhtay hain.
Aap daikh lain Pakhto ki pasnch zati aawazain hain:
a1- seem
2- khein
3- ziem
b4- gay
5- nar
Roman main in ki mutradaf aawazain kahan say laein gay. Gher

Pakhtonoon kay/say Rabtay kay liay roman khat ka istamal hota


hai to koee haraj nahain laikin pukhtonoon kay apnay
aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq hain is liay oon par yah
khat kayoon'kar impoz kiya ja sakta hai. Yah mumkin hi nahain
kah oon kay liay roman khat koee natija samnay la sakay ga.
Note:
Haan gher'push hazraat ke liay roman gher mofeed nahain.
likhaee ke liay tabadal awazaoon se kaam chalya ja sakta hai.
Tue Sep 02, 2008 9:19 pm
_________________

I K QAZI

Moderator
Germany

Very right, thankfull to you for your work & concideration. Bus
Humari zabaan he, hume iss ko issi tarah qabool karna chahiye
aur iss ki iss ki apni mojhuda hahiyat me hi iss ki tarweej karni
chahiye.Pakhto (Pushto) ke muhtaliq aap ne teek kaha he, ab kal
ko loag hum se kahe ke Pashto ka Rasm ul khat bhi tabdeel kar
deh tho ye tho na munasib taqaza ho ga.Keep it up well

contributed.Wa Assalam Ramazan Mubbarak.


Thu Sep 04, 2008 6:16 pm
_________________

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab

janab monasib ya na'monasib ki baat hi nahain, baat aawazoon


ki aadaegi ki hai.
urdu ki choti aawaz aur toay k liay siraf t hai. angraiz ki to
majbori hai laikin urdu bolanay walay ki kya majbori hai.
iesi tara pakhto ki 43 aawazoon main say baish'tar aawazain
kahan say aaein gi. morakbaat masla hal nahain kar saktay. wo
to eak haad tak sath daitay hain.
aap ki tovajo k liay mumnoon hoon.

Allah Sahib aap ko kush rakhay.


Thu Sep 04, 2008 8:51 pm

_________________
Note:

Yah dou isma arbi ke hain aur Aaqa Karim Oonn par un'haad
darood o salam ke naam hai roman main ko d se likhna
mairi majbori ho gi laikin issay d se bolnay ka sawal hi paida
nahain kayoon'kah mein bool sakta hoon. Bolnay ki
salahiat rakhtay howay nahain bolta to yah tohein ke zomray
main aa'ay ga.

I K QAZI

Moderator
Germany

Dr.Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaam


he ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hi
sakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih ho
sakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss me
contribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zaban
par kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre "Pathro
Wale"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashto
ke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anyway
keep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best.
Sat Sep 06, 2008 4:27 pm

_________________
alisarwar

MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOW


Sat Sep 06, 2008 5:10 pm

_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab

inayat khan qazi wrote:

Dr. Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaam
he ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hi
sakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih ho
sakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss me
contribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zaban
par kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre "Pathro
Wale"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashto
ke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anyway
keep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best.
aap nay is say pehlay khoob khoob likha hai.
aap ki shirkat say bari madad mili hai.
likhtay rahain.
shukarreya janab.

Sat Sep 06, 2008 6:12 pm


_________________

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab

alisarwar wrote:
MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOW
kindly zara khul kar baat karain,
shukarreya.

Read more:
http://www.forumpakistan.com/urdu-kay-rasam-ul-khat-ki-tab
dili-ka-masla-t14907.html#ixzz4Fh7lYiQ3

URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA


MASLA

Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016

You might also like