Aulaad Ke Huqooq

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 13

Taleef : Abu Hamzah Abdul Khaliq Siddiqi

Romanized By : N Nasreen Sabha


AULAAD KE HUQOOQ

Pehla Haq: Neik Aulaad Ki Dua


Aulaad ke huqooq me se pehla haq ye hai ke insaan Allah taa’la se neik aulaad ki
duayein karle, Allah Taa’la ne quran me iss amal ko momin ki sifat qaraar diya hai.

ۡ ‫وَٱ ذَّلِينََي ُقولُونَر ذبناَه‬


ً ‫بََلاَم ِۡنَأ ۡزوَٰجناَو ُذر ذيَٰتناَقُ ذرةَأ ۡع ُُيَوَٱ ۡجعلۡناَل ِلۡ ُم ذتقُيَإم‬
َ ‫اما‬ ِ ِ ٖ ِ ِ ِ

ً َٰ ٗ‫ذ‬ ۡ ‫ُ ْ ُ ذ‬ ۡ ُۡ ۡ ُۡ َٰٓ ْ ُ
َ ٧٤‫أولئِكَُيزونَٱلغرفةََبِماَصَبواَويلقونَفِيهاََتِيةَوسلما‬
Surah Furqaan – Ayat : 74

“Aur jo ye dua karte hain ke Aye Parwardigaar ! Tu hamein hamari biwiyon aur
aulaadon se aankhon ki thandak ata farmaaya aur hume parhezgaaron ka imaam
bana”

“Hasan Basri se iss ayat ke mutalliq poocha gaya to unho ne kaha ke banda-e-
muslim apni biwi,apne bhai,aur apne rishtedaaron ko Allah ka mutee-o-
farmabardaar dekhe, isse badhkar iske liye aankhon ki thandik ka sabab aur kiya
hosakta hai.

1 THE WAY OF SALAFIYYAH


Ibn Jareej ne ispar ye izafa kiya hai ke wo khuwaish-o-aqarib gunahon aur jarayem
ka irtikaab karke hamare liye nang-o-aar ka sabab na banen”. (teeserur rahmaan,
1308\0 )

Waalidain ka farz hai ke jab inhe aulaad ki niyamat se nawaza jaaye to iski neiki ki
duwayein Rab-e-Taa’la se karte rahein, chunanche Sayyadina Abu Huraira (R.A.) se
riwayat hai ke Nabi-e-Kareem S.A.W. ne irshaad farmaaya:

((Salaasa da’waati yustajaabu lahunna la shakka feehinna: daawatul


mazloomi,wa daawatul musafiri,wadaawatul waalidi liwaladihi))

Sunan-e-ibn maaja, Abwabud duwa,Raqam: 3863, Silsilatus Sahihatu,Raqam: 596.

“ Teen duwayein Aisi hain jinki qubooliyat me koi shak-o-shaba nahi hai,
Mazloom ki dua, musafir ki dua, aur waalid ki apne aulaad ke liye dua”.

Doosra Haq: Aulaad Ko Qatal Na Karna

Allah Taa’la ka irshaad hai :

ْٓ ُ ُ ۡ ٗ َٰ ۡ ۡ ۡ ۡ ْ ُ ۡ ُ ‫ذ ُّ ُ ۡ ۡ ُ ۡ ذ‬ ُۡ ْۡ ُۡ
َٰ
َ‫ۡشكواَبِهَِۦَشيَاَۖوبَِٱلو ِِلي ِنََإِحسناَۖوَلَتقتلوا‬
ِ ‫َت‬‫َل‬ ‫َأ‬ۖ‫م‬ ‫ك‬‫ي‬ ‫ل‬ ‫َع‬‫م‬ ‫ك‬‫ب‬‫َر‬‫م‬‫ر‬ ‫اَح‬‫َم‬‫ل‬ ‫ت‬ ‫َأ‬‫ا‬‫و‬‫ال‬‫ع‬ ‫َت‬‫ل‬ ‫ق‬

