Qurbani
Qurbani
Qurbani
قربانی ۔۔۔
Qurbani (sacrifice)... Azha.. Zubah (slaughter)
Kuch farq nazar aaa raha hai???
Ibrahim as ko khuwab me qurbani dene k liye kaha gaya tha ya zubah karne k liye???
Kehte hain k niyat dekhta hai ALLAH... Mujhko samjh naho aaya 10000 ya 50000 ya 500000 ka dumba qareed kar us maso ko zubah
kardena.. Qurbani kaise hui??? Isme aap ki niyat kya hai???
Aap ki niyat to ye hai k ye dumba mujhko pul siraat paar karayega..
Is masoom ko zubah karke aap ALLAH ko kaise raazi karaa sakte ho??
Khud par ghour karo.. Aur dekho k is waqt mai konsi sifat par kaam kar raha hu
Jo sifat aap me is waqt hai.. Aap is waqt wohi maqlooq ho insan nahi
Jo hamare paas hai.. Uska shukr na manaa kar dusre k paas moujood cheez ki quwahish rakhna laalach hai
Jaise kutta..
Ek jhaad ko dekho
Wo phal deta hai oxygen deta hai saaya deta hai
Kya aap bhi aise ho...
Agar haa to phir aap jhaad ho insan nahi...
Ab humko karna ye hai k tamaam sifaat ko ek ek karke nikaal dena hai apne andar se...
Ache sifaat ho ya bure sifaat...
Jab humko nazar aata hai k kapdo par daagh lag gaya to hum kya karte hain??
Agar wo daagh keechad ka hua tabhi nikaalte? Ya phir wo daagh phool ka phal ka ya kisi fair and lovely ka hua tab bhi nikaal dete?
Balke hum ye sonchte hain k daagh dagh hi hai achi cheez ka ho ya buri cheez ka....
Kyu k hamara zameer kehta hai.. Kapde ko kapde ki sifat par hi rehna chahiye usme kisi aur cheez ka koi bhi nishan us kapde ki fitrat
ko qaraab kardega...
Agar kapde par ek daagh lage to asaani se aur jaldi nikaal sakte.. Laikin poora ka poora kapda hi daagh daar ho jaye to kya karenge?
Jab aap me us bache jaise qoobiya paida ho gaye to samjho aap insan ho ....
Ya insan ki sifaat paida karlo saare sifaat qud ba qud qatam hojayenge...
Jab aap pure insan ban jaoge tab shuru hoga deen e islam...
Tab aap par islaam k ehkamaaat laagu honge..
Shariyat
Tareeqat
Haqeeqat
Marifat
Us bache ki nazar me
Na hindu hota na musalman
Na paak hota na.. Na paak
Wo ye nahi kehta k napaak log mujhko haat na lqgaao
Wo ye nahi kehta k mai hindu hu ya musalman
Wo bas itna jaanta hai k MAI HU
Ya to ek ek sifat nikaalo
Ya insan waali sifat paida karlo...
Wo paida hone waala bacha ye bhi nahi jaanta k wo mard hai ya aurat..
Itna pure hota hai wo bacha... Aur insan bhi itna hi pure hua tabhi wo is kayenat me ashraf hua..
Isliye insan allah ka raaz hai aur allah insan ka raaz hai....
Apne andar se apne aur tamaam 18000 qism k maqlooqat k sifaat ko qatam karna hi qurbani hai..
Kyu k hum bohot pyar se in sifaat ko paale hain aur humko bohot mohabbat hai in sifaat se..
Aur ALLAH paak kehte hain meri raah me apni azeez se azeez tareen cheez qurban kardo..
Insan k liye uski jaan bhi utni azeez nahi hoti jitni ye haiwani sifaat azeez hoti hain..
Wo khud ko asaani se qatam kar sakta hai laikin in sifaat ko qatam karna qurban karna uske liye bohot mushkil ka kaam hai
Isliye ALLAH ki raah me azeez se azeez tareen cheez ko qurban karne ka hukum aaya hai..
Ibrahim as k liye bhi jaan azeez nahi thi. agar jaan azeez hoti to NAAR E NAMROOD me nahi kodd'te ibrahim as..
Ibrahim as k liye doulat azeez nahi thi warna 900 🐫zubah nahi karte..
Ibrahim as k liye beta bhi azeez nahi tha warna bete ko bhi qurban karne nahi le jaate..
Ibrahim as k liye bete ki mohabbat azeez thi isliye apne bete ko zubah karne se pehle apni aankho par patti baandh liye..
Asal me unho ne bete par nahi apni us mohabbat ki sifat par churi chalaai thi..
Agar sach me aap qurbani dena chahte ho to us cheez ko us sifat ko qurban karo jo aap k aur ALLAH k darmiyan parda ban kar khadi
hai..