ۡ ۡ ْ ُ ۡ ُ ‫ۡ ۡ َٰ ذ ۡ ُ ۡ ُ ُ ُ ۡ ذ‬ ُ
ِ ‫أ ۡولَٰدكمَمِنَإِمل ٖقََّننَنرزقكمَِإَوياهمَۖوَلَتقربواَٱلفو‬
َ‫حشََماَظهرَمِنهَاَوماَبطنَۖوَل‬ َٰ ۡ

ُ ُ ‫ذ‬ ُ ُ ۡ ‫ذ ذُ ذ‬ ‫ذ‬ ۡ ْ ُ ۡ
١٥١َ‫َٱّللََإَِلَبَِٱۡل ِقََذَٰل ِك ۡمَو ذصىَٰكمَبِهَِۦَلعلك ۡمَت ۡع ِقلون‬ ‫تق ُتلواَٱَلذفسََٱل ِتََحرم‬

Surah In’aam – Ayat : 151

2 THE WAY OF SALAFIYYAH


“Aap kahiye ke aao main tum ko wo cheezen padh kar sunaon jin ko tumhare Rab
ne tum par haram farmadiya hai. Wo ye ke Allah Ta’ala ke saath kisi ko shareek
mat tehrao, aur Maa Baap ke saath ehsaan karo, aur apni aulaad ko iflaas ke sabab
qatal mat karo, hum tum ko aur unke rizq dete hain, aur be hayaee ke jitne tariqe
hain unke paas bhi mat jao kuwah wo alaniya hon ya poshidah, aur jis ka khoon
karna Allah Ta’ala ne haram kardiya hai usko qatal mat karo- haan magar haq ke
saath, usi ka tumhein takeedi hukm diya hai take tum samjho”

Allah Ta’ala ne “Surah Bani Israel” mein usi mazmoon ko kuch iss tarha se bayan
farmaya ke

ٗ ‫طاَبي‬ ُ ‫ۡ َٰ ذ ۡ ُ ۡ ُ ُ ُ ۡ ذ‬
ۡ ‫اك ۡمَإ ذنَق ۡتل ُه ۡمََكنَخ‬ ۡ ۡ ُ َٰ ۡ ْ ٓ ُ ُ ۡ
٣١ ٗ ِ َ ِ ِ ۡۚ ‫َِإَوي‬ ‫م‬ ‫ه‬ ‫ق‬‫ز‬ ‫ر‬ ‫َن‬ ‫ن‬ ‫ََّن‬ ‫ق‬ ‫ل‬
ٖۖ ٖ ِ‫م‬‫إ‬َ ‫ة‬ ‫ي‬ ‫ش‬ ‫وَلَتقتلواَأولدكمَخ‬

Surah Bani Israel – Ayat : 31

“Aur muflisi ke khauf se apni auladon ko maarnadalo ! unhen aur tumhen hum hi
rozi dete hain yaqinan unka qatal karna kabirah gunah hai”

Teesra Haq: Aulaad Ka Acha Naam Rakhna

Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬ka irshaad-e-girami hai:

(( Kullu Gulami Murtahinun Bi’aqeeqatihee, Tuzbahu ‘Anhu Yaumas Saaba’, Wa-


yuhluku Ra-suhoo Wa-yusammae ))

3 THE WAY OF SALAFIYYAH


Sunan-e-Ibn Maaja, Abwabuz Zubaha, Raqam : 3165, Sunan-e-Nisaee, Kitabul Haqeeqatu, Raqam :
4225, Sunan-e-Abi Dawood, Kitabuz Zuhaya, Raqam : 2838, Shaikul Bani ne ise “Sahih” kaha hai, Al-
Arwa, Raqam : 1165.

“Bache apne aqeeqake saath girwi hai, jo saatwen din uski taraf se zubah kiya
jaega, aur us ke naam rakha jaega, aur uske sar ke baal utaare jaenge"

Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬namon ke bare mein batlate hue irshaad farmaya:

(( Inna Ahabba Asmaaekum Ilallah : ‘Abdullahi, Wa-‘Abdur Rahman ))

Sahih Muslim, Kitabul Adab, Raqam : 5587.

“Tumhare naamon mein se Allah ko sab se zyada mehboob naam : Abdullah aur
Abdur Rahman hain”

Aur ek riwayat mein “Haaris” naam ko bhi pasandidah qaraar diya gaya hai

Silsilatus Sahihatu, Raqam : 904.

Chahota Haq: Aulaad Ki Achi Tarbiyat Karna

Iss silsile me Ibn Qeem Rahmatullah Alehi farmaate hain :

Jisne apni aulaad ki achi tarbiyat karne me kotaahi ki, aur isko nazar andaaz
kardiya, to isne bahut badi galti ki, kyunki aulaad me aksar fasaad waalidein hi ki
taraf se aata hai, aur agar inhon ne be parwaahi se kaam liya,aur deen ke farayez-

4 THE WAY OF SALAFIYYAH


o-sunan ki taaleem na di to aisi aulaad na to apne aapko faida desakegi,aur na apne
waalidein ke liye khair ka zariya saabit hogi. Ek baap ne apne bete ko iski bad sulooki
par daanta to isne kaha:Abu jaan aapne bachpan me mera haq qidmat ada nahi
kiya, to main ne bade hokar na farmaani ki hai, Aapne mujhe bachpan me zaaya
kiya to main aapko budhaape me zaaya kar raha hun.

Paanchwan Haq: Namaz Ki Talqeen Karna

Allah Taa’la ne namaz ke hawale se Sayyadina Ibraheem Alehis Salaam ki dua naqal
farmaayi hai ke inhon ne apne rab se ye dua bhi ki ke wo inhe aur inki aulaad ko
namaz ka paaband banade, aur inki tamaam duaon ko bil umoom aur in duwaon
ko bilqusoos qubool farmaaye.

ٓ ُ ۡ ُ ‫نَ ُمقيمَٱ ذ‬ۡ ۡ


َ ٤٠َِ‫لصل َٰوَة َِومِنَذرِ ذي ِتَر ذبناَوتق ذيلَدَعء‬ ِ َ ِ ‫بَٱجعل‬
ِ ‫ر‬
(Sure ibraheem ayat 40)

“Aye mere paalne waale!Mujhe namaz ka paaband rakh, Aur meri aulaad se bhi,
Aye hamare Rab meri dua qubool farma”.

Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬Ne irshaad farmaaya:

(( Muru Sibyaanikum Bisa Salaati Iza Balagu Saba’a, Wazriboohum Aleiha Iza
Balagu Ashra, Wa Farriqu Bainahum Fil Mazajihi))

5 THE WAY OF SALAFIYYAH


Musannade Ahmed, 181\2, Sheikh Shuab ne iski sanad ko “HUSN’ kaha hai.

“Jab tumhaare bacche saat saal ke hojaayein to inko namaz ka hukum do, aur
das saal ke hojaayein to inko namaz ke liye maaro, aur inhein alag alag sulaao”.

Sayyadina ‘Esaa Alehis Salaam Ke Mutalliq Quraan-e-Majeed Mein Hai:

ٗ ۡ َٰ ‫ذ‬ َٰ ‫ذ‬ ُ ۡ ُُۡ


ِ ‫وَكنَيأمرَأهل َهۥََب ِٱلصلوة ِوَٱلزبوَة َِوَكنَعِندَرب ِ َهِۦَمر‬
َ ٥٥‫ضيا‬
(Sure Mariyam - ayat 55)

“Wo apne ghar walon ko barabar namaz aur zakat ka hukm dete they, apne
parwardigaar ki baargaah mein pasandidah aur maqbool they”

Aise Allah Ta’ala ne Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬ko hukm diya hai ke wo apne

gharwalon ko Namaz ka hukm den.

َٰ ۡ ‫ۡ َٰ ُ ذ‬ ُُ ۡ ُ ۡ‫ۡٗ ذ‬ ُ ۡ ۡ ۡ ۡ َٰ ‫ذ‬ ۡ ُۡۡ


َ ‫سلكَرِزقاََّۖننَنرزقكَوَٱلعقِي َةَل ِلتقو‬
١٣٢‫ى‬ َ ِ ‫وأمرَأهلكََب ِٱلصلوَة َِوَٱصط‬
َ ‫َبَعليهاََۖلَن‬
(Sure Taha - ayat 132)

“Apne ghar wale logon par namaz ki takeed rakhen, aur khud bhi uspar pabandi
kijiye, hum aap se rozi nahi maangte, balke hum khud aap ko rozi dete hain,
aakhirat ka anjaam parhezgari hi ka hai”

Ba’az logon ka kayaal hai ke yahan pori ummat muraad hai, yani sab log apne ghar
walon ko namaz ka hukm den, Aap ‫ ﷺ‬us hukm badraja aula dakil hai, Aap se

kaha gaya hai ke Aap namaz ki pabandi kijiye, aur amoor duniya mein
mashqool hokar usse gafil na hojae” (Taiseer Ar-Rahman 915/1)

6 THE WAY OF SALAFIYYAH


Chetta Haq : Aulaad Ke Saath Shafaqat Se Pesh
Aana

Sayyida ‘Aayesha (R. Anha) bayan karti hain ke Rasoolallah ‫ ﷺ‬ne irshaad farmaya:

(( Manibtuliya Min Hazihil Banati Bishaiyin Fa-ahsana Ilaihinna Kunna Laho Sitran
Minan Naar))

Shahih Bukari, Kitabul Adab, Raqam : 5995.

“Jis bande ya bandi par Allah Ta’ala ki taraf se betiyon ki zimmadari daali gai, aur
unke saath usne acha solook kiya, tu yeh betiyan uske liye dozak se bachao ka
samaan banjaengi”

Sayyadina Abu Sayeed Kadri (RA) se riwayath hai ke Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬ne farmaya:

(( La-yakonu Li-ahdin Salaasa Banatin, Au-Salaasa Akwaatin Fayuhsinu Ilaihinna


Illa Dakalal Jannata))

Sahihul adabul mufarrud lil albaani 103\1.

“Jis kisi ki bhi teen betiyan ya behnen hon, aur wo unke saath acha salok kare tu
use jannat milegi”

Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬ne shafaqat ke hawale se ek ache mu’asharah ke qayam ke liye

roshan hidayat farmae:

(( Man Lam Yarham Saqirina Walam Yu-aqqir Kabeerina, Falaisa Minna ))

Sunan-e-Tirmazi, Kitabur Barru Wasillatu, Raqam: 1919, Musannade Ahmed, Raqam: 208\2, Silsilatus
Sahihatu, Raqam: 2196.

7 THE WAY OF SALAFIYYAH


“Jo Shaks hamare chothon par rehem nahi karta, aur hamare badon ki tu qair
nahi karta, wo hum mein se nahi hai”

Aur App ‫ ﷺ‬ka farmane Aalishan hai:

(( Man La Yarham La Yurham ))

Sahih Bukhari,Kitabul Adab,Raqam; 5998

“Jo Shaks rehem nahi karta, uspar bhi rehem nahi kiya jata”

Saatwan Haq: Deen-E-Islaam Ka Ilm Siklaana

Nabi-e-Kareem ‫ ﷺ‬ne Irshaad farmaya:

((Talabul ilmu fareezatun ala kulli muslimin))

Sunan-e- Ibn Maaja, Al Muqaddimatu, Baabu,Fazlul Ulma, Wal Hassu Ala Talabul Ilm, Raqam; 22,
Sheikhul Baani Ne Ise “Sahih ” Kaha hai.Taqreej Faqas Seerat, Raqam 81.

“Ilm ka haasil karna har musalmaan par farz hai”.

Pas waalidein ko chahiye ke apne bachon ko neiki ki taleem dein, aur buraayi se
bachne ki talqeen karein.

8 THE WAY OF SALAFIYYAH


Aatwan Haq: Adal-o-Masawaat Qaayam Karna

Aulaad me adal-o-musawaat ke mutabiq Imaam Bukhari-o-Muslim ne Sayyadina


Naa’maan Bin Basheer (R.A) ki hadees zikir ki hai, wo farmaate hain ke mere waalid

mujhe lekar Rasoolallah ‫ ﷺ‬Ki qidmat me haazir hue, aur arz kiya ke main ne apne

iss ladke ko apna ek gulaam hadya kardiya hai, Rasoolallah ‫ ﷺ‬ne farmaaya: kiya

tumne isi tarah har ladke ko hadya kiya hai? Arz kiya, Nahi, to Rasoolallah ‫ ﷺ‬ne
farmaya:

(( Faa’rjihu))

Sahih Bukhari, Kitabul Habat, Raqam: 2586, Sahih Muslim, Kitabul Hibaat, Raqam: 4186.

“ To phir isse bhi wapas lelo ”

Doosri riwayat me hai ke Rasoolallah ‫ ﷺ‬ne farmaaya: kiya tumne aisa sulook apni

tamaam ladko ke sath kiya hai?arz kiya: Nahi, To aap ne farmaaya:

(( Ittaqullah, Waadilu Fi Aulaadikum))

“Allah se daro, aur apne bachon me adal-o-masawaat ka maamla karo ”.

Ek teesri riwayat me hai ke Rasoolallah ‫ ﷺ‬ne farmaaya:

“ kiya tumne isi tarah tamaam ladkon ko gulaam diya hai?Arz kiya: Nahi, To aap ne
irshaad farmaaya:

9 THE WAY OF SALAFIYYAH


(( Fala tushidni ala jauri, Ayasurruka an yakoonu ileika fil birri sawaa’n? Qaala:
Bala, Qaala:Fala, izan ))

Sahih Bukhari, Kitabul Shadaat, Raqam: 2650, Sahih Muslim, Kitabul Habaat, Raqam: 418, 4185.

“ To phir mujhe qawaah na banao, main zulm-o-zyaadati ka qawaah nahi


banunga,phir farmaaya: kiya tumhaare liye ye baat khush aayind nahi hogi ke
wo sab bhi tumhare sath barabari ka husn-e-sulook karein? Arz kiya: Kiyun nahi?
To aapne farmaya: Lihaaza tum bhi inke sath bartaao me tafreeq-o-imtiyaaz na
karo ”.

Nawwan Haq: Aulaad Ke Liye Hasb-


e-Istiaa’t Maal-o-Dawlath Chodna

Sayyadina Saad Bin Abi Waqqas (R.A) se riwayat hai ke main Makkah me beemaar

tha, Aur Rasoolallah ‫ ﷺ‬meri iyadath ko tashreef laaye, main ne arz kiya :Huzoor

mere paas maal hai, Kiya main apna kul maal khairaat karne ki wasiyat karsakta
hun? Farmaya: Nahi, Main ne arz kiya: Acha to nisf maal? Farmaaya: Nahi, Acha to
ek tahaayi sahi ? Farmaaya:

(( Wassulusu Kaseerun, Innaka An Tadaa’ Warasataka Aqniyaa Khairun Min An


Tadahum Aalatan Yatakaffafoonan Naasa Fi Aedihim, Wa Innaka Mahma
Anfaqta Min Nafqatin Fa Innaha Sadqatun Hattal Laqmatu Tarfauha Ila Fi
Imraatik, Wasallahu n Yarfaka Fayantafia Bika Naasun Wazurra Bika Aaqaroon))

Sahih Bukhari, Kitabul Wisaaya, Raqam: 2842.

10 THE WAY OF SALAFIYYAH


“Khair! Magar tahaayi bhi bahut hai, agar tum apne warsa ko maaldaar chodkar
maro to ye isse behter hai ke tum inko mohtaaj chodkar maro ke wo logon ke
saamne haath phailaate phire, aur tum jo kuch maal kharch karoge wo tumhare
waaste sadqa(SAWAB) hai, hatta ke jo luqma tum apni biwi ke mu me dalte ho,
aur umeed to ye hai ke Allah Taa’la (Tumko zinda rakhega,aur ) tumhare zariye
se kisi ko nafa aur kisi ko zarar pahunchayega ”.

11 THE WAY OF SALAFIYYAH


12 THE WAY OF SALAFIYYAH

You might also like